📖 Surah 31 Luqman Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- الم
- تِلْكَ آيَاتُ الْكِتَابِ الْحَكِيمِ
- هُدًى وَرَحْمَةً لِلْمُحْسِنِينَ
- الَّذِينَ يُقِيمُونَ الصَّلَاةَ وَيُؤْتُونَ الزَّكَاةَ وَهُمْ بِالْآخِرَةِ هُمْ يُوقِنُونَ
- أُولَٰئِكَ عَلَىٰ هُدًى مِنْ رَبِّهِمْ ۖ وَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُفْلِحُونَ
- وَمِنَ النَّاسِ مَنْ يَشْتَرِي لَهْوَ الْحَدِيثِ لِيُضِلَّ عَنْ سَبِيلِ اللَّهِ بِغَيْرِ عِلْمٍ وَيَتَّخِذَهَا هُزُوًا ۚ أُولَٰئِكَ لَهُمْ عَذَابٌ مُهِينٌ
- وَإِذَا تُتْلَىٰ عَلَيْهِ آيَاتُنَا وَلَّىٰ مُسْتَكْبِرًا كَأَنْ لَمْ يَسْمَعْهَا كَأَنَّ فِي أُذُنَيْهِ وَقْرًا ۖ فَبَشِّرْهُ بِعَذَابٍ أَلِيمٍ
- إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ لَهُمْ جَنَّاتُ النَّعِيمِ
- خَالِدِينَ فِيهَا ۖ وَعْدَ اللَّهِ حَقًّا ۚ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ
- خَلَقَ السَّمَاوَاتِ بِغَيْرِ عَمَدٍ تَرَوْنَهَا ۖ وَأَلْقَىٰ فِي الْأَرْضِ رَوَاسِيَ أَنْ تَمِيدَ بِكُمْ وَبَثَّ فِيهَا مِنْ كُلِّ دَابَّةٍ ۚ وَأَنْزَلْنَا مِنَ السَّمَاءِ مَاءً فَأَنْبَتْنَا فِيهَا مِنْ كُلِّ زَوْجٍ كَرِيمٍ
- هَٰذَا خَلْقُ اللَّهِ فَأَرُونِي مَاذَا خَلَقَ الَّذِينَ مِنْ دُونِهِ ۚ بَلِ الظَّالِمُونَ فِي ضَلَالٍ مُبِينٍ
- وَلَقَدْ آتَيْنَا لُقْمَانَ الْحِكْمَةَ أَنِ اشْكُرْ لِلَّهِ ۚ وَمَنْ يَشْكُرْ فَإِنَّمَا يَشْكُرُ لِنَفْسِهِ ۖ وَمَنْ كَفَرَ فَإِنَّ اللَّهَ غَنِيٌّ حَمِيدٌ
- وَإِذْ قَالَ لُقْمَانُ لِابْنِهِ وَهُوَ يَعِظُهُ يَا بُنَيَّ لَا تُشْرِكْ بِاللَّهِ ۖ إِنَّ الشِّرْكَ لَظُلْمٌ عَظِيمٌ
- وَوَصَّيْنَا الْإِنْسَانَ بِوَالِدَيْهِ حَمَلَتْهُ أُمُّهُ وَهْنًا عَلَىٰ وَهْنٍ وَفِصَالُهُ فِي عَامَيْنِ أَنِ اشْكُرْ لِي وَلِوَالِدَيْكَ إِلَيَّ الْمَصِيرُ
- وَإِنْ جَاهَدَاكَ عَلَىٰ أَنْ تُشْرِكَ بِي مَا لَيْسَ لَكَ بِهِ عِلْمٌ فَلَا تُطِعْهُمَا ۖ وَصَاحِبْهُمَا فِي الدُّنْيَا مَعْرُوفًا ۖ وَاتَّبِعْ سَبِيلَ مَنْ أَنَابَ إِلَيَّ ۚ ثُمَّ إِلَيَّ مَرْجِعُكُمْ فَأُنَبِّئُكُمْ بِمَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ
- يَا بُنَيَّ إِنَّهَا إِنْ تَكُ مِثْقَالَ حَبَّةٍ مِنْ خَرْدَلٍ فَتَكُنْ فِي صَخْرَةٍ أَوْ فِي السَّمَاوَاتِ أَوْ فِي الْأَرْضِ يَأْتِ بِهَا اللَّهُ ۚ إِنَّ اللَّهَ لَطِيفٌ خَبِيرٌ
- يَا بُنَيَّ أَقِمِ الصَّلَاةَ وَأْمُرْ بِالْمَعْرُوفِ وَانْهَ عَنِ الْمُنْكَرِ وَاصْبِرْ عَلَىٰ مَا أَصَابَكَ ۖ إِنَّ ذَٰلِكَ مِنْ عَزْمِ الْأُمُورِ
- وَلَا تُصَعِّرْ خَدَّكَ لِلنَّاسِ وَلَا تَمْشِ فِي الْأَرْضِ مَرَحًا ۖ إِنَّ اللَّهَ لَا يُحِبُّ كُلَّ مُخْتَالٍ فَخُورٍ
- وَاقْصِدْ فِي مَشْيِكَ وَاغْضُضْ مِنْ صَوْتِكَ ۚ إِنَّ أَنْكَرَ الْأَصْوَاتِ لَصَوْتُ الْحَمِيرِ
- أَلَمْ تَرَوْا أَنَّ اللَّهَ سَخَّرَ لَكُمْ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ وَأَسْبَغَ عَلَيْكُمْ نِعَمَهُ ظَاهِرَةً وَبَاطِنَةً ۗ وَمِنَ النَّاسِ مَنْ يُجَادِلُ فِي اللَّهِ بِغَيْرِ عِلْمٍ وَلَا هُدًى وَلَا كِتَابٍ مُنِيرٍ
- وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ اتَّبِعُوا مَا أَنْزَلَ اللَّهُ قَالُوا بَلْ نَتَّبِعُ مَا وَجَدْنَا عَلَيْهِ آبَاءَنَا ۚ أَوَلَوْ كَانَ الشَّيْطَانُ يَدْعُوهُمْ إِلَىٰ عَذَابِ السَّعِيرِ
- وَمَنْ يُسْلِمْ وَجْهَهُ إِلَى اللَّهِ وَهُوَ مُحْسِنٌ فَقَدِ اسْتَمْسَكَ بِالْعُرْوَةِ الْوُثْقَىٰ ۗ وَإِلَى اللَّهِ عَاقِبَةُ الْأُمُورِ
- وَمَنْ كَفَرَ فَلَا يَحْزُنْكَ كُفْرُهُ ۚ إِلَيْنَا مَرْجِعُهُمْ فَنُنَبِّئُهُمْ بِمَا عَمِلُوا ۚ إِنَّ اللَّهَ عَلِيمٌ بِذَاتِ الصُّدُورِ
- نُمَتِّعُهُمْ قَلِيلًا ثُمَّ نَضْطَرُّهُمْ إِلَىٰ عَذَابٍ غَلِيظٍ
- وَلَئِنْ سَأَلْتَهُمْ مَنْ خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ لَيَقُولُنَّ اللَّهُ ۚ قُلِ الْحَمْدُ لِلَّهِ ۚ بَلْ أَكْثَرُهُمْ لَا يَعْلَمُونَ
- لِلَّهِ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ إِنَّ اللَّهَ هُوَ الْغَنِيُّ الْحَمِيدُ
- وَلَوْ أَنَّمَا فِي الْأَرْضِ مِنْ شَجَرَةٍ أَقْلَامٌ وَالْبَحْرُ يَمُدُّهُ مِنْ بَعْدِهِ سَبْعَةُ أَبْحُرٍ مَا نَفِدَتْ كَلِمَاتُ اللَّهِ ۗ إِنَّ اللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٌ
- مَا خَلْقُكُمْ وَلَا بَعْثُكُمْ إِلَّا كَنَفْسٍ وَاحِدَةٍ ۗ إِنَّ اللَّهَ سَمِيعٌ بَصِيرٌ
- أَلَمْ تَرَ أَنَّ اللَّهَ يُولِجُ اللَّيْلَ فِي النَّهَارِ وَيُولِجُ النَّهَارَ فِي اللَّيْلِ وَسَخَّرَ الشَّمْسَ وَالْقَمَرَ كُلٌّ يَجْرِي إِلَىٰ أَجَلٍ مُسَمًّى وَأَنَّ اللَّهَ بِمَا تَعْمَلُونَ خَبِيرٌ
- ذَٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ هُوَ الْحَقُّ وَأَنَّ مَا يَدْعُونَ مِنْ دُونِهِ الْبَاطِلُ وَأَنَّ اللَّهَ هُوَ الْعَلِيُّ الْكَبِيرُ
- أَلَمْ تَرَ أَنَّ الْفُلْكَ تَجْرِي فِي الْبَحْرِ بِنِعْمَتِ اللَّهِ لِيُرِيَكُمْ مِنْ آيَاتِهِ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِكُلِّ صَبَّارٍ شَكُورٍ
- وَإِذَا غَشِيَهُمْ مَوْجٌ كَالظُّلَلِ دَعَوُا اللَّهَ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ فَلَمَّا نَجَّاهُمْ إِلَى الْبَرِّ فَمِنْهُمْ مُقْتَصِدٌ ۚ وَمَا يَجْحَدُ بِآيَاتِنَا إِلَّا كُلُّ خَتَّارٍ كَفُورٍ
- يَا أَيُّهَا النَّاسُ اتَّقُوا رَبَّكُمْ وَاخْشَوْا يَوْمًا لَا يَجْزِي وَالِدٌ عَنْ وَلَدِهِ وَلَا مَوْلُودٌ هُوَ جَازٍ عَنْ وَالِدِهِ شَيْئًا ۚ إِنَّ وَعْدَ اللَّهِ حَقٌّ ۖ فَلَا تَغُرَّنَّكُمُ الْحَيَاةُ الدُّنْيَا وَلَا يَغُرَّنَّكُمْ بِاللَّهِ الْغَرُورُ
- إِنَّ اللَّهَ عِنْدَهُ عِلْمُ السَّاعَةِ وَيُنَزِّلُ الْغَيْثَ وَيَعْلَمُ مَا فِي الْأَرْحَامِ ۖ وَمَا تَدْرِي نَفْسٌ مَاذَا تَكْسِبُ غَدًا ۖ وَمَا تَدْرِي نَفْسٌ بِأَيِّ أَرْضٍ تَمُوتُ ۚ إِنَّ اللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرٌ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Alif-Laaam-Meeem
- Tilka Aayaatul Kitaabil Hakeem
- Hudanw wa rahmatal lilmuhsineen
- Allazeena yuqeemoonas Salaata wa yu'toonaz Zakaata wa hum bil Aakhirati hum yooqinoon
- Ulaaa'ika 'alaa hudam mir Rabbihim wa ulaaa'ika humul muflihoon
- Wa minan naasi mai-yashtaree lahwal haddesi li yudilla 'an sabeelil laahi bighairi 'ilminw wa yattakhizahaa huzuwaa; ulaaa'ika lahum 'azaabum muheen
- Wa izaa tutlaa 'alayhi Aayaatunaa wallaa mustakbiran ka al lam yasma'haa ka anna feee uzunaihi waqran fabashshiru bi'azaabin aleem
- Innal lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati lahum Janaatun Na'eem
- Khaalideena feeha wa'dal laahi haqqaa; wa Huwal 'Azeezul Hakeem
- Khalaqas samaawaati bi ghairi 'amadin tarawnahaa wa alqaa fil ardi rawaasiya an tameeda bikum wa bassa feehaa min kulli daaabbah; wa anzalnaa minas samaaa'i maaa'an fa ambatnaa feeha min kulli zawjin kareem
- Haazaa khalqul laahi fa aroonee maazaa khalaqal lazeena min doonih; baliz zaalimoona fee dalalim Mubeen (section 1)
- Wa laqad aatainaa Luqmaanal hikmata anishkur lillaah; wa many yashkur fa innamaa yashkuru linafsihee wa man kafara fa innal laaha Ghaniyyun Hameed
- Wa iz qaala luqmaanu libnihee wa huwa ya'izuhoo ya bunaiya laa tushrik billaah; innash shirka lazulmun 'azeem
- Wa wassainal insaana bi waalidaihi hamalat hu ummuhoo wahnan 'alaa wahninw wa fisaaluhoo fee 'aamaini anishkur lee wa liwaalidaika ilaiyal maseer
- Wa in jaahadaaka 'alaaa an tushrika bee maa laisa laka bihee 'ilmun falaa tuti'humaa wa saahib humaa fid dunyaa ma'roofanw wattabi' sabeela man anaaba ilayy; summa ilaiya marji'ukum fa unabbi'ukum bimaa kuntum ta'maloon
- Ya bunaiya innahaaa in taku misqaala habbatim min khardalin fatakun fee sakhratin aw fis samaawaati aw fil ardi yaati bi Allah; innal laaha lateefun Khabeer
- Yaa bunaiya aqimis-Salaata waamur bilma'roofi wanha 'anil munkari wasbir 'alaa maaa asaabaka inna zaalika min 'azmil umoor
- Wa laa tusa'-'ir khaddaka linnaasi wa laa tamshi fil ardi maarahan innal laaha laa yuhibbu kulla mukhtaalin fakhoor
- Waqsid fee mashyika waghdud min sawtik; inna ankaral aswaati lasawtul hameer (section 2)
- Alam taraw annal laaha sakhkhara lakum maa fis sa maawaati wa maa fil ardi wa asbagha 'alaikum ni'amahoo zaahiratanw wa baatinah; wa minan naasi many yujaadilu fil laahi bighayri 'ilminw wa laa hudanw wa laa Kitaabim muneer
- Wa izaa qeela lahumut-tabi'oo maaa anzalal laahu qaaloo bal nattabi'u maa wajadnaa 'alaihi aabaaa'anaa; awalaw kaanash Shaitaanu yad'oohum ilaa 'azaabis sa'eer
- Wa many yuslim wajha hooo ilal laahi wa huwa muhsinun faqadistamsaka bil'ur watil wusqaa; wa ilal laahi 'aaqibatul umoor
- Wa man kafara falaa yahzunka kufruh; ilainaa marji'uhum fanunabbi'uhum bimaa 'amiloo; innal laaha 'aleemum bizaatis sudoor
- Numatti'uhum qaleelan summa nadtarruhum ilaa 'azaabin ghaleez
- Wa la'in sa altahum man khalaqas samaawaati wal arda la yaqoolunnal laah; qulil hamdu lillaah; bal aksaruhum laa ya'lamoon
- Lillahi ma fis samaa waati wal ard; innal laaha Huwal Ghaniyyul Hameed
- Wa law annamaa fil ardi min shajaratin aqlaamunw wal bahru yamudduhoo mim ba'dihee sab'atu abhurim maa nafidat Kalimaatul laah; innal laaha 'azeezun Hakeem
- Maa khalqukum wa laa ba'sukum illaa kanafsinw-waa hidah; innal laaha Samee'um Baseer
- Alam tara annal laaha yoolijul laila fin nahaari wa yoolijun nahaara fil laili wa sakhkharash shamsa wal qamara kulluny yajreee ilaaa ajalim musammanw wa annal laaha bimaa ta'maloona Khabeer
- Zaalika bi annal laaha Huwal Haqqu wa anna maa yad'oona min doonihil baatilu wa annal laaha Huwal 'Aliyyul Kabeer (section 3)
- Alam tara annal fulka tajree fil bahri bini'matil laahi li yuriyakum min Aayaatih; inna fee zaalika la Aayaatil likulli sabbaarin shakoor
- Wa izaa ghashiyahum mawjun kazzulali da'a-wul laaha mukhliseena lahud deena fa lammaa najjaahum ilal barri faminhum muqtasid; wa maa yajhadu bi Aayaatinaa illaa kullu khattaarin kafoor
- Yaaa ayyuhan naasuttaqoo Rabbakum wakhshaw Yawmal laa yajzee waalidun 'anw waladihee wa laa mawloodun huwa jaazin 'anw waalidihee shai'aa; innaa wa'dal laahi haqqun falaa taghurran nakumul hayaatud dunyaa wa laa yaghur rannakum billaahil gharoor
- Innal laaha 'indahoo 'ilmus saa'ati wa yunazzilul ghaisa wa ya'lamu maa fil arhaami wa maa tadree nafsum maazaa taksibu ghadaa; wa maa tadree nafsum bi ayyi ardin tamoot; innal laaha 'Aleemun Khabeer (section 4)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Alif Laam Meem.2. Yeh kitaab-e-hakeem(book of wisdom) ki aayaat hain.
3. Hidayat aur rehmat neikukar logon ke liye.
4. Jo namaz qayam karte hai, zakat dete hain aur aakhirat par yaqeen rakhte hain.
5. Yahi log apne Rubb ki taraf se raah-e-raast par hain aur yahi falaah paane wale hain.
6. Aur Insano hi mein se koi aisa bhi hai jo kalaam-e-dil fareb [lagv baaton ko/idle talks (i.e.music, singing, etc)] khareed kar laata hai taa-ke logon ko Allah ke raaste se ilm ke bagair bhatka de aur is raaste ki dawat ko mazaaq mein uda de. aise logon ke liye sakht zaleel karne wala azaab hai.
7. Usey jab hamari aayaat sunayi jaati hain to woh badey ghamand ke saath is tarah rukh pher leta hai goya ke usne unhein suna hi nahin, goya ke uske kaan behre hain.Accha, mushda (tidings) suna do usey ek dardnaak azaab ka.
8. Albatta jo log iman le aayein aur neik amal karein, unke liye niyamat bhari jannatein hain.
9. Jinmein woh hamesha rahenge. Yeh Allah ka pukhta waada hai, aur woh zabardast aur hakeem hai.
10. Usne aasmaano ko paida kiya bagair sutuno (pillars) ke jo tumko nazar aayein .Usne zameen mein pahad jamaa diye taa-ke woh tumhein lekar dhulak (turn /shake) na jaaye. Usne har tarah ke jaanwar zameen mein phayla diye aur aasmaan se pani barsaya aur zameen mein qisam qisam ke umda cheezein uga di.
11. Yeh to hai Allah ki takhleeq, ab zara mujhe dikhao, in dusron ne kya paida kiya hai? Asal baat yeh hai ke yeh zalim log sareeh gumraahi mein padey huey hain.
12. Humne Luqman ko hikmat ata ki thi ke Allah ka shukar-guzar ho. Jo koi shukar kare uska shukar uske apne hi liye mufeed(faiydamand) hai aur jo koi kufr kare to haqeeqat mein Allah be-niyaz aur aap se aap mehmood (Immensely Praiseworthy) hai.
13. Yaad karo jab Luqman apne bete ko naseehat kar raha tha, to usne kaha “beta! Khuda ke saath kisi ko shareek na karna, haqq yeh hai ke shirk bahut bada zulm hai”
14. Aur haqeeqat yeh hai ke humne Insan ko apne walidain (parents) ka haqq pehchanne ki khud taakeed ki hai. Uski Maa ne zoaf par zoaf (weakness upon weakness) utha kar usey apne pait mein rakkha aur do saal uska doodh chootne mein lage. (Isi liye humne usko naseehat ki ke) mera shukar kar aur apne walidain ka shukar baja la. Meri hi taraf tujhey palatna hai.
15. Lekin agar woh tujhpar dabao dalein ke mere saath tu kisi aise ko shareek kare jise tu nahin jaanta to unki baat hargiz na maan. Duniya mein unke saath neik bartao karta reh, magar pairvi(follow) us shaks ke raaste ki kar jisne meri taraf rujoo kiya hai. Phir tum sabko palatna meri hi taraf hai, us waqt main tumhein bata dunga ke tum kaise amal karte rahe ho.
16. (Aur Luqman ne kaha tha ke) “Beta, koi cheez rai ke danay (mustard seed) barabar bhi ho aur kisi chattan (rock) mein ya aasmaano ya zameen mein kahin chupi hui ho, Allah usey nikal layega. Woh bareek been aur bakhabar hai.
17. Beta, namaz qayam kar, neki ka hukm de, badee (burai) se manah kar, aur jo museebat bhi padey uspar sabr kar, yeh woh baatein hain jinki badi takeed ki gayi hai.
18. Aur logon se mooh pher kar baat na kar, na zameen mein akad kar chal. Allah kisi khud-pasand aur faqar jataney wale shaks ko pasand nahin karta.
19. Apni chaal mein aitadal (moderate) ikhtiyar kar, aur apni aawaz zara past rakh, sab aawazon se zyada buri aawaz gadhon ki aawaz hoti hai.
20. Kya tum log nahin dekhte ke Allah ne zameen aur aasmaano ki saari cheezein tumhare liye musakkhar kar rakkhi hai aur apni khuli aur chupi niyamatein tumpar tamaam kardi hain? Ispar haal yeh hai ke Insano mein se kuch log hain jo Allah ke baare mein jhagadte hain bagair iske ke unke paas koi ilm ho, ya hidayat, ya koi roshni dikhane wali kitaab.
21. Aur jab unse kaha jata hai ke pairwi karo us cheez ki jo Allah ne naazil ki hai to kehte hain ke hum to us cheez ki pairwi karenge jispar humne apne baap dada ko paya hai. Kya yeh unhi ki pairvi karenge khwa shaytan unko bhadakti hui aag hi ki taraf kyun na bulata raha ho?
22. Jo shaks apne aap ko Allah ke hawale karde aur amalan woh neik ho, usne fil-waqayi ek bharose ke qabil sahara thaam liya, aur saare maamlaat ka aakhri faisla Allah hi ke haath hai.
23. Ab jo kufr karta hai uska kufr tumhein gham mein mubtala na kare. Unhein palat kar aana to hamari hi taraf hai, phir hum unhein bata denge ke woh kya kuch karke aaye hain. Yaqeenan Allah seeno(chest) ke chupe huey raaz tak jaanta hai.
24. Hum thodi muddat unhein duniya mein mazey karne ka mauqa de rahe hain, phir unko bebas karke ek sakht azaab ki taraf kheench le jayenge.
25. Agar tum inse pucho ke zameen aur aasmaano ko kisne paida kya hai, to yeh zaroor kahenge ke Allah ne. Kaho alhamdulillah, magar inmein se aksar log jaante nahin hain.
26. Aasmaano aur zameen mein jo kuch hai Allah hi ka hai. Beshak Allah be-niyaz (free of need) aur aap se aap mehmood (praiseworthy) hai.
27. Zameen mein jitne darakht hain agar woh sab ke sab qalam ban jayein aur samandar (dwaat [ink]) ban jaaye) jise saat (seven) mazeed samandar roshnayi (ink) muhayya karein tab bhi Allah ki baatein (likhne se) khatam na hongi. Beshak Allah zabardast aur hakeem hai.
28. Tum saare Insano ko paida karna aur phir dobara jila uthana (zinda karna) to (uske liye) bas aisa hai jaise ek mutanaffis (single person) ko (paida karna aur jila uthana). Haqeeqat yeh hai ke Allah sabkuch sunne aur dekhne wala hai.
29. Kya tum dekhte nahin ho ke Allah raat ko din mein pirota hua le aata hai aur din ko raat mein? Usne Suraj aur chaand ko musakkhar (subjected) kar rakkha hai. Sab ek waqt e muqarrar tak chale jaa rahe hain. Aur (kya tum nahin jaante) ke jo kuch bhi tum karte ho Allah us se ba-kharbar hai.
30. Yeh sabkuch is wajah se hai ke Allah hi haqq hai aur usey chodh kar jin dusri cheezon ko yeh log pukarte hain woh sab baatil hain.Aur (is wajah se ke) Allah hi buzurg o bartar hai.
31. Kya tum dekhte nahin ho ke kashti samandar mein Allah ke fazl se chalti hai taa-ke woh tumhein apni kuch nishaniyan dikhaye? Dar haqeeqat is mein bahut si nishaniyan hain har us shaks ke liye jo sabr aur shukar karne wala ho.
32. Aur jab (samandar mein ) in logon par ek mauj saayebaano(canopies) ki tarah chaaa jaati hai to yeh Allah ko pukarte hain apne deen ko bilkul usi ke liye khaalis karke. Phir jab woh bacha kar inhein khushki (land) tak pahuncha deta hai to inmein se koi iqtesad baratta (lukewarm) hai.Aur hamari nishaniyon ka inkar nahin karta magar har woh shaks jo gaddaar aur nashukra hai.
33. Logon, bacho apne Rubb ke gazab se aur daro us din se jabke koi baap apne bete ki taraf se badla na dega aur na koi beta hi apne baap ki taraf se kuch badla dene wala hoga. Filwaqeh Allah ka waada sachha hai. Pas yeh duniya ki zindagi tumhein dhoke mein na daale, aur na dhoke-baaz tumko Allah ke maamle mein dhoka dene paye.
34. Us ghadi ka ilm Allah hi ke paas hai, wahi baarish barsata hai, wahi jaanta hai ke maaon ke paithon mein kya parwarish paa raha hai, koi mutanaffis nahin jaanta ke kal woh kya kamayi karne wala hai aur na kisi shaks ko yeh khabar hai ke kis sar-zameen mein usko maut aani hai. Allah hi sabkuch jaanne wala aur bakhabar hai.
Comments
Post a Comment