📖 Surah 27 An-Naml Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. طس ۚ تِلْكَ آيَاتُ الْقُرْآنِ وَكِتَابٍ مُبِينٍ

  2. هُدًى وَبُشْرَىٰ لِلْمُؤْمِنِينَ

  3. الَّذِينَ يُقِيمُونَ الصَّلَاةَ وَيُؤْتُونَ الزَّكَاةَ وَهُمْ بِالْآخِرَةِ هُمْ يُوقِنُونَ

  4. إِنَّ الَّذِينَ لَا يُؤْمِنُونَ بِالْآخِرَةِ زَيَّنَّا لَهُمْ أَعْمَالَهُمْ فَهُمْ يَعْمَهُونَ

  5. أُولَٰئِكَ الَّذِينَ لَهُمْ سُوءُ الْعَذَابِ وَهُمْ فِي الْآخِرَةِ هُمُ الْأَخْسَرُونَ

  6. وَإِنَّكَ لَتُلَقَّى الْقُرْآنَ مِنْ لَدُنْ حَكِيمٍ عَلِيمٍ

  7. إِذْ قَالَ مُوسَىٰ لِأَهْلِهِ إِنِّي آنَسْتُ نَارًا سَآتِيكُمْ مِنْهَا بِخَبَرٍ أَوْ آتِيكُمْ بِشِهَابٍ قَبَسٍ لَعَلَّكُمْ تَصْطَلُونَ

  8. فَلَمَّا جَاءَهَا نُودِيَ أَنْ بُورِكَ مَنْ فِي النَّارِ وَمَنْ حَوْلَهَا وَسُبْحَانَ اللَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ

  9. يَا مُوسَىٰ إِنَّهُ أَنَا اللَّهُ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ

  10. وَأَلْقِ عَصَاكَ ۚ فَلَمَّا رَآهَا تَهْتَزُّ كَأَنَّهَا جَانٌّ وَلَّىٰ مُدْبِرًا وَلَمْ يُعَقِّبْ ۚ يَا مُوسَىٰ لَا تَخَفْ إِنِّي لَا يَخَافُ لَدَيَّ الْمُرْسَلُونَ

  11. إِلَّا مَنْ ظَلَمَ ثُمَّ بَدَّلَ حُسْنًا بَعْدَ سُوءٍ فَإِنِّي غَفُورٌ رَحِيمٌ

  12. وَأَدْخِلْ يَدَكَ فِي جَيْبِكَ تَخْرُجْ بَيْضَاءَ مِنْ غَيْرِ سُوءٍ ۖ فِي تِسْعِ آيَاتٍ إِلَىٰ فِرْعَوْنَ وَقَوْمِهِ ۚ إِنَّهُمْ كَانُوا قَوْمًا فَاسِقِينَ

  13. فَلَمَّا جَاءَتْهُمْ آيَاتُنَا مُبْصِرَةً قَالُوا هَٰذَا سِحْرٌ مُبِينٌ

  14. وَجَحَدُوا بِهَا وَاسْتَيْقَنَتْهَا أَنْفُسُهُمْ ظُلْمًا وَعُلُوًّا ۚ فَانْظُرْ كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الْمُفْسِدِينَ

  15. وَلَقَدْ آتَيْنَا دَاوُودَ وَسُلَيْمَانَ عِلْمًا ۖ وَقَالَا الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي فَضَّلَنَا عَلَىٰ كَثِيرٍ مِنْ عِبَادِهِ الْمُؤْمِنِينَ

  16. وَوَرِثَ سُلَيْمَانُ دَاوُودَ ۖ وَقَالَ يَا أَيُّهَا النَّاسُ عُلِّمْنَا مَنْطِقَ الطَّيْرِ وَأُوتِينَا مِنْ كُلِّ شَيْءٍ ۖ إِنَّ هَٰذَا لَهُوَ الْفَضْلُ الْمُبِينُ

  17. وَحُشِرَ لِسُلَيْمَانَ جُنُودُهُ مِنَ الْجِنِّ وَالْإِنْسِ وَالطَّيْرِ فَهُمْ يُوزَعُونَ

  18. حَتَّىٰ إِذَا أَتَوْا عَلَىٰ وَادِ النَّمْلِ قَالَتْ نَمْلَةٌ يَا أَيُّهَا النَّمْلُ ادْخُلُوا مَسَاكِنَكُمْ لَا يَحْطِمَنَّكُمْ سُلَيْمَانُ وَجُنُودُهُ وَهُمْ لَا يَشْعُرُونَ

  19. فَتَبَسَّمَ ضَاحِكًا مِنْ قَوْلِهَا وَقَالَ رَبِّ أَوْزِعْنِي أَنْ أَشْكُرَ نِعْمَتَكَ الَّتِي أَنْعَمْتَ عَلَيَّ وَعَلَىٰ وَالِدَيَّ وَأَنْ أَعْمَلَ صَالِحًا تَرْضَاهُ وَأَدْخِلْنِي بِرَحْمَتِكَ فِي عِبَادِكَ الصَّالِحِينَ

  20. وَتَفَقَّدَ الطَّيْرَ فَقَالَ مَا لِيَ لَا أَرَى الْهُدْهُدَ أَمْ كَانَ مِنَ الْغَائِبِينَ

  21. لَأُعَذِّبَنَّهُ عَذَابًا شَدِيدًا أَوْ لَأَذْبَحَنَّهُ أَوْ لَيَأْتِيَنِّي بِسُلْطَانٍ مُبِينٍ

  22. فَمَكَثَ غَيْرَ بَعِيدٍ فَقَالَ أَحَطْتُ بِمَا لَمْ تُحِطْ بِهِ وَجِئْتُكَ مِنْ سَبَإٍ بِنَبَإٍ يَقِينٍ

  23. إِنِّي وَجَدْتُ امْرَأَةً تَمْلِكُهُمْ وَأُوتِيَتْ مِنْ كُلِّ شَيْءٍ وَلَهَا عَرْشٌ عَظِيمٌ

  24. وَجَدْتُهَا وَقَوْمَهَا يَسْجُدُونَ لِلشَّمْسِ مِنْ دُونِ اللَّهِ وَزَيَّنَ لَهُمُ الشَّيْطَانُ أَعْمَالَهُمْ فَصَدَّهُمْ عَنِ السَّبِيلِ فَهُمْ لَا يَهْتَدُونَ

  25. أَلَّا يَسْجُدُوا لِلَّهِ الَّذِي يُخْرِجُ الْخَبْءَ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَيَعْلَمُ مَا تُخْفُونَ وَمَا تُعْلِنُونَ

  26. اللَّهُ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ ۩

  27. قَالَ سَنَنْظُرُ أَصَدَقْتَ أَمْ كُنْتَ مِنَ الْكَاذِبِينَ

  28. اذْهَبْ بِكِتَابِي هَٰذَا فَأَلْقِهْ إِلَيْهِمْ ثُمَّ تَوَلَّ عَنْهُمْ فَانْظُرْ مَاذَا يَرْجِعُونَ

  29. قَالَتْ يَا أَيُّهَا الْمَلَأُ إِنِّي أُلْقِيَ إِلَيَّ كِتَابٌ كَرِيمٌ

  30. إِنَّهُ مِنْ سُلَيْمَانَ وَإِنَّهُ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  31. أَلَّا تَعْلُوا عَلَيَّ وَأْتُونِي مُسْلِمِينَ

  32. قَالَتْ يَا أَيُّهَا الْمَلَأُ أَفْتُونِي فِي أَمْرِي مَا كُنْتُ قَاطِعَةً أَمْرًا حَتَّىٰ تَشْهَدُونِ

  33. قَالُوا نَحْنُ أُولُو قُوَّةٍ وَأُولُو بَأْسٍ شَدِيدٍ وَالْأَمْرُ إِلَيْكِ فَانْظُرِي مَاذَا تَأْمُرِينَ

  34. قَالَتْ إِنَّ الْمُلُوكَ إِذَا دَخَلُوا قَرْيَةً أَفْسَدُوهَا وَجَعَلُوا أَعِزَّةَ أَهْلِهَا أَذِلَّةً ۖ وَكَذَٰلِكَ يَفْعَلُونَ

  35. وَإِنِّي مُرْسِلَةٌ إِلَيْهِمْ بِهَدِيَّةٍ فَنَاظِرَةٌ بِمَ يَرْجِعُ الْمُرْسَلُونَ

  36. فَلَمَّا جَاءَ سُلَيْمَانَ قَالَ أَتُمِدُّونَنِ بِمَالٍ فَمَا آتَانِيَ اللَّهُ خَيْرٌ مِمَّا آتَاكُمْ بَلْ أَنْتُمْ بِهَدِيَّتِكُمْ تَفْرَحُونَ

  37. ارْجِعْ إِلَيْهِمْ فَلَنَأْتِيَنَّهُمْ بِجُنُودٍ لَا قِبَلَ لَهُمْ بِهَا وَلَنُخْرِجَنَّهُمْ مِنْهَا أَذِلَّةً وَهُمْ صَاغِرُونَ

  38. قَالَ يَا أَيُّهَا الْمَلَأُ أَيُّكُمْ يَأْتِينِي بِعَرْشِهَا قَبْلَ أَنْ يَأْتُونِي مُسْلِمِينَ

  39. قَالَ عِفْرِيتٌ مِنَ الْجِنِّ أَنَا آتِيكَ بِهِ قَبْلَ أَنْ تَقُومَ مِنْ مَقَامِكَ ۖ وَإِنِّي عَلَيْهِ لَقَوِيٌّ أَمِينٌ

  40. قَالَ الَّذِي عِنْدَهُ عِلْمٌ مِنَ الْكِتَابِ أَنَا آتِيكَ بِهِ قَبْلَ أَنْ يَرْتَدَّ إِلَيْكَ طَرْفُكَ ۚ فَلَمَّا رَآهُ مُسْتَقِرًّا عِنْدَهُ قَالَ هَٰذَا مِنْ فَضْلِ رَبِّي لِيَبْلُوَنِي أَأَشْكُرُ أَمْ أَكْفُرُ ۖ وَمَنْ شَكَرَ فَإِنَّمَا يَشْكُرُ لِنَفْسِهِ ۖ وَمَنْ كَفَرَ فَإِنَّ رَبِّي غَنِيٌّ كَرِيمٌ

  41. قَالَ نَكِّرُوا لَهَا عَرْشَهَا نَنْظُرْ أَتَهْتَدِي أَمْ تَكُونُ مِنَ الَّذِينَ لَا يَهْتَدُونَ

  42. فَلَمَّا جَاءَتْ قِيلَ أَهَٰكَذَا عَرْشُكِ ۖ قَالَتْ كَأَنَّهُ هُوَ ۚ وَأُوتِينَا الْعِلْمَ مِنْ قَبْلِهَا وَكُنَّا مُسْلِمِينَ

  43. وَصَدَّهَا مَا كَانَتْ تَعْبُدُ مِنْ دُونِ اللَّهِ ۖ إِنَّهَا كَانَتْ مِنْ قَوْمٍ كَافِرِينَ

  44. قِيلَ لَهَا ادْخُلِي الصَّرْحَ ۖ فَلَمَّا رَأَتْهُ حَسِبَتْهُ لُجَّةً وَكَشَفَتْ عَنْ سَاقَيْهَا ۚ قَالَ إِنَّهُ صَرْحٌ مُمَرَّدٌ مِنْ قَوَارِيرَ ۗ قَالَتْ رَبِّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي وَأَسْلَمْتُ مَعَ سُلَيْمَانَ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ

  45. وَلَقَدْ أَرْسَلْنَا إِلَىٰ ثَمُودَ أَخَاهُمْ صَالِحًا أَنِ اعْبُدُوا اللَّهَ فَإِذَا هُمْ فَرِيقَانِ يَخْتَصِمُونَ

  46. قَالَ يَا قَوْمِ لِمَ تَسْتَعْجِلُونَ بِالسَّيِّئَةِ قَبْلَ الْحَسَنَةِ ۖ لَوْلَا تَسْتَغْفِرُونَ اللَّهَ لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ

  47. قَالُوا اطَّيَّرْنَا بِكَ وَبِمَنْ مَعَكَ ۚ قَالَ طَائِرُكُمْ عِنْدَ اللَّهِ ۖ بَلْ أَنْتُمْ قَوْمٌ تُفْتَنُونَ

  48. وَكَانَ فِي الْمَدِينَةِ تِسْعَةُ رَهْطٍ يُفْسِدُونَ فِي الْأَرْضِ وَلَا يُصْلِحُونَ

  49. قَالُوا تَقَاسَمُوا بِاللَّهِ لَنُبَيِّتَنَّهُ وَأَهْلَهُ ثُمَّ لَنَقُولَنَّ لِوَلِيِّهِ مَا شَهِدْنَا مَهْلِكَ أَهْلِهِ وَإِنَّا لَصَادِقُونَ

  50. وَمَكَرُوا مَكْرًا وَمَكَرْنَا مَكْرًا وَهُمْ لَا يَشْعُرُونَ

  51. فَانْظُرْ كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ مَكْرِهِمْ أَنَّا دَمَّرْنَاهُمْ وَقَوْمَهُمْ أَجْمَعِينَ

  52. فَتِلْكَ بُيُوتُهُمْ خَاوِيَةً بِمَا ظَلَمُوا ۗ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَةً لِقَوْمٍ يَعْلَمُونَ

  53. وَأَنْجَيْنَا الَّذِينَ آمَنُوا وَكَانُوا يَتَّقُونَ

  54. وَلُوطًا إِذْ قَالَ لِقَوْمِهِ أَتَأْتُونَ الْفَاحِشَةَ وَأَنْتُمْ تُبْصِرُونَ

  55. أَئِنَّكُمْ لَتَأْتُونَ الرِّجَالَ شَهْوَةً مِنْ دُونِ النِّسَاءِ ۚ بَلْ أَنْتُمْ قَوْمٌ تَجْهَلُونَ

  56. فَمَا كَانَ جَوَابَ قَوْمِهِ إِلَّا أَنْ قَالُوا أَخْرِجُوا آلَ لُوطٍ مِنْ قَرْيَتِكُمْ ۖ إِنَّهُمْ أُنَاسٌ يَتَطَهَّرُونَ

  57. فَأَنْجَيْنَاهُ وَأَهْلَهُ إِلَّا امْرَأَتَهُ قَدَّرْنَاهَا مِنَ الْغَابِرِينَ

