📖 Surah 25 Al-Furqan Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. تَبَارَكَ الَّذِي نَزَّلَ الْفُرْقَانَ عَلَىٰ عَبْدِهِ لِيَكُونَ لِلْعَالَمِينَ نَذِيرًا

  2. الَّذِي لَهُ مُلْكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَلَمْ يَتَّخِذْ وَلَدًا وَلَمْ يَكُنْ لَهُ شَرِيكٌ فِي الْمُلْكِ وَخَلَقَ كُلَّ شَيْءٍ فَقَدَّرَهُ تَقْدِيرًا

  3. وَاتَّخَذُوا مِنْ دُونِهِ آلِهَةً لَا يَخْلُقُونَ شَيْئًا وَهُمْ يُخْلَقُونَ وَلَا يَمْلِكُونَ لِأَنْفُسِهِمْ ضَرًّا وَلَا نَفْعًا وَلَا يَمْلِكُونَ مَوْتًا وَلَا حَيَاةً وَلَا نُشُورًا

  4. وَقَالَ الَّذِينَ كَفَرُوا إِنْ هَٰذَا إِلَّا إِفْكٌ افْتَرَاهُ وَأَعَانَهُ عَلَيْهِ قَوْمٌ آخَرُونَ ۖ فَقَدْ جَاءُوا ظُلْمًا وَزُورًا

  5. وَقَالُوا أَسَاطِيرُ الْأَوَّلِينَ اكْتَتَبَهَا فَهِيَ تُمْلَىٰ عَلَيْهِ بُكْرَةً وَأَصِيلًا

  6. قُلْ أَنْزَلَهُ الَّذِي يَعْلَمُ السِّرَّ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ إِنَّهُ كَانَ غَفُورًا رَحِيمًا

  7. وَقَالُوا مَالِ هَٰذَا الرَّسُولِ يَأْكُلُ الطَّعَامَ وَيَمْشِي فِي الْأَسْوَاقِ ۙ لَوْلَا أُنْزِلَ إِلَيْهِ مَلَكٌ فَيَكُونَ مَعَهُ نَذِيرًا

  8. أَوْ يُلْقَىٰ إِلَيْهِ كَنْزٌ أَوْ تَكُونُ لَهُ جَنَّةٌ يَأْكُلُ مِنْهَا ۚ وَقَالَ الظَّالِمُونَ إِنْ تَتَّبِعُونَ إِلَّا رَجُلًا مَسْحُورًا

  9. انْظُرْ كَيْفَ ضَرَبُوا لَكَ الْأَمْثَالَ فَضَلُّوا فَلَا يَسْتَطِيعُونَ سَبِيلًا

  10. تَبَارَكَ الَّذِي إِنْ شَاءَ جَعَلَ لَكَ خَيْرًا مِنْ ذَٰلِكَ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ وَيَجْعَلْ لَكَ قُصُورًا

  11. بَلْ كَذَّبُوا بِالسَّاعَةِ ۖ وَأَعْتَدْنَا لِمَنْ كَذَّبَ بِالسَّاعَةِ سَعِيرًا

  12. إِذَا رَأَتْهُمْ مِنْ مَكَانٍ بَعِيدٍ سَمِعُوا لَهَا تَغَيُّظًا وَزَفِيرًا

  13. وَإِذَا أُلْقُوا مِنْهَا مَكَانًا ضَيِّقًا مُقَرَّنِينَ دَعَوْا هُنَالِكَ ثُبُورًا

  14. لَا تَدْعُوا الْيَوْمَ ثُبُورًا وَاحِدًا وَادْعُوا ثُبُورًا كَثِيرًا

  15. قُلْ أَذَٰلِكَ خَيْرٌ أَمْ جَنَّةُ الْخُلْدِ الَّتِي وُعِدَ الْمُتَّقُونَ ۚ كَانَتْ لَهُمْ جَزَاءً وَمَصِيرًا

  16. لَهُمْ فِيهَا مَا يَشَاءُونَ خَالِدِينَ ۚ كَانَ عَلَىٰ رَبِّكَ وَعْدًا مَسْئُولًا

  17. وَيَوْمَ يَحْشُرُهُمْ وَمَا يَعْبُدُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ فَيَقُولُ أَأَنْتُمْ أَضْلَلْتُمْ عِبَادِي هَٰؤُلَاءِ أَمْ هُمْ ضَلُّوا السَّبِيلَ

  18. قَالُوا سُبْحَانَكَ مَا كَانَ يَنْبَغِي لَنَا أَنْ نَتَّخِذَ مِنْ دُونِكَ مِنْ أَوْلِيَاءَ وَلَٰكِنْ مَتَّعْتَهُمْ وَآبَاءَهُمْ حَتَّىٰ نَسُوا الذِّكْرَ وَكَانُوا قَوْمًا بُورًا

  19. فَقَدْ كَذَّبُوكُمْ بِمَا تَقُولُونَ فَمَا تَسْتَطِيعُونَ صَرْفًا وَلَا نَصْرًا ۚ وَمَنْ يَظْلِمْ مِنْكُمْ نُذِقْهُ عَذَابًا كَبِيرًا

  20. وَمَا أَرْسَلْنَا قَبْلَكَ مِنَ الْمُرْسَلِينَ إِلَّا إِنَّهُمْ لَيَأْكُلُونَ الطَّعَامَ وَيَمْشُونَ فِي الْأَسْوَاقِ ۗ وَجَعَلْنَا بَعْضَكُمْ لِبَعْضٍ فِتْنَةً أَتَصْبِرُونَ ۗ وَكَانَ رَبُّكَ بَصِيرًا

  21. وَقَالَ الَّذِينَ لَا يَرْجُونَ لِقَاءَنَا لَوْلَا أُنْزِلَ عَلَيْنَا الْمَلَائِكَةُ أَوْ نَرَىٰ رَبَّنَا ۗ لَقَدِ اسْتَكْبَرُوا فِي أَنْفُسِهِمْ وَعَتَوْا عُتُوًّا كَبِيرًا

