📖 Surah 29 Al-Ankaboot Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- الم
- أَحَسِبَ النَّاسُ أَنْ يُتْرَكُوا أَنْ يَقُولُوا آمَنَّا وَهُمْ لَا يُفْتَنُونَ
- وَلَقَدْ فَتَنَّا الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ ۖ فَلَيَعْلَمَنَّ اللَّهُ الَّذِينَ صَدَقُوا وَلَيَعْلَمَنَّ الْكَاذِبِينَ
- أَمْ حَسِبَ الَّذِينَ يَعْمَلُونَ السَّيِّئَاتِ أَنْ يَسْبِقُونَا ۚ سَاءَ مَا يَحْكُمُونَ
- مَنْ كَانَ يَرْجُو لِقَاءَ اللَّهِ فَإِنَّ أَجَلَ اللَّهِ لَآتٍ ۚ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ
- وَمَنْ جَاهَدَ فَإِنَّمَا يُجَاهِدُ لِنَفْسِهِ ۚ إِنَّ اللَّهَ لَغَنِيٌّ عَنِ الْعَالَمِينَ
- وَالَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ لَنُكَفِّرَنَّ عَنْهُمْ سَيِّئَاتِهِمْ وَلَنَجْزِيَنَّهُمْ أَحْسَنَ الَّذِي كَانُوا يَعْمَلُونَ
- وَوَصَّيْنَا الْإِنْسَانَ بِوَالِدَيْهِ حُسْنًا ۖ وَإِنْ جَاهَدَاكَ لِتُشْرِكَ بِي مَا لَيْسَ لَكَ بِهِ عِلْمٌ فَلَا تُطِعْهُمَا ۚ إِلَيَّ مَرْجِعُكُمْ فَأُنَبِّئُكُمْ بِمَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ
- وَالَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ لَنُدْخِلَنَّهُمْ فِي الصَّالِحِينَ
- وَمِنَ النَّاسِ مَنْ يَقُولُ آمَنَّا بِاللَّهِ فَإِذَا أُوذِيَ فِي اللَّهِ جَعَلَ فِتْنَةَ النَّاسِ كَعَذَابِ اللَّهِ وَلَئِنْ جَاءَ نَصْرٌ مِنْ رَبِّكَ لَيَقُولُنَّ إِنَّا كُنَّا مَعَكُمْ ۚ أَوَلَيْسَ اللَّهُ بِأَعْلَمَ بِمَا فِي صُدُورِ الْعَالَمِينَ
- وَلَيَعْلَمَنَّ اللَّهُ الَّذِينَ آمَنُوا وَلَيَعْلَمَنَّ الْمُنَافِقِينَ
- وَقَالَ الَّذِينَ كَفَرُوا لِلَّذِينَ آمَنُوا اتَّبِعُوا سَبِيلَنَا وَلْنَحْمِلْ خَطَايَاكُمْ وَمَا هُمْ بِحَامِلِينَ مِنْ خَطَايَاهُمْ مِنْ شَيْءٍ ۖ إِنَّهُمْ لَكَاذِبُونَ
- وَلَيَحْمِلُنَّ أَثْقَالَهُمْ وَأَثْقَالًا مَعَ أَثْقَالِهِمْ ۖ وَلَيُسْأَلُنَّ يَوْمَ الْقِيَامَةِ عَمَّا كَانُوا يَفْتَرُونَ
- وَلَقَدْ أَرْسَلْنَا نُوحًا إِلَىٰ قَوْمِهِ فَلَبِثَ فِيهِمْ أَلْفَ سَنَةٍ إِلَّا خَمْسِينَ عَامًا فَأَخَذَهُمُ الطُّوفَانُ وَهُمْ ظَالِمُونَ
- فَأَنْجَيْنَاهُ وَأَصْحَابَ السَّفِينَةِ وَجَعَلْنَاهَا آيَةً لِلْعَالَمِينَ
- وَإِبْرَاهِيمَ إِذْ قَالَ لِقَوْمِهِ اعْبُدُوا اللَّهَ وَاتَّقُوهُ ۖ ذَٰلِكُمْ خَيْرٌ لَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُونَ
- إِنَّمَا تَعْبُدُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ أَوْثَانًا وَتَخْلُقُونَ إِفْكًا ۚ إِنَّ الَّذِينَ تَعْبُدُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ لَا يَمْلِكُونَ لَكُمْ رِزْقًا فَابْتَغُوا عِنْدَ اللَّهِ الرِّزْقَ وَاعْبُدُوهُ وَاشْكُرُوا لَهُ ۖ إِلَيْهِ تُرْجَعُونَ
- وَإِنْ تُكَذِّبُوا فَقَدْ كَذَّبَ أُمَمٌ مِنْ قَبْلِكُمْ ۖ وَمَا عَلَى الرَّسُولِ إِلَّا الْبَلَاغُ الْمُبِينُ
- أَوَلَمْ يَرَوْا كَيْفَ يُبْدِئُ اللَّهُ الْخَلْقَ ثُمَّ يُعِيدُهُ ۚ إِنَّ ذَٰلِكَ عَلَى اللَّهِ يَسِيرٌ
- قُلْ سِيرُوا فِي الْأَرْضِ فَانْظُرُوا كَيْفَ بَدَأَ الْخَلْقَ ۚ ثُمَّ اللَّهُ يُنْشِئُ النَّشْأَةَ الْآخِرَةَ ۚ إِنَّ اللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
- يُعَذِّبُ مَنْ يَشَاءُ وَيَرْحَمُ مَنْ يَشَاءُ ۖ وَإِلَيْهِ تُقْلَبُونَ
- وَمَا أَنْتُمْ بِمُعْجِزِينَ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ ۖ وَمَا لَكُمْ مِنْ دُونِ اللَّهِ مِنْ وَلِيٍّ وَلَا نَصِيرٍ
- وَالَّذِينَ كَفَرُوا بِآيَاتِ اللَّهِ وَلِقَائِهِ أُولَٰئِكَ يَئِسُوا مِنْ رَحْمَتِي وَأُولَٰئِكَ لَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ
- فَمَا كَانَ جَوَابَ قَوْمِهِ إِلَّا أَنْ قَالُوا اقْتُلُوهُ أَوْ حَرِّقُوهُ فَأَنْجَاهُ اللَّهُ مِنَ النَّارِ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يُؤْمِنُونَ
- وَقَالَ إِنَّمَا اتَّخَذْتُمْ مِنْ دُونِ اللَّهِ أَوْثَانًا مَوَدَّةَ بَيْنِكُمْ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا ۖ ثُمَّ يَوْمَ الْقِيَامَةِ يَكْفُرُ بَعْضُكُمْ بِبَعْضٍ وَيَلْعَنُ بَعْضُكُمْ بَعْضًا وَمَأْوَاكُمُ النَّارُ وَمَا لَكُمْ مِنْ نَاصِرِينَ
- فَآمَنَ لَهُ لُوطٌ ۘ وَقَالَ إِنِّي مُهَاجِرٌ إِلَىٰ رَبِّي ۖ إِنَّهُ هُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ
- وَوَهَبْنَا لَهُ إِسْحَاقَ وَيَعْقُوبَ وَجَعَلْنَا فِي ذُرِّيَّتِهِ النُّبُوَّةَ وَالْكِتَابَ وَآتَيْنَاهُ أَجْرَهُ فِي الدُّنْيَا ۖ وَإِنَّهُ فِي الْآخِرَةِ لَمِنَ الصَّالِحِينَ
- وَلُوطًا إِذْ قَالَ لِقَوْمِهِ إِنَّكُمْ لَتَأْتُونَ الْفَاحِشَةَ مَا سَبَقَكُمْ بِهَا مِنْ أَحَدٍ مِنَ الْعَالَمِينَ
- أَئِنَّكُمْ لَتَأْتُونَ الرِّجَالَ وَتَقْطَعُونَ السَّبِيلَ وَتَأْتُونَ فِي نَادِيكُمُ الْمُنْكَرَ ۖ فَمَا كَانَ جَوَابَ قَوْمِهِ إِلَّا أَنْ قَالُوا ائْتِنَا بِعَذَابِ اللَّهِ إِنْ كُنْتَ مِنَ الصَّادِقِينَ
- قَالَ رَبِّ انْصُرْنِي عَلَى الْقَوْمِ الْمُفْسِدِينَ
- وَلَمَّا جَاءَتْ رُسُلُنَا إِبْرَاهِيمَ بِالْبُشْرَىٰ قَالُوا إِنَّا مُهْلِكُو أَهْلِ هَٰذِهِ الْقَرْيَةِ ۖ إِنَّ أَهْلَهَا كَانُوا ظَالِمِينَ
- قَالَ إِنَّ فِيهَا لُوطًا ۚ قَالُوا نَحْنُ أَعْلَمُ بِمَنْ فِيهَا ۖ لَنُنَجِّيَنَّهُ وَأَهْلَهُ إِلَّا امْرَأَتَهُ كَانَتْ مِنَ الْغَابِرِينَ
- وَلَمَّا أَنْ جَاءَتْ رُسُلُنَا لُوطًا سِيءَ بِهِمْ وَضَاقَ بِهِمْ ذَرْعًا وَقَالُوا لَا تَخَفْ وَلَا تَحْزَنْ ۖ إِنَّا مُنَجُّوكَ وَأَهْلَكَ إِلَّا امْرَأَتَكَ كَانَتْ مِنَ الْغَابِرِينَ
- إِنَّا مُنْزِلُونَ عَلَىٰ أَهْلِ هَٰذِهِ الْقَرْيَةِ رِجْزًا مِنَ السَّمَاءِ بِمَا كَانُوا يَفْسُقُونَ
- وَلَقَدْ تَرَكْنَا مِنْهَا آيَةً بَيِّنَةً لِقَوْمٍ يَعْقِلُونَ
- وَإِلَىٰ مَدْيَنَ أَخَاهُمْ شُعَيْبًا فَقَالَ يَا قَوْمِ اعْبُدُوا اللَّهَ وَارْجُوا الْيَوْمَ الْآخِرَ وَلَا تَعْثَوْا فِي الْأَرْضِ مُفْسِدِينَ
- فَكَذَّبُوهُ فَأَخَذَتْهُمُ الرَّجْفَةُ فَأَصْبَحُوا فِي دَارِهِمْ جَاثِمِينَ
- وَعَادًا وَثَمُودَ وَقَدْ تَبَيَّنَ لَكُمْ مِنْ مَسَاكِنِهِمْ ۖ وَزَيَّنَ لَهُمُ الشَّيْطَانُ أَعْمَالَهُمْ فَصَدَّهُمْ عَنِ السَّبِيلِ وَكَانُوا مُسْتَبْصِرِينَ
- وَقَارُونَ وَفِرْعَوْنَ وَهَامَانَ ۖ وَلَقَدْ جَاءَهُمْ مُوسَىٰ بِالْبَيِّنَاتِ فَاسْتَكْبَرُوا فِي الْأَرْضِ وَمَا كَانُوا سَابِقِينَ
- فَكُلًّا أَخَذْنَا بِذَنْبِهِ ۖ فَمِنْهُمْ مَنْ أَرْسَلْنَا عَلَيْهِ حَاصِبًا وَمِنْهُمْ مَنْ أَخَذَتْهُ الصَّيْحَةُ وَمِنْهُمْ مَنْ خَسَفْنَا بِهِ الْأَرْضَ وَمِنْهُمْ مَنْ أَغْرَقْنَا ۚ وَمَا كَانَ اللَّهُ لِيَظْلِمَهُمْ وَلَٰكِنْ كَانُوا أَنْفُسَهُمْ يَظْلِمُونَ
- مَثَلُ الَّذِينَ اتَّخَذُوا مِنْ دُونِ اللَّهِ أَوْلِيَاءَ كَمَثَلِ الْعَنْكَبُوتِ اتَّخَذَتْ بَيْتًا ۖ وَإِنَّ أَوْهَنَ الْبُيُوتِ لَبَيْتُ الْعَنْكَبُوتِ ۖ لَوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ
- إِنَّ اللَّهَ يَعْلَمُ مَا يَدْعُونَ مِنْ دُونِهِ مِنْ شَيْءٍ ۚ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ
- وَتِلْكَ الْأَمْثَالُ نَضْرِبُهَا لِلنَّاسِ ۖ وَمَا يَعْقِلُهَا إِلَّا الْعَالِمُونَ
- خَلَقَ اللَّهُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ بِالْحَقِّ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَةً لِلْمُؤْمِنِينَ
- اتْلُ مَا أُوحِيَ إِلَيْكَ مِنَ الْكِتَابِ وَأَقِمِ الصَّلَاةَ ۖ إِنَّ الصَّلَاةَ تَنْهَىٰ عَنِ الْفَحْشَاءِ وَالْمُنْكَرِ ۗ وَلَذِكْرُ اللَّهِ أَكْبَرُ ۗ وَاللَّهُ يَعْلَمُ مَا تَصْنَعُونَ
- وَلَا تُجَادِلُوا أَهْلَ الْكِتَابِ إِلَّا بِالَّتِي هِيَ أَحْسَنُ إِلَّا الَّذِينَ ظَلَمُوا مِنْهُمْ ۖ وَقُولُوا آمَنَّا بِالَّذِي أُنْزِلَ إِلَيْنَا وَأُنْزِلَ إِلَيْكُمْ وَإِلَٰهُنَا وَإِلَٰهُكُمْ وَاحِدٌ وَنَحْنُ لَهُ مُسْلِمُونَ
- وَكَذَٰلِكَ أَنْزَلْنَا إِلَيْكَ الْكِتَابَ ۚ فَالَّذِينَ آتَيْنَاهُمُ الْكِتَابَ يُؤْمِنُونَ بِهِ ۖ وَمِنْ هَٰؤُلَاءِ مَنْ يُؤْمِنُ بِهِ ۚ وَمَا يَجْحَدُ بِآيَاتِنَا إِلَّا الْكَافِرُونَ
- وَمَا كُنْتَ تَتْلُو مِنْ قَبْلِهِ مِنْ كِتَابٍ وَلَا تَخُطُّهُ بِيَمِينِكَ ۖ إِذًا لَارْتَابَ الْمُبْطِلُونَ
- بَلْ هُوَ آيَاتٌ بَيِّنَاتٌ فِي صُدُورِ الَّذِينَ أُوتُوا الْعِلْمَ ۚ وَمَا يَجْحَدُ بِآيَاتِنَا إِلَّا الظَّالِمُونَ
- وَقَالُوا لَوْلَا أُنْزِلَ عَلَيْهِ آيَاتٌ مِنْ رَبِّهِ ۖ قُلْ إِنَّمَا الْآيَاتُ عِنْدَ اللَّهِ وَإِنَّمَا أَنَا نَذِيرٌ مُبِينٌ
- أَوَلَمْ يَكْفِهِمْ أَنَّا أَنْزَلْنَا عَلَيْكَ الْكِتَابَ يُتْلَىٰ عَلَيْهِمْ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَرَحْمَةً وَذِكْرَىٰ لِقَوْمٍ يُؤْمِنُونَ
- قُلْ كَفَىٰ بِاللَّهِ بَيْنِي وَبَيْنَكُمْ شَهِيدًا ۖ يَعْلَمُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۗ وَالَّذِينَ آمَنُوا بِالْبَاطِلِ وَكَفَرُوا بِاللَّهِ أُولَٰئِكَ هُمُ الْخَاسِرُونَ
- وَيَسْتَعْجِلُونَكَ بِالْعَذَابِ ۚ وَلَوْلَا أَجَلٌ مُسَمًّى لَجَاءَهُمُ الْعَذَابُ وَلَيَأْتِيَنَّهُمْ بَغْتَةً وَهُمْ لَا يَشْعُرُونَ
- يَسْتَعْجِلُونَكَ بِالْعَذَابِ وَإِنَّ جَهَنَّمَ لَمُحِيطَةٌ بِالْكَافِرِينَ
- يَوْمَ يَغْشَاهُمُ الْعَذَابُ مِنْ فَوْقِهِمْ وَمِنْ تَحْتِ أَرْجُلِهِمْ وَيَقُولُ ذُوقُوا مَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ
- يَا عِبَادِيَ الَّذِينَ آمَنُوا إِنَّ أَرْضِي وَاسِعَةٌ فَإِيَّايَ فَاعْبُدُونِ
- كُلُّ نَفْسٍ ذَائِقَةُ الْمَوْتِ ۖ ثُمَّ إِلَيْنَا تُرْجَعُونَ
- وَالَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ لَنُبَوِّئَنَّهُمْ مِنَ الْجَنَّةِ غُرَفًا تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ خَالِدِينَ فِيهَا ۚ نِعْمَ أَجْرُ الْعَامِلِينَ
- الَّذِينَ صَبَرُوا وَعَلَىٰ رَبِّهِمْ يَتَوَكَّلُونَ
- وَكَأَيِّنْ مِنْ دَابَّةٍ لَا تَحْمِلُ رِزْقَهَا اللَّهُ يَرْزُقُهَا وَإِيَّاكُمْ ۚ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ
- وَلَئِنْ سَأَلْتَهُمْ مَنْ خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَسَخَّرَ الشَّمْسَ وَالْقَمَرَ لَيَقُولُنَّ اللَّهُ ۖ فَأَنَّىٰ يُؤْفَكُونَ
- اللَّهُ يَبْسُطُ الرِّزْقَ لِمَنْ يَشَاءُ مِنْ عِبَادِهِ وَيَقْدِرُ لَهُ ۚ إِنَّ اللَّهَ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ
- وَلَئِنْ سَأَلْتَهُمْ مَنْ نَزَّلَ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً فَأَحْيَا بِهِ الْأَرْضَ مِنْ بَعْدِ مَوْتِهَا لَيَقُولُنَّ اللَّهُ ۚ قُلِ الْحَمْدُ لِلَّهِ ۚ بَلْ أَكْثَرُهُمْ لَا يَعْقِلُونَ
- وَمَا هَٰذِهِ الْحَيَاةُ الدُّنْيَا إِلَّا لَهْوٌ وَلَعِبٌ ۚ وَإِنَّ الدَّارَ الْآخِرَةَ لَهِيَ الْحَيَوَانُ ۚ لَوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ
- فَإِذَا رَكِبُوا فِي الْفُلْكِ دَعَوُا اللَّهَ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ فَلَمَّا نَجَّاهُمْ إِلَى الْبَرِّ إِذَا هُمْ يُشْرِكُونَ
- لِيَكْفُرُوا بِمَا آتَيْنَاهُمْ وَلِيَتَمَتَّعُوا ۖ فَسَوْفَ يَعْلَمُونَ
- أَوَلَمْ يَرَوْا أَنَّا جَعَلْنَا حَرَمًا آمِنًا وَيُتَخَطَّفُ النَّاسُ مِنْ حَوْلِهِمْ ۚ أَفَبِالْبَاطِلِ يُؤْمِنُونَ وَبِنِعْمَةِ اللَّهِ يَكْفُرُونَ
- وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّنِ افْتَرَىٰ عَلَى اللَّهِ كَذِبًا أَوْ كَذَّبَ بِالْحَقِّ لَمَّا جَاءَهُ ۚ أَلَيْسَ فِي جَهَنَّمَ مَثْوًى لِلْكَافِرِينَ
- وَالَّذِينَ جَاهَدُوا فِينَا لَنَهْدِيَنَّهُمْ سُبُلَنَا ۚ وَإِنَّ اللَّهَ لَمَعَ الْمُحْسِنِينَ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Alif-Laaam-Meeem
- Ahasiban naasu any yutrakooo any yaqoolooo aamannaa wa hum la yuftanoon
- Wa laqad fatannal lazeena min qablihim fala ya'lamannal laahul lazeena sadaqoo wa la ya'lamannal kaazibeen
- Am hasibal lazeena ya'maloonas sayyiaati any yasbiqoonaa; saaa'a maa yahkumoon
- Man kaana yarjoo liqaaa 'allaahi fa inna ajalal laahi la'aat; wa Huwass Sameeul 'Aleem
- Wa man jaahada fainnamaa yujaahidu linafsih; innal laaha laghaniyyun 'anil 'aalameen
- Wallazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati lanukaf firanna 'anhum saiyiaatihim wa lanajziyannahum ahsanal lazee kaanoo ya'maloon
- Wa wassainal insaana biwaalidaihi husnanw wa in jaahadaaka litushrika bee maa laisa laka bihee 'ilmun falaa tuti'humaa; ilaiya marji'ukum fa unabbi'ukum bimaa kuntum ta'maloon
- Wallazeena aamanoo wa'amilus saalihaati lanudkhilan nahum fis saaliheen
- Wa minan naasi many yaqoolu aamannaa billaahi faizaaa ooziya fil laahi ja'ala fitnatan naasi ka'azaabil laahi wa la'in jaaa'a nasrum mir Rabbika la yaqoolunna innaa kunnaa ma'akum; awa laisal laahu bi a'lama bimaa fee sudooril 'aalameen
- Wa la ya'lamannal laahul lazeena aamanoo wa la ya'lamannal munaafiqeen
- Wa qaalal lazeena kafaroo lillazeena aamanut tabi'oo sabeelanaa walnahmil khataayaakum wa maa hum bihaamileena min khataa yaahum min shai'in innahum lakaaziboon
- Wa la yahmilunna asqaa lahum wa asqaalam ma'a asqaalihim wa la yus'alunna Yawmal Qiyaamati 'ammaa kaanoo yaftaroon (section 1)
- Wa laqad arsalnaa Noohan ilaa qawmihee falabisa feehim alfa sanatin illaa khamseena 'aaman fa akhazahumut toofaanu wa hum zaalimoon
- Fa anjainaahu wa as haabas safeenati wa ja'alnaahaaa Aayatal lil'aalameen
- Wa Ibraheema iz qaala liqawmihi' budul laaha wattaqoohu zaalikum khayrul lakum in kuntum ta'lamoon
- Innamaa ta'budoona min doonil laahi awsaananw-wa takhluqoona ifkaa; innal lazeena ta'budoona min doonil laahi laa yamlikoona lakum rizqan fabtaghoo 'indal laahir rizqa wa'budoohu washkuroo lahooo ilaihi turja'oon
- Wa in tukazziboo faqad kazzaba umamum min qablikum wa maa'alar Rasooli illal balaaghul mubeen
- Awa lam yaraw kaifa yubdi'ul laahul khalqa summa yu'eeduh; inna zaalika 'alal laahi yaseer
- Qul seeroo fil ardi fanzuroo kaifa bada al khalqa thumm Allahu yunshi''un nash atal Aakhirah; innal laaha 'alaa kulli shai'in Qadeer
- Yu'azzibu many yashaaa'u wa yarhamu many yashaaa'; wa ilaihi tuqlaboon
- Wa maaa antum bimu'jizeena fil ardi wa laa fissamaaa'i wa maa lakum min doonil laahi minw waliyyinw wa laa naseer (section 2)
- Wallazeena kafaroo bi Aayaatil laahi wa liqaaa'iheee ulaaa'ika ya'isoo mir rahmatee wa ulaaa'ika lahum 'azaabun aleem
- Famaa kaana jawaaba qawmiheee illaaa an qaaluqtuloohu aw harriqoohu fa anjaahul laahu minan naar; inna fee zaalika la Aayaatil li qawminy yu'minoon
- Wa qaala innamat takhaz tum min doonil laahi awsaanam mawaddata bainikum fil hayaatid dunyaa summa Yawmal Qiyaamati yakfuru ba'dukum biba'dinw wa yal'anu ba'dukum ba'danw wa ma'waakumun Naaru wa maa lakum min naasireen
- Fa aamana lahoo Loot; wa qaala innee muhajirun ilaa Rabbee innahoo Huwal 'Azeezul Hakeem
- Wa wahabnaa lahoo Ishaaqa wa Ya'Qooba wa ja'alnaa fee zurriyyatihin Nubuwwata wal Kitaaba wa aatainaahu ajrahoo fid dunyaa wa innahoo fil aakhirati laminas saaliheen
- Wa Lootan iz qaala liqawmiheee innakum la ta'toonal faahishata maa sabaqakum bihaa min ahadin minal 'aalameen
- A'innakum la ta'toonar rijaala wa taqta'oonas sabeela wa ta'toona fee naadeekumul munkara famaa kaana jawaaba qawmiheee illaaa an qaalu' tinaaa bi'azaabil laahi in kunta minas saadiqeen
- Qaala Rabbin surnee 'alal qawmil mufsideen (section 3)
- Wa lammaa jaaa'at Rusulunaaa Ibraaheema bil bushraa qaalooo innaa muhlikoo ahli haazihil qaryati inna ahlahaa kaanoo zaalimeen
- Qaala inna feeha Lootaa; qaaloo nahnu a'lamu biman feehaa lanunajjjiyannahoo wa ahlahooo illam ra atahoo kaanat minal ghaabireen
- Wa lammaaa an jaaa'at Rusulunaa Lootan seee'a bihim wa daaqa bihim zar'anw wa qaaloo laa takhaf wa laa tahzan innaa munajjooka wa ahlaka illam ra ataka kaanat minal ghaabireen
- Innaa munziloona 'alaaa ahli haazihil qaryati rijzan minas samaaa'i bimaa kaanoo yafsuqoon
- Wa laqad taraknaa min haaa aayatan baiyinatan liqawminy ya'qiloon
- Wa ilaa Madyana akhaahum Shu'ayban faqaala yaa qawmi'-budul laaha warjul yawmal aakhira wa laa ta'saw fil ardi mufsideen
- Fakazzaboohu fa akhazat humur rajfatu fa asbahoo fee daarihim jaasimeen
- Wa 'Aadanw wa Samooda wa qad tabaiyana lakum min masaakinihim wa zaiyana lahumush Shaitaanu a'maalahum fasaddahum 'anis sabeeli wa kaanoo mustabsireen
- Wa Qaaroona wa Fir'awna wa haamaana wa laqad jaaa'ahum Moosa bilbaiyinaati fastakbaroo fil ardi wa maa kaanoo saabiqeen
- Fakullan akhaznaa bi zanbihee faminhum man arsalnaa 'alaihi haasibaa; wa minhum man akhazat hus saihatu wa minhum man khasafnaa bihil arda wa minhum man aghraqnaa; wa maa kaanal laahu li yazlimahum wa laakin kaanoo anfusahum yazlimoon
- Masalul lazeenat takhazoo min doonil laahi awliyaaa'a kamasalil 'ankaboot, ittakhazat baitaa; wa inna awhanal buyooti la baitul 'ankaboot; law kaanoo ya'lamoon
- Innal laaha ya'lamu maa yad'oona min doonihee min shai'; wa Huwal 'Azeezul Hakeem
- Wa tilkal amsaalu nadribuhaa linnaasi wa maa ya'qiluhaaa illal 'aalimoon
- Khalaqal laahus samaawaati wal arda bilhaqq; inna fee zaalika la aayatan lil mu'mineen (section 4)
- Utlu maaa oohiya ilaika minal Kitaabi wa aqimis Salaata innas Salaata tanhaa 'anil fahshaaa'i wal munkar; wa lazikrul laahi akbar; wal laahu ya'lamu maa tasna'oon (End Juz 20)
- Wa laa tujaadilooo Ahlal Kitaabi illaa billatee hiya ahsanu illal lazeena zalamoo minhum wa qoolooo aamannaa billazeee unzila ilainaa wa unzila ilaikum wa illaahunna wa ilahukum waahidunw-wa nahnu lahoo muslimoon
- Wa kazaalika anzalnaaa ilaikal Kitaab; fallazeena aatainaahumul kitaaba yu'minoona bihee wa min haaa'ulaaa'i many yu'minu bih; wa maa yajhadu bi'Aayaatinaa illal kaafiroon
- Wa maa kunta tatloo min qablihee min kitaabinw wa laa takhuttuhoo bi yameenika izal lartaabal mubtiloon
- Bal huwa aayaatum baiyinaatun fee sudooril lazeena ootul 'ilm; wa maa yajhadu bi aayaatinaa illaz zaalimoon
- Wa qaaloo law laaa unzila 'alaihi aayaatum mir Rabbihee qul innamal aayaatu 'indal laahi wa innamaaa ana nazeerum mubeen
- Awa lam yakfihim annaaa anzalnaa 'alaikal kitaaba yutlaa 'alaihim; inna fee zaalika larahmatanw wa zikraa liqawminy yu'minoon (section 5)
- Qul kafaa billaahi bainee wa bainakum shaheedaa; ya'lamu maa fis samaawaati wal ard; wallazeena aamanoo bil baatili wa kafaroo billaahi ulaaa'ika humul khaasiroon
- Wa yasta'jiloonaka bil'azaab; wa law laaa ajalum musammal lajaaa'ahumul a'zaab; wa la ya'tiannahum baghta tanw wa hum laa yash'uroon
- Yasta'jiloonaka bil'azaab; wa inna Jahannama la muheetatum bil kaafireen
- Yawma yaghshaahumul 'azaabu min fawqihim wa min tahti arjulihim wa yaqoolu zooqoo maa kuntum ta'maloon
- Yaa 'ibaadiyal lazeena aamanooo inna ardee waasi 'atun fa iyyaaya fa'budoon
- Kullu nafsin zaaa'iqatul mawti summa ilainaa turja'oon
- Wallazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati la nubawwi 'annahum minal Jannati ghurafan tajree min tahtihal anhaaru khaalideena feehaa; ni'ma ajrul 'aamileen
- Allazeena sabaroo wa 'alaa Rabbihim yatawakkaloon
- Wa ka ayyim min daaabbatil laa tahmilu rizqahaa; al laahu yarzuquhaa wa iyyaakum; wa Huwas Samee'ul Aleem
- Wa la'in sa altahum man khalaqas samaawaati wal arda wa sakhkharash shamsa wal qamara la yaqoolunnal laahu fa anna yu'fakoon
- Allaahu yabsutur rizqa limany yashaaa'u min 'ibaadihee wa yaqdiru lah; innal laaha bikulli shai'in Aleem
- Wa la'in sa altahum man nazzala minas samaaa'i maaa'an fa ahyaa bihil arda min ba'di mawtihaa la yaqoolunnal laah; qulil hamdu lillah; bal aksaruhum laa ya'qiloon (section 6)
- Wa maa haazihil hayaa tud dunyaaa illaa lahwunw-wa la'ib; wa innad Daaral Aakhirata la hiyal ha yawaan; law kaanu ya'lamoon
- Fa-izaa rakiboo fil fulki da'awul laaha mukhliseena lahud deena falammaa najjaa hum ilal barri izaa hum yushrikoon
- Li yakfuroo bimaaa aatainaahum wa li yatamatta'oo fasaw fa ya'lamoon
- Awalam yaraw annaa ja'alnaa haraman aaminanw wa yutakhattafun naasu min haw lihim; afabil baatili yu'minoona wa bini'matil laahi yakfuroon
- Wa man azlamu mimma nif taraa 'alal laahi kaziban aw kazzaba bilhaqqi lammaa jaaa'ah; alaisa fee jahannama maswal lil kaafireen
- Wallazeena jaahadoo feenaa lanahdiyannahum subulana; wa innal laaha lama'al muhsineen (section 7)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Alif Laam Meem2. Kya logon ne yeh samajh rakkha hai ke woh bas itna kehne par chodh diye jayenge ke “hum iman laaye” aur unko aazmaya na jayega?
3. Halaanke hum un sab logon ki aazmaish kar chuke hain jo inse pehle guzre hain. Allah ko to zaroor yeh dekhna hai ke sacche kaun hain aur jhootey kaun.
4. Aur kya woh log jo buri harkatein kar rahe hain yeh samajh baithe hain ke woh humse baazi le jayenge? Bada galat hukm hai jo woh laga rahe hain.
5. Jo koi Allah se milne ki tawakku (umeed) rakhta ho (usey maloom hona chahiye ke) Allah ka muqarrar kiya hua waqt aane hi wala hai. Aur Allah sab kuch sunta aur jaanta hai.
6. Jo shaks bhi mujahida (struggle) karega apne hi bhale ke liye karega. Allah yaqeenan duniya jahan walon se be-niyaz(free of want) hai.
7. Aur jo log iman layenge aur neik aamal karenge unki buraiyan hum unse door kardenge aur unhein unke behtareen aamal ki jaza denge.
8. Humne Insan ko hidayat ki hai ke apne waldain(parents) ke saath neik sulook kare lekin agar woh tujh par zoar dalein ke tu mere saath kisi aise (mabood) ko shareek thehraye jise tu (mere shareek ki haisiyat se) nahin jaanta to unki itaat na kar. Meri hi taraf tum sabko palat kar aana hai. Phir main tumko bata dunga ke tum kya karte rahe ho.
9. Aur jo log iman laye honge aur jinhon ne neik aamal kiye honge unko hum zaroor saliheen mein daakhil karenge.
10. Logon mein se koi aisa hai jo kehta hai ke hum iman laye Allah par, magar jab woh Allah ke maamle mein sataya gaya to usne logon ki daali hui aazmaish ko Allah ke azaab ki tarah samajh liya. Ab agar tere Rubb ki taraf se fatah-o-nusrat aa gayi to yahi shaks kahega “hum to tumhare saath thay”. kya duniya walon ke dilon ka haal Allah ko ba-khoobi maloom nahin hai?
11. Aur Allah ko to zaroor yeh dekhna hi hai ke iman laane wale kaun hain aur munafiq kaun.
12. Yeh kafir log iman laane walon se kehte hain ke tum hamare tareeqe ki pairwi karo aur tumhari khataon (sins) ko hum apne upar le lenge. Halaanke unki khataon mein se kuch bhi woh apne upar lene wale nahin hai, woh qat-an jhoot kehte hain.
13. Haan zaroor woh apne boojh bhi uthayenge aur apne boojhon ke saath bahut se dusre boojh bhi. Aur qayamat ke roz yaqeenan unse in iftara pardaziyon (bohtaan/ fabrication) ki baaz-purs hogi jo woh karte rahe hain.
14. Humne Nooh ko uski qaum ki taraf bheja aur woh pachhas (fifty) kam ek hazaar baras (950 years) unke darmiyan raha. Aakhir e kaar un logon ko toofaan ne aa ghera is haal mein ke woh zalim thay.
15. Phir Nooh ko aur kashti walon ko humne bacha liya aur usey duniya walon ke liye ek nishaan e ibrat (lesson) banakar rakh diya.
16. Aur Ibrahim ko bheja jabke usne apni qaum se kaha “Allah ki bandagi karo aur us se daro, yeh tumhare liye behtar hai agar tum jaano.
17. Tum Allah ko chodh kar jinhein poojh rahe ho woh to mehaz buth (idols/statue/murtiyan) hain aur tum ek jhoot ghadh rahe ho. Dar haqeeqat Allah ke siwa jinki tum parastish karte ho woh tumhein koi rizq bhi dene ka ikhtiyar nahin rakhte. Allah se rizq maango aur usi ki bandagi karo aur uska shukar ada karo. Usi ki taraf tum paltaye jaane wale ho.
18. Aur agar tum jhutlate ho to tumse pehle bahut si qaumein jhutla chuki hain. Aur Rasool par saaf saaf paigam pahuncha dene ke siwa koi zimmedari nahin hai.”
19. Kya in logon ne kabhi dekha hi nahin hai ke Allah kis tarah khalq ki ibtida karta hai, phir uska iaada (repeat) karta hai? Yaqeenan yeh [iaada to (to repeat the creation) ]Allah ke liye aasaan tarr hai.
20. Inse kaho ke zameen mein chalo phiro aur dekho ke usne kis tarah khalq ki ibtida ki hai. Phir Allah baar-e-digar bhi zindagi bakshega (recreate life). Yaqeenan Allah har cheez par qaadir hai.
21. Jise chahe saza de aur jispar chahe reham farmaye. Usi ki taraf tum phere jaane wale ho.
22. Tum zameen mein aajiz (overpower) karne wale ho na aasmaan mein. Aur Allah se bachane wala koi sarparast aur madadgaar tumhare liye nahin hai.
23. Jin logon ne Allah ki aayaat ka aur us se mulaqaat ka inkar kiya hai woh meri rehmat se mayous ho chuke hain, aur unke liye dardnaak saza hai.
24. Phir uski qaum ka jawab iske siwa kuch na tha ke unhon ne kaha “qatal kardo isey ya jalaa daalo isko”. Aakhir e kar Allah ne usey aag se bacha liya. Yaqeenan is mein nishaniyan hain un logon ke liye jo iman laane wale hain.
25. Aur usne kaha “ tumne duniya ki zindagi mein to Allah ko chodh kar buthon (idols) ko apne darmiyan muhabbat ka zariya bana liya hai magar qayamat ke roz tum ek dusre ka inkar aur ek dusre par laanat karoge. Aur aag tumhara thikana hogi, aur koi tumhara madadgaar na hoga.”
26. Us waqt Lut ne usko maana(believed) aur Ibrahim ne kaha main apne Rubb ki taraf hijrat(migrate) karta hoon. Woh zabardast hai aur hakeem hai.
27. Aur humne usey Ishaaq (Issac) aur yakub (Jacob) (jaisi aulad) inayat farmayi aur uski nasal mein nubuwat aur kitaab rakh di, aur usey duniya mein uska ajar ata kiya aur aakhirat mein woh yaqeenan saaliheen mein se hoga.
28. Aur humne Lut ko bheja jabke usne apni qaum se kaha “Tum to woh fahash kaam karte ho jo tumse pehle duniya walon mein se kisi ne nahin kiya hai.
29. Kya tumhara haal yeh hai ke mardon ke paas jaate ho (apni shehwat poora karne) , aur raahzani (highway robbery) karte ho, aur apni majlison mein bure kaam karte ho?” Phir koi jawab uski qaum ke paas iske siwa na tha ke unhon ne kaha “ le aa Allah ka azaab agar tu saccha hai”
30. Lut ne kaha “Aey mere Rubb, in mufsid (mischievous) logon ke muqable mein meri madad farma”.
31. Aur jab hamare faristade (emissaries/messengers) Ibrahim ke paas basharat (khushkhabri) lekar pahunchey to unhon ne us se kaha “hum is basti ke logon ko halaak karne wale hain, iske log sakht zalim ho chuke hain.”
32. Ibrahim ne kaha “wahan to Lut maujood hai”. Unhon ne kaha: “Hum khoob jaante hain ke wahan kaun kaun hai. Hum usey, aur uski biwi ke siwa uske baki ghar walon ko bacha lenge”. Uski biwi pichey reh jaane walon mein se thi.
33. Phir jab hamare faristade (emissaries/messengers) Lut ke paas pahunchey to unki aamad par woh sakht pareshan aur dil tangg hua. Unhon ne kaha “ na daro aur na ranjh karo, hum tumhein aur tumhare ghar walon ko bacha lenge, siwaye tumhari biwi ke jo pichey reh jaane walon mein se hai.
34. Hum is basti ke logon par aasmaan se azaab naazil karne wale hain us fisq (evildoing) ke badaulat jo yeh karte rahe hain”
35. Aur humne us basti ki ek khuli nishani chodh di hai un logon ke liye jo aqal se kaam lete hain.
36. Aur Madyan ki taraf humne unke bhai Shoaib ko bheja.Usne kaha “Aey meri qaum ke logon, Allah ki bandagi karo aur roz e aakhir ke umeed-waar raho aur zameen mein mufsid ban kar zyadatiyan (mischief) na karte phiro”.
37. Magar unhon ne usey jhutla diya. Aakhir e kaar ek sakht zalzale ne unhein aa liya aur woh apne gharon mein padey ke padey reh gaye.
38. Aur Aad o Samood ko humne halaak kiya, tum woh maqamaat dekh chuke ho jahan woh rehte thay. Unke aamal ko shaytan ne unke liye khushnuma bana diya aur unhein raah e raast se bargashta kardiya, halanke woh hosh-gosh rakhte thay.
39. Aur Qaroon o Firoun o Hamaan ko humne halaak kiya. Moosa unke paas bayyinaat (khuli nishaniyan) lekar aaya magar unhon ne zameen mein apni badayi ka zaam kiya halanke woh sabaqat le jaane (qaabu se nikal jaane) wale na thay.
40. Aakhir e kaar har ek ko humne unke gunaah mein pakda. Phir unmein se kisi par humne pathrao (showers of stones) karne wali hawa bheji, aur kisi ko ek zabardast dhamake ne aa liya, aur kisi ko humne zameen mein dhasa diya, aur kisi ko garq (drown) kardiya. Allah unpar zulm karne wala na tha, magar woh khud hi apne upar zulm kar rahe thay.
41. Jin logon ne Allah ko chodh kar dusre sarparast (protectors) bana liye hain unki misaal makhdi (spider) jaisi hai jo apna ek ghar banati hai, aur sab gharon se zyada kamzoor ghar makhdi (spider) ka ghar hi hota hai, Kaash yeh log ilm rakhte.
42. Yeh log Allah ko chodh kar jis cheez ko bhi pukarte hain Allah usey khoob jaanta hai aur wahi zabardast aur hakeem hai.
43. Yeh misaalein (examples) hum logon ki fehmaish (understanding) ke liye dete hain, magar unko wahi log samajhte hain jo ilm rakhne wale hain.
44. Allah ne aasmaano aur zameen ko barhaqq paida kiya hai, dar haqeeqat is mein ek nishani hai ehle iman ke liye.
45. (Aey Nabi) Tilawat karo is kitaab ki jo tumhari taraf wahee ke zairye se bheji gayi hai. Aur namaz qayam karo, yaqeenan namaz fahash (behayayi) aur bure kaamon se rokti hai. Aur Allah ka zikr is se bhi zyada badi cheez hai. Allah jaanta hai jo kuch tum log karte ho.
46. Aur ehle kitaab se behas na karo magar umdah tareeqe se, siwaye un logon ke jo un mein se zalim hon. Aur unse kaho ke “hum iman laye hain us cheez par bhi jo hamari taraf bheji gayi hai aur us cheez par bhi jo tumhari taraf bheji gayi thi. Hamara khuda aur tumhara khuda ek hi hai aur hum usi ke muslim (farma bardaar) hain”
47. (Aey Nabi) humne isi tarah tumhari taraf kitaab naazil ki hai. Is liye woh log jinko humne pehle kitaab di thi woh ispar iman latey hain, aur in logon mein se bhi bahut se ispar iman laa rahe hain. Aur hamari aayaat ka inkar sirf kafir hi karte hain.
48. (Aey Nabi) tum is se pehle koi kitaab nahin padte thay aur na apne haath se likhte thay, agar aisa hota to baatil parast log (votaries of falsehood ) shakk mein padh sakte thay.
49. Dar-asal yeh roshan nishaniyan hain un logon ke dilon mein jinhein ilm baksha gaya hai. Aur hamari aayaat ka inkar nahin karte magar woh jo zalim hain.
50. Yeh log kehte hain ke “kyun na utari gayi is shaks par nishaniyan iske Rubb ki taraf se?” kaho “Nishaniyan to Allah ke paas hain aur main sirf khabardaar karne wala hoon khol khol kar”.
51. Aur kya in logon ke liye yeh (nishani) kafi nahin hai ke humne tumpar kitaab naazil ki jo inhein padh kar sunayi jaati hai? Dar haqeeqat is mein rehmat hai aur naseehat hai un logon ke liye jo iman latey hain.
52. (Aey Nabi) kaho ke “mere aur tumhare darmiyan Allah gawaahi ke liye kafi hai. Woh aasmaano aur zameen mein sab kuch jaanta hai. Jo log baatil ko maante hain aur Allah se kufr karte hain wahi khasare(nuksan) mein rehne wale hain.”
53. Yeh log tumse azaab jaldi laane ka mutalaba karte hain. Agar ek waqt e muqarrar na kardiya gaya hota to inpar azaab aa chuka hota, aur yaqeenan (apne waqt par) woh aa kar rahega achanak, is haal mein ke inhein khabar bhi na hogi.
54. Yeh tumse azaab jaldi laane ka mutalaba karte hain, halaanke jahannum in kafiron ko ghere mein le chuki hai.
55. (Aur inhein pata chalega) us roz jabke azaab inhein upar se bhi dhank lega aur paon ke nichey se bhi aur kahega ke ab chakkho mazaa un kartooton ka jo tum karte thay.
56. Aey mere bandon jo iman laye ho, meri zameen waseeh hai, pas tum meri hi bandagi baja lao.
57. Har mutanaffis ko maut ka maza chakhna hai, phir tum sab hamari hi taraf palta kar laye jaaoge.
58. Jo log iman laye hain aur jinhon ne neik amal kiye hain unko hum jannat ki buland-o-baala imaraton (buildings/palaces) mein rakhenge jinke nichey nehrein behti hongi, wahan woh hamesha rahenge. Kya hi umdah ajar hai amal karne walon ke liye.
59. Un logon ke liye jinhon ne sabr kiya hai aur jo apne Rubb par bharosa karte hain.
60. Kitne hi jaanwar hain jo apna rizq uthaye nahin phirte, Allah unko rizq deta hai aur tumhara raaziq bhi wahi hai. Woh sab kuch sunta aur jaanta hai.
61. Agar tum in logon se pucho ke zameen aur aasmaano ko kisne paida kiya hai aur chaand aur Suraj ko kisne musakkhar kar rakkha hai, to zaroor kahenge ke Allah ne, phir yeh kidhar se dhoka kha rahe hain?
62. Allah hi hai jo apne bandon mein se jiska chahta hai rizq kushada (enlarge) karta hai aur jiska chahta hai tangg karta hai. Yaqeenan Allah har cheez ka jaanne wala hai.
63. Aur agar tum inse pucho, kisne aasmaan se pani barsaya aur iske zariye se murda padi hui zameen ko jila uthaya to woh zaroor kahenge Allah ne. Kaho, Alhamdulillah, magar aksar log samajhte nahin hain.
64. Aur yeh duniya ki zindagi kuch nahin hai magar ek khel aur dil ka behlawa. Asal zindagi ka ghar to daar e aakhirat(hereafter) hai, kaash yeh log jaante.
65. Jab yeh log kashti par sawaar hotay hain to apne deen ko Allah ke liye khaalis karke us se dua maangte hain. Phir jab woh unhein bacha kar khushki par le aata hai to yakayak yeh shirk karne lagtey hain.
66. Taa-ke Allah ki di hui najaat par uska kufraan e niyamat karein aur (hayat e duniya ke) mazey lootein. Accha, anqareeb inhein maloom ho jayega.
67. Kya yeh dekhte nahin hain ke humne ek pur-aman haram (Makkah-sanctuary of safety) bana diya hai, halaanke inke gird-o-pesh log uchak liye jaate hain? Kya phir bhi yeh log baatil ko maante hain aur Allah ki niyamat ka kufraan karte hain?
68. Us shaks se bada zalim kaun hoga jo Allah par jhoot baandhey ya haqq ko jhutlaye jabke woh uske saamne aa chuka ho? Kya aise kafiron ka thikana jahannum hi nahin hai?
69. Jo log hamari khatir mujahida(strive) karenge unhein hum apne raaste dikhayenge, aur yaqeenan Allah neikukaron(neki karne walon) hi ke saath hai.
Comments
Post a Comment