  58. وَأَمْطَرْنَا عَلَيْهِمْ مَطَرًا ۖ فَسَاءَ مَطَرُ الْمُنْذَرِينَ

  59. قُلِ الْحَمْدُ لِلَّهِ وَسَلَامٌ عَلَىٰ عِبَادِهِ الَّذِينَ اصْطَفَىٰ ۗ آللَّهُ خَيْرٌ أَمَّا يُشْرِكُونَ

  60. أَمَّنْ خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَأَنْزَلَ لَكُمْ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً فَأَنْبَتْنَا بِهِ حَدَائِقَ ذَاتَ بَهْجَةٍ مَا كَانَ لَكُمْ أَنْ تُنْبِتُوا شَجَرَهَا ۗ أَإِلَٰهٌ مَعَ اللَّهِ ۚ بَلْ هُمْ قَوْمٌ يَعْدِلُونَ

  61. أَمَّنْ جَعَلَ الْأَرْضَ قَرَارًا وَجَعَلَ خِلَالَهَا أَنْهَارًا وَجَعَلَ لَهَا رَوَاسِيَ وَجَعَلَ بَيْنَ الْبَحْرَيْنِ حَاجِزًا ۗ أَإِلَٰهٌ مَعَ اللَّهِ ۚ بَلْ أَكْثَرُهُمْ لَا يَعْلَمُونَ

  62. أَمَّنْ يُجِيبُ الْمُضْطَرَّ إِذَا دَعَاهُ وَيَكْشِفُ السُّوءَ وَيَجْعَلُكُمْ خُلَفَاءَ الْأَرْضِ ۗ أَإِلَٰهٌ مَعَ اللَّهِ ۚ قَلِيلًا مَا تَذَكَّرُونَ

  63. أَمَّنْ يَهْدِيكُمْ فِي ظُلُمَاتِ الْبَرِّ وَالْبَحْرِ وَمَنْ يُرْسِلُ الرِّيَاحَ بُشْرًا بَيْنَ يَدَيْ رَحْمَتِهِ ۗ أَإِلَٰهٌ مَعَ اللَّهِ ۚ تَعَالَى اللَّهُ عَمَّا يُشْرِكُونَ

  64. أَمَّنْ يَبْدَأُ الْخَلْقَ ثُمَّ يُعِيدُهُ وَمَنْ يَرْزُقُكُمْ مِنَ السَّمَاءِ وَالْأَرْضِ ۗ أَإِلَٰهٌ مَعَ اللَّهِ ۚ قُلْ هَاتُوا بُرْهَانَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ

  65. قُلْ لَا يَعْلَمُ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ الْغَيْبَ إِلَّا اللَّهُ ۚ وَمَا يَشْعُرُونَ أَيَّانَ يُبْعَثُونَ

  66. بَلِ ادَّارَكَ عِلْمُهُمْ فِي الْآخِرَةِ ۚ بَلْ هُمْ فِي شَكٍّ مِنْهَا ۖ بَلْ هُمْ مِنْهَا عَمُونَ

  67. وَقَالَ الَّذِينَ كَفَرُوا أَإِذَا كُنَّا تُرَابًا وَآبَاؤُنَا أَئِنَّا لَمُخْرَجُونَ

  68. لَقَدْ وُعِدْنَا هَٰذَا نَحْنُ وَآبَاؤُنَا مِنْ قَبْلُ إِنْ هَٰذَا إِلَّا أَسَاطِيرُ الْأَوَّلِينَ

  69. قُلْ سِيرُوا فِي الْأَرْضِ فَانْظُرُوا كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الْمُجْرِمِينَ

  70. وَلَا تَحْزَنْ عَلَيْهِمْ وَلَا تَكُنْ فِي ضَيْقٍ مِمَّا يَمْكُرُونَ

  71. وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا الْوَعْدُ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ

  72. قُلْ عَسَىٰ أَنْ يَكُونَ رَدِفَ لَكُمْ بَعْضُ الَّذِي تَسْتَعْجِلُونَ

  73. وَإِنَّ رَبَّكَ لَذُو فَضْلٍ عَلَى النَّاسِ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَهُمْ لَا يَشْكُرُونَ

  74. وَإِنَّ رَبَّكَ لَيَعْلَمُ مَا تُكِنُّ صُدُورُهُمْ وَمَا يُعْلِنُونَ

  75. وَمَا مِنْ غَائِبَةٍ فِي السَّمَاءِ وَالْأَرْضِ إِلَّا فِي كِتَابٍ مُبِينٍ

  76. إِنَّ هَٰذَا الْقُرْآنَ يَقُصُّ عَلَىٰ بَنِي إِسْرَائِيلَ أَكْثَرَ الَّذِي هُمْ فِيهِ يَخْتَلِفُونَ

  77. وَإِنَّهُ لَهُدًى وَرَحْمَةٌ لِلْمُؤْمِنِينَ

  78. إِنَّ رَبَّكَ يَقْضِي بَيْنَهُمْ بِحُكْمِهِ ۚ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْعَلِيمُ

  79. فَتَوَكَّلْ عَلَى اللَّهِ ۖ إِنَّكَ عَلَى الْحَقِّ الْمُبِينِ

  80. إِنَّكَ لَا تُسْمِعُ الْمَوْتَىٰ وَلَا تُسْمِعُ الصُّمَّ الدُّعَاءَ إِذَا وَلَّوْا مُدْبِرِينَ

  81. وَمَا أَنْتَ بِهَادِي الْعُمْيِ عَنْ ضَلَالَتِهِمْ ۖ إِنْ تُسْمِعُ إِلَّا مَنْ يُؤْمِنُ بِآيَاتِنَا فَهُمْ مُسْلِمُونَ

  82. وَإِذَا وَقَعَ الْقَوْلُ عَلَيْهِمْ أَخْرَجْنَا لَهُمْ دَابَّةً مِنَ الْأَرْضِ تُكَلِّمُهُمْ أَنَّ النَّاسَ كَانُوا بِآيَاتِنَا لَا يُوقِنُونَ

  83. وَيَوْمَ نَحْشُرُ مِنْ كُلِّ أُمَّةٍ فَوْجًا مِمَّنْ يُكَذِّبُ بِآيَاتِنَا فَهُمْ يُوزَعُونَ

  84. حَتَّىٰ إِذَا جَاءُوا قَالَ أَكَذَّبْتُمْ بِآيَاتِي وَلَمْ تُحِيطُوا بِهَا عِلْمًا أَمَّاذَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ

  85. وَوَقَعَ الْقَوْلُ عَلَيْهِمْ بِمَا ظَلَمُوا فَهُمْ لَا يَنْطِقُونَ

  86. أَلَمْ يَرَوْا أَنَّا جَعَلْنَا اللَّيْلَ لِيَسْكُنُوا فِيهِ وَالنَّهَارَ مُبْصِرًا ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يُؤْمِنُونَ

  87. وَيَوْمَ يُنْفَخُ فِي الصُّورِ فَفَزِعَ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَمَنْ فِي الْأَرْضِ إِلَّا مَنْ شَاءَ اللَّهُ ۚ وَكُلٌّ أَتَوْهُ دَاخِرِينَ

  88. وَتَرَى الْجِبَالَ تَحْسَبُهَا جَامِدَةً وَهِيَ تَمُرُّ مَرَّ السَّحَابِ ۚ صُنْعَ اللَّهِ الَّذِي أَتْقَنَ كُلَّ شَيْءٍ ۚ إِنَّهُ خَبِيرٌ بِمَا تَفْعَلُونَ

  89. مَنْ جَاءَ بِالْحَسَنَةِ فَلَهُ خَيْرٌ مِنْهَا وَهُمْ مِنْ فَزَعٍ يَوْمَئِذٍ آمِنُونَ

  90. وَمَنْ جَاءَ بِالسَّيِّئَةِ فَكُبَّتْ وُجُوهُهُمْ فِي النَّارِ هَلْ تُجْزَوْنَ إِلَّا مَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ

  91. إِنَّمَا أُمِرْتُ أَنْ أَعْبُدَ رَبَّ هَٰذِهِ الْبَلْدَةِ الَّذِي حَرَّمَهَا وَلَهُ كُلُّ شَيْءٍ ۖ وَأُمِرْتُ أَنْ أَكُونَ مِنَ الْمُسْلِمِينَ

  92. وَأَنْ أَتْلُوَ الْقُرْآنَ ۖ فَمَنِ اهْتَدَىٰ فَإِنَّمَا يَهْتَدِي لِنَفْسِهِ ۖ وَمَنْ ضَلَّ فَقُلْ إِنَّمَا أَنَا مِنَ الْمُنْذِرِينَ

  93. وَقُلِ الْحَمْدُ لِلَّهِ سَيُرِيكُمْ آيَاتِهِ فَتَعْرِفُونَهَا ۚ وَمَا رَبُّكَ بِغَافِلٍ عَمَّا تَعْمَلُونَ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Taa-Seeen; tilka Aayaatul Qur-aani wa Kitaabim Mubeen

  2. Hudanw wa bushraa lil mu'mineen

  3. Allazeena yuqeemoonas Salaata wa yu'toonaz Zakaata wa hum bil Aakhirati hum yooqinoon

  4. Innal lazeena laa yu'minoona bil Aakhirati zaiyannaa lahum a'maalahum fahum ya'mahoon

  5. Ulaaa'ikal lazeena lahum sooo'ul 'azaabi wa hum fil Aakhirati humul akhsaroon

  6. Wa innaka latulaqqal Qur-aana mil ladun Hakeemin 'Aleem

  7. Iz qaala Moosaa li ahliheee inneee aanastu naaran sa'aateekum minhaa bikhabarin aw aateekum bishihaabin qabasil la'allakum tastaloon

  8. Falammaa jaaa'ahaa noodiya am boorika man finnnnaari wa man hawlahaa wa Subhaanal laahi Rabbil 'aalameen

  9. Yaa Moosaaa innahooo Anal laahul 'Azeezul Hakeem

  10. Wa alqi 'asaak; falammmaa ra aahaa tahtazzu ka annahaa jaaannunw wallaa mudbiranw wa lam yu'aqqib; yaa Moosaa laa takhaf innee laa yakhaafu ladaiyal mursaloon

  11. Illaa man zalama summa baddala husnam ba'da sooo'in fa innee Ghafoorur Raheem

  12. Wa adkhil yadaka fee jaibika takhruj baidaaa'a min ghairisooo'in feetis'i Aayaatin ilaa Fir'awna wa qawmih; innahum kaanoo qawman faasiqeen

  13. Falammaa jaaa'at hum Aayaatunaa mubsiratan qaaloo haazaa sihrum mubeen

  14. Wa jahadoo bihaa wastaiqanat haaa anfusuhum zulmanw-wa 'uluwwaa; fanzur kaifa kaana 'aaqibatul mufsideen (section 1)

  15. Wa laqad aatainaa Daawooda wa sulaimaana 'ilmaa; wa qaalal hamdu lil laahil lazee faddalanaa 'alaa kaseerim min 'ibaadihil mu'mineen

  16. Wa warisa Sulaimaanu Daawooda wa qaala yaaa aiyuhan naasu 'ullimnaa mantiqat tairi wa ooteenaa min kulli shai'in inna haazaa lahuwal fadlul mubeen

  17. Wa hushira li Sulaimaana junooduhoo minal jinni wal insi wattairi fahum yooza'oon

  18. Hattaaa izaaa ataw 'alaa waadin namli qaalat namlatuny yaaa aiyuhan namlud khuloo masaakinakum laa yahtimannakum Sulaimaanu wa junooduhoo wa hum laa yash'uroon

  19. Fatabassama daahikam min qawlihaa wa qaala Rabbi awzi'nee an ashkura ni'mata kal lateee an'amta 'alaiya wa 'alaa waalidaiya wa an a'mala saalihan tardaahu wa adkhilnee birahmatika fee 'ibaadikas saaliheen

  20. Wa tafaqqadat taira faqaala maa liya laaa araa al hudhuda, am kaana minal ghaaa'ibeen

  21. La-u'azzibanahoo 'azaaban shadeedan aw la azbahannahoo aw layaatiyannee bisultaanim mubeen

  22. Famakasa ghaira ba'eedin faqaala ahattu bimaa lam tuhit bihee wa ji'tuka min Sabaim binaba iny-yaqeen

  23. Innee wajattum ra atan tamlikuhum wa ootiyat min kulli shai'inw wa lahaa 'arshun 'azeem

  24. Wajattuhaa wa qawmahaa yasjudoona lishshamsi min doonil laahi wa zaiyana lahumush Shaitaanu a'maalahum fasaddahum 'anis sabeeli fahum laa yahtadoon

  25. Allaa yasjudoo lillaahil lazee yukhrijul khab'a fis samaawaati wal ardi wa ya'lamu maa tukhfoona wa maa tu'linoon

  26. Allaahu laaa ilaaha illaa Huwa Rabbul 'Arshil Azeem (make sajda)

  27. Qaala sananzuru asadaqta am kunta minal kaazibeen

  28. Izhab bikitaabee haaza fa alqih ilaihim summma tawalla 'anhum fanzur maazaa yarji'oon

  29. Qaalat yaaa aiyuhal mala'u innee ulqiya ilaiya kitaabun kareem

  30. Innahoo min Sulaimaana wa innahoo bismil laahir Rahmaanir Raheem

  31. Allaa ta'loo 'alaiya waa toonee muslimeen (section 2)

  32. Qaalat yaaa aiyuhal mala'u aftoonee fee amree maa kuntu qaati'atan amran hattaa tashhhadoon

  33. Qaaloo nahnu uloo quwwatinw wa uloo baasin shadeed; wal amru ilaiki fanzuree maazaa taamureen

  34. Qaalat innal mulooka izaa dakhaloo qaryatan afsadoohaa wa ja'alooo a'izzata ahlihaaa azillah; wa kazaalika yaf'aloon

  35. Wa innee mursilatun ilaihim bihadiyyatin fanaaziratum bima yarji'ul mursaloon

  36. Falammaa jaaa'a Sulaimaana qaala atumiddoonani bimaalin famaaa aataaniyal laahu khairum mimmmaaa aataakum bal antum bihadiy-yatikum tafrahoon

  37. Irji' ilaihim falanaatiyan nahum bijunoodil laa qibala lahum bihaa wa lanukhri jannahum minhaaa azillatanw wa hum saaghiroon

  38. Qaala yaaa aiyuhal mala'u aiyukum yaateenee bi'arshihaa qabla ai yaatoonee muslimeen

  39. Qaala 'ifreetum minal jinni ana aateeka bihee qabla an taqooma mim maqaamika wa innee 'alaihi laqawiyyun ameen

  40. Qaalal lazee indahoo 'ilmum minal Kitaabi ana aateeka bihee qabla ai yartadda ilaika tarfuk; falammaa ra aahu mustaqirran 'indahoo qaala haazaa min fadli Rabbee li yabluwaneee 'a-ashkuru am akfuru wa man shakara fa innamaa yashkuru linafsihee wa man kafara fa inna Rabbee Ghaniyyun Kareem

  41. Qaala nakkiroo lahaa 'arshahaa nanzur atahtadeee am takoonu minal lazeena laa yahtadoon

  42. Falammaa jaaa'at qeela ahaakaza 'arshuki qaalat ka'annahoo hoo; wa ooteenal 'ilma min qablihaa wa kunnaa muslimeen

  43. Wa saddahaa maa kaanat ta'budu min doonil laahi innahaa kaanat min qawmin kaafireen

  44. Qeela lahad khulis sarha falammaa ra at hu hasibat hu lujjatanw wa kashafat 'an saaqaihaa; qaala innahoo sarhum mumarradum min qawaareer; qaalat Rabbi innee zalamtu nafsee wa aslamtu ma'a Sulaimaana lillaahi Rabbil 'aalameen (section 3)

  45. Wa laqad arsalnaaa ilaa Samooda akhaahum Saalihan ani'budul laaha fa izaa hum fareeqaani yakhtasimoon

  46. Qaala yaa qawmi lima tasta'jiloona bissaiyi'ati qablal hasanati law laa tas taghfiroonal laaha la'allakum turhamoon

  47. Qaalut taiyarnaa bika wa bimam ma'ak; qaala taaa'irukum 'indal laahi bal antum qawmun tuftanoon

  48. Wa kaana fil madeenati tis'atu rahtiny yufsidoona fil ardi wa laa yuslihoon

  49. Qaaloo taqaasamoo billaahi lanubaiyitannahoo wa ahlahoo summaa lanaqoolana liwaliy yihee maa shahidnaa mahlika ahlihee wa innaa lasaadiqoon

  50. Wa makaroo makranw wa makarnaa makranw wa hum laa yash'uroon

  51. Fanzur kaifa kaana 'aaqibatu makrihim annaa dammar naahum wa qawmahum ajma'een

  52. Fatilka buyootuhum khaa wiyatam bimaa zalamoo; inna fee zaalika la Aayatal liqaw miny-ya'lamoon

  53. Wa anjainal lazeena aamanoo wa kaanoo yattaqoon

  54. Wa lootan iz qaala liqawmiheee ataatoonal faa hishata wa antum tubsiroon

  55. A'innakum lataatoonar rijaala shahwatam min doonin nisaaa'; bal antum qawmun tajhaloon (End Juz 19)

  56. Famaa kaana jawaaba qawmiheee illaaa an qaalooo akhrijooo aalaa Lootim min qaryatikum innahum unaasuny yatatahharoon

  57. Fa anjainaahu wa ahlahooo illam ra atahoo qaddarnaahaa minal ghaabireen

  58. Wa amtarnaa 'alaihimm mataran fasaaa'a matarul munzareen (section 4)

  59. Qulil hamdu lillaahi wa salaamun 'alaa 'ibaadihil lazeenas tafaa; aaallaahu khairun ammmaa yushrikoon

  60. Amman khalaqas samaawaati wal arda wa anzala lakum minas samaaa'i maaa'an fa anbatnaa bihee hadaaa'iqa zaata bahjah; maa kaana lakum an tunbitoo shajarahaa; 'a-ilaahun ma'al laah; bal hum qawmuny ya'diloon

  61. Ammann ja'alal arda qaraaranw wa ja'ala khilaalahaaa anhaaranw wa ja'ala lahaa rawaasiya wa ja'ala bainal bahraini haajizaa; 'a-ilaahun ma'allah; bal aksaruhum laa ya'lamoon

  62. Ammany-yujeebul mud tarra izaa da'aahu wa yakshifus sooo'a wa yaj'alukum khula faaa'al ardi 'a-ilaahun ma'allah qaleelan maa tazak karoon

  63. Ammany-yahdeekum fee zulumaatil barri wal bahri wa many yursilu riyaaha bushran baina yadai rahmatih; 'a-ilaahun ma'allah; Ta'aalal laahu 'ammaa yushrikoon

  64. Ammany yabda'ul khalqa thumma yu'eeduhoo wa many-yarzuqukum minas sammaaa'i wal ard; 'a-ilaahun ma'allah; qul haatoo burhaanakum in kuntum saadiqeen

  65. Qul laa ya'lamu man fis sammaawaati wal ardil ghaiba illal laah; wa maa yash'uroona aiyaana yub'asoon

  66. Balid daaraka 'ilmuhum fil Aakhirah; bal hum fee shakkin minhaa bal hum minhaa 'amoon (section 5)

  67. Wa qaalal lazeena kafarooo 'a-izaa kunnaa turaabanw wa aabaaa'unaaa a'innaa lamukhrajoon

  68. Laqad wu'idnaa haazaa nahnu wa aabaaa'unaa min qablu in haazaaa illaaa asaateerul awwaleen

  69. Qul seeroo fil ardi fanzuroo kaifa kaana 'aaqibatul mujrimeen

  70. Wa laa tahzan 'alaihim wa laa takun fee daiqin mimmaa yamkuroon

  71. Wa yaqooloona mataa haazal wa'du in kuntum saadiqeen

  72. Qul 'asaaa any-yakoona radifa lakum ba'dul lazee tasta'jiloon

  73. Wa inna Rabbaka lazoo fadlin 'alan naasi wa laakinna aksarahum laa yashkuroon

  74. Wa inna Rabbaka la ya'lamu maa tukinnu sudooruhum wa maa yu'linoon

  75. Wa maa min ghaaa'ibatin fis samaaa'i wal ardi illaa fee kitaabin mubeen

  76. Inna haazal Qur-aana yaqussu 'alaa Baneee israaa'eela aksaral lazee hum feehi yakhtalifoon

  77. Wa innahoo lahudanw wa rahmatul lilmu'mineen

  78. Inna Rabbaka yaqdee bainahum bihukmih; wa Huwal 'Azeezul 'Aleem

  79. Fatawakkal 'alal laahi innaka 'alal haqqil mubeen

  80. Innaka laa tusmi'ul mawtaa wa laa tusmi'us summad du'aaa izaa wallaw mudbireen

  81. Wa maaa anta bihaadil 'umyi 'an dalaalatihim in tusmi'u illaa mai yu'minu bi aayaatinaa fahum muslimoon

  82. Wa izaa waqa'al qawlu 'alaihim akhrajnaa lahum daaabbatan minal ardi tukal limuhum annan naasa kaanoo bi aayaatinaa laa yooqinoon (section 6)

  83. Wa Yawma nahshuru min kulli ummatin fawjan mimmany yukazzibu bi Aayaatinaa fahum yooza'oon

  84. Hattaaa izaa jaaa'oo qaala akazzabtum bi Aayaatee wa lam tuheetoo bihaa 'ilman ammaazaa kuntum ta'maloon

  85. Wa waqa'al qawlu 'alaihim bimaa zalamoo fahum laa yantiqoon

  86. Alam yaraw annaa ja'alnal laila li yaskunoo feehi wannahaara mubsiraa; inna fee zaalika la Aayaatil liqaw miny-yu'minoon

  87. Wa Yawma yunfakhu fis Soori fafazi'a man fis samaawaati wa man fil ardi illaa man shaaa'al laah; wa kullun atawhu daakhireen

  88. Wa taral jibaala tahsabuhaa jaamidatanw wa hiya tamurru marras sahaab; sun'al laahil lazeee atqana kulla shai'; innahoo khabeerun bimaa taf'aloon

  89. Man jaaa'a bil hasanati falahoo khairun minhaa wa hum min faza'iny Yawma'izin aaminoon

  90. Wa man jaaa'a bissai yi'ati fakubbat wujoohuhum fin Naari hal tujzawna illaa maa kuntum ta'maloon

  91. Innamaaa umirtu an a'buda Rabba haazihil baldatil lazee harramahaa wa lahoo kullu shai'inw wa umirtu an akoona minal muslimeen

  92. Wa an atluwal Qur-aana famanih tadaa fa innamaa yahtadee linafsihee wa man dalla faqul innamaaa ana minal munzireen

  93. Wa qulil hamdu lillaahi sa yureekum Aayaatihee fa ta'rifoonahaa; wa maa Rabbuka bighaafilin 'ammaa ta'maloon (section 7)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Taa Seen. yeh aayaat hain Quran aur kitaab e mubeen ki.

2. Hidayat aur basharat un iman laane walon ke liye.

3. Jo namaz qayam karte aur zakat dete hain, aur phir woh aise log hain jo aakhirat par poora yaqeen rakhte hain.

4. Haqeeqat yeh hai ke jo log aakhirat ko nahin maante unke liye humne unke kartooton ko khushnuma bana diya hai, is liye woh bhatakte phir rahe hain.

5. Yeh woh log hain jinke liye buri saza hai aur aakhirat mein yahi sabse zyada khasare (nuksaan) mein rehne wale hain.

6. Aur (aey Muhammad) bila shubha tum yeh Quran ek hakeem o aleem (All-wise and All-knowing) hasti ki taraf se paa rahe ho.

7. (Inhein us waqt ka qissa sunao) jab Moosa ne apne ghar walon se kaha ke “mujhe ek aag si nazar aayi hai, main abhi ya to wahan se koi khabar lekar aata hoon ya koi angara chun laata hoon taa-ke tum log garam ho sako”

8. Wahan jo pahuncha to nidaa (awaaz/pukaar) aayi ke “mubarak hai woh jo is aag mein hai aur jo iske maahol mein hai, paak hai Allah sab jahanon ka parwardigar.

9. Aey Moosa, yeh main hoon Allah, zabardast aur daana(All-Wise).

10. Aur phenk tu zara apni laathi.” Junhi ke Moosa ne dekha laathi saanp(snake) ki tarah bal kha rahi hai to peeth phair kar bhaaga aur pichey mudh kar bhi na dekha. “Aey Moosa, daro nahin, mere huzur Rasool dara nahin karte.

11. Illa yeh ke kisi ne kasoor kiya ho. Phir agar burayi ke baad usne bhalayi se apne fail (amal) ko badal liya to main maaf karne wala meharbaan hoon.

12. Aur zara apna haath apne girebaan mein to daalo chamakta hua niklega bagair kisi takleef ke, yeh (dono nishaniyan) naw (nine) nishaniyon mein se hain Firoun aur uske qaum ki taraf (le jaane ke liye), woh badey badh-kirdaar(wicked) log hain”

13. Magar jab hamari khuli khuli nihsaniyan un logon ke saamne aayi to unhon ne kaha yeh to khula jaadu hai.

14. Unhon ne sara-sar zulm aur guroor ki raah se in nishaniyon ka inkar kiya, halaanke dil unke qayal (convince) ho chuke thay. Ab dekhlo ke un mufsidon ka anjaam kaisa hua.

15. (Dusri taraf) humne Dawood o Sulaiman ko ilm ata kiya aur unhon ne kaha ke shukar hai us khuda ka jisne humko apne bahut se momin bandon par fazilat ata ki.

16. Aur Dawood ka waris sulaiman hua aur usne kaha “logon, humein parindon (birds) ki boliyan sikhayi gayi hain aur humein har tarah ki cheezein di gayi hain, beshak yeh (Allah ka) numaya fazl hai.”

17. Sulaiman ke liye Jinn aur Insano aur parindon ke lashkar jama kiye gaye thay aur woh pooray zabt (strict discipline) mein rakkhe jaate thay.

18. (Ek martaba woh unke saath kooch (marching) kar raha tha) yahan tak ke jab yeh sab chuntiyon (ants) ki waadi (valley) mein pahunchey to ek chunti (ant) ne kaha “ Aey chunityon , Apne bilon (holes) mein ghuss jao, kahin aisa na ho ke Sulaiman aur uske lashkar tumhein kuchal daalein aur unhein khabar bhi na ho”

19. Sulaiman uski baat par muskurate huey hass pada aur bola “aey mere Rubb mujhe qaabu mein rakh ke main tere us ehsan ka shukar ada karta rahoon jo tu-nay mujhpar aur mere walidain par kiya hai aur aisa amal e saleh karoon jo tujhey pasand aaye, aur apni rehmat se mujhko apne saleh bandon mein daakhil kar.”

20. (Ek aur mauqe par) Sulaiman ne parindon ka jaiza liya aur kaha “ kya baat hai ke main falaan hud-hud (hoopoe bird) ko nahin dekh raha hoon. Kya woh kahin gayab ho gaya hai?

21. Main usey sakht saza dunga, ya zubaa kardunga, warna usey mere saamne maaqool wajah pesh karni hogi.

22. Kuch zyada dair na guzri thi ke usne aakar kaha “maine woh maalumaat haasil ki hai jo aapke ilm mein nahin hain. Main Saba ke mutaalik yaqeeni ittila lekar aaya hoon.

23. Maine wahan ek aurat dekhi jo us qaum ki hukmaran hai. Usko har tarah ka saaz o samaan baksha gaya hai aur uska takht (throne) bada azeem o shaan hai.

24. Maine dekha hai ke woh aur uski qaum Allah ke bajaye Suraj ke aage sajda karti hai” shaytan ne unke aamaal unke liye khushnuma bana diye aur unhein shahraah se roak diya, is wajah se woh yeh seedha raasta nahin paatey.

25. Ke us khuda ko sajda karein jo aasmano aur zameen ki posheeda (chupi hui) cheezein nikalta hai aur woh sab kuch jaanta hai jise tum log chupate ho aur zaahir karte ho.

26. Allah, ke jiske siwa koi mustahiq e Ibadat (Ibadat ke layak) nahin, jo arsh e azeem ka maalik hai.

27. Sulaiman ne kaha “abhi hum dekhe lete hain ke tu ne sach kaha hai ya tu jhoot bolne walon mein se hai.

28. Mera yeh khat (letter) le jaa aur usey un logon ki taraf daal de, phir alag hatt kar dekh ke woh kya radd-e-amal zaahir karte hain”

29. Malika boli “aey ehle darbaar, meri taraf ek bada eham khat phenka gaya hai.

30. Woh Sulaiman ki janib se hai aur Allah rehman o raheem ke naam se shuru kiya gaya hai.

31. Mazmoon yeh hai ke “mere muqable mein sarkashi na karo aur muslim hokar mere paas haazir ho jao”

32. (khat sunakar) Malika ne kaha “aey sardaran e qaum mere is maamle mein mujhe mashwara do. Main kisi maamle ka faisla tumhare bagair nahin karti hoon”

33. Unhon ne jawab diya “hum taaqatwar aur ladne wale log hain, aage faisla aap ke haath mein hai, aap khud dekh lein ke aapko kya hukm dena hai”

34. Malika ne kaha ke “Baadshah jab kisi mulk mein ghus aate hain to usey kharab aur uske izzat walon ko zaleel kardete hain, yahi kuch woh kiya karte hain.

35. Main in logon ki taraf ek Hadiya (tohfa) bhejti hoon, phir dekhti hoon ke mere elchi (envoy) kya jawaab lekar palat-te hain”

36. Jab woh [Malika ka safeer(envoy)] Sulaiman ke haan pahuncha to usne kaha, “ kya tum log maal se meri madad karna chahte ho? Jo kuch khuda ne mujhe de rakkha hai woh is se bahut zyada hai jo tumhein diya hai. Tumhara hadiya (gifts) tumhi ko mubarak rahe.

37. [aey safeer (envoy)]wapas jaa apne bhejne walon ki taraf, hum unpar aise lashkar lekar aayenge jinka muqabla woh na kar sakenge, aur hum unhein aisi zillat ke saath wahan se nikalenge ke woh khwar hokar reh jayenge”

38. Sulaiman ne kaha “aey ehle darbaar, tum mein se kaun uska takht (throne) mere paas laata hai qabl iske ke woh log mutii (farmabardaar) hokar mere paas haazir hon?”

39. Jinno mein se ek qawi (mighty) haykal ne arz kiya “ main usey haazir kardunga qabl iske ke aap apni jagah se utthein. Main iski taaqat rakhta hoon aur amaanatdaar hoon”.

40. Jis shaks ke paas kitaab ka ilm tha woh bola “main aapki palakh jhapakne se pehle usey laye deta hoon”. Junhi ke Sulaiman ne woh takht apne paas rakkha hua dekha, woh pukar uttha “Yeh mere Rub ka fazl hai taa-ke woh mujhe aazmaaye ke main shukar karta hoon ya kafir e niyamat ban jata hoon. Aur jo koi shukar karta hai uska shukar uske apne hi liye mufeed hai, warna koi nashukari kare to mera Rubb be-niyaz aur apni zaat mein aap buzurg hai.”

41. Sulaiman ne kaha “anjaan tareeqe se uska takht uske saamne rakh do, dekhein woh saheeh baat tak pahunchti hai ya un logon mein se hai jo raah e raast nahin paatey.”

42. Malika jab haazir hui to us se kaha gaya, kya tera takht (throne) aisa hi hai? Woh kehne lagi “yeh to goya wahi hai , hum to pehle hi jaan gaye thay aur humne sar-e-itaat jhuka diya tha (ya hum muslim ho chuke thay)”

43. Usko (iman laane se) jis cheez ne roak rakkha tha woh un maboodon ki ibaadat thi jinhein woh Allah ke siwa poojhti thi, kyunke woh ek kafir qaum se thi.

44. Ussey kaha gaya ke mahal mein daakhil ho, usne jo dekha to samjhi ke pani ka hauz hai aur utarne ke liye usne apne painchey utha liye (tucked up her dress) , Sulaiman ne kaha yeh shishey (glass) ka chikna farsh hai ispar woh pukar utthi “Aey mere Rubb, (aaj tak) main apne nafs par bada zulm karti rahi, aur ab maine Sulaiman ke saath Allah Rabbul aalameen ki itaat qabool karli”.

45. Aur Samood ki taraf humne unke bhai Saleh ko (yeh paigaam de kar) bheja ke Allah ki bandagi karo, to yakayak woh do mutakhasim fareeq (two quarrelling factions) ban gaye.

46. Saleh ne kaha “aey meri qaum ke logon, bhalayi se pehle burayi ke liye kyun jaldi machate ho? Kyun nahin Allah se magfirat talab karte? Shayad ke tumpar reham farmaya jaye?”

47. Unhon ne kaha “humne to tumko aur tumhare sathiyon ko badd-shaguni ka nishaan paya hai”. Saleh ne jawab diya “tumhare neik o badd shagun ka sarrishta (good and bad omens issue) Allah ke paas hai. Asal baat yeh hai ke tum logon ki aazmaish ho rahi hai”

48. Us shehar mein naw (nine) jatthey-daar (ring-leaders) thay jo mulk mein fasaad phaylatey aur koi islaah ka kaam na karte thay.

49. Unhon ne aapas mein kaha “ khuda ki qasam kha kar ahad karlo ke hum Saleh aur uske ghar walon par shabkhun (secret night attack) maarenge aur phir uske wali(guardian) se keh denge ke hum us khandaan ki halakat ke mauqe par maujood na thay, hum bilkul sach kehte hain"

50. Yeh chaal to woh chale aur phir ek chaal humne chali jiski unhein khabar na thi.

51. Ab dekhlo ke unki chaal ka anjaam kya hua. Humne tabaah karke rakh diya unko aur unki poori qaum ko.

52. Woh unke ghar khali padey hain us zulm ki padash mein jo woh karte thay, is mein ek nishaan e ibrat hai un logon ke liye jo ilm rakhte hain.

53. Aur bacha liya humne un logon ko jo iman laye thay aur nafarmani se parheiz karte thay.

54. Aur Lut ko humne bheja. Yaad karo woh waqt jab usne apni qaum se kaha “kya tum aankhon dekhte badhkari karte ho?

55. Kya tumhara yahi chalan hai ke auraton ko chodh kar mardon ke paas shehwat-rani (sexual desire) ke liye jaate ho? Haqeeqat yeh hai ke tum log sakht jihalat (ignorance) ka kaam karte ho.”

56. Magar uski qaum ka jawab iske siwa kuch na tha ke unhon ne kaha “ nikaal do Lut ke ghar walon ko apni basti se, yeh badey paakbaaz bante hain”

57. Aakhir e kaar humne bacha liya usko aur uske ghar walon ko, bajuz uski biwi ke jiska pichey reh jana humne tai kardiya tha.

58. Aur barsayi un logon par ek barsaat, bahut hi buri barsaat thi woh un logon ke haqq mein jo mutanabbeh kiye jaa chuke thay.

59. (Aey Nabi) kaho, hamd hai Allah ke liye aur salaam uske un bandon par jinhein usne barguzida kiya. (Inse pucho) Allah behtar hai ya woh mabood jinhein yeh log iska shareek bana rahe hain?

60. Bhala woh kaun hai jisne aasmano aur zameen ko paida kiya, aur tumhare liye aasmaan se pani barsaya, phir uske zariye se woh khusnuma baagh ugaye jinke darakhton ka ugana tumhare bas mein na tha? Kya Allah ke saath koi dusra khuda bhi (in kaamon mein shareek) hai? (Nahin), balke yahi log raah e raast se hatkar chale jaa rahe hain.

61. Aur woh kaun hai jisne zameen ko jaaye qaraar banaya aur uske andar dariya rawan kiye, aur usmein (pahadon ki) mekhein gaadh di aur pani ke do zakhiron (two bodies) ke darmiyan purde hayal kardiye? Kya Allah ke saath koi aur khuda bhi (in kaamon mein shareek) hai? Nahin, balke in mein se aksar log nadaan hain.

62. Kaun hai jo bekarar ki dua sunta hai jabke woh usey pukare aur kaun uski takleef rafaa karta hai? Aur (kaun hai jo) tumhein zameen ka khalifa banata hai? Kya Allah ke saath koi aur khuda bhi (yeh kaam karne wala) hai? Tum log kam hi sochte ho.

63. Aur woh kaun hai jo khushki aur samandar ki tareekiyon (darkness) mein tumko raasta dikhata hai aur kaun apni rehmat ke aage hawaon ko khush-khabri lekar bhejhta hai? Kya Allah ke saath koi dusra khuda bhi (yeh kaam karta) hai? Bahut baala o bartar hai Allah us shirk se jo yeh log karte hain.

64. Aur woh kaun hai jo khalq (creation) ki ibtida (orignate) karta aur phir uska iaada (reproduce) karta hai. Aur kaun tumko aasmaan aur zameen se rizq deta hai? Kya Allah ke saath koi aur khuda bhi (in kaamon mein hissedar) hai? Kaho ke laao apni daleel agar tum sacche ho.

65. Inse kaho, Allah ke siwa aasmano aur zameen mein koi gaib ka ilm nahin rakhta, aur woh nahin jaante ke kab woh uthaye jayenge.

66. Balke aakhirat ka to ilm hi in logon se ghum ho gaya hai, balke yeh uski taraf se shakk mein hain, balke yeh us se andhey hain.

67. Yeh munkireen kehte hain “kya jab hum aur hamare baap dada mitti ho chuke honge to humein waqayi qabaron se nikala jayega?”

68. Yeh khabrein humko bhi bahut di gayi hain aur pehle hamare aabaa o ajdaad ko bhi di jaati rahi hain, magar yeh bas afsane hi afsane hain jo agle waqton se sunte chale aa rahe hain”

69. Kaho, zara zameen mein chal phir kar dekho ke mujrimon ka kya anjaam ho chuka hai.

70. (Aey Nabi), inke haal par ranjh na karo aur na inki chaalon par dil tangg ho.

71. Woh kehte hain ke “yeh dhamki kab poori hogi agar tum sacche ho?”

72. Kaho, kya ajab ke jis azaab ke liye tum jaldi macha rahe ho uska ek hissa tumhare qareeb hi aa laga ho.

73. Haqeeqat yeh hai ke tera Rubb to logon par bada fazl farmane wala hai, magar aksar log shukar nahin karte.

74. Bila shubha tera Rubb khoob jaanta hai jo kuch unke seenay apne andar chupaye huey hain aur jo kuch woh zaahir karte hain.

75. Aasmaan o zameen ki koi posheeda cheez aisi nahin hai jo ek wazeh kitaab mein likhi hui maujood na ho.

76. Yeh waqia hai ke yeh Quraan bani Israel ko aksar un baaton ki haqeeqat batata hai jin mein woh ikhtilaf rakhte hain.

77. Aur yeh hidayat aur rehmat hai iman laane walon ke liye.

78. Yaqeenan (isi tarah) tera Rubb in logon ke darmiyan bhi apne hukm se faisla kardega. Aur woh zabardast aur sab kuch jaanne wala hai.

79. Pas aey Nabi, Allah par bharosa rakkho, yaqeenan tum sareeh haqq par ho.

80. Tum murdon ko nahin suna sakte, na un behron tak apni pukar pahuncha sakte ho jo peeth phair kar bhaage jaa rahe hon.

81. Aur na andhon ko raasta bata kar bhatakne se bacha sakte ho. Tum to apni baat unhi logon ko suna sakte ho jo hamari aayaat par iman latey hain aur phir farmabardaar ban jaate hain.

82. Aur jab hamari baat poori hone ka waqt unpar aa pahunchega to hum unke liye ek jaanwar zameen se nikalenge jo unse kalaam karega ke log hamari aayaat par yaqeen nahin karte thay.

83. Aur zara tasavvur karo us din ka jab hum har ummat mein se ek fauj ki fauj un logon ki gher layenge jo hamari aayaat ko jhutlaya karte thay, phir unko (unki aqsaam (classification and merit) ke lihaz se darja ba darja) murattab (arrange) kiya jayega.

84. Yahan tak ke jab sab aa jayenge to (unka Rubb unse) puchega ke “tumne meri aayaat ko jhutla diya halaanke tumne unka ilmi ihata (comprehend) na kiya tha? Agar yeh nahin to aur tum kya kar rahe thay?”

85. Aur unke zulm ki wajah se azaab ka waada unpar poora ho jayega, tab woh kuch bhi na bol sakenge.

86. Kya unko soojhayi na deta tha ke humne raat unke liye sukoon haasil karne ko banayi thi aur din ko roshan kiya tha? Isi mein bahut nishaniyan thi un logon ke liye jo iman latey thay.

87. Aur kya guzregi us roz jabke sur/soor (trumphet) phunka jaayega aur haul(terror) kha jayenge woh sab jo aasmaano aur zameen mein hain, siwaye un logon ke jinhein Allah is haul(terror) se bachana chahega. Aur sab kaan dabaye uske huzoor haazir ho jayenge.

88. Aaj tu pahadon ko dekhta hai aur samajhta hai ke khoob jamey huey hain, magar us waqt yeh baadalon ki tarah udh rahe honge, yeh Allah ki qudrat ka karishma hoga jisne har cheez ko hikmat ke saath ustwar (ordered with wisdom) kiya hai. Woh khoob jaanta hai ke tum log kya karte ho.

89. Jo shaks bhalayi lekar aayega usey us se zyada behtar sila milega aur aise log us din ke haul (terror/dehshat) se mehfooz honge.

90. Aur jo burayi liye huey aayega, aise sab log aundhey mooh aag mein phenke jayenge. Kya tum log iske siwa koi aur jaza paa sakte ho ke jaisa karo waisa bharo?

91. (Aey Muhammad, Inse kaho) “Mujhe to yahi hukm diya gaya hai ke is shehar ke Rubb ki bandagi karoon jisne isey haram (sacred) banaya hai, aur jo har cheez ka maalik hai. Mujhe hukm diya gaya hai ke main Muslim ban kar rahoon.

92. Aur yeh Quran padh kar sunaoon” ab jo hidayat ikhtiyar karega woh apne hi bhale ke liye hidayat ikhtiyar karega, aur jo gumraah ho us se kehdo main to bas khabardaar kardene wala hoon.

93. Inse kaho, tareef Allah hi ke liye hai, ankareeb woh tumhein apni nishaniyan dikha dega aur tum unhein pehchan loge, aur tera Rubb bay-khabar nahin hai un aamal se jo tum log karte ho.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments