📖 Surah 26 Ash-Shuara Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. طسم

  2. تِلْكَ آيَاتُ الْكِتَابِ الْمُبِينِ

  3. لَعَلَّكَ بَاخِعٌ نَفْسَكَ أَلَّا يَكُونُوا مُؤْمِنِينَ

  4. إِنْ نَشَأْ نُنَزِّلْ عَلَيْهِمْ مِنَ السَّمَاءِ آيَةً فَظَلَّتْ أَعْنَاقُهُمْ لَهَا خَاضِعِينَ

  5. وَمَا يَأْتِيهِمْ مِنْ ذِكْرٍ مِنَ الرَّحْمَٰنِ مُحْدَثٍ إِلَّا كَانُوا عَنْهُ مُعْرِضِينَ

  6. فَقَدْ كَذَّبُوا فَسَيَأْتِيهِمْ أَنْبَاءُ مَا كَانُوا بِهِ يَسْتَهْزِئُونَ

  7. أَوَلَمْ يَرَوْا إِلَى الْأَرْضِ كَمْ أَنْبَتْنَا فِيهَا مِنْ كُلِّ زَوْجٍ كَرِيمٍ

  8. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَةً ۖ وَمَا كَانَ أَكْثَرُهُمْ مُؤْمِنِينَ

  9. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ الْعَزِيزُ الرَّحِيمُ

  10. وَإِذْ نَادَىٰ رَبُّكَ مُوسَىٰ أَنِ ائْتِ الْقَوْمَ الظَّالِمِينَ

  11. قَوْمَ فِرْعَوْنَ ۚ أَلَا يَتَّقُونَ

  12. قَالَ رَبِّ إِنِّي أَخَافُ أَنْ يُكَذِّبُونِ

  13. وَيَضِيقُ صَدْرِي وَلَا يَنْطَلِقُ لِسَانِي فَأَرْسِلْ إِلَىٰ هَارُونَ

  14. وَلَهُمْ عَلَيَّ ذَنْبٌ فَأَخَافُ أَنْ يَقْتُلُونِ

  15. قَالَ كَلَّا ۖ فَاذْهَبَا بِآيَاتِنَا ۖ إِنَّا مَعَكُمْ مُسْتَمِعُونَ

  16. فَأْتِيَا فِرْعَوْنَ فَقُولَا إِنَّا رَسُولُ رَبِّ الْعَالَمِينَ

  17. أَنْ أَرْسِلْ مَعَنَا بَنِي إِسْرَائِيلَ

  18. قَالَ أَلَمْ نُرَبِّكَ فِينَا وَلِيدًا وَلَبِثْتَ فِينَا مِنْ عُمُرِكَ سِنِينَ

  19. وَفَعَلْتَ فَعْلَتَكَ الَّتِي فَعَلْتَ وَأَنْتَ مِنَ الْكَافِرِينَ

  20. قَالَ فَعَلْتُهَا إِذًا وَأَنَا مِنَ الضَّالِّينَ

  21. فَفَرَرْتُ مِنْكُمْ لَمَّا خِفْتُكُمْ فَوَهَبَ لِي رَبِّي حُكْمًا وَجَعَلَنِي مِنَ الْمُرْسَلِينَ

  22. وَتِلْكَ نِعْمَةٌ تَمُنُّهَا عَلَيَّ أَنْ عَبَّدْتَ بَنِي إِسْرَائِيلَ

  23. قَالَ فِرْعَوْنُ وَمَا رَبُّ الْعَالَمِينَ

  24. قَالَ رَبُّ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَمَا بَيْنَهُمَا ۖ إِنْ كُنْتُمْ مُوقِنِينَ

  25. قَالَ لِمَنْ حَوْلَهُ أَلَا تَسْتَمِعُونَ

  26. قَالَ رَبُّكُمْ وَرَبُّ آبَائِكُمُ الْأَوَّلِينَ

  27. قَالَ إِنَّ رَسُولَكُمُ الَّذِي أُرْسِلَ إِلَيْكُمْ لَمَجْنُونٌ

  28. قَالَ رَبُّ الْمَشْرِقِ وَالْمَغْرِبِ وَمَا بَيْنَهُمَا ۖ إِنْ كُنْتُمْ تَعْقِلُونَ

  29. قَالَ لَئِنِ اتَّخَذْتَ إِلَٰهًا غَيْرِي لَأَجْعَلَنَّكَ مِنَ الْمَسْجُونِينَ

  30. قَالَ أَوَلَوْ جِئْتُكَ بِشَيْءٍ مُبِينٍ

  31. قَالَ فَأْتِ بِهِ إِنْ كُنْتَ مِنَ الصَّادِقِينَ

  32. فَأَلْقَىٰ عَصَاهُ فَإِذَا هِيَ ثُعْبَانٌ مُبِينٌ

  33. وَنَزَعَ يَدَهُ فَإِذَا هِيَ بَيْضَاءُ لِلنَّاظِرِينَ

  34. قَالَ لِلْمَلَإِ حَوْلَهُ إِنَّ هَٰذَا لَسَاحِرٌ عَلِيمٌ

  35. يُرِيدُ أَنْ يُخْرِجَكُمْ مِنْ أَرْضِكُمْ بِسِحْرِهِ فَمَاذَا تَأْمُرُونَ

  36. قَالُوا أَرْجِهْ وَأَخَاهُ وَابْعَثْ فِي الْمَدَائِنِ حَاشِرِينَ

  37. يَأْتُوكَ بِكُلِّ سَحَّارٍ عَلِيمٍ

  38. فَجُمِعَ السَّحَرَةُ لِمِيقَاتِ يَوْمٍ مَعْلُومٍ

  39. وَقِيلَ لِلنَّاسِ هَلْ أَنْتُمْ مُجْتَمِعُونَ

  40. لَعَلَّنَا نَتَّبِعُ السَّحَرَةَ إِنْ كَانُوا هُمُ الْغَالِبِينَ

  41. فَلَمَّا جَاءَ السَّحَرَةُ قَالُوا لِفِرْعَوْنَ أَئِنَّ لَنَا لَأَجْرًا إِنْ كُنَّا نَحْنُ الْغَالِبِينَ

  42. قَالَ نَعَمْ وَإِنَّكُمْ إِذًا لَمِنَ الْمُقَرَّبِينَ

  43. قَالَ لَهُمْ مُوسَىٰ أَلْقُوا مَا أَنْتُمْ مُلْقُونَ

  44. فَأَلْقَوْا حِبَالَهُمْ وَعِصِيَّهُمْ وَقَالُوا بِعِزَّةِ فِرْعَوْنَ إِنَّا لَنَحْنُ الْغَالِبُونَ

  45. فَأَلْقَىٰ مُوسَىٰ عَصَاهُ فَإِذَا هِيَ تَلْقَفُ مَا يَأْفِكُونَ

  46. فَأُلْقِيَ السَّحَرَةُ سَاجِدِينَ

  47. قَالُوا آمَنَّا بِرَبِّ الْعَالَمِينَ

  48. رَبِّ مُوسَىٰ وَهَارُونَ

  49. قَالَ آمَنْتُمْ لَهُ قَبْلَ أَنْ آذَنَ لَكُمْ ۖ إِنَّهُ لَكَبِيرُكُمُ الَّذِي عَلَّمَكُمُ السِّحْرَ فَلَسَوْفَ تَعْلَمُونَ ۚ لَأُقَطِّعَنَّ أَيْدِيَكُمْ وَأَرْجُلَكُمْ مِنْ خِلَافٍ وَلَأُصَلِّبَنَّكُمْ أَجْمَعِينَ

  50. قَالُوا لَا ضَيْرَ ۖ إِنَّا إِلَىٰ رَبِّنَا مُنْقَلِبُونَ

  51. إِنَّا نَطْمَعُ أَنْ يَغْفِرَ لَنَا رَبُّنَا خَطَايَانَا أَنْ كُنَّا أَوَّلَ الْمُؤْمِنِينَ

  52. وَأَوْحَيْنَا إِلَىٰ مُوسَىٰ أَنْ أَسْرِ بِعِبَادِي إِنَّكُمْ مُتَّبَعُونَ

  53. فَأَرْسَلَ فِرْعَوْنُ فِي الْمَدَائِنِ حَاشِرِينَ

  54. إِنَّ هَٰؤُلَاءِ لَشِرْذِمَةٌ قَلِيلُونَ

  55. وَإِنَّهُمْ لَنَا لَغَائِظُونَ

  56. وَإِنَّا لَجَمِيعٌ حَاذِرُونَ

  57. فَأَخْرَجْنَاهُمْ مِنْ جَنَّاتٍ وَعُيُونٍ

  58. وَكُنُوزٍ وَمَقَامٍ كَرِيمٍ

  59. كَذَٰلِكَ وَأَوْرَثْنَاهَا بَنِي إِسْرَائِيلَ

  60. فَأَتْبَعُوهُمْ مُشْرِقِينَ

  61. فَلَمَّا تَرَاءَى الْجَمْعَانِ قَالَ أَصْحَابُ مُوسَىٰ إِنَّا لَمُدْرَكُونَ

  62. قَالَ كَلَّا ۖ إِنَّ مَعِيَ رَبِّي سَيَهْدِينِ

  63. فَأَوْحَيْنَا إِلَىٰ مُوسَىٰ أَنِ اضْرِبْ بِعَصَاكَ الْبَحْرَ ۖ فَانْفَلَقَ فَكَانَ كُلُّ فِرْقٍ كَالطَّوْدِ الْعَظِيمِ

  64. وَأَزْلَفْنَا ثَمَّ الْآخَرِينَ

  65. وَأَنْجَيْنَا مُوسَىٰ وَمَنْ مَعَهُ أَجْمَعِينَ

  66. ثُمَّ أَغْرَقْنَا الْآخَرِينَ

  67. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَةً ۖ وَمَا كَانَ أَكْثَرُهُمْ مُؤْمِنِينَ

  68. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ الْعَزِيزُ الرَّحِيمُ

  69. وَاتْلُ عَلَيْهِمْ نَبَأَ إِبْرَاهِيمَ

  70. إِذْ قَالَ لِأَبِيهِ وَقَوْمِهِ مَا تَعْبُدُونَ

  71. قَالُوا نَعْبُدُ أَصْنَامًا فَنَظَلُّ لَهَا عَاكِفِينَ

  72. قَالَ هَلْ يَسْمَعُونَكُمْ إِذْ تَدْعُونَ

  73. أَوْ يَنْفَعُونَكُمْ أَوْ يَضُرُّونَ

  74. قَالُوا بَلْ وَجَدْنَا آبَاءَنَا كَذَٰلِكَ يَفْعَلُونَ

  75. قَالَ أَفَرَأَيْتُمْ مَا كُنْتُمْ تَعْبُدُونَ

  76. أَنْتُمْ وَآبَاؤُكُمُ الْأَقْدَمُونَ

  77. فَإِنَّهُمْ عَدُوٌّ لِي إِلَّا رَبَّ الْعَالَمِينَ

  78. الَّذِي خَلَقَنِي فَهُوَ يَهْدِينِ

  79. وَالَّذِي هُوَ يُطْعِمُنِي وَيَسْقِينِ

  80. وَإِذَا مَرِضْتُ فَهُوَ يَشْفِينِ

  81. وَالَّذِي يُمِيتُنِي ثُمَّ يُحْيِينِ

  82. وَالَّذِي أَطْمَعُ أَنْ يَغْفِرَ لِي خَطِيئَتِي يَوْمَ الدِّينِ

  83. رَبِّ هَبْ لِي حُكْمًا وَأَلْحِقْنِي بِالصَّالِحِينَ

  84. وَاجْعَلْ لِي لِسَانَ صِدْقٍ فِي الْآخِرِينَ

  85. وَاجْعَلْنِي مِنْ وَرَثَةِ جَنَّةِ النَّعِيمِ

  86. وَاغْفِرْ لِأَبِي إِنَّهُ كَانَ مِنَ الضَّالِّينَ

  87. وَلَا تُخْزِنِي يَوْمَ يُبْعَثُونَ

  88. يَوْمَ لَا يَنْفَعُ مَالٌ وَلَا بَنُونَ

  89. إِلَّا مَنْ أَتَى اللَّهَ بِقَلْبٍ سَلِيمٍ

  90. وَأُزْلِفَتِ الْجَنَّةُ لِلْمُتَّقِينَ

  91. وَبُرِّزَتِ الْجَحِيمُ لِلْغَاوِينَ

  92. وَقِيلَ لَهُمْ أَيْنَ مَا كُنْتُمْ تَعْبُدُونَ

  93. مِنْ دُونِ اللَّهِ هَلْ يَنْصُرُونَكُمْ أَوْ يَنْتَصِرُونَ

  94. فَكُبْكِبُوا فِيهَا هُمْ وَالْغَاوُونَ

  95. وَجُنُودُ إِبْلِيسَ أَجْمَعُونَ

  96. قَالُوا وَهُمْ فِيهَا يَخْتَصِمُونَ

  97. تَاللَّهِ إِنْ كُنَّا لَفِي ضَلَالٍ مُبِينٍ

  98. إِذْ نُسَوِّيكُمْ بِرَبِّ الْعَالَمِينَ

  99. وَمَا أَضَلَّنَا إِلَّا الْمُجْرِمُونَ

  100. فَمَا لَنَا مِنْ شَافِعِينَ

  101. وَلَا صَدِيقٍ حَمِيمٍ

  102. فَلَوْ أَنَّ لَنَا كَرَّةً فَنَكُونَ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ

  103. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَةً ۖ وَمَا كَانَ أَكْثَرُهُمْ مُؤْمِنِينَ

  104. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ الْعَزِيزُ الرَّحِيمُ

  105. كَذَّبَتْ قَوْمُ نُوحٍ الْمُرْسَلِينَ

  106. إِذْ قَالَ لَهُمْ أَخُوهُمْ نُوحٌ أَلَا تَتَّقُونَ

  107. إِنِّي لَكُمْ رَسُولٌ أَمِينٌ

  108. فَاتَّقُوا اللَّهَ وَأَطِيعُونِ

  109. وَمَا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ مِنْ أَجْرٍ ۖ إِنْ أَجْرِيَ إِلَّا عَلَىٰ رَبِّ الْعَالَمِينَ

  110. فَاتَّقُوا اللَّهَ وَأَطِيعُونِ

  111. قَالُوا أَنُؤْمِنُ لَكَ وَاتَّبَعَكَ الْأَرْذَلُونَ

  112. قَالَ وَمَا عِلْمِي بِمَا كَانُوا يَعْمَلُونَ

  113. إِنْ حِسَابُهُمْ إِلَّا عَلَىٰ رَبِّي ۖ لَوْ تَشْعُرُونَ

  114. وَمَا أَنَا بِطَارِدِ الْمُؤْمِنِينَ

  115. إِنْ أَنَا إِلَّا نَذِيرٌ مُبِينٌ

  116. قَالُوا لَئِنْ لَمْ تَنْتَهِ يَا نُوحُ لَتَكُونَنَّ مِنَ الْمَرْجُومِينَ

  117. قَالَ رَبِّ إِنَّ قَوْمِي كَذَّبُونِ

  118. فَافْتَحْ بَيْنِي وَبَيْنَهُمْ فَتْحًا وَنَجِّنِي وَمَنْ مَعِيَ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ

  119. فَأَنْجَيْنَاهُ وَمَنْ مَعَهُ فِي الْفُلْكِ الْمَشْحُونِ

  120. ثُمَّ أَغْرَقْنَا بَعْدُ الْبَاقِينَ

  121. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَةً ۖ وَمَا كَانَ أَكْثَرُهُمْ مُؤْمِنِينَ

  122. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ الْعَزِيزُ الرَّحِيمُ

  123. كَذَّبَتْ عَادٌ الْمُرْسَلِينَ

  124. إِذْ قَالَ لَهُمْ أَخُوهُمْ هُودٌ أَلَا تَتَّقُونَ

  125. إِنِّي لَكُمْ رَسُولٌ أَمِينٌ

  126. فَاتَّقُوا اللَّهَ وَأَطِيعُونِ

  127. وَمَا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ مِنْ أَجْرٍ ۖ إِنْ أَجْرِيَ إِلَّا عَلَىٰ رَبِّ الْعَالَمِينَ

  128. أَتَبْنُونَ بِكُلِّ رِيعٍ آيَةً تَعْبَثُونَ

  129. وَتَتَّخِذُونَ مَصَانِعَ لَعَلَّكُمْ تَخْلُدُونَ

  130. وَإِذَا بَطَشْتُمْ بَطَشْتُمْ جَبَّارِينَ

  131. فَاتَّقُوا اللَّهَ وَأَطِيعُونِ

  132. وَاتَّقُوا الَّذِي أَمَدَّكُمْ بِمَا تَعْلَمُونَ

  133. أَمَدَّكُمْ بِأَنْعَامٍ وَبَنِينَ

  134. وَجَنَّاتٍ وَعُيُونٍ

  135. إِنِّي أَخَافُ عَلَيْكُمْ عَذَابَ يَوْمٍ عَظِيمٍ

  136. قَالُوا سَوَاءٌ عَلَيْنَا أَوَعَظْتَ أَمْ لَمْ تَكُنْ مِنَ الْوَاعِظِينَ

  137. إِنْ هَٰذَا إِلَّا خُلُقُ الْأَوَّلِينَ

  138. وَمَا نَحْنُ بِمُعَذَّبِينَ

  139. فَكَذَّبُوهُ فَأَهْلَكْنَاهُمْ ۗ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَةً ۖ وَمَا كَانَ أَكْثَرُهُمْ مُؤْمِنِينَ

  140. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ الْعَزِيزُ الرَّحِيمُ

  141. كَذَّبَتْ ثَمُودُ الْمُرْسَلِينَ

  142. إِذْ قَالَ لَهُمْ أَخُوهُمْ صَالِحٌ أَلَا تَتَّقُونَ

  143. إِنِّي لَكُمْ رَسُولٌ أَمِينٌ

  144. فَاتَّقُوا اللَّهَ وَأَطِيعُونِ

  145. وَمَا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ مِنْ أَجْرٍ ۖ إِنْ أَجْرِيَ إِلَّا عَلَىٰ رَبِّ الْعَالَمِينَ

  146. أَتُتْرَكُونَ فِي مَا هَاهُنَا آمِنِينَ

  147. فِي جَنَّاتٍ وَعُيُونٍ

  148. وَزُرُوعٍ وَنَخْلٍ طَلْعُهَا هَضِيمٌ

  149. وَتَنْحِتُونَ مِنَ الْجِبَالِ بُيُوتًا فَارِهِينَ

  150. فَاتَّقُوا اللَّهَ وَأَطِيعُونِ

  151. وَلَا تُطِيعُوا أَمْرَ الْمُسْرِفِينَ

  152. الَّذِينَ يُفْسِدُونَ فِي الْأَرْضِ وَلَا يُصْلِحُونَ

  153. قَالُوا إِنَّمَا أَنْتَ مِنَ الْمُسَحَّرِينَ

  154. مَا أَنْتَ إِلَّا بَشَرٌ مِثْلُنَا فَأْتِ بِآيَةٍ إِنْ كُنْتَ مِنَ الصَّادِقِينَ

  155. قَالَ هَٰذِهِ نَاقَةٌ لَهَا شِرْبٌ وَلَكُمْ شِرْبُ يَوْمٍ مَعْلُومٍ

  156. وَلَا تَمَسُّوهَا بِسُوءٍ فَيَأْخُذَكُمْ عَذَابُ يَوْمٍ عَظِيمٍ

  157. فَعَقَرُوهَا فَأَصْبَحُوا نَادِمِينَ

  158. فَأَخَذَهُمُ الْعَذَابُ ۗ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَةً ۖ وَمَا كَانَ أَكْثَرُهُمْ مُؤْمِنِينَ

  159. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ الْعَزِيزُ الرَّحِيمُ

  160. كَذَّبَتْ قَوْمُ لُوطٍ الْمُرْسَلِينَ

  161. إِذْ قَالَ لَهُمْ أَخُوهُمْ لُوطٌ أَلَا تَتَّقُونَ

  162. إِنِّي لَكُمْ رَسُولٌ أَمِينٌ

  163. فَاتَّقُوا اللَّهَ وَأَطِيعُونِ

  164. وَمَا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ مِنْ أَجْرٍ ۖ إِنْ أَجْرِيَ إِلَّا عَلَىٰ رَبِّ الْعَالَمِينَ

  165. أَتَأْتُونَ الذُّكْرَانَ مِنَ الْعَالَمِينَ

  166. وَتَذَرُونَ مَا خَلَقَ لَكُمْ رَبُّكُمْ مِنْ أَزْوَاجِكُمْ ۚ بَلْ أَنْتُمْ قَوْمٌ عَادُونَ

  167. قَالُوا لَئِنْ لَمْ تَنْتَهِ يَا لُوطُ لَتَكُونَنَّ مِنَ الْمُخْرَجِينَ

  168. قَالَ إِنِّي لِعَمَلِكُمْ مِنَ الْقَالِينَ

  169. رَبِّ نَجِّنِي وَأَهْلِي مِمَّا يَعْمَلُونَ

  170. فَنَجَّيْنَاهُ وَأَهْلَهُ أَجْمَعِينَ

  171. إِلَّا عَجُوزًا فِي الْغَابِرِينَ

  172. ثُمَّ دَمَّرْنَا الْآخَرِينَ

  173. وَأَمْطَرْنَا عَلَيْهِمْ مَطَرًا ۖ فَسَاءَ مَطَرُ الْمُنْذَرِينَ

  174. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَةً ۖ وَمَا كَانَ أَكْثَرُهُمْ مُؤْمِنِينَ

  175. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ الْعَزِيزُ الرَّحِيمُ

  176. كَذَّبَ أَصْحَابُ الْأَيْكَةِ الْمُرْسَلِينَ

  177. إِذْ قَالَ لَهُمْ شُعَيْبٌ أَلَا تَتَّقُونَ

  178. إِنِّي لَكُمْ رَسُولٌ أَمِينٌ

  179. فَاتَّقُوا اللَّهَ وَأَطِيعُونِ

  180. وَمَا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ مِنْ أَجْرٍ ۖ إِنْ أَجْرِيَ إِلَّا عَلَىٰ رَبِّ الْعَالَمِينَ

  181. أَوْفُوا الْكَيْلَ وَلَا تَكُونُوا مِنَ الْمُخْسِرِينَ

  182. وَزِنُوا بِالْقِسْطَاسِ الْمُسْتَقِيمِ

  183. وَلَا تَبْخَسُوا النَّاسَ أَشْيَاءَهُمْ وَلَا تَعْثَوْا فِي الْأَرْضِ مُفْسِدِينَ

  184. وَاتَّقُوا الَّذِي خَلَقَكُمْ وَالْجِبِلَّةَ الْأَوَّلِينَ

  185. قَالُوا إِنَّمَا أَنْتَ مِنَ الْمُسَحَّرِينَ

  186. وَمَا أَنْتَ إِلَّا بَشَرٌ مِثْلُنَا وَإِنْ نَظُنُّكَ لَمِنَ الْكَاذِبِينَ

  187. فَأَسْقِطْ عَلَيْنَا كِسَفًا مِنَ السَّمَاءِ إِنْ كُنْتَ مِنَ الصَّادِقِينَ

  188. قَالَ رَبِّي أَعْلَمُ بِمَا تَعْمَلُونَ

  189. فَكَذَّبُوهُ فَأَخَذَهُمْ عَذَابُ يَوْمِ الظُّلَّةِ ۚ إِنَّهُ كَانَ عَذَابَ يَوْمٍ عَظِيمٍ

  190. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَةً ۖ وَمَا كَانَ أَكْثَرُهُمْ مُؤْمِنِينَ

  191. وَإِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ الْعَزِيزُ الرَّحِيمُ

  192. وَإِنَّهُ لَتَنْزِيلُ رَبِّ الْعَالَمِينَ

  193. نَزَلَ بِهِ الرُّوحُ الْأَمِينُ

  194. عَلَىٰ قَلْبِكَ لِتَكُونَ مِنَ الْمُنْذِرِينَ

  195. بِلِسَانٍ عَرَبِيٍّ مُبِينٍ

  196. وَإِنَّهُ لَفِي زُبُرِ الْأَوَّلِينَ

  197. أَوَلَمْ يَكُنْ لَهُمْ آيَةً أَنْ يَعْلَمَهُ عُلَمَاءُ بَنِي إِسْرَائِيلَ

  198. وَلَوْ نَزَّلْنَاهُ عَلَىٰ بَعْضِ الْأَعْجَمِينَ

  199. فَقَرَأَهُ عَلَيْهِمْ مَا كَانُوا بِهِ مُؤْمِنِينَ

  200. كَذَٰلِكَ سَلَكْنَاهُ فِي قُلُوبِ الْمُجْرِمِينَ

  201. لَا يُؤْمِنُونَ بِهِ حَتَّىٰ يَرَوُا الْعَذَابَ الْأَلِيمَ

  202. فَيَأْتِيَهُمْ بَغْتَةً وَهُمْ لَا يَشْعُرُونَ

  203. فَيَقُولُوا هَلْ نَحْنُ مُنْظَرُونَ

  204. أَفَبِعَذَابِنَا يَسْتَعْجِلُونَ

  205. أَفَرَأَيْتَ إِنْ مَتَّعْنَاهُمْ سِنِينَ

  206. ثُمَّ جَاءَهُمْ مَا كَانُوا يُوعَدُونَ

  207. مَا أَغْنَىٰ عَنْهُمْ مَا كَانُوا يُمَتَّعُونَ

  208. وَمَا أَهْلَكْنَا مِنْ قَرْيَةٍ إِلَّا لَهَا مُنْذِرُونَ

  209. ذِكْرَىٰ وَمَا كُنَّا ظَالِمِينَ

  210. وَمَا تَنَزَّلَتْ بِهِ الشَّيَاطِينُ

  211. وَمَا يَنْبَغِي لَهُمْ وَمَا يَسْتَطِيعُونَ

  212. إِنَّهُمْ عَنِ السَّمْعِ لَمَعْزُولُونَ

  213. فَلَا تَدْعُ مَعَ اللَّهِ إِلَٰهًا آخَرَ فَتَكُونَ مِنَ الْمُعَذَّبِينَ

  214. وَأَنْذِرْ عَشِيرَتَكَ الْأَقْرَبِينَ

  215. وَاخْفِضْ جَنَاحَكَ لِمَنِ اتَّبَعَكَ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ

  216. فَإِنْ عَصَوْكَ فَقُلْ إِنِّي بَرِيءٌ مِمَّا تَعْمَلُونَ

  217. وَتَوَكَّلْ عَلَى الْعَزِيزِ الرَّحِيمِ

  218. الَّذِي يَرَاكَ حِينَ تَقُومُ

  219. وَتَقَلُّبَكَ فِي السَّاجِدِينَ

  220. إِنَّهُ هُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ

  221. هَلْ أُنَبِّئُكُمْ عَلَىٰ مَنْ تَنَزَّلُ الشَّيَاطِينُ

  222. تَنَزَّلُ عَلَىٰ كُلِّ أَفَّاكٍ أَثِيمٍ

  223. يُلْقُونَ السَّمْعَ وَأَكْثَرُهُمْ كَاذِبُونَ

  224. وَالشُّعَرَاءُ يَتَّبِعُهُمُ الْغَاوُونَ

  225. أَلَمْ تَرَ أَنَّهُمْ فِي كُلِّ وَادٍ يَهِيمُونَ

  226. وَأَنَّهُمْ يَقُولُونَ مَا لَا يَفْعَلُونَ

  227. إِلَّا الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ وَذَكَرُوا اللَّهَ كَثِيرًا وَانْتَصَرُوا مِنْ بَعْدِ مَا ظُلِمُوا ۗ وَسَيَعْلَمُ الَّذِينَ ظَلَمُوا أَيَّ مُنْقَلَبٍ يَنْقَلِبُونَ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Taa-Seeen-Meeem

  2. Tilka Aayaatul Kitaabil Mubeen

  3. La'allaka baakhi'un nafsaka allaa yakoonoo mu'mineen

  4. In nashaa nunazzil 'alaihim minas samaaa'i Aayatan fazallat a'naaquhum lahaa khaadi'een

  5. Wa maa yaateehim min zikrim minar Rahmaani muhdasin illaa kaanoo 'anhu mu'rideen

  6. Faqad kazzaboo fasa yaateehim ambaaa'u maa kaanoo bihee yastahzi'oon

  7. Awa lam yaraw ilal ardi kam ambatnaa feehaa min kulli zawjin kareem

  8. Inna fee zaalika la Aayah; wa maa kaana aksaruhum mu'mineen

  9. Wa inna Rabbaka la Huwal 'Azeezur Raheem (section 1)

  10. Wa iz naadaa Rabbuka Moosaaa ani'-til qawmaz zaalimeen

  11. Qawma Fir'awn; alaa yattaqoon

  12. Qaala Rabbi inneee akhaafu ai yukazziboon

  13. Wa yadeequ sadree wa laa yantaliqu lisaanee fa arsil ilaa Haaroon

  14. Wa lahum 'alaiya zambun fa akhaafu ai yaqtuloon

  15. Qaala kallaa fazhabaa bi Aayaatinaaa innaa ma'akum mustami'oon

  16. Faatiyaa Fir'awna faqoolaaa innaa Rasoolu Rabbil 'aalameen

  17. An arsil ma'anaa Baneee Israaa'eel

  18. Qaala alam nurabbika feenaa waleedanw wa labista feenaa min 'umurika sineen

  19. Wa fa'alta fa'latakal latee fa'alta wa anta minal kaafireen

  20. Qaala fa'altuhaaa izanw wa ana minad daaaleen

  21. Fafarartu minkum lam maa khiftukum fawahaba lee Rabbee hukmanw wa ja'alanee minal mursaleen

  22. Wa tilka ni'matun tamun nuhaa 'alaiya an 'abbatta Baneee Israaa'eel

  23. Qaala Fir'awnu wa maa Rabbul 'aalameen

  24. Qaala Rabbus samaawaati wal ardi wa maa bainahumaa in kuntum mooqineen

  25. Qaala liman hawlahooo alaa tastami'oon

  26. Qaala Rabbukum wa Rabbu aabaaa'ikumul awwaleen

  27. Qaala inna Rasoolakumul lazee ursila ilaikum lamajnoon

  28. Qaala Rabbul mashriqi wal maghribi wa maa baina humaa in kuntum ta'qiloon

  29. Qaala la'init takhazta ilaahan ghairee la aj'alannaka minal masjooneen

  30. Qaala awalaw ji'tuka bishai'im mubeen

  31. Qaala faati biheee in kunta minas saadiqeen

  32. Fa alqaa 'asaahu fa izaaa hiya su'baanum mubeen

  33. Wa naza'a yadahoo faizaa hiya baidaaa'u linnaa zireen (section 2)

  34. Qaala lilmala-i hawlahooo inna haazaa lasaahirun 'aleem

  35. Yureedu ai yukhrijakum min ardikum bisihrihee famaazaa taamuroon

  36. Qaalooo arjih wa akhaahu wab'as filmadaaa'ini haashireen

  37. Yaatooka bikulli sah haarin 'aleem

  38. Fa jumi'as saharatu limeeqaati Yawmim ma'loom

  39. Wa qeela linnaasi hal antum mujtami'oon

  40. La'allanaa nattabi'us saharata in kaanoo humul ghaalibeen

  41. Falammaa jaaa'as saharatu qaaloo li Fir'awna a'inna lanaa la ajjran in kunnaa nahnul ghaalibeen

  42. Qaala na'am wa innakum izal laminal muqarrabeen

  43. Qaala lahum Moosaaa alqoo maaa antum mulqoon

  44. Fa alqaw hibaalahum wa 'isiyyahum wa qaaloo bi'izzati Fir'awna innaa lanahnul ghaaliboon

  45. Fa alqaa Moosaa 'asaahu fa izaa hiya talqafu maa yaafikoon

  46. Fa ulqiyas saharatu saajideen

  47. Qaalooo aamannaa bi Rabbil 'aalameen

  48. Rabbi Moosaa wa Haaroon

  49. Qaala aamantum lahoo qabla an aazana lakum innahoo lakabeerukumul lazee 'alla makumus sihra falasawfa ta'lamoon; la uqatti'anna aidiyakum wa arjulakum min khilaafinw wa la usallibanna kum ajma'een

  50. Qaaloo la daira innaaa ilaa Rabbinaa munqalliboon

  51. Innaa natma'u ai yaghfira lanaa Rabbunaa khataa yaanaaa an kunnaaa awwalal mu'mineen (section 3)

  52. Wa awhainaaa ilaa Moosaaa an asri bi'ibaadeee innakum muttaba'oon

  53. Fa arsala Fir'awnu filmadaaa'ini haashireen

  54. Inna haaa'ulaaa'i lashir zimatun qaleeloon

  55. Wa innahum lanaa laghaaa'izoon

  56. Wa innaa lajamee'un haaziroon

  57. Fa akhrajnaahum min Jannaatinw wa 'uyoon

  58. Wa kunoozinw wa ma qaamin kareem

  59. Kazaalika wa awrasnaahaa Baneee Israaa'eel

  60. Fa atba'oohum mushriqeen

  61. Falammaa taraaa'al jam'aani qaala as haabu Moosaaa innaa lamudrakoon

  62. Qaala kallaaa inna ma'iya Rabbee sa yahdeen

  63. Fa awhainaaa ilaa Moosaaa anidrib bi'asaakal bahra fanfalaqa fakaana kullu firqin kattawdil 'azeem

  64. Wa azlafnaa sammal aakhareen

  65. Wa anjainaa Moosaa wa mam ma'ahooo ajma'een

  66. Summa aghraqnal aakhareen

  67. Inna fee zaalika la Aayaah; wa maa kaana aksaru hu mu'mineen

  68. Wa inna Rabbaka la Huwal 'Azeezur Raheem (section 4)

  69. Watlu 'alaihim naba-a Ibraaheem

  70. Iz qaala li abeehi wa qawmihee maa ta'budoon

  71. Qaaloo na'budu asnaaman fanazallu lahaa 'aakifeen

  72. Qaala hal yasma'oona kum iz tad'oon

  73. Aw yanfa'oonakum aw yadurroon

  74. Qaaloo bal wajadnaaa aabaaa 'anaa kazaalika yaf'aloon

  75. Qaala afara 'aitum maa kuntum ta'budoon

  76. Antum wa aabaaa'ukumul aqdamoon

  77. Fa innahum 'aduwwwul leee illaa Rabbal 'aalameen

  78. Allazee khalaqanee fa Huwa yahdeen

  79. Wallazee Huwa yut'imunee wa yasqeen

  80. Wa izaa maridtu fahuwa yashfeen

  81. Wallazee yumeetunee summa yuhyeen

  82. Wallazeee atma'u ai yaghfira lee khateee' atee Yawmad Deen

  83. Rabbi hab lee hukmanw wa alhiqnee bis saaliheen

  84. Waj'al lee lisaana sidqin fil aakhireen

  85. Waj'alnee minw warasati Jannnatin Na'eem

  86. Waghfir li abeee innahoo kaana mind daalleen

  87. Wa laa tukhzinee Yawma yub'asoon

  88. Yawma laa yanfa'u maalunw wa laa banoon

  89. Illaa man atal laaha biqalbin saleem

  90. Wa uzlifatil Jannatu lilmuttaqeen

  91. Wa burrizatil Jaheemu lilghaaween

  92. Wa qeela lahum aina maa kuntum ta'budoon

  93. Min doonil laahi hal yansuroonakum aw yantasiroon

  94. Fakubkiboo feehaa hum walghaawoon

  95. Wa junoodu Ibleesa ajma'oon

  96. Qaaloo wa hum feehaa yakkhtasimoon

  97. Tallaahi in kunnaa lafee dalaalim mubeen

  98. Iz nusawweekum bi Rabbil 'aalameen

  99. Wa maaa adallanaaa illal mujrimoon

  100. Famaa lanaa min shaa fi'een

  101. Wa laa sadeeqin hameem

  102. Falaw anna lanaa karratan fanakoona minal mu'mineen

  103. Inna fee zaalika la Aayatanw wa maa kaana aksaruhum mu'mineen

  104. Wa inna Rabbaka la Huwal 'Azeezur Raheem (section 5)

  105. Kazzabat qawmu Noohinil Mursaleen

  106. Iz qaala lahum akhoohum Noohun alaa tattaqoon

  107. Innee lakum Rasoolun ameen

  108. Fattaqullaaha wa atee'oon

  109. Wa maaa as'alukum 'alaihi min ajrin in ajriya illaa 'alaa Rabbil 'aalameen

  110. Fattaqul laaha wa atee'oon

  111. Qaalooo anu'minu laka wattaba 'akal arzaloon

  112. Qaala wa maa 'ilmee bimaa kaanoo ya'maloon

  113. In hisaabuhum illaa 'alaa Rabbee law tash'uroon

  114. Wa maaa ana bitaaridil mu'mineen

  115. In ana illaa nazeerum mubeen

  116. Qaaloo la'il lam tantahi yaa Noohu latakoonanna minal marjoomeen

  117. Qaala Rabbi inna qawmee kazzaboon

  118. Faftab bainee wa bai nahum fat hanw wa najjinee wa mam ma'iya minal mu'mineen

  119. Fa anjainaahu wa mamma'ahoo fil fulkil mashhoon

  120. Summa aghraqnaa ba'dul baaqeen

  121. Inna fee zaalika la Aayaah; wa maa kaana aksaruhum mu'mineen

  122. Wa inna Rabbaka la huwal 'Azeezur Raheem (section 6)

  123. Kazzabat 'Aadunil mursaleen

  124. Iz qaala lahum akhoohum Hoodun alaa tattaqoon

  125. Innee lakum Rasoolun ameen

  126. Fattaqullaaha wa atee'oon

  127. Wa maa as'alukum 'alaihi min ajrin in ajriya illaa 'alaa Rabbil 'aalameen

  128. Atabnoona bikulli ree'in aayatan ta'basoon

  129. Wa tattakhizoona masaani'a la'allakum takhludoon

  130. Wa izaa batashtum batashtum jabbaareen

  131. Fattaqul laaha wa atee'oon

  132. Wattaqul lazeee amad dakum bimaa ta'lamoon

  133. Amaddakum bi an'aa minw wa baneen

  134. Wa jannaatinw wa 'uyoon

  135. Innee akhaafu 'alaikum 'azaaba Yawmin 'azeem

  136. Qaaloo sawaaa'un 'alainaaa awa 'azta am lam takum minal waa'izeen

  137. In haazaaa illaa khuluqul awwaleen

  138. Wa maa nahnu bimu 'azzabeen

  139. Fakazzaboohu fa ahlaknaahum; inna fee zaalika la aayah; wa maa kaana aksaruhum mu'mineen

  140. Wa inna Rabbaka la huwal 'Azeezur Raheem (section 7)

  141. Kazzabat Samoodul mursaleen

  142. Iz qaala lahum akhoohum Saalihun alaa tattaqoon

  143. Innee lakum Rasoolun ameen

  144. Fattaqul laaha wa atee'oon

  145. Wa maaa as'alukum 'alaihi min ajrin in ajriya illaa 'alaa Rabbil 'aalameen

  146. Atutrakoona fee maa haahunnaaa aamineen

  147. Fee jannaatinw wa 'uyoon

  148. Wa zuroo inw wa nakhlin tal 'uhaa hadeem

  149. Wa tanhitoona minal jibaali buyootan faariheen

  150. Fattaqul laaha wa atee'oon

  151. Wa laa tutee'ooo amral musrifeen

  152. Allazeena yufsidoona fil ardi wa laa yuslihoon

  153. Qaalooo innamaa anta minal musahhareen

  154. Maaa anta illaa basharum mislunaa faati bi Aayatin in kunta minas saadiqeen

  155. Qaala haazihee naaqatul lahaa shirbunw walakum shirbu yawmim ma'loom

  156. Wa laa tamassoohaa bisooo'in fa yaakhuzakum 'azaabu Yawmin 'Azeem

  157. Fa'aqaroohaa fa asbahoo naadimeen

  158. Fa akhazahumul 'azaab; inna fee zaalika la Aayah; wa maa kaana aksaruhum mu'mineen

  159. Wa inna Rabbaka la Huwal 'Azeezur Raheem (section 8)

  160. kazzabat qawmu Lootinil mursaleen

  161. Iz qaala lahum akhoohum Lootun alaa tattaqoon

  162. Innee lakum rasoolun ameen

  163. Fattaqul laaha wa atee'oon

  164. Wa maaa as'alukum 'alaihi min ajrin in ajriya illaa 'alaa Rabbil 'aalameen

  165. Ataatoonaz zukraana minal 'aalameen

  166. Wa tazaroona maa khalaqa lakum Rabbukum min azwaajikum; bal antum qawmun 'aadoon

  167. Qaloo la'il lam tantahi yaa Lootu latakoonanna minal mukhrajeen

  168. Qaala innee li'amalikum minal qaaleen

  169. Rabbi najjjinee wa ahlee mimmmaa ya'maloon

  170. Fanajjainaahu wa ahlahooo ajma'een

  171. Illaa 'ajoozan filghaabireen

  172. Summa dammarnal aa khareen

  173. Wa amtarnaa 'alaihim mataran fasaaa'a matarul munzareen

  174. Inna fee zaalika la Aayah; wa maa kaana aksaruhum mu'mineen

  175. Wa inna Rabbaka la Huwal 'Azeezur Raheem (section 9)

  176. Kazzaba As haabul Aykatil mursaleen

  177. Iz qaala lahum Shu'aybun alaa tattaqoon

  178. Innee lakum Rasoolun ameen

  179. Fattaqul laaha wa atee'oon

  180. Wa maaa as'alukum 'alaihi min ajrin in ajriya illaa 'alaa Rabbil 'aalameen

  181. Awful kaila wa laa takoonoo minal mukhsireen

  182. Wa zinoo bilqistaasil mustaqeem

  183. Wa laa tabkhasun naasa ashyaaa 'ahum wa laa ta'saw fil ardi mufsideen

  184. Wattaqul lazee khalaqakum waljibillatal awwaleen

  185. Qaalooo innamaa anta minal musahhareen

  186. Wa maaa anta illaa basharum mislunaa wa innazunnuka laminal kaazibeen

  187. Fa asqit 'alainaa kisafam minas samaaa'i in kunta minas saadiqeen

  188. Qaala Rabbeee a'lamu bimaa ta'maloon

  189. Fakazzaboohu fa akhazahum 'azaabu Yawmiz zullah; innahoo kaana 'azaaba Yawmin 'Azeem

  190. Inna fee zaalika la Aayah; wa maa kaana aksaruhum mu'mineen

  191. Wa inna Rabbaka la huwal 'Azeezur Raheem (section 10)

  192. Wa innahoo latanzeelu Rabbil 'aalameen

  193. Nazala bihir Roohul Ameen

  194. 'Alaa qalbika litakoona minal munzireen

  195. Bilisaanin 'Arabiyyim mubeen

  196. Wa innahoo lafee Zuburil awwaleen

  197. Awalam yakul lahum Aayatan ai ya'lamahoo 'ulamaaa'u Baneee Israaa'eel

  198. Wa law nazzalnaahu 'alaa ba'dil a'jameen

  199. Faqara ahoo 'alaihim maa kaanoo bihee mu'mineen

  200. Kazaalika salaknaahu fee quloobil mujrimeen

  201. Laa yu'minoona bihee hattaa yarawul 'azaabal aleem

  202. Fayaatiyahum baghtatanw wa hum laa yash'uroon

  203. Fa yaqooloo hal nahnu munzaroon

  204. Afabi 'azaabinaa yasta'jiloon

  205. Afara'aita im matta'naahum sineen

  206. Summa jaaa'ahum maa kaanoo yoo'adoon

  207. Maaa aghnaaa 'anhum maa kaanoo yumatta'oon

  208. Wa maaa ahlaknaa min qaryatin illaa lahaa munziroon

  209. Zikraa wa maa kunnaa zaalimeen

  210. Wa maa tanazzalat bihish Shayaateen

  211. Wa maa yambaghee lahum wa maa yastatee'oon

  212. Innahum 'anis sam'i lama'zooloon

  213. Falaa tad'u ma'al laahi ilaahan aakhara fatakoona minal mu'azzabeen

  214. Wa anzir 'asheeratakal aqrabeen

  215. Wakhfid janaahaka limanit taba 'aka minal mu'mineen

  216. Fa in asawka faqul innee bareee'um mimmmaa ta'maloon

  217. Wa tawakkal alal 'Azeezir Raheem

  218. Allazee yaraaka heena taqoom

  219. Wa taqallubaka fis saajideen

  220. Innahoo Huwas Samee'ul 'Aleem

  221. Hal unabbi'ukum 'alaa man tanazzalush Shayaateen

  222. Tanazzalu 'alaa kulli affaakin aseem

  223. Yulqoonas sam'a wa aksaruhum kaaziboon

  224. Washshu 'araaa'u yattabi 'uhumul ghaawoon

  225. Alam tara annahum fee kulli waadiny yaheemoon

  226. Wa annahum yaqooloona ma laa yaf'aloon

  227. Illal lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati wa zakarul laaha kaseeranw wantasaroo min ba'di maa zulimoo; wa saya'lamul lazeena zalamooo aiya munqalabiny yanqaliboon (section 11)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Taa seen Meem

2. Yeh kitaab e Mubeen ki aayaat hain,

3. (Aey Muhammad), shayad tum is gham (grief) mein apni jaan kho dogey ke yeh log iman nahin latey.

4. Hum chahein to aasmaan se aisi nishani naazil kar sakte hain ke inki gardanein iske aage jhuk jayein.

5. In logon ke paas rehman ki taraf se jo nayi naseehat bhi aati hai yeh us se mooh moad lete hain.

6. Ab ke yeh jhutla chuke hain, ankareeb inko is cheez ki haqeeqat (mukhtalif tareeqon se) maloom ho jayegi jiska yeh mazaaq udatay rahe hain.

7. Aur kya inhon ne kabhi zameen par nigaah nahin daali ke humne kitni kaseer miqdaar mein har tarah ki umdah nabataat(vegetation) is mein paida ki hain?

8. Yaqeenen is mein ek nishani hai, magar in mein se aksar maanne wale nahin.

9. Aur haqeeqat yeh hai ke tera Rubb zabardast bhi hai aur raheem bhi.

10. Inhein us waqt ka qissa sunao jabke tumhare Rubb ne Moosa ko pukara “ zalim qaum ke paas jaa,

11. Firoun ki qaum ke paas, kya woh nahin darte?”

12. Usne arz kiya “aey Rubb, mujhe khauf hai ke woh mujhe jhutla denge.

13. Mera seena ghutt-ta hai aur meri zubaan nahin chalti, aap Haroon ki taraf risalat bhejein.

14. Aur mujhpar unke haan ek jurm ka ilzam bhi hai, is liye main darta hoon ke woh mujhe qatal kar denge”

15. Farmaya “hargiz nahin, tum dono jao hamari nishaniyan lekar, hum tumhare saath sab kuch suntey rahenge.

16. Firoun ke paas jao aur us se kaho, humko Rubb ul aalameen ne is liye bheja hai

17. Ke tu bani Israel ko hamare saath jaane de”

18. Firoun ne kaha “kya humne tujhko apne haan baccha sa nahin paala tha? Tu ne apni umar ke kai saal hamare haan guzare.

19. Aur iske baad kar gaya jo kuch ke kar gaya, tu bada ehsan faramosh aadmi hai”.

20. Moosa ne jawab diya “us waqt woh kaam maine nadanishtagi (inadvertently) mein kardiya tha.

21. Phir main tumhare khauf se bhaag gaya. Iske baad mere Rubb ne mujhko hukm ata kiya aur mujhe Rasoolon mein shamil farma liya.

22. Raha tera ehsan jo tu ne mujhpar jataya hai to iski haqeeqat yeh hai ke tu ne bani Israel ko ghulaam bana liya tha”.

23. Firoun ne kaha “aur yeh Rubb-ul-Aalameen kya hota hai?”

24. Moosa ne jawab diya “Aasmano aur zameen ka Rubb, aur un sab cheezon ka Rubb jo aasmaan o zameen ke darmiyan hain, agar tum yaqeen laane wale ho.”

25. Firoun ne apne gird o pesh ke logon se kaha ‘Sunte ho?”

26. Moosa ne kaha, “tumhara Rubb bhi aur tumhare un aabaa o ajdaad ka Rubb bhi jo guzar chuke hain”

27. Firoun ne (haazirin se) kaha “ tumhare yeh Rasool sahib jo tumhari taraf bhejey gaye hain, bilkul hi pagal maloom hotay hain”.

28. Moosa ne kaha “mashriq o magrib aur jo kuch inke darmiyan hai sabka Rubb, agar aap log kuch aqal rakhte hain”

29. Firoun ne kaha “ agar tu ne mere siwa kisi aur ko mabood maana to tujhey main un logon mein shamil kardunga jo qaid khano mein paday saddh (rotting) rahe hain”

30. Moosa ne kaha “Agarche main le aaon tere saamne ek sareeh cheez bhi?”

31. Firoun ne kaha “Accha to le aa agar tu saccha hai”

32. (Uski zubaan se yeh baat nikalte hi) Moosa ne apna asa (staff) phenka aur yakayak woh ek sareeh azdaha (serpant/snake) tha.

33. Phir usne apna hath (bagal se) kheencha aur woh sab dekne walon ke saamne chamak raha tha.

34. Firoun apne gird o pesh ke sardaron se bola “yeh shaks yaqeenan ek maahir jaadugar hai.

35. Chahta hai ke apne jaadu ke zoar se tumko tumhare mulk se nikal de, ab tum batao tum kya hukm dete ho?”

36. Unhon ne kaha “ isey aur iske bhai ko roak lijiye aur shehron mein harkare (heralds) bhej dijiye.

37. Ke har siyane jaadugar ko aapke paas le aayein”

38. Chunanchey ek roz muqarrar waqt par jaadugar ikatthey karliye gaye.

39. Aur logon se kaha gaya “tum ijtima mein chaloge?

40. Shayad ke hum jaadugaron ke deen hi par reh jayein agar woh gaalib rahe”

41. Jab jaadugar maidan mein aa gaye to unhon ne Firoun se kaha “humein inaam to milega agar hum gaalib rahe?”

42. Usne kaha “ haan, aur tum to us waqt muqarrabeen (nearest to me) mein shamil ho jaaoge”

43. Moosa ne kaha “ phenko jo tumhein phenkna hai”

44. Unhon ne fawran apni rassiyan aur laathiyan phenk di aur bole “ Firoun ke iqbal se hum hi gaalib rahenge.”

45. Phir Moosa ne apna asa (staff) phenka to yakayak woh unke jhootey karishmon ko hadap karta chala jaa raha tha.

46. Ispar saare jaadugar be-ikhtiyar sajde mein gir paday.

47. Aur bol uthey ke “ maan gaye hum Rubb-ul-Aalameen ko.

48. Moosa aur Haroon ke Rubb ko”

49. Firoun ne kaha “tum Moosa ki baat maan gaye qabl iske ke main tumhein ijazat deta! Zaroor yeh tumhara bada hai jisne tumhein jaadu sikhaya hai. Accha, abhi tumhein maloom hua jata hai, main tumhare haath paon mukhalif simton (opposite sides) mein katwaunga aur tum sabko sooli (crucify) chadha dunga”

50. Unhon ne jawab diya “kuch parwah nahin, hum apne Rubb ke huzur pahunch jayenge.

51. Aur humein tawaqqu hai ke hamara Rubb hamare gunaah maaf kardega kyunke sabse pehle hum iman laye hain”.

52. Humne Moosa ko wahee (revelation) bhejhi ke “raat o raat mere bandon ko lekar nikal jao, tumhara peecha kiya jayega”

53. Ispar Firoun ne (Faujein jama karne ke liye) shehron mein naqeeb (heralds) bhej diye.

54. (aur kehla bheja) ke “yeh kuch mutthi bhar log hain

55. Aur inhon ne humko bahut naraaz kiya hai.

56. Aur hum ek aisi jamaat hain jiska shewa har waqt chokanna rehna hai”

57. Is tarah hum unhein unke baaghon aur chashmon (water –springs)

58. Aur khazano aur unki behtareen qayam-gaahon se nikal laaye.

59. Yeh to hua unke saath aur (dusri taraf) bani Israel ko humne in sab cheezon ka waris kardiya.

60. Subah hote hi yeh log unke taaqub (pursuit) mein chal paday.

61. Jab dono girohon ka aamna saamna hua to Moosa ke saathi cheekh utthey ke “ hum to pakde gaye”

62. Moosa ne kaha “ hargiz nahin mere saath mera Rubb hai, woh zaroor meri rehnumayi farmayega”.

63. Humne Moosa ko wahee ke zariye se hukm diya ke “maar apna asa (staff) samandar par” yakayak samandar phatt gaya aur uska har tukda ek azeem o shaan pahad ki tarah ho gaya.

64. Usi jagah hum dusre giroh ko bhi kareeb le aaye.

65. Moosa aur un sab logon ko jo uske saath thay humne bacha liya.

66. Aur dusron ko garq (duba/drown) kardiya.

67. Is waqiye mein ek nishani hai, magar in logon mein se aksar maanne wale nahin hain?

68. Aur haqeeqat yeh hai ke tera Rubb zabardast bhi hai aur raheem bhi.

69. Aur inhein Ibrahim ka qissa sunao.

70. Jabke usne apne baap aur apni qaum se pucha tha ke “yeh kya cheezein hain jinko tum poojhte ho?”

71. Unhon ne jawab diya “ kuch buth (idols/murtiyan) hain jinki hum pooja karte hain aur inhi ki sewa mein hum lage rehte hain”

72. Usne pucha “kya yeh tumhari sunte hain jab tum inhein pukarte ho?

73. Ya yeh tumhein kuch nafaa ya nuqsaan pahunchate hain?”

74. Unhon ne jawab diya “ nahin , balke humne apne baap dada ko aisa hi karte paya hai”

75. Ispar Ibrahim ne kaha “ kabhi tumne (aankhein khol kar) un cheezon ko dekha bhi jinki bandagi tum,

76. Aur tumhare pichle baap dada baja latey rahe?

77. Mere to yeh sab dushman hain, bajuz ek Rubb ul aalameen ke,

78. Jisne mujhe paida kiya, phir wahi meri rehnumayi farmata hai,

79. Jo mujhe khilata aur pilata hai,

80. Aur jab main bimar ho jata hoon to wahi mujhe shifa deta hai,

81. Jo mujhe maut dega aur phir dobara mujhko zindagi bakshega,

82. Aur jis se main umeed rakhta hoon ke roz e jaza mein woh meri khata maaf farmadega”

83. (iske baad Ibrahim ne dua ki) “Aey mere Rubb, mujhe hukm ata kar aur mujhko salihon (neik logon) ke saath mila,

84. Aur baad ke aane walon mein mujhko sacchi naamwari ata kar,

85. Aur mujhe jannat e naeem ke warison (inheritors) mein shamil farma,

86. Aur mere baap ko maaf karde ke beshak woh gumraah logon mein se hai,

87. Aur mujhe us din ruswa na kar jabke sab log zinda karke uthaye jayenge,

88. Jabke na maal koi faiyda dega na Aulad,

89. Bajuz iske ke koi shaks qalb-e-saleem (sound heart) liye huey Allah ke huzur haazir ho”.

90. (Us roz) jannat parheizgaaron ke qareeb le aayi jayegi.

91. Aur dozakh behke huey logon ke saamne khol di jayegi.

92. Aur unse pucha jayega ke “ab kahan hai woh jinki tum khuda ko chodh kar ibaadat karte thay?

93. Kya woh tumhari kuch madad kar rahe hain ya khud apna bachao kar sakte hain?”

94. Phir woh mabood aur yeh behke huey log,

95. Aur Iblis ke lashkar sabke sab is mein upar taley dhakail diye jayenge.

96. Wahan yeh sab aapas mein jhagdenge aur yeh behke huey log (apne maboodon se) kahenge.

97. Ke “khuda ki qasam , hum to sareeh gumraahi mein mubtala thay.

98. Jabke tumko Rubb ul Aalameen ki barabari ka darja de rahe thay,

99. Aur woh mujrim log hi thay jinhon ne humko is gumraahi mein dala,

100. Ab na hamara koi sifarishi hai,

101. Aur na koi jigri dost.

102. Kaash humein ek dafa phir palatne ka mauqa mil jaaye to hum momin hon”.

103. Yaqeenan is mein ek badi nishani hai, magar in mein se aksar log iman laane wale nahin.

104. Aur haqeeqat yeh hai ke tera Rubb zabardast bhi hai aur raheem bhi.

105. Qaum e Nooh ne Rasoolon ko jhutlaya

106. Yaad karo jabke unke bhai Nooh ne unse kaha tha “kya tum darte nahin ho?

107. Main tumhare liye ek amaanat daar Rasool hoon.

108. Lihaza tum Allah se daro aur meri itaat karo.

109. Main is kaam par tumse kisi ajar ka talib nahin hoon, mera ajar to Rabbul Aalameen ke zimme hai.

110. Pas tum Allah se daro aur (be khatke) meri itaat karo”

111. Unhon ne jawab diya “kya hum tujhey maan lein halaanke teri pairwi razil-tareen (lowest/meanest) logon ne ikhtiyar ki hai?”

112. Nooh ne kaha “main kya jaanu ke unke amal kaise hain.

113. Unka hisaab to mere Rubb ke zimme hai, kaash tum kuch shaoor se kaam lo.

114. Mera yeh kaam nahin hai ke jo iman layein unko main dhutkaar doon.

115. Main to bas ek saaf saaf mutanabbeh (warn) kardene wala aadmi hoon”

116. Unhon ne kaha “Aey Nooh , agar tu baaz na aaya to phitkare huey logon mein shamil hokar rahega”

117. Nooh ne dua ki “Aey mere Rubb, meri qaum ne mujhe jhutla diya.

118. Ab mere aur unke darmiyan do-toak faisla karde aur mujhe aur jo momin mere saath hain inko najaat de”.

119. Aakhir e kaar humne usko aur uske saathiyon ko ek bhari hui kashti mein bacha liya.

120. Aur uske baad baki logon ko garq (drown) kardiya.

121. Yaqeenan is mein ek nishani hai, magar inmein se aksar log maanne wale nahin.

122. Aur haqeeqat yeh hai ke tera Rubb zabardast bhi hai aur raheem bhi.

123. Aad ne Rasoolon ko jhutlaya.

124. Yaad karo jabke unke bhai Hood ne unse kaha tha “kya tum darte nahin?

125. Main tumhare liye ek amaanat-daar Rasool hoon.

126. Lihaza tum Allah se daro aur meri itaat karo.

127. Main is kaam par tumse kisi ajar ka talib nahin hoon, mera ajar to Rabbul Aalameen ke zimme hai.

128. Yeh tumhara kya haal hai ke har unchey muqaam par la haasil ek yaadgaar imarat bana daalte ho.

129. Aur badey badey qasar (huge castles) taamir karte ho goya tumhein hamesha rehna hai.

130. Aur jab kisi par haath daalte ho jabbar ban kar daalte ho.

131. Pas tum log Allah se daro aur meri itaat karo.

132. Daro us se jisne woh kuch tumhein diya hai jo tum jaante ho.

133. Tumhein jaanwar diye, auladein di.

134. Baagh diye aur chashme (water-springs) diye.

135. Mujhe tumhare haqq mein ek badey din ke azaab ka darr hai”

136. Unhon ne jawaab diya “ tu naseehat kar ya na kar, hamare liye yaksan hai.

137. Yeh baatein to yunhi hoti chali aayi hain.

138. Aur hum azaab mein mubtala hone wale nahin hain”.

139. Aakhir e kaar unhon ne usey jhutla diya aur humne unko halaak kardiya. Yaqeenan is mein ek nishani hai, magar inmein se aksar log maanne wale nahin hai.

140. Aur haqeeqat yeh hai ke tera Rubb zabardast bhi hai aur raheem bhi.

141. Samood ne Rasoolon ko jhutlaya.

142. Yaad karo jabke unke bhai Saleh ne unse kaha “kya tum darte nahin?

143. Main tumhare liye ek amaanat-daar Rasool hoon.

144. Lihaza tum Allah se daro aur meri itaat karo.

145. Main is kaam par tumse kisi ajar ka talib nahin hoon, mera ajar to Rabbul aalameen ke zimme hai.

146. Kya tum un sab cheezon ke darmiyan, jo yahan hain, bas yunhi itminaan se rehne diye jaaoge?

147. In baaghon (gardens) aur chasmon mein?

148. In kheton aur nakhlistano (date-groves) mein jinke khosey rass bhare hain?

149. Tum pahad khodh khodh kar fakhariya (proudly) un mein imaratein banate ho.

150. Allah se daro aur meri itaat karo.

151. Un bay-lagaam logon ki itaat na karo,

152. Jo zameen mein fasaad barpa karte hain aur koi islaah nahin karte”.

153. Unhon ne jawab diya “tu mehaz ek sehar-zadah (affected by magic) aadmi hai

154. Tu hum jaise ek Insan ke siwa aur kya hai, laa koi nishani agar tu saccha hai”.

155. Saleh ne kaha “yeh ountni (she-camel) hai ek din iske peene ka hai aur ek din tum sab ke pani lenay ka.

156. Isko hargiz na chedhna (molest) warna ek badey din ka azaab tumko aa lega”

157. Magar unhon ne iski kunchein kaat di (hamstrung her) aur aakhir-e-kaar pachtate reh gaye.

158. Azaab ne unhein aa liya, yaqeenan is mein ek nishani hai, magar in mein se aksar maanne wale nahin.

159. Aur haqeeqat yeh hai ke tera Rubb zabardast bhi hai aur raheem bhi.

160. Lut ki qaum ne Rasoolon ko jhutlaya.

161. Yaad karo jabke unke bhai Lut ne unse kaha tha “kya tum darte nahin?

162. Main tumhare liye ek amanat-daar Rasool hoon.

163. Lihaza tum Allah se daro aur meri itaat karo.

164. Main is kaam par tumse kisi ajar ka talib nahin hoon, mera ajar to Rabbul aalameen ke zimme hai.

165. Kya tum duniya ki makhlooq mein se Mardon ke paas jaate ho.

166. Aur tumhari biwiyon mein tumhare Rubb ne tumhare liye jo kuch paida kiya hai usey chodh dete ho? Balke tum log to hadd se hi guzar gaye ho.”

167. Unhon ne kaha “ aey Lut” agar tu in baaton se baaz na aaya to jo log hamari bastiyon se nikale gaye hain unmein tu bhi shamil hokar rahega”.

168. Usne kaha “tumhare kartooton par jo log kudd (abhor/detest) rahe hain main un mein shamil hoon.

169. Aey parwardigar, mujhe aur mere ehal-o-ayaal (gharwalon) ko inki badkirdariyon se najaat de”

170. Aakhir e kaar humne usey aur uske sab ehal-o-ayaal ko bacha liya,

171. Bajuz ek budiya ke jo pichey reh jaane walon mein se thi.

172. Phir baki maanda logon ko humne tabaah kardiya.

173. Aur unpar barsayi ek barsaat, badi hi buri baarish thi jo un daraye jaane walon par naazil hui.

174. Yaqeenan is mein ek nishani hai, magar inmein se aksar maanne wale nahin.

175. Aur haqeeqat yeh hai ke tera Rubb zabardast bhi hai aur raheem bhi.

176. Ashaab-ul-Aiyqah ne Rasoolon ko jhutlaya.

177. Yaad karo jabke Shoaib ne unse kaha tha “kya tum darte nahin?

178. Main tumhare liye ek amanat-daar Rasool hoon.

179. Lihaza tum Allah se daro aur meri itaat karo.

180. Main is kaam par tumse kisi ajar ka talib nahin hoon, mera ajar to Rabbul aalameen ke zimme hai.

181. Paimane theek bharo (Give full measure) aur kisi ko ghaata (less) na do.

182. Saheeh tarazu se tolo,

183. Aur logon ko unki cheezein kam na do, zameen mein fasaad na phaylate phiro.

184. Aur us zaat ka khauf karo jisne tumhein aur guzishta nasalon ko paida kiya hai.”

185. Unhon ne kaha “tu mehaz ek sehar zadah(affected by magic) aadmi hai.

186. Aur tu kuch nahin magar ek Insan hum hi jaisa, aur hum to tujhey bilkul jhoota samajhte hain.

187. Agar tu saccha hai to humpar aasmaan ka koi tukda gira de”

188. Shoaib ne kaha “ mera Rubb jaanta hai jo kuch tum kar rahe ho”

189. Unhon ne usey jhutla diya, aakhir-e-kaar chatri wale din (Day of Canopy) ka azaab unpar aa gaya, aur woh badey hi khauf-naak din ka azaab tha.

190. Yaqeenan is mein ek nishani hai, magar in mein se aksar log maanne wale nahin.

191. Aur haqeeqat yeh hai ke tera Rubb zabardast bhi hai aur raheem bhi.

192. Yeh Rabbul Aalameen ki naazil karda cheez hai.

193. Isey lekar tere dil par amanat-daar rooh utri hai.

194. Taa-ke tu un logon mein shamil ho jo (khuda ki taraf se khalq-e-khuda ko) mutanabbeh (warn) karne wale hain.

195. Saaf saaf arabi zubaan mein.

196. Aur agle logo ki kitaabon mein bhi yeh maujood hai.

197. Kya in (ehle Makkah) ke liye yeh koi nishani nahin hai ke isey ulema-e-bani Israel jaante hain?

198. (Lekin inki hatdarmi ka haal yeh hai ke) agar hum isey kisi ajami (non-arab) par bhi naazil kardete.

199. Aur yeh (faseeh arabi kalaam) woh inko padh kar sunata tab bhi yeh maan kar na dete.

200. Isi tarah humne is (zikr) ko mujrimon ke dilon mein guzara hai.

201. Woh ispar iman nahin latey jab tak azaab e aleem na dekh lein.

202. Phir jab woh be-khabari mein unpar aa padta hai.

203. Us waqt kehte hain “ke kya ab humein kuch mohalat mil sakti hai?”

204. To kya yeh log hamare azab ke liye jaldi macha rahe hain?

205. Tumne kuch gaur kiya , agar hum inhein barason tak aish karne ki mohalat bhi de dein,

206. Aur phir wahi cheez unpar aa jaaye jis se inhein daraya jaa raha hai.

207. To woh saamaan-e-zeist (provisions of life) jo unko mila hua hai inke kis kaam aayega?

208. (Dekho) humne kabhi kisi basti ko iske bagair halaak nahin kiya ke uske liye khabardaar karne wale haqq e naseehat ada karne ko maujood thay.

209. Aur hum zalim na thay.

210. Is (kitaab e mubeen) ko shayateen lekar nahin utray hain.

211. Na yeh kaam unko sajta hai, aur na woh aisa kar hi sakte hain.

212. Woh to iski samaat (hearing) tak se door rakkhe gaye hain.

213. Pas (aey Muhammad), Allah ke saath kisi dusre mabood ko na pukaro, warna tum bhi saza paaney walon mein shamil ho jaaoge.

214. Apne qareeb-tareen rishtedaaron ko darao.

215. Aur iman laane walon mein se jo log tumhari pairwi ikhtiyar karein unke saath tawazo (humble/kindness) se pesh aao.

216. Lekin agar woh tumhari nafarmaani karein to unse kehdo ke jo kuch tum karte ho us se main bari-uz-zimma (not responsible) hoon.

217. Aur us zabardast aur raheem par tawakkul (bharosa) karo.

218. Jo tumhein us waqt dekh raha hota hai jab tum uthte ho.

219. Aur sajda guzaar logon mein tumhari naqal o harakat par nigaah rakhta hai.

220. Woh sab kuch sunnay aur jaanne wala hai.

221. Logon, kya main tumhein bataon ke shayateen kis par utra karte hain?

222. Woh har chaal saaz, badhkaar par utra karte hain.

223. Suni sunayi baatein kaano mein phoonkte hain, aur unmein se aksar jhootey hotay hain.

224. Rahe shuaraa (poets), to unke pichey behke huey log chala karte hain.

225. Kya tum dekhte nahin ho ke woh har waadi (valley) mein bhatakte hain.

226. Aur aisi baatein kehte hain jo karte nahin hain.

227. Bajuz un logon ke jo iman laye aur jinhon ne neik amal kiye aur Allah ko kasrat se yaad kiya aur jab unpar zulm kiya gaya to sirf badla le liye, aur zulm karne walon ko anqareeb maloom ho jayega ke woh kis anjaam se do-chaar hotay hain.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments