📖 Surah 24 An-Noor Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- سُورَةٌ أَنْزَلْنَاهَا وَفَرَضْنَاهَا وَأَنْزَلْنَا فِيهَا آيَاتٍ بَيِّنَاتٍ لَعَلَّكُمْ تَذَكَّرُونَ
- الزَّانِيَةُ وَالزَّانِي فَاجْلِدُوا كُلَّ وَاحِدٍ مِنْهُمَا مِائَةَ جَلْدَةٍ ۖ وَلَا تَأْخُذْكُمْ بِهِمَا رَأْفَةٌ فِي دِينِ اللَّهِ إِنْ كُنْتُمْ تُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ ۖ وَلْيَشْهَدْ عَذَابَهُمَا طَائِفَةٌ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ
- الزَّانِي لَا يَنْكِحُ إِلَّا زَانِيَةً أَوْ مُشْرِكَةً وَالزَّانِيَةُ لَا يَنْكِحُهَا إِلَّا زَانٍ أَوْ مُشْرِكٌ ۚ وَحُرِّمَ ذَٰلِكَ عَلَى الْمُؤْمِنِينَ
- وَالَّذِينَ يَرْمُونَ الْمُحْصَنَاتِ ثُمَّ لَمْ يَأْتُوا بِأَرْبَعَةِ شُهَدَاءَ فَاجْلِدُوهُمْ ثَمَانِينَ جَلْدَةً وَلَا تَقْبَلُوا لَهُمْ شَهَادَةً أَبَدًا ۚ وَأُولَٰئِكَ هُمُ الْفَاسِقُونَ
- إِلَّا الَّذِينَ تَابُوا مِنْ بَعْدِ ذَٰلِكَ وَأَصْلَحُوا فَإِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ رَحِيمٌ
- وَالَّذِينَ يَرْمُونَ أَزْوَاجَهُمْ وَلَمْ يَكُنْ لَهُمْ شُهَدَاءُ إِلَّا أَنْفُسُهُمْ فَشَهَادَةُ أَحَدِهِمْ أَرْبَعُ شَهَادَاتٍ بِاللَّهِ ۙ إِنَّهُ لَمِنَ الصَّادِقِينَ
- وَالْخَامِسَةُ أَنَّ لَعْنَتَ اللَّهِ عَلَيْهِ إِنْ كَانَ مِنَ الْكَاذِبِينَ
- وَيَدْرَأُ عَنْهَا الْعَذَابَ أَنْ تَشْهَدَ أَرْبَعَ شَهَادَاتٍ بِاللَّهِ ۙ إِنَّهُ لَمِنَ الْكَاذِبِينَ
- وَالْخَامِسَةَ أَنَّ غَضَبَ اللَّهِ عَلَيْهَا إِنْ كَانَ مِنَ الصَّادِقِينَ
- وَلَوْلَا فَضْلُ اللَّهِ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَتُهُ وَأَنَّ اللَّهَ تَوَّابٌ حَكِيمٌ
- إِنَّ الَّذِينَ جَاءُوا بِالْإِفْكِ عُصْبَةٌ مِنْكُمْ ۚ لَا تَحْسَبُوهُ شَرًّا لَكُمْ ۖ بَلْ هُوَ خَيْرٌ لَكُمْ ۚ لِكُلِّ امْرِئٍ مِنْهُمْ مَا اكْتَسَبَ مِنَ الْإِثْمِ ۚ وَالَّذِي تَوَلَّىٰ كِبْرَهُ مِنْهُمْ لَهُ عَذَابٌ عَظِيمٌ
- لَوْلَا إِذْ سَمِعْتُمُوهُ ظَنَّ الْمُؤْمِنُونَ وَالْمُؤْمِنَاتُ بِأَنْفُسِهِمْ خَيْرًا وَقَالُوا هَٰذَا إِفْكٌ مُبِينٌ
- لَوْلَا جَاءُوا عَلَيْهِ بِأَرْبَعَةِ شُهَدَاءَ ۚ فَإِذْ لَمْ يَأْتُوا بِالشُّهَدَاءِ فَأُولَٰئِكَ عِنْدَ اللَّهِ هُمُ الْكَاذِبُونَ
- وَلَوْلَا فَضْلُ اللَّهِ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَتُهُ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ لَمَسَّكُمْ فِي مَا أَفَضْتُمْ فِيهِ عَذَابٌ عَظِيمٌ
- إِذْ تَلَقَّوْنَهُ بِأَلْسِنَتِكُمْ وَتَقُولُونَ بِأَفْوَاهِكُمْ مَا لَيْسَ لَكُمْ بِهِ عِلْمٌ وَتَحْسَبُونَهُ هَيِّنًا وَهُوَ عِنْدَ اللَّهِ عَظِيمٌ
- وَلَوْلَا إِذْ سَمِعْتُمُوهُ قُلْتُمْ مَا يَكُونُ لَنَا أَنْ نَتَكَلَّمَ بِهَٰذَا سُبْحَانَكَ هَٰذَا بُهْتَانٌ عَظِيمٌ
- يَعِظُكُمُ اللَّهُ أَنْ تَعُودُوا لِمِثْلِهِ أَبَدًا إِنْ كُنْتُمْ مُؤْمِنِينَ
- وَيُبَيِّنُ اللَّهُ لَكُمُ الْآيَاتِ ۚ وَاللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ
- إِنَّ الَّذِينَ يُحِبُّونَ أَنْ تَشِيعَ الْفَاحِشَةُ فِي الَّذِينَ آمَنُوا لَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ ۚ وَاللَّهُ يَعْلَمُ وَأَنْتُمْ لَا تَعْلَمُونَ
- وَلَوْلَا فَضْلُ اللَّهِ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَتُهُ وَأَنَّ اللَّهَ رَءُوفٌ رَحِيمٌ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَتَّبِعُوا خُطُوَاتِ الشَّيْطَانِ ۚ وَمَنْ يَتَّبِعْ خُطُوَاتِ الشَّيْطَانِ فَإِنَّهُ يَأْمُرُ بِالْفَحْشَاءِ وَالْمُنْكَرِ ۚ وَلَوْلَا فَضْلُ اللَّهِ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَتُهُ مَا زَكَىٰ مِنْكُمْ مِنْ أَحَدٍ أَبَدًا وَلَٰكِنَّ اللَّهَ يُزَكِّي مَنْ يَشَاءُ ۗ وَاللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٌ
- وَلَا يَأْتَلِ أُولُو الْفَضْلِ مِنْكُمْ وَالسَّعَةِ أَنْ يُؤْتُوا أُولِي الْقُرْبَىٰ وَالْمَسَاكِينَ وَالْمُهَاجِرِينَ فِي سَبِيلِ اللَّهِ ۖ وَلْيَعْفُوا وَلْيَصْفَحُوا ۗ أَلَا تُحِبُّونَ أَنْ يَغْفِرَ اللَّهُ لَكُمْ ۗ وَاللَّهُ غَفُورٌ رَحِيمٌ
- إِنَّ الَّذِينَ يَرْمُونَ الْمُحْصَنَاتِ الْغَافِلَاتِ الْمُؤْمِنَاتِ لُعِنُوا فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ وَلَهُمْ عَذَابٌ عَظِيمٌ
- يَوْمَ تَشْهَدُ عَلَيْهِمْ أَلْسِنَتُهُمْ وَأَيْدِيهِمْ وَأَرْجُلُهُمْ بِمَا كَانُوا يَعْمَلُونَ
- يَوْمَئِذٍ يُوَفِّيهِمُ اللَّهُ دِينَهُمُ الْحَقَّ وَيَعْلَمُونَ أَنَّ اللَّهَ هُوَ الْحَقُّ الْمُبِينُ
- الْخَبِيثَاتُ لِلْخَبِيثِينَ وَالْخَبِيثُونَ لِلْخَبِيثَاتِ ۖ وَالطَّيِّبَاتُ لِلطَّيِّبِينَ وَالطَّيِّبُونَ لِلطَّيِّبَاتِ ۚ أُولَٰئِكَ مُبَرَّءُونَ مِمَّا يَقُولُونَ ۖ لَهُمْ مَغْفِرَةٌ وَرِزْقٌ كَرِيمٌ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَدْخُلُوا بُيُوتًا غَيْرَ بُيُوتِكُمْ حَتَّىٰ تَسْتَأْنِسُوا وَتُسَلِّمُوا عَلَىٰ أَهْلِهَا ۚ ذَٰلِكُمْ خَيْرٌ لَكُمْ لَعَلَّكُمْ تَذَكَّرُونَ
- فَإِنْ لَمْ تَجِدُوا فِيهَا أَحَدًا فَلَا تَدْخُلُوهَا حَتَّىٰ يُؤْذَنَ لَكُمْ ۖ وَإِنْ قِيلَ لَكُمُ ارْجِعُوا فَارْجِعُوا ۖ هُوَ أَزْكَىٰ لَكُمْ ۚ وَاللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ عَلِيمٌ
- لَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَنْ تَدْخُلُوا بُيُوتًا غَيْرَ مَسْكُونَةٍ فِيهَا مَتَاعٌ لَكُمْ ۚ وَاللَّهُ يَعْلَمُ مَا تُبْدُونَ وَمَا تَكْتُمُونَ
- قُلْ لِلْمُؤْمِنِينَ يَغُضُّوا مِنْ أَبْصَارِهِمْ وَيَحْفَظُوا فُرُوجَهُمْ ۚ ذَٰلِكَ أَزْكَىٰ لَهُمْ ۗ إِنَّ اللَّهَ خَبِيرٌ بِمَا يَصْنَعُونَ
- وَقُلْ لِلْمُؤْمِنَاتِ يَغْضُضْنَ مِنْ أَبْصَارِهِنَّ وَيَحْفَظْنَ فُرُوجَهُنَّ وَلَا يُبْدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلَّا مَا ظَهَرَ مِنْهَا ۖ وَلْيَضْرِبْنَ بِخُمُرِهِنَّ عَلَىٰ جُيُوبِهِنَّ ۖ وَلَا يُبْدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلَّا لِبُعُولَتِهِنَّ أَوْ آبَائِهِنَّ أَوْ آبَاءِ بُعُولَتِهِنَّ أَوْ أَبْنَائِهِنَّ أَوْ أَبْنَاءِ بُعُولَتِهِنَّ أَوْ إِخْوَانِهِنَّ أَوْ بَنِي إِخْوَانِهِنَّ أَوْ بَنِي أَخَوَاتِهِنَّ أَوْ نِسَائِهِنَّ أَوْ مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُهُنَّ أَوِ التَّابِعِينَ غَيْرِ أُولِي الْإِرْبَةِ مِنَ الرِّجَالِ أَوِ الطِّفْلِ الَّذِينَ لَمْ يَظْهَرُوا عَلَىٰ عَوْرَاتِ النِّسَاءِ ۖ وَلَا يَضْرِبْنَ بِأَرْجُلِهِنَّ لِيُعْلَمَ مَا يُخْفِينَ مِنْ زِينَتِهِنَّ ۚ وَتُوبُوا إِلَى اللَّهِ جَمِيعًا أَيُّهَ الْمُؤْمِنُونَ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ
- وَأَنْكِحُوا الْأَيَامَىٰ مِنْكُمْ وَالصَّالِحِينَ مِنْ عِبَادِكُمْ وَإِمَائِكُمْ ۚ إِنْ يَكُونُوا فُقَرَاءَ يُغْنِهِمُ اللَّهُ مِنْ فَضْلِهِ ۗ وَاللَّهُ وَاسِعٌ عَلِيمٌ
- وَلْيَسْتَعْفِفِ الَّذِينَ لَا يَجِدُونَ نِكَاحًا حَتَّىٰ يُغْنِيَهُمُ اللَّهُ مِنْ فَضْلِهِ ۗ وَالَّذِينَ يَبْتَغُونَ الْكِتَابَ مِمَّا مَلَكَتْ أَيْمَانُكُمْ فَكَاتِبُوهُمْ إِنْ عَلِمْتُمْ فِيهِمْ خَيْرًا ۖ وَآتُوهُمْ مِنْ مَالِ اللَّهِ الَّذِي آتَاكُمْ ۚ وَلَا تُكْرِهُوا فَتَيَاتِكُمْ عَلَى الْبِغَاءِ إِنْ أَرَدْنَ تَحَصُّنًا لِتَبْتَغُوا عَرَضَ الْحَيَاةِ الدُّنْيَا ۚ وَمَنْ يُكْرِهْهُنَّ فَإِنَّ اللَّهَ مِنْ بَعْدِ إِكْرَاهِهِنَّ غَفُورٌ رَحِيمٌ
- وَلَقَدْ أَنْزَلْنَا إِلَيْكُمْ آيَاتٍ مُبَيِّنَاتٍ وَمَثَلًا مِنَ الَّذِينَ خَلَوْا مِنْ قَبْلِكُمْ وَمَوْعِظَةً لِلْمُتَّقِينَ
- اللَّهُ نُورُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ مَثَلُ نُورِهِ كَمِشْكَاةٍ فِيهَا مِصْبَاحٌ ۖ الْمِصْبَاحُ فِي زُجَاجَةٍ ۖ الزُّجَاجَةُ كَأَنَّهَا كَوْكَبٌ دُرِّيٌّ يُوقَدُ مِنْ شَجَرَةٍ مُبَارَكَةٍ زَيْتُونَةٍ لَا شَرْقِيَّةٍ وَلَا غَرْبِيَّةٍ يَكَادُ زَيْتُهَا يُضِيءُ وَلَوْ لَمْ تَمْسَسْهُ نَارٌ ۚ نُورٌ عَلَىٰ نُورٍ ۗ يَهْدِي اللَّهُ لِنُورِهِ مَنْ يَشَاءُ ۚ وَيَضْرِبُ اللَّهُ الْأَمْثَالَ لِلنَّاسِ ۗ وَاللَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ
- فِي بُيُوتٍ أَذِنَ اللَّهُ أَنْ تُرْفَعَ وَيُذْكَرَ فِيهَا اسْمُهُ يُسَبِّحُ لَهُ فِيهَا بِالْغُدُوِّ وَالْآصَالِ
- رِجَالٌ لَا تُلْهِيهِمْ تِجَارَةٌ وَلَا بَيْعٌ عَنْ ذِكْرِ اللَّهِ وَإِقَامِ الصَّلَاةِ وَإِيتَاءِ الزَّكَاةِ ۙ يَخَافُونَ يَوْمًا تَتَقَلَّبُ فِيهِ الْقُلُوبُ وَالْأَبْصَارُ
- لِيَجْزِيَهُمُ اللَّهُ أَحْسَنَ مَا عَمِلُوا وَيَزِيدَهُمْ مِنْ فَضْلِهِ ۗ وَاللَّهُ يَرْزُقُ مَنْ يَشَاءُ بِغَيْرِ حِسَابٍ
- وَالَّذِينَ كَفَرُوا أَعْمَالُهُمْ كَسَرَابٍ بِقِيعَةٍ يَحْسَبُهُ الظَّمْآنُ مَاءً حَتَّىٰ إِذَا جَاءَهُ لَمْ يَجِدْهُ شَيْئًا وَوَجَدَ اللَّهَ عِنْدَهُ فَوَفَّاهُ حِسَابَهُ ۗ وَاللَّهُ سَرِيعُ الْحِسَابِ
- أَوْ كَظُلُمَاتٍ فِي بَحْرٍ لُجِّيٍّ يَغْشَاهُ مَوْجٌ مِنْ فَوْقِهِ مَوْجٌ مِنْ فَوْقِهِ سَحَابٌ ۚ ظُلُمَاتٌ بَعْضُهَا فَوْقَ بَعْضٍ إِذَا أَخْرَجَ يَدَهُ لَمْ يَكَدْ يَرَاهَا ۗ وَمَنْ لَمْ يَجْعَلِ اللَّهُ لَهُ نُورًا فَمَا لَهُ مِنْ نُورٍ
- أَلَمْ تَرَ أَنَّ اللَّهَ يُسَبِّحُ لَهُ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَالطَّيْرُ صَافَّاتٍ ۖ كُلٌّ قَدْ عَلِمَ صَلَاتَهُ وَتَسْبِيحَهُ ۗ وَاللَّهُ عَلِيمٌ بِمَا يَفْعَلُونَ
- وَلِلَّهِ مُلْكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۖ وَإِلَى اللَّهِ الْمَصِيرُ
- أَلَمْ تَرَ أَنَّ اللَّهَ يُزْجِي سَحَابًا ثُمَّ يُؤَلِّفُ بَيْنَهُ ثُمَّ يَجْعَلُهُ رُكَامًا فَتَرَى الْوَدْقَ يَخْرُجُ مِنْ خِلَالِهِ وَيُنَزِّلُ مِنَ السَّمَاءِ مِنْ جِبَالٍ فِيهَا مِنْ بَرَدٍ فَيُصِيبُ بِهِ مَنْ يَشَاءُ وَيَصْرِفُهُ عَنْ مَنْ يَشَاءُ ۖ يَكَادُ سَنَا بَرْقِهِ يَذْهَبُ بِالْأَبْصَارِ
- يُقَلِّبُ اللَّهُ اللَّيْلَ وَالنَّهَارَ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَعِبْرَةً لِأُولِي الْأَبْصَارِ
- وَاللَّهُ خَلَقَ كُلَّ دَابَّةٍ مِنْ مَاءٍ ۖ فَمِنْهُمْ مَنْ يَمْشِي عَلَىٰ بَطْنِهِ وَمِنْهُمْ مَنْ يَمْشِي عَلَىٰ رِجْلَيْنِ وَمِنْهُمْ مَنْ يَمْشِي عَلَىٰ أَرْبَعٍ ۚ يَخْلُقُ اللَّهُ مَا يَشَاءُ ۚ إِنَّ اللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
- لَقَدْ أَنْزَلْنَا آيَاتٍ مُبَيِّنَاتٍ ۚ وَاللَّهُ يَهْدِي مَنْ يَشَاءُ إِلَىٰ صِرَاطٍ مُسْتَقِيمٍ
- وَيَقُولُونَ آمَنَّا بِاللَّهِ وَبِالرَّسُولِ وَأَطَعْنَا ثُمَّ يَتَوَلَّىٰ فَرِيقٌ مِنْهُمْ مِنْ بَعْدِ ذَٰلِكَ ۚ وَمَا أُولَٰئِكَ بِالْمُؤْمِنِينَ
- وَإِذَا دُعُوا إِلَى اللَّهِ وَرَسُولِهِ لِيَحْكُمَ بَيْنَهُمْ إِذَا فَرِيقٌ مِنْهُمْ مُعْرِضُونَ
- وَإِنْ يَكُنْ لَهُمُ الْحَقُّ يَأْتُوا إِلَيْهِ مُذْعِنِينَ
- أَفِي قُلُوبِهِمْ مَرَضٌ أَمِ ارْتَابُوا أَمْ يَخَافُونَ أَنْ يَحِيفَ اللَّهُ عَلَيْهِمْ وَرَسُولُهُ ۚ بَلْ أُولَٰئِكَ هُمُ الظَّالِمُونَ
- إِنَّمَا كَانَ قَوْلَ الْمُؤْمِنِينَ إِذَا دُعُوا إِلَى اللَّهِ وَرَسُولِهِ لِيَحْكُمَ بَيْنَهُمْ أَنْ يَقُولُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا ۚ وَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُفْلِحُونَ
- وَمَنْ يُطِعِ اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَيَخْشَ اللَّهَ وَيَتَّقْهِ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْفَائِزُونَ
- وَأَقْسَمُوا بِاللَّهِ جَهْدَ أَيْمَانِهِمْ لَئِنْ أَمَرْتَهُمْ لَيَخْرُجُنَّ ۖ قُلْ لَا تُقْسِمُوا ۖ طَاعَةٌ مَعْرُوفَةٌ ۚ إِنَّ اللَّهَ خَبِيرٌ بِمَا تَعْمَلُونَ
- قُلْ أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ ۖ فَإِنْ تَوَلَّوْا فَإِنَّمَا عَلَيْهِ مَا حُمِّلَ وَعَلَيْكُمْ مَا حُمِّلْتُمْ ۖ وَإِنْ تُطِيعُوهُ تَهْتَدُوا ۚ وَمَا عَلَى الرَّسُولِ إِلَّا الْبَلَاغُ الْمُبِينُ
- وَعَدَ اللَّهُ الَّذِينَ آمَنُوا مِنْكُمْ وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ لَيَسْتَخْلِفَنَّهُمْ فِي الْأَرْضِ كَمَا اسْتَخْلَفَ الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ وَلَيُمَكِّنَنَّ لَهُمْ دِينَهُمُ الَّذِي ارْتَضَىٰ لَهُمْ وَلَيُبَدِّلَنَّهُمْ مِنْ بَعْدِ خَوْفِهِمْ أَمْنًا ۚ يَعْبُدُونَنِي لَا يُشْرِكُونَ بِي شَيْئًا ۚ وَمَنْ كَفَرَ بَعْدَ ذَٰلِكَ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْفَاسِقُونَ
- وَأَقِيمُوا الصَّلَاةَ وَآتُوا الزَّكَاةَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ
- لَا تَحْسَبَنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا مُعْجِزِينَ فِي الْأَرْضِ ۚ وَمَأْوَاهُمُ النَّارُ ۖ وَلَبِئْسَ الْمَصِيرُ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لِيَسْتَأْذِنْكُمُ الَّذِينَ مَلَكَتْ أَيْمَانُكُمْ وَالَّذِينَ لَمْ يَبْلُغُوا الْحُلُمَ مِنْكُمْ ثَلَاثَ مَرَّاتٍ ۚ مِنْ قَبْلِ صَلَاةِ الْفَجْرِ وَحِينَ تَضَعُونَ ثِيَابَكُمْ مِنَ الظَّهِيرَةِ وَمِنْ بَعْدِ صَلَاةِ الْعِشَاءِ ۚ ثَلَاثُ عَوْرَاتٍ لَكُمْ ۚ لَيْسَ عَلَيْكُمْ وَلَا عَلَيْهِمْ جُنَاحٌ بَعْدَهُنَّ ۚ طَوَّافُونَ عَلَيْكُمْ بَعْضُكُمْ عَلَىٰ بَعْضٍ ۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ اللَّهُ لَكُمُ الْآيَاتِ ۗ وَاللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ
- وَإِذَا بَلَغَ الْأَطْفَالُ مِنْكُمُ الْحُلُمَ فَلْيَسْتَأْذِنُوا كَمَا اسْتَأْذَنَ الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ ۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ اللَّهُ لَكُمْ آيَاتِهِ ۗ وَاللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ
- وَالْقَوَاعِدُ مِنَ النِّسَاءِ اللَّاتِي لَا يَرْجُونَ نِكَاحًا فَلَيْسَ عَلَيْهِنَّ جُنَاحٌ أَنْ يَضَعْنَ ثِيَابَهُنَّ غَيْرَ مُتَبَرِّجَاتٍ بِزِينَةٍ ۖ وَأَنْ يَسْتَعْفِفْنَ خَيْرٌ لَهُنَّ ۗ وَاللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٌ
- لَيْسَ عَلَى الْأَعْمَىٰ حَرَجٌ وَلَا عَلَى الْأَعْرَجِ حَرَجٌ وَلَا عَلَى الْمَرِيضِ حَرَجٌ وَلَا عَلَىٰ أَنْفُسِكُمْ أَنْ تَأْكُلُوا مِنْ بُيُوتِكُمْ أَوْ بُيُوتِ آبَائِكُمْ أَوْ بُيُوتِ أُمَّهَاتِكُمْ أَوْ بُيُوتِ إِخْوَانِكُمْ أَوْ بُيُوتِ أَخَوَاتِكُمْ أَوْ بُيُوتِ أَعْمَامِكُمْ أَوْ بُيُوتِ عَمَّاتِكُمْ أَوْ بُيُوتِ أَخْوَالِكُمْ أَوْ بُيُوتِ خَالَاتِكُمْ أَوْ مَا مَلَكْتُمْ مَفَاتِحَهُ أَوْ صَدِيقِكُمْ ۚ لَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَنْ تَأْكُلُوا جَمِيعًا أَوْ أَشْتَاتًا ۚ فَإِذَا دَخَلْتُمْ بُيُوتًا فَسَلِّمُوا عَلَىٰ أَنْفُسِكُمْ تَحِيَّةً مِنْ عِنْدِ اللَّهِ مُبَارَكَةً طَيِّبَةً ۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ اللَّهُ لَكُمُ الْآيَاتِ لَعَلَّكُمْ تَعْقِلُونَ
- إِنَّمَا الْمُؤْمِنُونَ الَّذِينَ آمَنُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ وَإِذَا كَانُوا مَعَهُ عَلَىٰ أَمْرٍ جَامِعٍ لَمْ يَذْهَبُوا حَتَّىٰ يَسْتَأْذِنُوهُ ۚ إِنَّ الَّذِينَ يَسْتَأْذِنُونَكَ أُولَٰئِكَ الَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ ۚ فَإِذَا اسْتَأْذَنُوكَ لِبَعْضِ شَأْنِهِمْ فَأْذَنْ لِمَنْ شِئْتَ مِنْهُمْ وَاسْتَغْفِرْ لَهُمُ اللَّهَ ۚ إِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ رَحِيمٌ
- لَا تَجْعَلُوا دُعَاءَ الرَّسُولِ بَيْنَكُمْ كَدُعَاءِ بَعْضِكُمْ بَعْضًا ۚ قَدْ يَعْلَمُ اللَّهُ الَّذِينَ يَتَسَلَّلُونَ مِنْكُمْ لِوَاذًا ۚ فَلْيَحْذَرِ الَّذِينَ يُخَالِفُونَ عَنْ أَمْرِهِ أَنْ تُصِيبَهُمْ فِتْنَةٌ أَوْ يُصِيبَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ
- أَلَا إِنَّ لِلَّهِ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۖ قَدْ يَعْلَمُ مَا أَنْتُمْ عَلَيْهِ وَيَوْمَ يُرْجَعُونَ إِلَيْهِ فَيُنَبِّئُهُمْ بِمَا عَمِلُوا ۗ وَاللَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Sooratun anzalnaahaa wa faradnaahaa wa anzalnaa feehaaa Aayaatin baiyinaatil la'allakum tazakkaroon
- Azzaaniyatu wazzaanee fajlidoo kulla waahidim minhumaa mi'ata jaldatinw wa laa taakhuzkum bihimaa raafatun fee deenil laahi in kuntum tu'minoona billaahi wal Yawmil Aakhiri wal yashhad 'azaabahumaa taaa'ifatum minal mu'mineen
- Azzaanee laa yankihu illaa zaaniyatan aw mushrikatanw wazzaaniyatu laa yankihuhaaa illaa zaanin aw mushrik; wa hurrima zaalika 'alal mu'mineen
- Wallazeena yarmoonal muhsanaati summa lam yaatoo bi-arba'ati shuhadaaa'a fajlidoohum samaaneena jaldatanw wa laa taqbaloo lahum shahaadatan abadaa; wa ulaaa'ika humul faasiqoon
- Illal lazeena taaboo mim ba'di zaalika wa aslahoo fa innal laaha Ghafoorur Raheem
- Wallazeena yarmoona azwaajahum wa lam yakul lahum shuhadaaa'u illaaa anfusuhum fashahaadatu ahadihim arba'u shahaadaatim billaahi innahoo laminas saadiqeen
- Wal khaamisatu anna la'natal laahi 'alaihi in kaana minal kaazibeen
- Wa yadra'u anhal 'azaaba an tashhada arba'a shahaa daatim billaahi innahoo laminal kaazibeen
- Wal khaamisata anna ghadabal laahi 'alaihaaa in kaana minas saadiqeen
- Wa law laa fadlul laahi 'alaikum wa rahmatuhoo wa annal laaha Tawwaabun Hakeem (section 1)
- Innal lazeena jaaa'oo bilifki 'usbatum minkum; laa tahsaboohu sharral lakum bal huwa khairul lakum; likul limri'im minhum mak tasaba minal-ism; wallazee tawallaa kibrahoo minhum lahoo 'azaabun 'azeem
- Law laaa iz sami'tumoohu zannal mu'minoona walmu'minaatu bi anfusihim khairanw wa qaaloo haazaaa ifkum mubeen
- Law laa jaaa'oo 'alaihi bi-arba'ati shuhadaaa'; fa iz lam yaatoo bishshuhadaaa'i fa ulaaa 'ika 'indal laahi humul kaaziboon
- Wa law laa fadlul laahi 'alaikum wa rahmatuhoo fiddunyaa wal aakhirati lamassakum fee maaa afadtum feehi 'azaabun 'azeem
- Iz talaqqawnahoo bi alsinatikum wa taqooloona bi afwaahikum maa laisa lakum bihee 'ilmunw wa tahsaboo nahoo haiyinanw wa huwa 'indal laahi 'azeem
- Wa law laaa iz sami'tu moohu qultum maa yakoonu lanaaa an natakallama bihaazaa Subhaanaka haaza buhtaanun 'azeem
- Ya'izukumul laahu an ta'oodoo limisliheee abadan in kuntum mu'mineen
- Wa yubaiyinul laahu lakumul Aayaat; wallaahu 'Aleemun Hakeem
- Innal lazeena yuhibboona an tashee'al faahishatu fil lazeena aamanoo lahum 'azaabun aleemun fid dunyaa wal Aakhirah; wallaahu ya'lamu wa antum laa ta'lamoon
- Wa law laa fadlul laahi 'alaikum wa rahmatuhoo wa annal laaha Ra'oofur Raheem (section 2)
- Yaaa aiyuhal lazeena aamanoo laa tattabi'oo khutuwaatish Shaitaan; wa many-yattabi' khutuwaatish Shaitaani fa innahoo yaamuru bilfahshaaa'i walmunkar; wa law laa fadlul laahi 'alaikum wa rahmatuhoo maa zakaa minkum min ahadin abadanw wa laakinnal laaha yuzakkee many-yashaaa'; wallaahu Samee'un 'Aleem
- Wa laa yaatali ulul fadli minkum wassa'ati ai yu'tooo ulil qurbaa walmasaakeena walmuhaajireena fee sabeelillaahi walya'foo walyasfahoo; alaa tuhibboona ai yaghfiral laahu lakum; wal laahu Ghafoorur Raheem
- Innal lazeena yarmoonal muhsanaatil ghaafilaatil mu'minaati lu'inoo fid dunyaa wal Aakhirati wa lahum 'azaabun 'azeem
- Yawma tashhhadu 'alaihim alsinatuhum wa aideehim wa arjuluhum bimaa kaanoo ya'maloon
- Yawma'iziny yuwaf feehimul laahu deenahumul haqqa wa ya'lamoona annal laaha Huwal Haqqul Mubeen
- Al khabeesaatu lil khabeeseena wal khabeesoona lil khabeesaati wat taiyibaatu lit taiyibeena wat taiyiboona lit taiyibaat; ulaaa'ika mubarra'oona mimma yaqooloona lahum maghfiratunw wa rizqun kareem (section 3)
- Yaaa aiyuhal lazeena aamanoo laa tadkhuloo buyootan ghaira buyootikum hatta tastaanisoo wa tusallimoo 'alaa ahlihaa; zaalikum khairul lakum la'allakum tazakkaroon
- Fa il lam tajidoo feehaaa ahadan falaa tadkhuloohaa hattaa yu'zana lakum wa in qeela lakumurji'oo farji'oo huwa azkaa lakum; wallaahu bimaa ta'maloona 'Aleem
- Laisa 'alaikum junaahun ann tadkhuloo buyootan ghaira maskoonatin feeha mataa'ul lakum; wallaahu ya'lamu maa tubdoona wa maa taktumoon
- Qul lilmu' mineena yaghuuddoo min absaarihim wa yahfazoo furoojahum; zaalika azkaa lahum; innallaaha khabeerum bimaa yasna'oon
- Wa qul lilmu'minaati yaghdudna min absaarihinna wa yahfazna furoojahunna wa laa yubdeena zeenatahunna illaa maa zahara minhaa wal yadribanna bikhumurihinna 'alaa juyoobihinna wa laa yubdeena zeenatahunna illaa libu'oolatihinna aw aabaaa'i hinna aw aabaaa'i bu'oolati hinna aw abnaaa'ihinnaa aw abnaaa'i bu'oolatihinnna aw ikhwaanihinnna aw baneee ikhwaanihinna aw banee akhawaatihinna aw nisaaa'i hinna aw maa malakat aimaanuhunna awit taabi'eena ghairi ilil irbati minar rijaali awit tiflillazeena lam yazharoo 'alaa 'awraatin nisaaa'i wala yadribnna bi arjulihinna liyu'lama maa yukhfeena min zeenatihinn; wa toobooo ilallaahi jammee'an aiyuhal mu'minoona la'allakum tuflihoon
- Wa ankihul ayaamaa minkum was saaliheena min 'ibaadikum wa imaa'ikum; iny-yakoonoo fuqaraaa'a yughni himul laahu min fadlih; wal laahu Waasi'un 'Aleem
- Wal yasta'fifil lazeena laa yajidoona nikaahan hatta yughniyahumul laahu min fadlih; wallazeena yabtaghoonal kitaaba mimmaa malakat aimaanukum fakaatiboohum in 'alimtum feehim khairanw wa aatoohum mimmaalil laahil lazeee aataakum; wa laa tukrihoo fatayaatikum 'alal bighaaa'i in aradna tahassunal litabtaghoo 'aradal hayaatid dunyaa; wa mai yukrihhunna fa innal laaha mim ba'di ikraahihinna Ghafoorur Raheem
- Wa laqad anzalnaaa ilaikum Aayaatim mubaiyinaatinw wa masalam minal lazeena khalaw min qablikum wa maw'izatal lilmuttaqeen (section 4)
- Allaahu noorus samaawaati wal ard; masalu noorihee kamishkaatin feehaa misbaah; almisbaahu fee zujaajatin azzujaajatu ka annahaa kawkabun durriyyuny yooqadu min shajaratim mubaarakatin zaitoonatil laa shariqiyyatinw wa laa gharbiyyatiny yakaadu zaituhaa yudeee'u wa law lam tamsashu naar; noorun 'alaa noor; yahdil laahu linoorihee mai yashaaa'; wa yadribul laahul amsaala linnaas; wallaahu bikulli shai'in Aleem
- Fee buyootin azinal laahu an turfa'a wa yuzkara feehasmuhoo yusabbihu lahoo feehaa bilghuduwwi wal aasaal
- Rijaalul laa tulheehim tijaaratunw wa laa bai'un 'an zikril laahi wa iqaamis Salaati wa eetaaa'iz Zakaati yakhaafoona Yawman tataqallabu feehil quloobu wal absaar
- Liyajziyahumul laahu ahsana maa 'amiloo wa yazeedahum min fadlih; wal laahu yarzuqu mai yashaaa'u bighairi hisaab
- Wallazeena kafarooo a'maaluhum kasaraabim biqee'atiny yahsabuhuz zamaanu maaa'an hattaaa izaa jaaa'ahoo lam yajid hu shai'anw wa wajadal laaha 'indahoo fa waffaahu hisaabah; wallaahu saree'ul hisaab
- Aw kazulumaatin fee bahril lujjiyyiny yaghshaahu mawjun min fawqihee mawjun min fawqihee sahaab; zulumatun ba'duhaa fawqa ba'din izaaa akhraja yadahoo lam yakad yaraahaa wa man lam yaj'alil laahu lahoo nooran famaa lahoo min noor (section 5)
- Alam tara annal laaha yusabbihu lahoo man fissamaawaati wal ardi wat tairu saaaffaatim kullun qad 'alima Salaatahoo wa tasbeehah; wallaahu 'aleemum bimaa yaf'aloon
- Wa lillaahi mulkus samaawaati wal ardi wa ilal laahil maseer
- Alam tara annal laaha yuzjee sahaaban summa yu'allifu bainahoo summa yaj'aluhoo rukaaman fataral wadqa yakhruju min khilaalihee wa yunazzilu minas samaaa'i min jibaalin feehaa mim baradin fa yuseebu bihee mai yashaaa'u wa yasrifuhoo 'am mai yashaaa'u yakkaadu sanaa barqihee yazhabu bil absaar
- Yuqallibul laahul laila wannahaar; inna fee zaalika la'ibratal li ulil absaar
- Wallaahu khalaqa kulla daaabbatim mim maaa'in faminhum mai yamshee 'alaa batnihee wa minhum mai yamshee 'alaa rijlaine wa minhum mai yamshee 'alaaa arba'; yakhluqul laahu maa yashaaa'; innal laaha 'alaa kulli shai'in Qadeer
- Laqad anzalnaaa Aayaatim mubaiyinaat; wallaahu yahdee mai yashaaa'u ilaa Siraatim Mustaqeem
- Wa yaqooloona aamannaa billaahi wa bir Rasooli wa ata'naa summa yatawallaa fareequm minhum mim ba'di zaalik; wa maaa ulaaa'ika bilmu'mineen
- Wa izaa du'ooo ilal laahi wa Rasoolihee li yahkuma bainahum izaa fareequm minhum mu'ridoon
- Wa iny-yakul lahumul haqqu yaatooo ilaihi muz'ineen
- Afee quloobihim maradun amirtaabooo am yakhaafoona any yaheefallaahu 'alaihim wa Rasooluh; bal ulaaa'ika humuz zaalimoon (section 6)
- Innamaa kaana qawlal mu'mineena izaa du'ooo ilal laahi wa Rasoolihee li yahkuma bainahum ai yaqooloo sami'naa wa ata'naa; wa ulaaa'ika humul muflihoon
- Wa mai yuti'il laaha wa Rasoolahoo wa yakhshal laaha wa yattaqhi fa ulaaa'ika humul faaa'izoon
- Wa aqsamoo billaahi jahda aimaanihim la'in amartahum la yakhrujunna qul laa tuqsimoo taa'atum ma'roofah innal laaha khabeerum bimaa ta'maloon
- Qul atee'ul laaha wa atee'ur Rasoola fa in tawallaw fa innamaa 'alaihi maa hummila wa 'alaikum maa hummiltum wa in tutee'oohu tahtadoo; wa maa'alar Rasooli illal balaaghul mubeen
- Wa'adal laahul lazeena aamanoo minkum wa 'amilus saalihaati la yastakhlifan nahum fil ardi kamastakh lafal lazeena min qablihim wa la yumakkinanna lahum deenahumul lazir tadaa lahum wa la yubaddilannahum mim ba'di khawfihim amnaa; ya'budoonanee laayushrikoona bee shai'aa; wa man kafara ba'da zaalika fa ulaaa'ika humul faasiqoon
- Wa aqeemus Salaata wa aatuz Zakaata wa atee'ur Rasoola la'allakum turhamoon
- Laa tahsabannal lazeena kafaroo mu'jizeena fil ard; wa maawaahumun Naaru wa labi'sal maseer (section 7)
- Yaaa aiyuhal lazeena aamanoo li yasta'zinkumul lazeena malakat aimaanukum wallazeena lam yablughul huluma minkum salaasa marraat; min qabli Salaatil Fajri wa heena tada'oona siyaa bakum minaz zaheerati wa min ba'di Salaatil Ishaaa'; salaasu 'awraatil lakum; laisa 'alaikum wa laa 'alaihim junaahun ba'dahunn; tawwaafoona 'alaikum ba'dukum 'alaa ba'd; kazaalika yubaiyinul laahu lakumul aayaat; wallahu 'Aleemun Hakeem
- Wa izaa balaghal atfaalu minkumul huluma fal yasta'zinoo kamas ta'zanal lazeena min qablihim; kazaalika yubaiyinul laahu lakum Aayaatih; wallaahu 'Aleemun Hakeem
- Walqawaa'idu minan nisaaa'il laatee laa yarjoona nikaahan fa laisa 'alaihinna junaahun ai yada'na siyaabahunna ghaira mutabarrijaatin bi zeenah; wa ai yasta'fif na khairul lahunn; wallaahu Samee'un 'Aleem
- Laisa 'alal a'maa harajunw wa laa 'alal a'raji harajunw wa laa 'alal mareedi harajun wa laa 'alaa anfusikum 'an ta'kuloo min buyootikum aw buyooti aabaaa'ikum aw buyooti ummahaatikum aw buyooti ikhwaanikum aw buyooti akhawaatikum aw buyooti a'maamikum aw buyooti 'ammaatikum aw buyooti akhwaalikum aw buyooti khaalaatikum aw maa malaktum mafaatihahooo aw sadeeqikum; laisa 'alaikum junaahun 'an ta'kuloo jamee'an aw ashtaata; fa izaa dakhaltum buyootan fa sallimoo 'alaaa anfusikum tahiyyatan min 'indil laahi mubaarakatan taiyibah; kazaalika yubai yinul laahu lakumul Aayaati la'allakum ta'qiloon (section 8)
- Innamal mu'minoonal lazeena aamanoo billaahi wa Rasoolihee wa izaa kaanoo ma'ahoo 'alaaa amrin jaami'il lam yazhaboo hattaa yasta'zinooh; innal lazeena yasta'zinoonaka ulaaa'ikal lazeena yu'minoona billaahi wa Rasoolih; fa izas ta'zanooka li ba'di sha'nihim fa'zal liman shi'ta minhum wastaghfir lahumul laah; innal laaha Ghafoorur Raheem
- Laa taj'aloo du'aaa'ar Rasooli bainakum ka du'aaa'i ba'dikum ba'daa; qad ya'lamul laahul lazeena yatasallaloona minkum liwaazaa; fal yahzaril lazeena yukhaalifoona 'an amriheee 'an tuseebahum fitnatun aw yuseebahum 'azaabun aleem
- 'Alaaa inna lillaahi maa fis samaawaati wal ardi qad ya'lamu maaa antum 'alaihi wa Yawma yurja'oona ilaihi fa yunabbi'uhum bimaa 'amiloo; wallaahu bikulli shai'in 'Aleem (section 9)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Yeh ek surat hai jisko humne naazil kiya hai, aur isey humne farz kiya hai, aur is mein humne saaf saaf hidayaat naazil ki hain, shayad ke tum sabaq lo.2. Zaniya (adulterous) aurat zaani mard, dono mein se har ek ko sau (hundred) kodey (lashes) maaro aur inpar tars khane ka jazba Allah ke deen ke maamle mein tumko daamangeer (pity) na ho agar tum Allah taala aur roz-e-aakhir par iman rakhte ho, aur inko saza dete waqt ehle iman ka ek giroh maujood rahe.
3. Zaani (man guilty of adultery) nikah na kare magar zaniya ke saath ya mushrika ke saath, aur zaniya ke saath nikah na kare magar zaani ya mushrik. Aur yeh haraam kardiya gaya hai ehle iman par.
4. Aur jo log paak daaman auraton par tohmat (ilzam /bohtan/slander) lagayein, phir char (four) gawah lekar na aayein, unko assi (eighty) kodey (lashes) maaro , aur unki shahadat kabhi qabool na karo. Aur woh khud hi faasiq hain.
5. Siwaye un logon ke jo is harakat ke baad taaib (repent) ho jayein aur islaah karlein ke Allah zaroor (unke haqq mein) gafoor o raheem hai.
6. Aur jo log apni biwiyon par ilzam lagayein aur unke paas khud unke apne siwa dusre koi gawah na hon to unmein se ek shaks ki shahadat(yeh hai ke woh) char martaba Allah ki qasam kha kar gawahi de ke woh (apne ilzam mein) saccha hai.
7. Aur panchwi (fifth) baar kahey ke uspar Allah ki laanat ho agar woh (apne ilzaam mein) jhoota ho.
8. Aur aurat se saza is tarah tal sakti hai ke woh char martaba Allah ki qasam kha kar shahadat de ke yeh shaks (apne ilzam mein) jhoota hai.
9. Aur panchwi martaba kahey ke us bandi par Allah ka gazab totay agar woh (apne ilzam mein) saccha ho.
10. Tum logon par Allah ka fazl aur uska reham na hota aur yeh baat na hoti ke Allah bada iltifaat (most forgiving) farmane wala aur hakeem hai, to (biwiyon par ilzam ka maamla tumhein badi pechidgi mein daal deta).
11. Jo log yeh bohtan (slander) ghadh laye hain woh tumhare hi andar ka ek tola hain. Is waqiye ko apne haqq mein sharr na samjho balke yeh bhi tumhare liye khair hi hai. Jisne is mein jitna hissa liya usne utna hi gunaah sametha aur jis shaks ne iski zimmedari ka bada hissa apne sar liya uske liye to azaab e azeem hai.
12. Jis waqt tum logon ne isey suna tha usi waqt kyun na momin mardon aur momin auraton ne apne aap se neik gumaan kiya aur kyun na kehdiya ke yeh sareeh bohtan (slander) hai?
13. Woh log (apne ilzam ke saboot mein) char gawah kyun na laye? Ab ke woh gawah nahin laye hain, Allah ke nazdeek wahi jhootey hain.
14. Agar tum logon par duniya aur aakhirat mein Allah ka fazl aur reham o karam na hota to jin baaton mein tum padh gaye thay unki padash mein bada azaab tumhein aa leta.
15. (Zara gaur to karo, us waqt tum kaisi sakht galati kar rahe thay) jabke tumhari ek zubaan se dusri zubaan is jhoot ko leti chali jaa rahi thi aur tum apne mooh se woh kuch kahey jaa rahe thay jiske mutaalik tumhein koi ilm na tha. Tum isey ek mamuli baat samajh rahe thay, halanke Allah ke nazdeek yeh badi baat thi.
16. Kyun na usey sunte hi tumne kehdiya “humein aisi baat zubaan se nikalna zeib nahin deta, Subhan Allah , yeh to ek bohtan e azeem hai”.
17. Allah tumko naseehat karta hai ke aainda kabhi aisi harakat na karna agar tum momin ho.
18. Allah tumhein saaf saaf hidayaat deta hai aur woh aleem o hakeem hai.
19. Jo log chahte hain ke iman laane walon ke giroh mein fahash (indecency) phayle woh duniya aur aakhirat mein dardnaak saza ke musthaq hain. Allah jaanta hai aur tum nahin jaante.
20. Agar Allah ka fazl aur uska reham o karam tumpar na hota aur yeh baat na hoti ke Allah bada shafeeq o raheem hai (to yeh cheez jo abhi tumhare andar phaylayi gayi thi badtareen nataij dikha deti).
21. Aey logon jo iman laye ho, shaytan ke nakshe qadam par na chalo, uski pairwi (jo) koi karega to woh usey fahash (indecency) aur badi (wickedness) hi ka hukm dega.Agar Allah ka fazl aur uska reham o karam tumpar na hota to tum mein se koi shaks paak na ho sakta, magar Allah hi jise chahta hai paak kardeta hai, aur Allah sunnay wala aur jaanney wala hai.
22. Tum mein se jo log saahib e fazl (bountiful) aur saahib e maqdarat (means) hain woh is baat ki qasam na kha baithein ke apne rishtedar, miskeen aur muhajir-fi-sabeelillah (who have left their homes for the cause of Allah) logon ki madad na karenge. Unhein maaf kardena chahiye aur darguazar karna chahiye. Kya tum nahin chahte ke Allah tumhein maaf kare? Aur Allah ki siffat yeh hai ke woh gafoor aur raheem hai.
23. Jo log paak daaman, be-khabar, momin auraton par tohmatein (slandering) lagate hain unpar duniya aur aakhirat mein laanat ki gayi aur unke liye bada azaab hai.
24. Woh us din ko bhool na jayein jabke unki apni zubaanein aur unke apne haath paon unke kartooton ki gawahi denge.
25. Us din Allah woh badla unhein bharpur de dega jiske woh mustahiq hain aur unhein maloom ho jayega ke Allah hi haqq hai. Sach ko sach kar dikhane wala.
26. Khabees (Impure) auratein khabees mardon ke liye hain aur khabees (Impure) mard khabees (Impure) auraton ke liye. Paakeeza auratein pakeeza mardon ke liya hain aur pakeeza mard pakeeza auraton ke liye. Unka daaman paak hai un baaton se jo banane wale banate hain. Unke liye magfirat hai aur rizq e kareem.
27. Aey logon jo iman laye ho, apne gharon ke siwa dusre gharon mein daakhil na hua karo jab tak ke ghar walon ki raza (ijazat) na lelo aur ghar walon par salaam na bhej lo. Yeh tareeqa tumhare liye behtar hai, tawakku hai ke tum iska khayal rakkhoge.
28. Phir agar wahan kisi ko na pao to daakhil na ho jabtak ke tumko ijazat na de di jaaye, aur agar tumse kaha jaaye ke wapas chale jao to wapas ho jao. Yeh tumhare liye zyada paakeeza tareeqa hai, aur jo kuch tum karte ho Allah usey khoob jaanta hai.
29. Albatta tumhare liye is mein koi muzahiqa (harm) nahin hai ke aise gharon mein daakhil ho jao jo kisi ke rehne ki jagah na hon, aur jinmein tumhare faiyde (ya kaam) ki koi cheez ho, tum jo kuch zaahir karte ho aur jo kuch chupate ho sab ki Allah ko khabar hai.
30. Aey Nabi, momin mardon se kaho ke apni nazarein bacha kar rakkhein aur apni sharm-gaahon ki hifazat karein, yeh unke liye zyada paakeeza tareeqa hai. Jo kuch woh karte hain Allah us se bakhabar rehta hai.
31. Aur (aey Nabi),momin auraton se kehdo ke apni nazrein bacha kar rakkhein, aur apni sharmgaahon ki hifazat karein, aur apna banao singhaar na dikhayein bajuz uske jo khud zaahir ho jaaye, aur apne seeno par apni oadniyon ke aanchal daale rahein, woh apna banaao singhar na zaahir karein magar in logon ke saamne: shohar ,baap, shoharon ke baap , apne betay, shoharon ke betay, bhai,bhaiyon ke betay, behno ke betay,apne meil-jhol ki auratein, apne mamluk(those in their possession), woh zeir-dast mard jo kisi aur qisam ki garz na rakhte hon, aur woh bacche jo auraton ki posheeda baaton se abhi waqif na huey hon. Woh apne paon zameen par maarti hui na chala karein ke apni jo zeenat unhon ne chupa rakkhi ho uska logon ko ilm ho jaaye. Aey momino, tum sab milkar Allah se tauba karo, tawaqqu hai ke falaah paoge.
32. Tum mein se jo log mujarrad (single) hon aur tumhare laundi ghulamon mein se jo saaleh hon, unke nikah kardo. Agar woh gareeb hon to Allah apne fazl se unko gani kardega. Allah badi wusat (boundless resources) wala aur aleem hai.
33. Aur jo nikah ka mauqa na paayein unhein chahiye ke iffat-maabi (paak daamani) ikhtiyar karein, yahan tak ke Allah apne fazl se unko gani karde aur tumhare mamlukon mein (in your possession) se jo makatibat (emancipation) ki darkhwast karein unse makatibat karlo, agar tumhein maloom ho ke unke andar bhalayi hai, aur unko us maal mein se do jo Allah ne tumhein diya hai. Aur apni laundiyon (slave-girls ) ko apne duniyavi faiydon ki khatir qahba-gari (prostitution) par majboor na karo jabke woh khud paak daaman rehna chahti hon. Aur jo koi unko majboor kare to is jabr ke baad Allah unke liye gafoor o raheem hai.
34. Humne saaf saaf hidayat dene wali aayaat tumhare paas bhej di hain, aur un qaumon ki ibratnaak misaalein bhi hum tumhare saamne pesh kar chuke hain jo tumse pehle ho guzri hain. Aur woh naseehatein humne kardi hain jo darne walon ke liye hoti hain.
35. Allah aasmano aur zameen ka noor hai (kayinaat mein) uske noor ki misaal aisi hai jaise ek taaq mein chiraag rakkha hua ho,chiraag ek fanoos mein ho(in a glass shade), fanoos (glass shade) ka haal yeh ho ke jaise moti ki tarah chamakta hua taara, aur woh chiraag zaitoon ke ek aise mubarak darakht ke tail(oil) se roshan kiya jata ho jo na sharqi (eastern) ho na garabi (western), jiska tail (oil) aap hi aap bhadka padta ho chahe aag usko na lage, (is taraah) roshni par roshni (badhne ke tamaam asbaab jamaa ho gaye hon). Allah apne noor ki taraf jiski chahta hai rehnumayi farmata hai. Woh logon ko misaalon se baat samjhata hai, woh har cheez se khoob waqif hai.
36. (Uske noor ki taraf hidayat paane wale) un gharon mein paye jaate hain jinhein buland karne ka aur jin mein apne naam ki yaad ka Allah ne izan (ijazat) diya hai.
37. Un mein aise log subah o shaam uski tasbeeh karte hain jinhein tijarat aur khareed o farokht Allah ki yaad se aur iqamat e namaz o adaaye zakat se gaafil nahin kardeti. Woh us din se darte rehte hain jismein dil ulatne aur deedhe pathra jaane ki (eyes will become petrified) naubat aa jayegi.
38. (Aur woh yeh sabkuch is liye karte hain) taa-ke Allah unke behtareen aamaal ki jaza unko de aur mazeed apne fazl se nawaze. Allah jise chahta hai be-hisaab deta hai.
39. (Iske baraks) jinhon ne kufr kiya unke aamal ki misaal aisi hai jaise dasht e bay-aab mein saraab ka pyasa (likened to a mirage in a waterless desert ) usko pani samajhe huey tha, magar jab wahan pahuncha to kuch na paya, balke wahan usne Allah ko maujood paya, jisne uska poora poora hisaab chuka diya. Aur Allah ko hisaab lete dair nahin lagti.
40. Ya phir uski misaal aisi hai jaise ek gehre samandar mein andhera , ke upar ek mauj chayi hui hai, uspar ek aur mauj, aur uske upar baadal, tareeki(andhera) par tareeki (darkness) musallat hai, aadmi apna haath nikale to usey bhi na dekhne paye. Jise Allah noor na bakshay uske liye phir koi noor nahin.
41. Kya tum dekhte nahin ho ke Allah ki tasbeeh kar rahe hain woh sab jo aasmano aur zameen mein hain aur woh parindey jo parr phaylaye udd rahe hain? Har ek apni namaz aur tasbeeh ka tareeqa jaanta hai, aur yeh sab jo kuch karte hain Allah us se baa-khabar rehta hai.
42. Aasmaano aur zameen ki baadshahi Allah hi ke liye hai aur usi ki taraf sabko palatna hai.
43. Kya tum dekhte nahin ho ke Allah baadal ko aahista aahista chalata hai, phir uske tukdon ko baaham joadta hai, phir usey sameit kar ek kaseef abr (mass of thick cloud) bana deta hai. Phir tum dekhte ho ke uske khaul mein se baarish ke qatre tapakte chale jaate hain aur woh aasmaan se , un pahadon ki badaulat jo usmein buland hain, aulay (hail / ice) barsata hai, phir jise chahta hai unka nuqsaan pahuchata hai aur jise chahta hai unse bacha leta hai, uski bijli ki chamak nigaahon ko kheira (dazzle) kiye deti hai.
44. Raat aur din ka ulat pher wahi kar raha hai. is mein ek sabaq hai aankhon walon ke liye.
45. Aur Allah ne har jaandaar ek tarah ke pani se paida kiya, koi pait ke bal chal raha hai to koi do taangon (two legs) par aur koi chaar taangon par. Jo kuch woh chahta hai paida karta hai, woh har cheez par qaadir hai.
46. Humne saaf saaf haqeeqat batane wali aayaat naazil kardi hai, aage siraate mustaqeem ki taraf hidayat Allah hi jise chahta hai deta hai.
47. Yeh log kehte hain ke hum iman laye Allah aur Rasool par aur humne itaat qabool ki, magar iske baad inmein se ek giroh (itaat se) mooh moad jata hai, aise log hargiz momin nahin hain.
48. Jab inko bulaya jata hai Allah aur Rasool ki taraf, taa-ke Rasool inke aapas ke muqaddame ka faisla kare to inmein se ek fareeq katra jata (turns away) hai.
49. Albatta agar haqq unki muafiqat (on their side) mein ho to Rasool ke paas badey itaat-kish (obedient) ban kar aa jaate hain.
50. Kya unke dilon ko (munafiqat ka) roag laga hua hai? Ya yeh shakk mein padey huey hain? Ya inko yeh khauf hai ke Allah aur uska Rasool inpar zulm karega? Asal baat yeh hai ke zalim to yeh log khud hain.
51. Iman laane walon ka kaam to yeh hai ke jab woh Allah aur Rasool ki taraf bulaye jayein taa-ke Rasool unke muqaddame ka faisla kare to woh kahein ke humne suna aur itaat ki, aise hi log falaah paaney wale hain.
52. Aur kamiyab wahi hain jo Allah aur Rasool ki farma bardari karein aur Allah se darein aur uski nafarmani se bachein.
53. Yeh (munafiq) Allah ke naam se kadi kadi kasmein kha kar kehte hain ke “ aap hukm dein to hum gharon se nikal khade hon” . Inse kaho “qasamein na khao , tumhari itaat ka haal maloom hai, tumhare kartooton se Allah be-khabar nahin hai”
54. Kaho, “Allah ke mutii bano (obey Allah) aur Rasool ke tabey farmaan bankar raho , lekin agar tum mooh pherte ho to khoob samajh lo ke Rasool par jis farz ka baar rakkha gaya hai uska zimmedar woh hai aur tumpar jis farz ka baar dala gaya hai uske zimmedar tum ho. Uski itaat karoge to khud hi hidayat paoge warna Rasool ki zimmedari is se zyada kuch nahin hai ke saaf saaf hukm pahuncha de”.
55. Allah ne waada farmaya hai tum mein se un logon ke saath jo iman layein aur neik amal karein ke woh unko usi tarah zameen mein khalifa banayega jis tarah unse pehle guzre huey logon ko bana chuka hai , unke liye unke us deen (religion) ko mazboot buniyadon par qayam kardega jise Allah taala ne unke haqq mein pasand kiya hai, aur unki (maujooda) haalat e khauf ko aman se badal dega, bas woh meri bandagi karein aur mere saath kisi ko shareek na karein, aur jo iske baad kufr kare to aise hi log faasiq hain.
56. Namaz qayam karo, zakat do, aur Rasool ki itaat karo, umeed hai ke tumpar reham kiya jayega.
57. Jo log kufr kar rahe hain unke mautaaliq is galat fahmi mein na raho ke woh zameen mein Allah ko aajiz(frustrate) kardenge, unka thikana dozakh hai aur woh bada hi bura thikana hai.
58. Aey logon jo iman laye ho, lazim hai ke tumhare mamluk (your slaves) aur tumhare woh bacche jo abhi aqal ki hadd ko (sex conscious /puberty) nahin pahunchey hain, teen auqat mein ijazat lekar tumhare paas aaya karein: subah ki namaz se pehle, aur dopahar ko jabke tum kapde utaar kar rakh dete ho, aur ishaa ki namaz ke baad. Yeh teen waqt tumhare liye purdey ke waqt hain. Inke baad woh bila ijazat aayein to na tumpar koi gunaah hai na unpar, tumhein ek dusre ke paas baar baar aana hi hota hai. Is tarah Allah tumhare liye apne irshadaat ki tawzeeh (wazeh) karta hai, aur woh aleem o hakeem hai.
59. Aur jab tumhare bacche aqal ki hadd (sex conscious /puberty) ko pahunch jayein to chahiye ke usi tarah ijazat lekar aaya karein jis tarah unke badey (elders) ijazat lete rahe hain. Is tarah Allah apni aayaat tumhare saamne kholta hai, aur woh aleem o hakeem hai.
60. Aur jo auratein jawani se guzri baithi hon, nikah ki umeedwaar na hon, woh agar apni chadarein (outer graments) utaar kar rakh dein to unpar koi gunaah nahin, bashart ke zeenat ki numaish karne wali na hon. Taham (nevertheless) woh bhi haya-daari hi baratein (behave modestly) to unke haqq mein accha hai, aur Allah sab kuch sunta aur jaanta hai
61. Koi haraj nahin agar koi andha, ya langda, ya mareez (kisi ke ghar se kha le) aur na tumhare upar is mein koi muzahiqa (harm/jarj) hai ke apne gharon se khao ya apne baap dada ke gharon se, ya apni maa, nani ke gharon se , ya apne bhaiyon ke gharon se, ya apni behno ke gharon se, ya apne chachaon ke gharon se , ya apni phoopiyon ke gharon se, ya apne mamuon ke gharon se, ya apni khalaon ke gharon se, ya un gharon se jinki kunjiyan (keys) tumhari supurdagi (possession) mein hon, ya apne doston ke gharon se. is mein bhi koi haraj nahin ke tum log milkar khao ya alag alag, albatta jab gharon mein daakhil hua karo to apne logon ko salaam kiya karo, dua e khair, Allah ki taraf se muqarrar farmayi hui, badi babarakat aur pakeeza. Is tarah Allah taala tumhare saamne aayaat bayaan karta hai, tawaqqu hai ke tum samajh boojh se kaam loge.
62. Momin to asal mein wahi hain jo Allah aur uske Rasool ko dilse maane aur jab kisi ijtimaii kaam ke mauqe par Rasool ke saath hon to us se ijazat liye bagair na jayein, Jo log tumse ijazat maangte hain wahi Allah aur Rasool ke maanne wale hain. Pas jab woh apne kisi kaam se ijazat maangein to jise tum chaho ijazat de diya karo aur aise logon ke haqq mein Allah se dua e magfirat kiya karo. Allah yaqeenan gafoor o raheem hai.
63. Musalmano, apne darmiyan Rasool ke bulane ko aapas mein ek dusre ka sa bulana na samajh baitho. Allah un logon ko khoob jaanta hai jo tum mein aise hain ke ek dusre ki aadd lete huey chupke se satak jaate hain. Rasool ke hukm ki khilaf warzi karne walon ko darna chahiye ke woh kisi fitne mein giraftar na ho jayein, ya unpar dardnaak azaab na aa jaaye.
64. Khabardaar raho, aasmaan o zameen mein jo kuch hai Allah ka hai. Tum jis rawish par bhi ho Allah usko jaanta hai. Jis roz log uski taraf paltenge woh unhein bata dega ke woh kya kuch karke aaye hain. Woh har cheez ka ilm rakhta hai.
Comments
Post a Comment