  22. يَوْمَ يَرَوْنَ الْمَلَائِكَةَ لَا بُشْرَىٰ يَوْمَئِذٍ لِلْمُجْرِمِينَ وَيَقُولُونَ حِجْرًا مَحْجُورًا

  23. وَقَدِمْنَا إِلَىٰ مَا عَمِلُوا مِنْ عَمَلٍ فَجَعَلْنَاهُ هَبَاءً مَنْثُورًا

  24. أَصْحَابُ الْجَنَّةِ يَوْمَئِذٍ خَيْرٌ مُسْتَقَرًّا وَأَحْسَنُ مَقِيلًا

  25. وَيَوْمَ تَشَقَّقُ السَّمَاءُ بِالْغَمَامِ وَنُزِّلَ الْمَلَائِكَةُ تَنْزِيلًا

  26. الْمُلْكُ يَوْمَئِذٍ الْحَقُّ لِلرَّحْمَٰنِ ۚ وَكَانَ يَوْمًا عَلَى الْكَافِرِينَ عَسِيرًا

  27. وَيَوْمَ يَعَضُّ الظَّالِمُ عَلَىٰ يَدَيْهِ يَقُولُ يَا لَيْتَنِي اتَّخَذْتُ مَعَ الرَّسُولِ سَبِيلًا

  28. يَا وَيْلَتَىٰ لَيْتَنِي لَمْ أَتَّخِذْ فُلَانًا خَلِيلًا

  29. لَقَدْ أَضَلَّنِي عَنِ الذِّكْرِ بَعْدَ إِذْ جَاءَنِي ۗ وَكَانَ الشَّيْطَانُ لِلْإِنْسَانِ خَذُولًا

  30. وَقَالَ الرَّسُولُ يَا رَبِّ إِنَّ قَوْمِي اتَّخَذُوا هَٰذَا الْقُرْآنَ مَهْجُورًا

  31. وَكَذَٰلِكَ جَعَلْنَا لِكُلِّ نَبِيٍّ عَدُوًّا مِنَ الْمُجْرِمِينَ ۗ وَكَفَىٰ بِرَبِّكَ هَادِيًا وَنَصِيرًا

  32. وَقَالَ الَّذِينَ كَفَرُوا لَوْلَا نُزِّلَ عَلَيْهِ الْقُرْآنُ جُمْلَةً وَاحِدَةً ۚ كَذَٰلِكَ لِنُثَبِّتَ بِهِ فُؤَادَكَ ۖ وَرَتَّلْنَاهُ تَرْتِيلًا

  33. وَلَا يَأْتُونَكَ بِمَثَلٍ إِلَّا جِئْنَاكَ بِالْحَقِّ وَأَحْسَنَ تَفْسِيرًا

  34. الَّذِينَ يُحْشَرُونَ عَلَىٰ وُجُوهِهِمْ إِلَىٰ جَهَنَّمَ أُولَٰئِكَ شَرٌّ مَكَانًا وَأَضَلُّ سَبِيلًا

  35. وَلَقَدْ آتَيْنَا مُوسَى الْكِتَابَ وَجَعَلْنَا مَعَهُ أَخَاهُ هَارُونَ وَزِيرًا

  36. فَقُلْنَا اذْهَبَا إِلَى الْقَوْمِ الَّذِينَ كَذَّبُوا بِآيَاتِنَا فَدَمَّرْنَاهُمْ تَدْمِيرًا

  37. وَقَوْمَ نُوحٍ لَمَّا كَذَّبُوا الرُّسُلَ أَغْرَقْنَاهُمْ وَجَعَلْنَاهُمْ لِلنَّاسِ آيَةً ۖ وَأَعْتَدْنَا لِلظَّالِمِينَ عَذَابًا أَلِيمًا

  38. وَعَادًا وَثَمُودَ وَأَصْحَابَ الرَّسِّ وَقُرُونًا بَيْنَ ذَٰلِكَ كَثِيرًا

  39. وَكُلًّا ضَرَبْنَا لَهُ الْأَمْثَالَ ۖ وَكُلًّا تَبَّرْنَا تَتْبِيرًا

  40. وَلَقَدْ أَتَوْا عَلَى الْقَرْيَةِ الَّتِي أُمْطِرَتْ مَطَرَ السَّوْءِ ۚ أَفَلَمْ يَكُونُوا يَرَوْنَهَا ۚ بَلْ كَانُوا لَا يَرْجُونَ نُشُورًا

  41. وَإِذَا رَأَوْكَ إِنْ يَتَّخِذُونَكَ إِلَّا هُزُوًا أَهَٰذَا الَّذِي بَعَثَ اللَّهُ رَسُولًا

  42. إِنْ كَادَ لَيُضِلُّنَا عَنْ آلِهَتِنَا لَوْلَا أَنْ صَبَرْنَا عَلَيْهَا ۚ وَسَوْفَ يَعْلَمُونَ حِينَ يَرَوْنَ الْعَذَابَ مَنْ أَضَلُّ سَبِيلًا

  43. أَرَأَيْتَ مَنِ اتَّخَذَ إِلَٰهَهُ هَوَاهُ أَفَأَنْتَ تَكُونُ عَلَيْهِ وَكِيلًا

  44. أَمْ تَحْسَبُ أَنَّ أَكْثَرَهُمْ يَسْمَعُونَ أَوْ يَعْقِلُونَ ۚ إِنْ هُمْ إِلَّا كَالْأَنْعَامِ ۖ بَلْ هُمْ أَضَلُّ سَبِيلًا

  45. أَلَمْ تَرَ إِلَىٰ رَبِّكَ كَيْفَ مَدَّ الظِّلَّ وَلَوْ شَاءَ لَجَعَلَهُ سَاكِنًا ثُمَّ جَعَلْنَا الشَّمْسَ عَلَيْهِ دَلِيلًا

  46. ثُمَّ قَبَضْنَاهُ إِلَيْنَا قَبْضًا يَسِيرًا

  47. وَهُوَ الَّذِي جَعَلَ لَكُمُ اللَّيْلَ لِبَاسًا وَالنَّوْمَ سُبَاتًا وَجَعَلَ النَّهَارَ نُشُورًا

  48. وَهُوَ الَّذِي أَرْسَلَ الرِّيَاحَ بُشْرًا بَيْنَ يَدَيْ رَحْمَتِهِ ۚ وَأَنْزَلْنَا مِنَ السَّمَاءِ مَاءً طَهُورًا

  49. لِنُحْيِيَ بِهِ بَلْدَةً مَيْتًا وَنُسْقِيَهُ مِمَّا خَلَقْنَا أَنْعَامًا وَأَنَاسِيَّ كَثِيرًا

  50. وَلَقَدْ صَرَّفْنَاهُ بَيْنَهُمْ لِيَذَّكَّرُوا فَأَبَىٰ أَكْثَرُ النَّاسِ إِلَّا كُفُورًا

  51. وَلَوْ شِئْنَا لَبَعَثْنَا فِي كُلِّ قَرْيَةٍ نَذِيرًا

  52. فَلَا تُطِعِ الْكَافِرِينَ وَجَاهِدْهُمْ بِهِ جِهَادًا كَبِيرًا

  53. وَهُوَ الَّذِي مَرَجَ الْبَحْرَيْنِ هَٰذَا عَذْبٌ فُرَاتٌ وَهَٰذَا مِلْحٌ أُجَاجٌ وَجَعَلَ بَيْنَهُمَا بَرْزَخًا وَحِجْرًا مَحْجُورًا

  54. وَهُوَ الَّذِي خَلَقَ مِنَ الْمَاءِ بَشَرًا فَجَعَلَهُ نَسَبًا وَصِهْرًا ۗ وَكَانَ رَبُّكَ قَدِيرًا

  55. وَيَعْبُدُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ مَا لَا يَنْفَعُهُمْ وَلَا يَضُرُّهُمْ ۗ وَكَانَ الْكَافِرُ عَلَىٰ رَبِّهِ ظَهِيرًا

  56. وَمَا أَرْسَلْنَاكَ إِلَّا مُبَشِّرًا وَنَذِيرًا

  57. قُلْ مَا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ مِنْ أَجْرٍ إِلَّا مَنْ شَاءَ أَنْ يَتَّخِذَ إِلَىٰ رَبِّهِ سَبِيلًا

  58. وَتَوَكَّلْ عَلَى الْحَيِّ الَّذِي لَا يَمُوتُ وَسَبِّحْ بِحَمْدِهِ ۚ وَكَفَىٰ بِهِ بِذُنُوبِ عِبَادِهِ خَبِيرًا

  59. الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَمَا بَيْنَهُمَا فِي سِتَّةِ أَيَّامٍ ثُمَّ اسْتَوَىٰ عَلَى الْعَرْشِ ۚ الرَّحْمَٰنُ فَاسْأَلْ بِهِ خَبِيرًا

  60. وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ اسْجُدُوا لِلرَّحْمَٰنِ قَالُوا وَمَا الرَّحْمَٰنُ أَنَسْجُدُ لِمَا تَأْمُرُنَا وَزَادَهُمْ نُفُورًا ۩

  61. تَبَارَكَ الَّذِي جَعَلَ فِي السَّمَاءِ بُرُوجًا وَجَعَلَ فِيهَا سِرَاجًا وَقَمَرًا مُنِيرًا

  62. وَهُوَ الَّذِي جَعَلَ اللَّيْلَ وَالنَّهَارَ خِلْفَةً لِمَنْ أَرَادَ أَنْ يَذَّكَّرَ أَوْ أَرَادَ شُكُورًا

  63. وَعِبَادُ الرَّحْمَٰنِ الَّذِينَ يَمْشُونَ عَلَى الْأَرْضِ هَوْنًا وَإِذَا خَاطَبَهُمُ الْجَاهِلُونَ قَالُوا سَلَامًا

  64. وَالَّذِينَ يَبِيتُونَ لِرَبِّهِمْ سُجَّدًا وَقِيَامًا

  65. وَالَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا اصْرِفْ عَنَّا عَذَابَ جَهَنَّمَ ۖ إِنَّ عَذَابَهَا كَانَ غَرَامًا

  66. إِنَّهَا سَاءَتْ مُسْتَقَرًّا وَمُقَامًا

  67. وَالَّذِينَ إِذَا أَنْفَقُوا لَمْ يُسْرِفُوا وَلَمْ يَقْتُرُوا وَكَانَ بَيْنَ ذَٰلِكَ قَوَامًا

  68. وَالَّذِينَ لَا يَدْعُونَ مَعَ اللَّهِ إِلَٰهًا آخَرَ وَلَا يَقْتُلُونَ النَّفْسَ الَّتِي حَرَّمَ اللَّهُ إِلَّا بِالْحَقِّ وَلَا يَزْنُونَ ۚ وَمَنْ يَفْعَلْ ذَٰلِكَ يَلْقَ أَثَامًا

  69. يُضَاعَفْ لَهُ الْعَذَابُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَيَخْلُدْ فِيهِ مُهَانًا

  70. إِلَّا مَنْ تَابَ وَآمَنَ وَعَمِلَ عَمَلًا صَالِحًا فَأُولَٰئِكَ يُبَدِّلُ اللَّهُ سَيِّئَاتِهِمْ حَسَنَاتٍ ۗ وَكَانَ اللَّهُ غَفُورًا رَحِيمًا

  71. وَمَنْ تَابَ وَعَمِلَ صَالِحًا فَإِنَّهُ يَتُوبُ إِلَى اللَّهِ مَتَابًا

  72. وَالَّذِينَ لَا يَشْهَدُونَ الزُّورَ وَإِذَا مَرُّوا بِاللَّغْوِ مَرُّوا كِرَامًا

  73. وَالَّذِينَ إِذَا ذُكِّرُوا بِآيَاتِ رَبِّهِمْ لَمْ يَخِرُّوا عَلَيْهَا صُمًّا وَعُمْيَانًا

  74. وَالَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوَاجِنَا وَذُرِّيَّاتِنَا قُرَّةَ أَعْيُنٍ وَاجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِينَ إِمَامًا

  75. أُولَٰئِكَ يُجْزَوْنَ الْغُرْفَةَ بِمَا صَبَرُوا وَيُلَقَّوْنَ فِيهَا تَحِيَّةً وَسَلَامًا

  76. خَالِدِينَ فِيهَا ۚ حَسُنَتْ مُسْتَقَرًّا وَمُقَامًا

  77. قُلْ مَا يَعْبَأُ بِكُمْ رَبِّي لَوْلَا دُعَاؤُكُمْ ۖ فَقَدْ كَذَّبْتُمْ فَسَوْفَ يَكُونُ لِزَامًا

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Tabaarakal lazee nazzalal Furqaana 'alaa 'abdihee li yakoona lil'aalameena nazeera

  2. Allazee lahoo mulkus samaawaati wal ardi wa lam yattakhiz waladanw wa lam yakul lahoo shareekun filmulki wa khalaqa kulla shai'in faqaddarahoo taqdeeraa

  3. Wattakhazoo min dooniheee aalihatal laa yakhluqoona shai'anw wa hum yukhlaqoona wa laa yamlikoona li anfusihim darranw wa laa naf'anw wa laa yamlikoona mawtanw wa laa hayaatanw wa laa nushooraa

  4. Wa qaalal lazeena kafarooo in haazaaa illaaa ifkunif taraahu wa a'aanahoo 'alaihi qawmun aakharoona faqad jaaa'oo zulmanw wa zooraa

  5. Wa qaalooo asaateerul awwaleenak tatabahaa fahiya tumlaa 'alaihi bukratanw wa aseelaa

  6. Qul anzalhul lazee ya'lamus sirra fis samaawaati wal-ard; innahoo kaana Ghafoorar Raheemaa

  7. Wa qaaloo maa li haazar Rasooli ya'kulut ta'aama wa yamshee fil aswaaq; law laaa unzila ilaihi malakun fa yakoona ma'ahoo nazeeraa

  8. Aw yulqaaa ilaihi kanzun aw takoonu lahoo jannatuny ya'kulu minhaa; wa qaalaz zaalimoona in tattabi'oona illaa rajulan mas hooraa

  9. Unzur kaifa daraboo lakal amsaala fadalloo falaa yastatee'oona sabeelaa (section 1)

  10. Tabaarakal lazeee in shaaa'a ja'ala laka khairan min zaalika jannaatin tajree min tahtihal anhaaru wa yaj'al laka qusooraa

  11. Bal kazzaboo bis Saa'ati wa a'tadnaa liman kazzaba bis Saa'ati sa'eeraa

  12. Izaa ra'at hum min makaanin ba'eedin sami'oo lahaa taghaiyuzanw wa zafeeraa

  13. Wa izaaa ulqoo minhaa makaanan daiyiqam muqar raneena da'aw hunaalika thuboora

  14. Laa tad'ul yawma thubooranw waahidanw wad'oo thubooran kaseeraa

  15. Qul azaalika khairun am Jannatul khuldil latee wu'idal muttaqoon; kaanat lahum jazaaa'anw wa maseeraa

  16. Lahum feehaa maa yashaaa'oona khaalideen; kaana 'alaa Rabbika wa'dan mas'oolaa

  17. Wa Yawma yahshuruhum wa maa ya'budoona min doonil laahi fa yaqoolu 'a-antum adlaltum 'ibaadee haaa'ulaaa'i am hum dallus sabeel

  18. Qaaloo Subhaanaka maa kaana yanbaghee lanaaa an nattakhiza min doonika min awliyaaa'a wa laakin matta'tahum wa aabaaa'ahum hattaa nasooz zikra wa kaanoo qawman booraa

  19. Faqad kazzabookum bimaa taqooloona famaa tastatee'oona sarfanw wa laa nasraa; wa many yazlim minkum nuziqhu 'azaaban kabeeraa

  20. Wa maaa arsalnaa qablaka minal mursaleena illaaa innahum la ya'kuloonat ta'aama wa yamshoona fil aswaaq; wa ja'alnaa ba'dakum liba'din fitnatan atasbiroon; wa kaana Rabbuka Baseera (section 2) (End Juz 18)

  21. Wa qaalal lazeena laa yarjoona liqaaa'anaa law laaa unzila 'alainal malaaa'ikatu awnaraa Rabbanaa; laqadistakbaroo feee anfusihim wa 'ataw 'utuwwan kabeeraa

  22. Yawma yarawnal malaaa 'ikata laa bushraa Yawmaizin lil mujrimeena wa yaqooloona hijran mahjooraa

  23. Wa qadimnaaa ilaa maa 'amiloo min 'amalin faja'alnaahuhabaaa'an manthooraa

  24. As haabul jannati yawma'izin khairun mustaqar ranw wa ahsanu maqeela

  25. Wa Yawma tashaqqaqus samaaa'u bilghamaami wa nuzzilal malaaa'ikatu tanzeela

  26. Almulku Yawma'izinil haqqu lir Rahmaan; wa kaana Yawman'alal kaafireena 'aseeraa

  27. Wa Yawma ya'adduz zaalimu 'alaa yadaihi yaqoolu yaa laitanit takhaztu ma'ar Rasooli sabeelaa

  28. Yaa wailataa laitanee lam attakhiz fulaanan khaleelaa

  29. Laqad adallanee 'aniz zikri ba'da iz jaaa'anee; wa kaanash Shaitaanu lil insaani khazoolaa

  30. Wa qaalar Rasoolu yaa Rabbi inna qawmit takhazoo haazal Qur'aana mahjooraa

  31. Wa kazaalika ja'alnaa likulli Nabiyyin 'aduwwan minal mujrimeen; wa kafaa bi Rabbika haadiyanw wa naseeraa

  32. Wa qaalal lazeena kafaroo law laa nuzzila 'alaihil Qur'aanu jumlatanw waahidah; kazaalika linusabbita bihee fu'aadaka wa rattalnaahu tarteelaa

  33. Wa laa ya'toonaka bi masalin illaa ji'naaka bilhaqqi wa ahsana tafseeraa

  34. Allazeena yuhsharoona 'alaa wujoohihim ilaa jahannama ulaaa'ika sharrun makaananw wa adallu sabeelaa (section 3)

  35. Wa laqad aatainaa Moosal Kitaaba wa ja'alnaa ma'ahooo akhaahu Haaroona wazeeraa

  36. Faqulnaz habaaa ilal qawmil lazeena kazzaboo bi Aayaatinaa fadammarnaahum tadmeeraa

  37. Wa qawma Noohin lammaa kazzabur Rusula aghraqnaahum wa ja'alnaahum linnaasi Aayatanw wa a'tadnaa lizzaalimeena 'azaaban aleemaa

  38. Wa 'Aadanw wa Samooda wa As haabar Rassi wa quroonan baina zaalika katheeraa

  39. Wa kullan darabnaa lahul amsaala wa kullan tabbarnaa tatbeera

  40. Wa laqad ataw 'alal qaryatil lateee umtirat mataras saw'; afalam yakoonoo yarawnahaa; bal kaanoo laa yarjoona nushooraa

  41. Wa izaa ra awka iny yattakhizoonaka illaa huzuwan ahaazal lazee ba'asal laahu Rasoolaa

  42. In kaada la yudillunaa 'an aalihatinaa law laaa an sabarnaa 'alaihaa; wa sawfa ya'lamoona heena yarawnal 'azaaba man adallu sabeela

  43. Ara'aita manit takhaza ilaahahoo hawaahu afa anta takoonu 'alaihi wakeelaa

  44. Am tahsabu anna aksarahum yasma'oona aw ya'qiloon; in hum illaa kal an'aami bal hum adallu sabeelaa (section 4)

  45. Alam tara ilaa Rabbika kaifa maddaz zilla wa law shaaa'a la ja'alahoo saakinan thumma ja'alnash shamsa 'alaihi daleelaa

  46. Thumma qabadnaahu ilainaa qabdany yaseeraa

  47. Wa Huwal lazee ja'ala lakumul laila libaasanw wannawma subaatanw wa ja'alan nahaara nushooraa

  48. Wa Huwal lazeee arsalar riyaaha bushran baina yadai rahmatih; wa anzalnaa minas samaaa'i maaa'an tahooraa

  49. Linuhyiya bihee baldatan maitanw-wa nusqiyahoo mimmaa khalaqnaaa an'aamanw wa anaasiyya katheeraa

  50. Wa laqad sarrafnaahu bainahum li yazzakkaroo fa abaaa aksarun naasi illaa kufooraa

  51. Wa law shi'naa laba'asnaa fee kulli qaryatin nazeeraa

  52. Falaa tuti'il kaafireena wa jaahidhum bihee jihaadan kabeeraa

  53. Wa Huwal lazee marajal bahraini haazaa 'azbun furaatunw wa haazaa milhun ujaaj; wa ja'ala bainahumaa barzakhanw wa hijran mahjooraa

  54. Wa Huwal lazee khalaqa minal maaa'i basharan fa ja'alahoo nasaban wa sihraa; wa kaana Rabbuka Qadeeraa

  55. Wa ya'budoona min doonil laahi maa laa yanfa'uhum wa laa yadurruhum; wa kaanal kaafiru 'alaa Rabbihee zaheeraa

  56. Wa maa arsalnaaka illaa mubashshiranw wa nazeeraa

  57. Qul maaa as'alukum 'alaihi min ajrin illaa man shaaa'a ai yattakhiza ilaa Rabbihee sabeelaa

  58. Wa tawakkal 'alal Haiyil lazee laa yamootu wa sabbih bihamdih; wa kafaa bihee bizunoobi 'ibaadihee khabeeraa

  59. Allazee khalaqas samaawaati wal arda wa maa bainahumaa fee sittati aiyaamin thumma stawaa 'alal 'Arsh; ar Rahmaanu fas'al bihee khabeeraa

  60. Wa izaa qeela lahumus judoo lir Rahmaani qaaloo wa mar Rahmaanu 'a nasjudu limaa ta'murunaa wa zaadahum nufooraa (section 5) (make sajda)

  61. Tabaarakal lazee ja'ala fis samaaa'i buroojanw wa ja'ala feehaa siraajanw wa qamaran muneeraa

  62. Wa huwal lazee ja'alal laila wannahaara khilfatan liman araada 'any yazzakkara aw araadaa shukooraa

  63. Wa 'ibaadur Rahmaanil lazeena yamshoona 'alal ardi hawnanw wa izaa khaata bahumul jaahiloona qaaloo salaamaa

  64. Wallazeena yabeetoona li Rabbihim sujjadanw wa qiyaamaa

  65. Wallazeena yaqooloona Rabbanas rif 'annaa 'azaaba Jahannama inna 'azaabahaa kaana gharaamaa

  66. Innahaa saaa'at mustaqarranw wa muqaamaa

  67. Wallazeena izaaa anfaqoo lam yusrifoo wa lam yaqturoo wa kaana baina zaalika qawaamaa

  68. Wallazeena laa yad'oona ma'al laahi ilaahan aakhara wa laa yaqtuloonan nafsal latee harramal laahu illaa bilhaqqi wa laa yaznoon; wa mai yaf'al zaalika yalqa 'athaamaa

  69. Yudaa'af lahul 'azaabu Yawmal Qiyaamati wa yakhlud feehee muhaanaa

  70. Illaa man taaba wa 'aamana wa 'amila 'amalan saalihan fa ulaaa'ika yubad dilul laahu saiyi aatihim hasanaat; wa kaanal laahu Ghafoorar Raheemaa

  71. Wa man taaba wa 'amila saalihan fa innahoo yatoobu ilal laahi mataabaa

  72. Wallazeena laa yash hadoonaz zoora wa izaa marroo billaghwi marroo kiraamaa

  73. Wallazeena izaa zukkiroo bi Aayaati Rabbihim lam yakhirroo 'alaihaa summanw wa'umyaanaa

  74. Wallazeena yaqooloona Rabbanaa hab lanaa min azwaajinaa wa zurriyaatinaa qurrata a'yuninw waj 'alnaa lilmuttaqeena Imaamaa

  75. Ulaaa'ika yujzawnal ghurfata bimaa sabaroo wa yulaqqawna feehaa tahiyyatanw wa salaamaa

  76. Khaalideena feehaa; hasunat mustaqarranw wa muqaamaa

  77. Qul maa ya'ba'u bikum Rabbee law laa du'aaa'ukum faqad kazzabtum fasawfa yakoonu lizaamaa (section 6)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Nihayat mutabarrak (ba-barakat) hai woh jisne yeh Furqan apne banday par naazil kiya taa-ke saare jahan walon ke liye nazeer (darr sunane wali/warner) ho.

2. Woh jo zameen aur aasmaano ki baadshahi ka maalik hai, jisne kisi ko beta nahin banaya hai, jiske saath baadshahi mein koi shareek nahin hai, jisne har cheez ko paida kiya phir uski ek taqdeer muqarrar ki.

3. Logon ne usey chodh kar aise mabood bana liye jo kisi cheez ko paida nahin karte balke khud paida kiye jaate hain, jo khud apne liye bhi kisi nafey (faidey) ya nuqsaan ka ikhtiyar nahin rakhte, jo na maar sakte hain na jila sakte hain, na mare (dead) huey ko phir utha sakte hain.

4. Jin logon ne Nabi ki baat maanne se inkaar kardiya hai woh kehte hain ke yeh furqan ek mann ghadat cheez hai jise is shaks ne aap hi ghadd liya hai aur kuch dusre logon ne is kaam mein iski madad ki hai. Bada zulm aur sakht jhoot hai jispar yeh log utar aaye hain.

5. Kehte hain yeh purane logon ki likhi hui cheezein hain jinhein yeh shaks naqal (copy) karta hai aur woh isey subah o shaam sunayi jaati hain.

6. (Aey Muhammad) Inse kaho ke “isey naazil kiya hai usne jo zameen aur aasmano ka bhed (secrets) jaanta hai”. Haqeeqat yeh hai ke woh bada gafoor ur raheem(Forgiving and Merciful) hai.

7. Kehte hain “yeh kaisa Rasool hai jo khana khata hai aur baazaaron mein chalta phirta hai? Kyun na iske paas koi Farishata bheja gaya jo iske saath rehta aur (na maanne walon ko) dhamkata?

8. Ya aur kuch nahin to iske liye koi khazana hi utaar diya jaata, ya iske paas koi baagh (garden) hi hota jis se yeh (itminaan ki) rozi haasil karta”. Aur zalim kehte hain “ tum log to ek sehar zadah (bewitched) aadmi ke pichey lag gaye ho”

9. Dekho, kaisi kaisi ajeeb hujjatein (arguments) yeh log tumhare aage pesh kar rahe hain, aise behke hain ke koi thikane ki baat inko nahin soojhti.

10. Bada ba-barakat hai woh jo agar chahe to inki tajweej-karda cheezon se bhi zyada badh chadh kar tumko de sakta hai, (ek nahin) bahut saare baagh (gardens) jinke nichey nehrein behti hon, aur badey badey mahal.

11. Asal baat yeh hai ke yeh log “Us ghadi” ko jhutla chuke hain aur jo us ghadi ko jhutlaye uske liye humne bhadakti hui aag muhaiyya kar rakkhi hai

12. Woh jab dur se inko dekhegi to yeh uske gazab aur josh ki aawaazein sun lenge.

13. Aur jab yeh dast o pa-basta (zanjeeron mein jakde) usmein ek tangg jagah thoonse jayenge to apni maut ko pukarne lagenge.

14. (us waqt inse kaha jayega ke) aaj ek maut ko nahin bahut si mauton ko pukaro.

15. Inse pucho, yeh anjaam accha hai ya woh abadi jannat jiska waada khuda-tars parheizgaaron se kiya gaya hai? Jo unke aamal ki jaza aur unke safar ki aakhri mazil hogi.

16. Jis mein unki har khwahish poori hogi, jismein woh hamesha hamesha rahenge, jiska ataa karna tumhare Rubb ke zimme ek wajib ul ada waada hai.

17. Aur woh wahi din hoga jabke (tumhara Rubb) in logon ko bhi ghair layega aur inke un maboodon ko bhi bula lega jinhein aaj yeh Allah ko chodh kar poojh rahe hain. Phir woh unse puchega “kya tumne mere in bandon ko gumraah kiya tha? Ya yeh khud raah-e-raast se bhatak gaye thay?”

18. Woh arz karenge ke “ paak hai aap ki zaat, hamari to yeh bhi majaal na thi ke aap ke siwa kisi ko apna maula banayein, magar aap ne inko aur inke baap dada ko khoob saaman e zindagi diya hatta ke yeh sabaq bhool gaye aur shamat zadah hokar rahe”

19. Yun jhutla denge woh (tumhare mabood) tumhari un baaton ko jo aaj tum keh rahe ho, phir tum na apni shamat (punishment) taal sakoge na kahin se madad paa sakoge. Aur jo bhi tum mein se zulm kare usey hum sakht azaab ka maza chakhayenge.

20. (Aey Muhammad), tumse pehle jo Rasool bhi humne bheje thay woh sab bhi khana khane wale aur baazaaron mein chalne phirne wale log hi thay. Dar-asal humne tum logon ko ek dusre ke liye aazmaish ka zariya bana diya hai, kya tum sabar karte ho? Tumhara Rubb sab kuch dekhta hai.

21. Jo log hamare huzoor pesh hone ka andesha nahin rakhte woh kehte hain “kyun na Farishte hamare paas bheje jayein? Ya phir hum apne Rubb ko dekhein? Bada ghamand le baithe yeh apne nafs mein aur hadd se guzar gaye yeh apni sarkashi mein.

22. Jis roz yeh Farishton ko dekhenge woh mujrimon ke liye kisi basharat (khush-khabri) ka din na hoga, cheekh uthenge ke panaah-ba-khuda.

23. Aur jo kuch bhi inka kiya dhara hai usey lekar hum gubaar(dust) ki tarah uda denge.

24. Bas wahi log jo jannat ke mustahiq hain us din acchi jagaah thehrenge aur dopahar (mid-day) guzarne ko umdah muqaam payenge.

25. Aasmaan ko cheerta hua ek baadal us roz namudaar hoga aur Farishton ke parey ke parey (rank after rank) utaar diye jayenge.

26. Us roz haqeeqi baadshahi sirf rehman ki hogi aur woh munkireen ke liye bada sakht din hoga.

27. Zalim Insan apna haath chabayega aur kahega “kaash maine Rasool ka saath diya hota,

28. Haaye meri kambakhti, kaash maine falaan shaks ko dost na banaya hota.

29. Uske behkaye mein aakar maine woh naseehat na maani jo mere paas aayi thi. shaytan Insan ke haqq mein bada hi bewafa nikla”

30. Aur Rasool kahega ke “Aey mere Rubb, meri qaum ke logon ne is Quran ko nishana tadheek bana liya tha (the object of their ridicule)”

31. (Aey Muhammad), humne to isi taraah mujrimon ko har Nabi ka dushman banaya hai , aur tumhare liye tumhara Rubb hi rehnumayi aur madad ko kafi hai.

32. Munkireen kehte hain “is shaks par saara Quran ek hi waqt mein kyun na utaar diya gaya? Haan, aisa is liye kiya gaya hai ke isko achhi tarah hum tumhare zehan nasheen karte rahein aur (isi garaz ke liye) humne isko ek khaas tarteeb ke saath alag alag ajzaa ki shakal di hai.

33. Aur (ismein yeh maslihat bhi hai) ke jab kabhi woh tumhare saamne koi nirali baat (ya ajeeb sawal) lekar aaye, uska theek jawaab bar waqt humne tumhein de diya aur behtareen tareeqe se baat khol di.

34. Jo log aundhey mooh jahannum ki taraf dhakele jaane wale hain unka mauquf bahut bura aur unki raah hadd darjah galat hai

35. Humne Moosa ko kitaab di aur uske saath uske bhai Haroon ko madadgaar ke taur par lagaya.

36. Aur unse kaha ke jao us qaum ki taraf jisne hamari aayaat ko jhutla diya hai. Aakhir e kaar un logon ko humne tabaah karke rakh diya.

37. Yahi haal qaum e Nooh ka hua jab unhon ne Rasoolon ki takzeeb ki, humne unko garq (drown/duba) kardiya aur duniya bhar ke logon ke liye ek nishaan e ibrat bana diya, aur in zalimon ke liye ek dardnaak azaab humne muhaiyya kar rakkha hai.

38. Isi tarah Aad aur Samood aur ashaab e Rass aur beech ki sadiyon ke bahut se log tabaah kiye gaye.

39. Aur un mein se har ek ko humne (pehle tabaah hone walon ki) misaalein de dekar samjhaya, aur aakhir e kaar har ek ko gaarat (destroy) kardiya.

40. Aur us basti par to inka guzar ho chuka hai jispar badhtareen baarish barsayi gayi thi.Kya inhon ne uska haal dekha na hoga? Magar yeh maut ke baad dusri zindagi ki tawakku hi nahin rakhte.

41. Yeh log jab tumhein dekhte hain to tumhara mazaaq bana lete hain, (Kehte hain) “kya yeh shaks hai jise khuda ne Rasool bana kar bheja hai?

42. Isne to humein gumraah karke apne maboodon se bargashta (behka/gumrah) hi kardiya hota agar hum unki aqeedat par jam na gaye hote”. Accha, woh waqt door nahin hai jab azaab dekh kar inhein khud maloom ho jayega ke kaun gumraahi mein door nikal gaya tha.

43. Kabhi tumne us shaks ke haal par gaur kiya hai jisne apni khwahish e nafs ko apna khuda bana liya ho? Kya tum aise shaks ko raah e raast par laane ka zimma le sakte ho?

44. Kya tum samajhte ho ke inmein se aksar log sunte aur samajhte hain? Yeh to jaanwaron ki tarah hain, balke unse bhi gaye guzre.

45. Tumne dekha nahin ke tumhara Rubb kis tarah saaya phayla deta hai? Agar woh chahta to usey daimi (constant) bana deta. Humne Suraj ko uspar daleel banaya.

46. Phir (jaise jaise Suraj utha jata hai) hum is saaye ko rafta rafta apni taraf sameit-te chale jaate hain.

47. Aur woh Allah hi hai jisne raat ko tumhare liye libaas, aur neend ko sukoon e maut, aur din ko jee uthne ka waqt banaya.

48. Aur wahi hai jo apni rehmat ke aage aage hawaon ko basharat bana kar bhejta hai phir aasmaan se paak pani naazil karta hai.

49. Taa-ke ek murda ilake ko iske zariye zindagi bakshe aur apni makhlooq mein se bahut se jaanwaron aur Insano ko sairaab (quench thirst) kare.

50. Is karishme ko hum baar baar inke saamne latey hain taa-ke woh kuch sabaq lein. Magar aksar log kufr aur nashukri ke siwa koi dusra rawaiyya ikhtiyar karne se inkar kardete hain.

51. Agar hum chahte to ek ek basti mein ek ek nazeer (darr sunane wala) utha khada karte.

52. Pas (aey Nabi) , kafiron ki baat hargiz na maano aur is Quran ko lekar inke saath jihad-e-kabeer karo.

53. Aur wahi hai jisne do samandaron ko mila rakkha hai, ek lazeez o shireen(sweet) , dusra talkh o shur (bitter and saltish), aur dono ke darmiyan ek purda hayal hai, ek rukawat hai (insurmountable barrier) jo unhein gud-mud hone se roakey huey hai.

54. Aur wahi hai jisne pani se ek bashar (Insaan) paida kiya, phir us se nasab aur susraal (by blood and by marriage) ke do alag silsile chalaye .Tera Rubb bada hi qudrat wala hai.

55. Is khuda ko chodh kar log unko poojh rahe hain jo na inko nafaa pahuncha sakte hain na nuqsaan, aur upar se mazeed yeh ke kafir apne Rubb ke muqablay mein har baagi ka madadgaar bana hua hai.

56. (Aey Muhammad), tumko to humne bas ek mubashir (khush-khabri dene wala) aur nazeer (darr sunane wala) bana kar bheja hai.

57. Inse kehdo ke “ main is kaam par tumse koi ujrat (recompense) nahin maangta, meri ujrat bas yahi hai ke jiska jee chahe woh apne Rubb ka raasta ikhtiyar karle”

58. Aur (aey Muhammad) us khuda par bharosa rakkho jo zinda hai aur kabhi marne wala nahin, uski hamd ke saath uski tasbeeh karo,apne bandon ke gunaahon se bas usi ka ba-khabar hona kafi hai.

59. Woh jisne chey (six) dino mein zameen aur aasmaano ko aur un saari cheezon ko bana kar rakh diya jo aasmaan o zameen ke darmiyaan hain, phir aap hi (qayinaat ke takht e sultanat) ‘Arsh’ par jalwa farma hua. Rehman, uski shaan bas kisi jaanne wale se pucho.

60. In logon se jab kaha jata hai ke is Rehman ko sajda karo to kehte hain “Rehman kya hota hai? Kya bas jise tu kehde usi ko hum sajda karte phirein?” yeh dawat inki nafrat mein ulta aur izafa kardeti hai.

61. Bada mutabarrak (ba-barakat) hai woh jisne aasmaan mein burj (fortified spheres) banaye aur us mein ek chiraag aur ek chamakta chaand roshan kiya.

62. Wahi hai jisne raat aur din ko ek dusre ka jaanasheen banaya, har us shaks ke liye jo sabaq lena chahe, ya shukar guzaar hona chahe.

63. Rehman ke (asli) banday woh hai jo zameen par narm chaal chalte hain aur jaahil unke mooh ko aayein to kehdete hain ke tumko salaam.

64. Jo apne Rubb ke huzur sajde aur qayaam mein raatein guzarte hain.

65. Jo duaein karte hain ke “Aey hamare Rubb, jahannum ke azaab se humko bacha le, uska azaab to jaan ka laagu hai.

66. Woh to bada hi mustaqar (evil abode) aur muqaam hai”

67. Jo kharch karte hain to na fizool kharchi karte hain na bukhl, balke unka kharch dono intehaaon (extremes) ke darmiyan aitadaal par qayam rehta hai.

68. Jo Allah ke siwa kisi aur mabood ko nahin pukarte, Allah ki haraam ki hui kisi jaan ko na-haqq halaak nahin karte, aur na zina (adultery) ke murtakib hotay hain. Yeh kaam jo koi kare woh apne gunaah ka badla payega.

69. Qayamat ke roz usko mukarrar azaab diya jayega aur isi mein woh hamesha zillat ke saath pada rahega.

70. Illa yeh ke koi (in gunaahon ke baad) tauba kar chuka ho aur iman laa kar amal e saleeh karne laga ho, aise logon ki buraiyon ko Allah bhalaiyon se badal dega aur woh bada gafoor o raheem hai.

71. Jo shaks tauba karke neik amali ikhtiyar karta hai woh to Allah ki taraf palat aata hai jaisa ke palatne ka haqq hai.

72. (Aur Rehman ke banday woh hain) jo jhoot ke gawah nahin bante aur kisi lagv (fizul/vain) cheez par unka guzar ho jaaye to shareef aadmiyon ki tarah guzar jaate hain.

73. Jinhein agar unke Rubb ki aayaat suna kar naseehat ki jaati hai to woh uspar andhey aur behre bankar nahin reh jaate.

74. Jo duaein maanga karte hain ke, “Aey hamare Rubb, humein apni biwiyon aur apni aulaad se aankhon ki thandak de, aur humko parheizgaaron ka imam bana.”

75. Yeh hain woh log jo apne sabr ka phal manzil-e-buland ki shakal mein payenge, aadaab o tasleemaat se unka istaqbaal hoga.

76. Woh hamesha hamesha wahan rahenge. Kya hi accha hai woh mustaqar (excellent abode) aur woh muqaam.

77. (Aey Muhammad), logon se kaho, “mere Rubb ko tumhari kya haajat padi hai agar tum usko na pukaro. Ab ke tumne jhutla diya hai, anqareeb woh saza paoge ke jaan chudhani muhaal (never be able to avoid) hogi”.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments