📖 Surah 30 Ar-Room Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. الم

  2. غُلِبَتِ الرُّومُ

  3. فِي أَدْنَى الْأَرْضِ وَهُمْ مِنْ بَعْدِ غَلَبِهِمْ سَيَغْلِبُونَ

  4. فِي بِضْعِ سِنِينَ ۗ لِلَّهِ الْأَمْرُ مِنْ قَبْلُ وَمِنْ بَعْدُ ۚ وَيَوْمَئِذٍ يَفْرَحُ الْمُؤْمِنُونَ

  5. بِنَصْرِ اللَّهِ ۚ يَنْصُرُ مَنْ يَشَاءُ ۖ وَهُوَ الْعَزِيزُ الرَّحِيمُ

  6. وَعْدَ اللَّهِ ۖ لَا يُخْلِفُ اللَّهُ وَعْدَهُ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَ النَّاسِ لَا يَعْلَمُونَ

  7. يَعْلَمُونَ ظَاهِرًا مِنَ الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَهُمْ عَنِ الْآخِرَةِ هُمْ غَافِلُونَ

  8. أَوَلَمْ يَتَفَكَّرُوا فِي أَنْفُسِهِمْ ۗ مَا خَلَقَ اللَّهُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَمَا بَيْنَهُمَا إِلَّا بِالْحَقِّ وَأَجَلٍ مُسَمًّى ۗ وَإِنَّ كَثِيرًا مِنَ النَّاسِ بِلِقَاءِ رَبِّهِمْ لَكَافِرُونَ

  9. أَوَلَمْ يَسِيرُوا فِي الْأَرْضِ فَيَنْظُرُوا كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ ۚ كَانُوا أَشَدَّ مِنْهُمْ قُوَّةً وَأَثَارُوا الْأَرْضَ وَعَمَرُوهَا أَكْثَرَ مِمَّا عَمَرُوهَا وَجَاءَتْهُمْ رُسُلُهُمْ بِالْبَيِّنَاتِ ۖ فَمَا كَانَ اللَّهُ لِيَظْلِمَهُمْ وَلَٰكِنْ كَانُوا أَنْفُسَهُمْ يَظْلِمُونَ

  10. ثُمَّ كَانَ عَاقِبَةَ الَّذِينَ أَسَاءُوا السُّوأَىٰ أَنْ كَذَّبُوا بِآيَاتِ اللَّهِ وَكَانُوا بِهَا يَسْتَهْزِئُونَ

  11. اللَّهُ يَبْدَأُ الْخَلْقَ ثُمَّ يُعِيدُهُ ثُمَّ إِلَيْهِ تُرْجَعُونَ

  12. وَيَوْمَ تَقُومُ السَّاعَةُ يُبْلِسُ الْمُجْرِمُونَ

  13. وَلَمْ يَكُنْ لَهُمْ مِنْ شُرَكَائِهِمْ شُفَعَاءُ وَكَانُوا بِشُرَكَائِهِمْ كَافِرِينَ

  14. وَيَوْمَ تَقُومُ السَّاعَةُ يَوْمَئِذٍ يَتَفَرَّقُونَ

  15. فَأَمَّا الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ فَهُمْ فِي رَوْضَةٍ يُحْبَرُونَ

  16. وَأَمَّا الَّذِينَ كَفَرُوا وَكَذَّبُوا بِآيَاتِنَا وَلِقَاءِ الْآخِرَةِ فَأُولَٰئِكَ فِي الْعَذَابِ مُحْضَرُونَ

  17. فَسُبْحَانَ اللَّهِ حِينَ تُمْسُونَ وَحِينَ تُصْبِحُونَ

  18. وَلَهُ الْحَمْدُ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَعَشِيًّا وَحِينَ تُظْهِرُونَ

  19. يُخْرِجُ الْحَيَّ مِنَ الْمَيِّتِ وَيُخْرِجُ الْمَيِّتَ مِنَ الْحَيِّ وَيُحْيِي الْأَرْضَ بَعْدَ مَوْتِهَا ۚ وَكَذَٰلِكَ تُخْرَجُونَ

  20. وَمِنْ آيَاتِهِ أَنْ خَلَقَكُمْ مِنْ تُرَابٍ ثُمَّ إِذَا أَنْتُمْ بَشَرٌ تَنْتَشِرُونَ

  21. وَمِنْ آيَاتِهِ أَنْ خَلَقَ لَكُمْ مِنْ أَنْفُسِكُمْ أَزْوَاجًا لِتَسْكُنُوا إِلَيْهَا وَجَعَلَ بَيْنَكُمْ مَوَدَّةً وَرَحْمَةً ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يَتَفَكَّرُونَ

  22. وَمِنْ آيَاتِهِ خَلْقُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَاخْتِلَافُ أَلْسِنَتِكُمْ وَأَلْوَانِكُمْ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِلْعَالِمِينَ

  23. وَمِنْ آيَاتِهِ مَنَامُكُمْ بِاللَّيْلِ وَالنَّهَارِ وَابْتِغَاؤُكُمْ مِنْ فَضْلِهِ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يَسْمَعُونَ

  24. وَمِنْ آيَاتِهِ يُرِيكُمُ الْبَرْقَ خَوْفًا وَطَمَعًا وَيُنَزِّلُ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً فَيُحْيِي بِهِ الْأَرْضَ بَعْدَ مَوْتِهَا ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يَعْقِلُونَ

  25. وَمِنْ آيَاتِهِ أَنْ تَقُومَ السَّمَاءُ وَالْأَرْضُ بِأَمْرِهِ ۚ ثُمَّ إِذَا دَعَاكُمْ دَعْوَةً مِنَ الْأَرْضِ إِذَا أَنْتُمْ تَخْرُجُونَ

  26. وَلَهُ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۖ كُلٌّ لَهُ قَانِتُونَ

  27. وَهُوَ الَّذِي يَبْدَأُ الْخَلْقَ ثُمَّ يُعِيدُهُ وَهُوَ أَهْوَنُ عَلَيْهِ ۚ وَلَهُ الْمَثَلُ الْأَعْلَىٰ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ

  28. ضَرَبَ لَكُمْ مَثَلًا مِنْ أَنْفُسِكُمْ ۖ هَلْ لَكُمْ مِنْ مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُكُمْ مِنْ شُرَكَاءَ فِي مَا رَزَقْنَاكُمْ فَأَنْتُمْ فِيهِ سَوَاءٌ تَخَافُونَهُمْ كَخِيفَتِكُمْ أَنْفُسَكُمْ ۚ كَذَٰلِكَ نُفَصِّلُ الْآيَاتِ لِقَوْمٍ يَعْقِلُونَ

  29. بَلِ اتَّبَعَ الَّذِينَ ظَلَمُوا أَهْوَاءَهُمْ بِغَيْرِ عِلْمٍ ۖ فَمَنْ يَهْدِي مَنْ أَضَلَّ اللَّهُ ۖ وَمَا لَهُمْ مِنْ نَاصِرِينَ

  30. فَأَقِمْ وَجْهَكَ لِلدِّينِ حَنِيفًا ۚ فِطْرَتَ اللَّهِ الَّتِي فَطَرَ النَّاسَ عَلَيْهَا ۚ لَا تَبْدِيلَ لِخَلْقِ اللَّهِ ۚ ذَٰلِكَ الدِّينُ الْقَيِّمُ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَ النَّاسِ لَا يَعْلَمُونَ

  31. مُنِيبِينَ إِلَيْهِ وَاتَّقُوهُ وَأَقِيمُوا الصَّلَاةَ وَلَا تَكُونُوا مِنَ الْمُشْرِكِينَ

  32. مِنَ الَّذِينَ فَرَّقُوا دِينَهُمْ وَكَانُوا شِيَعًا ۖ كُلُّ حِزْبٍ بِمَا لَدَيْهِمْ فَرِحُونَ

  33. وَإِذَا مَسَّ النَّاسَ ضُرٌّ دَعَوْا رَبَّهُمْ مُنِيبِينَ إِلَيْهِ ثُمَّ إِذَا أَذَاقَهُمْ مِنْهُ رَحْمَةً إِذَا فَرِيقٌ مِنْهُمْ بِرَبِّهِمْ يُشْرِكُونَ

  34. لِيَكْفُرُوا بِمَا آتَيْنَاهُمْ ۚ فَتَمَتَّعُوا فَسَوْفَ تَعْلَمُونَ

  35. أَمْ أَنْزَلْنَا عَلَيْهِمْ سُلْطَانًا فَهُوَ يَتَكَلَّمُ بِمَا كَانُوا بِهِ يُشْرِكُونَ

  36. وَإِذَا أَذَقْنَا النَّاسَ رَحْمَةً فَرِحُوا بِهَا ۖ وَإِنْ تُصِبْهُمْ سَيِّئَةٌ بِمَا قَدَّمَتْ أَيْدِيهِمْ إِذَا هُمْ يَقْنَطُونَ

  37. أَوَلَمْ يَرَوْا أَنَّ اللَّهَ يَبْسُطُ الرِّزْقَ لِمَنْ يَشَاءُ وَيَقْدِرُ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يُؤْمِنُونَ

  38. فَآتِ ذَا الْقُرْبَىٰ حَقَّهُ وَالْمِسْكِينَ وَابْنَ السَّبِيلِ ۚ ذَٰلِكَ خَيْرٌ لِلَّذِينَ يُرِيدُونَ وَجْهَ اللَّهِ ۖ وَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُفْلِحُونَ

  39. وَمَا آتَيْتُمْ مِنْ رِبًا لِيَرْبُوَ فِي أَمْوَالِ النَّاسِ فَلَا يَرْبُو عِنْدَ اللَّهِ ۖ وَمَا آتَيْتُمْ مِنْ زَكَاةٍ تُرِيدُونَ وَجْهَ اللَّهِ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُضْعِفُونَ

  40. اللَّهُ الَّذِي خَلَقَكُمْ ثُمَّ رَزَقَكُمْ ثُمَّ يُمِيتُكُمْ ثُمَّ يُحْيِيكُمْ ۖ هَلْ مِنْ شُرَكَائِكُمْ مَنْ يَفْعَلُ مِنْ ذَٰلِكُمْ مِنْ شَيْءٍ ۚ سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ عَمَّا يُشْرِكُونَ

  41. ظَهَرَ الْفَسَادُ فِي الْبَرِّ وَالْبَحْرِ بِمَا كَسَبَتْ أَيْدِي النَّاسِ لِيُذِيقَهُمْ بَعْضَ الَّذِي عَمِلُوا لَعَلَّهُمْ يَرْجِعُونَ

  42. قُلْ سِيرُوا فِي الْأَرْضِ فَانْظُرُوا كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الَّذِينَ مِنْ قَبْلُ ۚ كَانَ أَكْثَرُهُمْ مُشْرِكِينَ

  43. فَأَقِمْ وَجْهَكَ لِلدِّينِ الْقَيِّمِ مِنْ قَبْلِ أَنْ يَأْتِيَ يَوْمٌ لَا مَرَدَّ لَهُ مِنَ اللَّهِ ۖ يَوْمَئِذٍ يَصَّدَّعُونَ

  44. مَنْ كَفَرَ فَعَلَيْهِ كُفْرُهُ ۖ وَمَنْ عَمِلَ صَالِحًا فَلِأَنْفُسِهِمْ يَمْهَدُونَ

  45. لِيَجْزِيَ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ مِنْ فَضْلِهِ ۚ إِنَّهُ لَا يُحِبُّ الْكَافِرِينَ

  46. وَمِنْ آيَاتِهِ أَنْ يُرْسِلَ الرِّيَاحَ مُبَشِّرَاتٍ وَلِيُذِيقَكُمْ مِنْ رَحْمَتِهِ وَلِتَجْرِيَ الْفُلْكُ بِأَمْرِهِ وَلِتَبْتَغُوا مِنْ فَضْلِهِ وَلَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ

  47. وَلَقَدْ أَرْسَلْنَا مِنْ قَبْلِكَ رُسُلًا إِلَىٰ قَوْمِهِمْ فَجَاءُوهُمْ بِالْبَيِّنَاتِ فَانْتَقَمْنَا مِنَ الَّذِينَ أَجْرَمُوا ۖ وَكَانَ حَقًّا عَلَيْنَا نَصْرُ الْمُؤْمِنِينَ

  48. اللَّهُ الَّذِي يُرْسِلُ الرِّيَاحَ فَتُثِيرُ سَحَابًا فَيَبْسُطُهُ فِي السَّمَاءِ كَيْفَ يَشَاءُ وَيَجْعَلُهُ كِسَفًا فَتَرَى الْوَدْقَ يَخْرُجُ مِنْ خِلَالِهِ ۖ فَإِذَا أَصَابَ بِهِ مَنْ يَشَاءُ مِنْ عِبَادِهِ إِذَا هُمْ يَسْتَبْشِرُونَ

  49. وَإِنْ كَانُوا مِنْ قَبْلِ أَنْ يُنَزَّلَ عَلَيْهِمْ مِنْ قَبْلِهِ لَمُبْلِسِينَ

  50. فَانْظُرْ إِلَىٰ آثَارِ رَحْمَتِ اللَّهِ كَيْفَ يُحْيِي الْأَرْضَ بَعْدَ مَوْتِهَا ۚ إِنَّ ذَٰلِكَ لَمُحْيِي الْمَوْتَىٰ ۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

  51. وَلَئِنْ أَرْسَلْنَا رِيحًا فَرَأَوْهُ مُصْفَرًّا لَظَلُّوا مِنْ بَعْدِهِ يَكْفُرُونَ

  52. فَإِنَّكَ لَا تُسْمِعُ الْمَوْتَىٰ وَلَا تُسْمِعُ الصُّمَّ الدُّعَاءَ إِذَا وَلَّوْا مُدْبِرِينَ

  53. وَمَا أَنْتَ بِهَادِ الْعُمْيِ عَنْ ضَلَالَتِهِمْ ۖ إِنْ تُسْمِعُ إِلَّا مَنْ يُؤْمِنُ بِآيَاتِنَا فَهُمْ مُسْلِمُونَ

  54. اللَّهُ الَّذِي خَلَقَكُمْ مِنْ ضَعْفٍ ثُمَّ جَعَلَ مِنْ بَعْدِ ضَعْفٍ قُوَّةً ثُمَّ جَعَلَ مِنْ بَعْدِ قُوَّةٍ ضَعْفًا وَشَيْبَةً ۚ يَخْلُقُ مَا يَشَاءُ ۖ وَهُوَ الْعَلِيمُ الْقَدِيرُ

  55. وَيَوْمَ تَقُومُ السَّاعَةُ يُقْسِمُ الْمُجْرِمُونَ مَا لَبِثُوا غَيْرَ سَاعَةٍ ۚ كَذَٰلِكَ كَانُوا يُؤْفَكُونَ

  56. وَقَالَ الَّذِينَ أُوتُوا الْعِلْمَ وَالْإِيمَانَ لَقَدْ لَبِثْتُمْ فِي كِتَابِ اللَّهِ إِلَىٰ يَوْمِ الْبَعْثِ ۖ فَهَٰذَا يَوْمُ الْبَعْثِ وَلَٰكِنَّكُمْ كُنْتُمْ لَا تَعْلَمُونَ

  57. فَيَوْمَئِذٍ لَا يَنْفَعُ الَّذِينَ ظَلَمُوا مَعْذِرَتُهُمْ وَلَا هُمْ يُسْتَعْتَبُونَ

  58. وَلَقَدْ ضَرَبْنَا لِلنَّاسِ فِي هَٰذَا الْقُرْآنِ مِنْ كُلِّ مَثَلٍ ۚ وَلَئِنْ جِئْتَهُمْ بِآيَةٍ لَيَقُولَنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا إِنْ أَنْتُمْ إِلَّا مُبْطِلُونَ

  59. كَذَٰلِكَ يَطْبَعُ اللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِ الَّذِينَ لَا يَعْلَمُونَ

  60. فَاصْبِرْ إِنَّ وَعْدَ اللَّهِ حَقٌّ ۖ وَلَا يَسْتَخِفَّنَّكَ الَّذِينَ لَا يُوقِنُونَ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Alif-Laaam-Meeem

  2. Ghulibatir Room

  3. Feee adnal ardi wa hummim ba'di ghalabihim sa-yaghliboon

  4. Fee bid'i sineen; lillaahil amru min qablu wa mim ba'd; wa yawma'iziny yafrahul mu'minoon

  5. Binasril laa; yansuru mai yashaaa'u wa Huwal 'Azeezur Raheem

  6. Wa'dal laahi laa yukhliful laahu wa'dahoo wa laakin na aksaran naasi laa ya'lamoon

  7. Ya'lamoona zaahiram minal hayaatid dunya wa hum 'anil Aakhirati hum ghaafiloon

  8. Awalam yatafakkaroo feee anfusihim; maa khalaqal laahus samaawaati wal arda wa maa bainahumaaa illaa bil haqqi wa ajalim musammaa; wa inna kaseeram minan naasi biliqaaa'i Rabbihim lakaafiroon

  9. Awalam yaseeroo fil ardi fa-yanzuroo kaifa kaana 'aaqibatul lazeena min qablihim; kaanooo ashadda minhhum quwwatanw wa asaarul arda wa 'amaroohaaa aksara mimmaa 'amaroohaa wa jaaa'athum Rusuluhum bil baiyinaati famaa kaanal laahu liyazli mahum wa laakin kaanooo anfusahum yazlimoon

  10. Summa kaana'aaqibatal lazeena asaaa'us sooo aaa an kazzaboo bi aayaatil laahi wa kaanoo bihaa yastahzi'oon (section 1)

  11. Allaahu yabda'ul khalqa summa yu'eeduhoo summa ilaihi turja'oon

  12. Wa yawma taqoomus Saa'atu yublisul mujrimoon

  13. Wa lam yakul lahum min shurakaaa'ihim shufa'aaa'u wa kaanoo bishurakaaa'ihim kaafireen

  14. Wa Yawma taqoomus Saa'atu Yawma'iziny yatafarraqoon

  15. Fa ammal lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati fahum fee rawdatiny yuhbaroon

  16. Wa ammal lazeena kafaroo wa kazzaboo bi-Aayaatinaa wa liqaaa'il Aakhirati faulaaa'ika fil'azaabi muhdaroon

  17. Fa Subhaanal laahi heena tumsoona wa heena tusbihoon

  18. Wa lahul hamdu fis samaawaati wal ardi wa 'ashiyyanw wa heena tuzhiroon

  19. Yukhrijul haiya minal maiyiti wa yukhrijul maiyita minal haiyi wa yuhyil arda ba'da mawtihaa; wa kazaalika tukhrajoon (section 2)

  20. Wa min Aayaatiheee an khalaqakum min turaabin summa izaaa antum basharun tantashiroon

  21. Wa min Aayaatiheee an khalaqa lakum min anfusikum azwaajal litaskunooo ilaihaa wa ja'ala bainakum mawad datanw wa rahmah; inna fee zaalika la Aayaatil liqawminy yatafakkaroon

  22. Wa min Aayaatihee khalqus samaawaati wal aardi wakhtilaafu alsinatikum wa alwaanikum; inna fee zaalika la Aayaatil lil'aalimeen

  23. Wa min Aayaatihee manaamukum bil laili wannahaari wabtighaaa'ukum min fadlih; inna fee zaalika la Aayaatil liqawminy yasma'oon

  24. Wa min Aayaatihee yureekumul barqa khawfanw wa tama'anw wa yunazzilu minas samaaa'i maaa'an fa yuhyee bihil arda ba'da mawtihaaa inna fee zaalika la Aayaatil liqawminy ya'qiloon

  25. Wa min Aayaatihee an taqoomas samaaa'u wal ardu bi-amrih; summa izaa da'aakum da'watam minal ardi izaaa antum takhrujoon

  26. Wa lahoo man fissamaawaati wal ardi kullul lahoo qaanitoon

  27. Wa Huwal lazee yabda'ul khalqa summa yu'eeduhoo wa huwa ahwanu 'alaih; wa lahul masalul a'laa fissamaawaati wal-ard; wa Huwal 'Azeezul Hakeem (section 3)

  28. Daraba lakum masalam min anfusikum hal lakum mimmaa malakat aymaanukum min shurakaaa'a fee maa razaqnaakum fa antum feehi sawaaa'un takhaafoonahum kakheefa tikum anfusakum; kazaalika nufassilul Aayaati liqawminy ya'qiloon

  29. Balit taba'al lazeena zalamooo ahwaaa'ahum bighairi 'ilmin famai yahdee man adallal laahu wa maa lahum min naasireen

  30. Fa aqim wajhaka liddeeni Haneefaa; fitratal laahil latee fataran naasa 'alaihaa; laa taabdeela likhalqil laah; zaalikad deenul qaiyimu wa laakinna aksaran naasi laa ya'lamoon

  31. Muneebeena ilaihi wattaqoohu wa aqeemus Salaata wa laa takoonoo minal mushrikeen

  32. Minal lazeena farraqoo deenahum wa kaanoo shiya'an kullu hizbim bimaa ladaihim farihoon

  33. Wa izaa massan naasa durrun da'aw Rabbahum muneebeena ilaihi summa izaaa azaqahum minhu rahmatan izaa fareequm minhum be Rabbihim yushrikoon

  34. Li yakfuroo bimaaa aatainaahum; fatamatta'oo fasawfa ta'lamoon

  35. Am anzalnaa 'alaihim sultaanan fahuwa yatakallamu bimaa kaanoo bihee yushrikoon

  36. Wa izaaa azaqnan naasa rahmatan farihoo bihaa wa in tusibhum sayyi'atum bimaa qaddamat aydeehim izaa hum yaqnatoon

  37. Awalam yaraw annal laaha yabsutur rizqa limai yashaaa'u wa yaqdir; inna fee zaalika la Aayaatil liqawminy yu'minoon

  38. Fa aati zal qurbaa haqqahoo walmiskeena wabnassabeel; zaalika khairul lil lazeena yureedoona Wajhal laahi wa ulaaa'ika humul muflihoon

  39. Wa maaa aataitum mir ribal li yarbuwa feee amwaalin naasi falaa yarboo 'indal laahi wa maaa aataitum min zaakaatin tureedoona wajhal laahi fa ulaaa'ika humul mud'ifoon

  40. Allaahul lazee khalaqa kum summa razaqakum summa yumeetukum summa yuhyeekum hal min shurakaaa'ikum mai yaf'alu min zaalikum min shai'; Sub haanahoo wa Ta'aalaa 'ammaa yushrikoon (section 4)

  41. Zaharal fasaadu fil barri wal bahri bimaa kasabat aydinnaasi li yuzeeqahum ba'dal lazee 'amiloo la'allahum yarji'oon

  42. Qul seeroo fil ardi fanzuroo kaifa kaana 'aaqibatul lazeena min qabl; kaana aksaruhum mushrikeen

  43. Fa aqim wajhaka lid deenil qaiyimi min qabli any yaatiya Yawmul laa maradda lahoo minal laahi Yawma'iziny yassadda'oon

  44. Man kafara fa'alaihi kufruhoo wa man 'amila saalihan fali anfusihim yamhadoon

  45. Li yajziyal lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati min fadlih; innahoo laa yuhibbul kaafireen

  46. Wa min Aayaatiheee anyyursilar riyaaha mubashshi raatinw wa li yuzeeqakum mir rahmatihee wa litajriyal fulku bi amrihee wa litabtaghoo min fadlihee wa la'allakum tashkuroon

  47. Wa laqad arsalnaa min qablika Rusulan ilaa qawmihim fajaaa'oohum bil baiyinaati fantaqamnaa minal lazeena ajramoo wa kaana haqqan 'alainaa nasrul mu'mineen

  48. Allaahul lazee yursilur riyaaha fatuseeru sahaaban fa yabsutuhoo fis samaaa'i kaifa yashaaa'u wa yaj'aluhoo kisafan fataral wadqa yakhruju min khilaalihee fa izaaa asaaba bihee mai yashaaa'u min 'ibaadiheee izaa hum yastabshiroon

  49. Wa in kaanoo min qabli any yunazzala 'alaihim min qablihee lamubliseen

  50. Fanzur ilaaa aasaari rahmatil laahi kaifa yuhyil arda ba'da mawtihaa; inna zaalika lamuhyil mawtaa wa Huwa 'alaa kulli shai'in Qadeer

  51. Wa la'in arsalnaa reehan fara awhu musfarral lazalloo mim ba'dihee yakfuroon

  52. Fa innaka laa tusmi'ul mawtaa wa laa tusmi'us summad du'aaa'a izaa wallaw mudbireen

  53. Wa maa anta bihaadil 'umyi 'an dalaalatihim in tusmi'u illaa mai yuminu bi aayaatinaa fahum muslimoon (section 5)

  54. Allahul lazee khalaqa kum min du'fin summa ja'ala mim ba'di du'fin quwwatan summa ja'ala mim ba'di quwwatin du'fanw wa shaibah; yakhluqu maa yashaaa'u wa Huwal 'Aleemul Qadeer

  55. Wa Yawma taqoomus Saa'atu yuqsimul mujrimoona maa labisoo ghaira saa'ah; kazaalika kaanoo yu'fakoon

  56. Wa qaalal lazeena ootul 'ilma wal eemaana laqad labistum fee kitaabil laahi ilaa yawmil ba'si fahaazaa yawmul ba'si wa laakinnakum kuntum laa ta'lamoon

  57. Fa Yawma'izil laa yanfa'ul lazeena zalamoo ma'ziratu hum wa laa hum yusta'taboon

  58. Wa laqad darabnaa linnaasi fee haazal Quraani min kulli masal; wa la'in ji'tahum bi aayatil la yaqoolannal lazeena kafaroo in antum illaa mubtiloon

  59. Kazaalika yatba'ul laahu 'alaa quloobil lazeena laa ya'lamoon

  60. Fasbir inna wa'dal laahi haqqunw wa laa yastakhif fannakal lazeena laa yooqinoon (section 6)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Alif Laam Meem.

2. Rumi (romans) qareeb ki sar-zameen mein magloob (defeat/overcome) ho gaye hain.

3. Aur apni is magloobiyat (defeat) ke baad chandh saal ke andar woh gaalib (victorious/dominant) ho jayenge.

4. Allah hi ka ikhtiyar hai pehle bhi aur baad mein bhi. Aur woh din woh hoga jabke Allah ki bakshi hui fatah par musalmaan khushiyan manayenge.

5. Allah nusrat (victory) ata farmata hai jise chahta hai, Aur woh zabardast aur raheem hai.

6. Yeh waada Allah ne kiya hai, Allah kabhi apne wadey ki khilaf warzi nahin karta. Magar aksar log nahin jaante hain.

7. Log duniya ki zindagi ka bas zaahiri pehlu (outward aspect) jaante hain aur aakhirat se woh khud hi gaafil hain.

8. Kya unhon ne kabhi apne aap mein gaur-o-fikr nahin kiya? Allah ne zameen aur aasmaano ko aur un saari cheezon ko jo unke darmiyan hain barhaqq aur ek muqarrar muddat hi ke liye paida kiya hai. Magar bahut se log apne Rubb ki mulaqat ke munkir hain.

9. Aur kya yeh log kabhi zameen mein chale phire nahin hain ke inhein un logon ka anjaam nazar aata jo inse pehle guzar chuke hain? Woh inse zyada taaqat rakhte thay. Unhon ne zameen ko khoob udheda(Tilled/prepare and cultivate (land) for crops) tha aur usey itna aabaad kiya tha jitna inhon ne nahin kiya hai. Unke paas unke Rasool roshan nishaniyan lekar aaye. Phir Allah unpar zulm karne wala na tha, magar woh khud hi apne upar zulm kar rahe thay.

10. Aakir e kaar jin logon ne buraiyan ki thi unka anjaam bahut bura hua. is liye ke unhon ne Allah ki aayaat ko jhutlaya tha aur woh unka mazaaq udate thay.

11. Allah hi khalq(creation) ki ibtida(originates creation) karta hai, phir wahi iska iaada (phir paida/repeat) karega. Phir usi ki taraf tum paltaye jaaoge.

12. Aur jab woh sa-aat (hour/ghadi) barpa hogi us din mujrim hak-dak (dumbfounded) reh jayenge.

13. Unke tehraye huey shareekon mein koi unka sifarishi (intercessor) na hoga, aur woh apne shareekon ke munkir ho jayenge.

14. Jis roz woh sa-aat (hour/ghadi) barpa hogi, us din (sab Insan) alag girohon mein batt(split ) jayenge.

15. Jo log iman laye hain aur jinhon ne neik amal kiye hain woh ek baagh mein shadaan-o-farhaan (khush haal) rakkhe jayenge.

16. Aur jinhon ne kufr kiya hai aur hamari aayaat ko aur aakhirat ki mulaqaat ko jhutlaya woh azaab mein haazir rakkhe jayenge.

17. Pas tasbeeh karo Allah ki jabke tum shaam karte ho aur jab subah karte ho.

18. Aasmaano aur zameen mein usi ke liye hamd(praise) hai aur (tasbeeh karo uski) teesre pehar aur jabke tumpar zohar ka waqt aata hai.

19. Woh zinda mein se murde ko nikalta hai aur murde mein se zinda ko nikal laata hai aur zameen ko uski maut ke baad zindagi bakashta hai.Isi tarah tum log bhi (haalat e maut se) nikaal liye jaaoge.

20. Uski nishaniyon mein se yeh hai ke usne tumko mitti se paida kiya phir yakayak tum bashar (Insaan) ho ke (zameen mein) phaylte chale jaa rahe ho.

21. Aur uski nishaniyon mein se yeh hai ke unse tumhare liye tumhari jins se biwiyan banayi taa-ke tum unke paas sukoon haasil karo aur tumhare darmiyan muhabbat aur rehmat paida kardi. Yaqeenan is mein bahut si nishaniyan hain un logon ke liye jo gaur o fikr karte hain.

22. Aur uski nishaniyon mein se aasmaano aur zameen ki paidaish, aur tumhari zubaano aur tumhare rangon (colors) ka ikhtilaf hai. Yaqeenan is mein bahut si nishaniyan hain danishmand (wise) logon ke liye.

23. Aur uski nishaniyon mein se tumhara raat aur din ko sona aur tumhara uske fazl ko talash karna hai. Yaqeenan is mein bahut si nishaniyan hain un logon ke liye jo (gaur se) suntay hain.

24. Aur uski nishaniyon mein se yeh hai ke woh tumhein bijli ki chamak dikhata hai khauf ke saath bhi aur tamah (umeed) ke saath bhi. Aur aasmaan se pani barsata hai, Phir iske zariye se zameen ko uski maut ke baad zindagi bakshta hai. Yaqeenan is mein bahut si nishaniyan hain un logon ke liye jo aqal se kaam lete hain.

25. Aur uski nishaniyon mein se yeh hai ke aasmaan aur zameen uske hukm se qayam hain, phir junhi ke usne tumhein zameen se pukara, bas ek hi pukar mein achanak tum nikal aaoge.

26. Aasmaano aur zameen mein jo bhi hain uske banday hain. Sab ke sab usi ke taabe farmaan(obedient) hain.

27. Wahi hai jo takhleeq ki ibtida karta hai, phir wahi uska iaada (phir paida/repeat) karega aur yeh uske liye aasaan tarr hai.Aasmaano aur zameen mein uski sifat (attribute) sabse bartar hai aur woh zabardast aur hakeem hai.

28. Woh tumhein khud tumhari apni hi zaat se ek misaal deta hai. Kya tumhare un ghulaamo mein se jo tumhari milkiyat mein hain kuch ghulam aise bhi hain jo hamare diye huey maal o daulat mein tumhare saath barabar ke shareek hon aur tum unse us tarah darte ho jis tarah aapas mein apne humsaron (each other) se darte ho? Is tarah hum aayaat khol kar pesh karte hain un logon ke liye jo aqal se kaam lete hain.

29. Magar yeh zalim bay-samjhey boojhey apne takhailaat (desires) ke pichey chal padey hain. Ab kaun us shaks ko raasta dikha sakta hai jise Allah ne bhatka diya ho. Aise logon ka to koi madadgaar nahin ho sakta.

30. Pas (Aey Nabi, aur Nabi ke pairawon) yaksu hokar apna rukh is deen ki smith (direction) mein jamaa do. Qayam ho jao us fitrat (nature) par jispar Allah taala ne Insano ko paida kiya hai. Allah ki banayi hui saakht badli nahin jaa sakti. Yahi bilkul raast aur durust deen hai, magar aksar log jaante nahin hain.

31. (Qayam ho jao is baat par)Allah ki taraf rujoo karte huey, aur daro us se, aur namaz qayam karo , aur na ho jao un mushrikeen mein se.

32. Jinhon ne apna apna deen alag bana liya hai aur girohon (firkon) mein batt gaye hain. Har ek giroh ke paas jo kuch hai usi mein woh magan hai.

33. Logon ka haal yeh hai ke jab unhein koi takleef pahunchti hai to apne Rubb ki taraf rujoo karke usey pukarte hain, phir jab woh kuch apne rehmat ka zaika (taste) unhein chakha deta hai to yakayak un mein se kuch log shirk karne lagte hain.

34. Taa-ke hamare kiye huey ehsan ki nashukri karein. Accha, mazey karlo, anqareeb tumhein maaloom ho jayega.

35. Kya humne koi sanad aur daleel unpar naazil ki hai jo shahadat deti ho us shirk ki sadaqat par jo yeh kar rahe hain?

36. Jab hum logon ko rehmat ka zaika chakhate hain to woh uspar phool jaate hain, aur jab unke apne kiya kartooton se unpar koi museebat aati hai to yakayak woh mayous hone lagte hain.

37. Kya yeh log dekhte nahin hain ke Allah hi rizq kushada karta hai jiska chahta hai aur tangg karta hai (jiska chahta hai)? Yaqeenan is mein bahut si nishaniyan hain un logon ke liye jo iman latey hain.

38. Pas (aey momin) rishtedar ko uska haqq de aur miskeen o musafir ko (uska haqq). Yeh tareeqa behtar hai un logon ke liye jo Allah ki khushnudi chahte hon, aur wahi falaah paane wale hain.

39. Jo sood (riba /usury /interest) tum dete ho taa-ke logon ke amwal mein shamil hokar woh badh (increase) jaaye, Allah ke nazdeek woh nahin badhta (increase), aur jo zakat tum Allah ki khushnudi haasil karne ke iradey se dete ho, usi ke dene wale dar haqeeqat apne maal badhate hain.

40. Allah hi hai jisne tumko paida kiya, phir tumhein rizq diya, phir woh tumhein maut deta hai, phir woh tumhein zinda karega. Kya tumhare thehraye huey shareekon mein koi aisa hai jo in mein se koi kaam bhi karta ho? Paak hai woh aur bahut baala-o-bartar hai us shirk se jo yeh log karte hain.

41. Khushki (land) aur tarii (sea) mein fasaad barpa ho gaya hai logon ke apne haathon ki kamayi se, taa-ke maza chakkhaye unko unke baaz aamal ka, shayad ke woh baaz aayein.

42. (Aey Nabi) inse kaho ke zameen mein chal phir kar dekho pehle guzre huey logon ka kya anjaam ho chuka hai. Un mein se aksar mushrik hi thay.

43. Pas (Aey Nabi) apna rukh mazbooti ke saath jamaa do is deen-e-raast ki simth mein qabl iske ke woh din aaye jiske tal jaane ki koi surat Allah ki taraf se nahin hai.Us din log phatt kar ek dusre se alag ho jayenge.

44. Jisne kufr kiya hai uske kufr ka wabal usi par hai, aur jin logon ne neik amal kiya hai woh apne hi liye falaah ka raasta saaf kar rahe hain.

45. Taa-ke Allah iman laane walon aur amal-e-saleh karne walon ko apne fazl se jaza de. Yaqeenan woh kafiron ko pasand nahin karta.

46. Uski nishaniyon mein se yeh hai ke woh hawaein bhejhta hai basharat ke liye aur tumhein apni rehmat se behramand karne ke liye. Aur is garz ke liye ke kashtiyan uske hukm se chalein aur tum uska fazl talash karo aur uske shukar-guzar banoo.

47. Aur humne tumse pehle Rasoolon ko unki qaum ki taraf bheja aur woh unke paas roshan nishaniyan lekar aaye. Phir jinhon ne jurm kiya unse humne inteqaam liya aur humpar yeh haqq tha ke hum momino ki madad karein.

48. Allah hi hai jo hawaon ko bhejta hai aur woh baadal uthati hain. Phir woh in baadalon ko aasmaan mein phayla deta hai jis tarah chahta hai, aur unhein tukdiyon mein takseem karta hai, phir tu dekhta hai ke baarish ke qatray baadal se tapke chale aate hain. Yeh baarish jab woh apne bandon mein se jinpar chahta hai barsata hai.

49. To yakayak woh khush o khurram ho jaate hain , halaanke iske nuzul se pehle woh mayous ho rahe thay.

50. Dekho Allah ki rehmat ke asraat , ke murda padi hui zameen ko woh kis taraah jila uthata hai, yaqeenan woh murdon ko zindagi bakshne wala hai aur woh har cheez par qaadir hai.

51. Aur agar hum ek aisi hawa bhej dein jiske asar se woh apni kheti ko zard paayein to woh kufr karte reh jaate hain.

52. (Aey Nabi) Tum murdon ko nahin suna sakte, na unn behron ko apni pukar suna sakte ho jo peeth phere bhaagay chale jaa rahe hon.

53. Aur na tum andhon ko unki gumraahi se nikaal kar raah e raast dikha sakte ho, tum to sirf unhi ko suna sakte ho jo hamari aayaat par iman latey aur sar-e-tasleem kham kardete hain.

54. Allah hi to hai jisne zoaf (kamzori) ki haalat mein tumhari paidaish ki ibtida ki, phir is zoaf (kamzori) ke baad tumhein quwwat bakshi, phir is quwwat ke baad tumhein zaeef aur buda (old) kardiya. Woh jo kuch chahta hai paida karta hai, aur woh sabkuch janne wala, har cheez par qudrat rakhta hai.

55. Aur jab woh sa-aat (hour) barpa hogi to mujrim kasmein kha kha kar kahenge ke hum ek ghadi bhar se zyada nahin thehre hain.Isi taraah woh duniya ki zindagi mein dhoka khaya karte thay.

56. Magar jo ilm aur iman se behramand (endowed) kiye gaye thay woh kahenge ke khuda ke nawishte (record) mein to tum roz-e-hashar tak paday rahe ho. So yeh wahi roz-e-hashar hai, lekin tum jaante na thay.

57. Pas woh din hoga jismein zalimon ko unki maazrat (excuses) koi nafa (faida) na degi aur na unse maafi maangne ke liye kaha jayega.

58. Humne is Quran mein logon ko tarah tarah se samjhaya hai, tum khwa koi nishani le aao, jin logon ne maanne se inkar kardiya hai woh yahi kahenge ke tum baatil(falsehood) par ho.

59. Is tarah thappa (seal) laga deta hai Allah un logon ke dilon par jo be-ilm hain.

60. Pas (Aey Nabi) sabr karo, yaqeenan Allah ka waada sachha hai. Aur hargiz halka na payein tumko woh log jo yaqeen nahin latey.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments