📖 Surah 23 Al-Mu'minun Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. قَدْ أَفْلَحَ الْمُؤْمِنُونَ

  2. الَّذِينَ هُمْ فِي صَلَاتِهِمْ خَاشِعُونَ

  3. وَالَّذِينَ هُمْ عَنِ اللَّغْوِ مُعْرِضُونَ

  4. وَالَّذِينَ هُمْ لِلزَّكَاةِ فَاعِلُونَ

  5. وَالَّذِينَ هُمْ لِفُرُوجِهِمْ حَافِظُونَ

  6. إِلَّا عَلَىٰ أَزْوَاجِهِمْ أَوْ مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُهُمْ فَإِنَّهُمْ غَيْرُ مَلُومِينَ

  7. فَمَنِ ابْتَغَىٰ وَرَاءَ ذَٰلِكَ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْعَادُونَ

  8. وَالَّذِينَ هُمْ لِأَمَانَاتِهِمْ وَعَهْدِهِمْ رَاعُونَ

  9. وَالَّذِينَ هُمْ عَلَىٰ صَلَوَاتِهِمْ يُحَافِظُونَ

  10. أُولَٰئِكَ هُمُ الْوَارِثُونَ

  11. الَّذِينَ يَرِثُونَ الْفِرْدَوْسَ هُمْ فِيهَا خَالِدُونَ

  12. وَلَقَدْ خَلَقْنَا الْإِنْسَانَ مِنْ سُلَالَةٍ مِنْ طِينٍ

  13. ثُمَّ جَعَلْنَاهُ نُطْفَةً فِي قَرَارٍ مَكِينٍ

  14. ثُمَّ خَلَقْنَا النُّطْفَةَ عَلَقَةً فَخَلَقْنَا الْعَلَقَةَ مُضْغَةً فَخَلَقْنَا الْمُضْغَةَ عِظَامًا فَكَسَوْنَا الْعِظَامَ لَحْمًا ثُمَّ أَنْشَأْنَاهُ خَلْقًا آخَرَ ۚ فَتَبَارَكَ اللَّهُ أَحْسَنُ الْخَالِقِينَ

  15. ثُمَّ إِنَّكُمْ بَعْدَ ذَٰلِكَ لَمَيِّتُونَ

  16. ثُمَّ إِنَّكُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ تُبْعَثُونَ

  17. وَلَقَدْ خَلَقْنَا فَوْقَكُمْ سَبْعَ طَرَائِقَ وَمَا كُنَّا عَنِ الْخَلْقِ غَافِلِينَ

  18. وَأَنْزَلْنَا مِنَ السَّمَاءِ مَاءً بِقَدَرٍ فَأَسْكَنَّاهُ فِي الْأَرْضِ ۖ وَإِنَّا عَلَىٰ ذَهَابٍ بِهِ لَقَادِرُونَ

  19. فَأَنْشَأْنَا لَكُمْ بِهِ جَنَّاتٍ مِنْ نَخِيلٍ وَأَعْنَابٍ لَكُمْ فِيهَا فَوَاكِهُ كَثِيرَةٌ وَمِنْهَا تَأْكُلُونَ

  20. وَشَجَرَةً تَخْرُجُ مِنْ طُورِ سَيْنَاءَ تَنْبُتُ بِالدُّهْنِ وَصِبْغٍ لِلْآكِلِينَ

  21. وَإِنَّ لَكُمْ فِي الْأَنْعَامِ لَعِبْرَةً ۖ نُسْقِيكُمْ مِمَّا فِي بُطُونِهَا وَلَكُمْ فِيهَا مَنَافِعُ كَثِيرَةٌ وَمِنْهَا تَأْكُلُونَ

  22. وَعَلَيْهَا وَعَلَى الْفُلْكِ تُحْمَلُونَ

  23. وَلَقَدْ أَرْسَلْنَا نُوحًا إِلَىٰ قَوْمِهِ فَقَالَ يَا قَوْمِ اعْبُدُوا اللَّهَ مَا لَكُمْ مِنْ إِلَٰهٍ غَيْرُهُ ۖ أَفَلَا تَتَّقُونَ

  24. فَقَالَ الْمَلَأُ الَّذِينَ كَفَرُوا مِنْ قَوْمِهِ مَا هَٰذَا إِلَّا بَشَرٌ مِثْلُكُمْ يُرِيدُ أَنْ يَتَفَضَّلَ عَلَيْكُمْ وَلَوْ شَاءَ اللَّهُ لَأَنْزَلَ مَلَائِكَةً مَا سَمِعْنَا بِهَٰذَا فِي آبَائِنَا الْأَوَّلِينَ

  25. إِنْ هُوَ إِلَّا رَجُلٌ بِهِ جِنَّةٌ فَتَرَبَّصُوا بِهِ حَتَّىٰ حِينٍ

  26. قَالَ رَبِّ انْصُرْنِي بِمَا كَذَّبُونِ

  27. فَأَوْحَيْنَا إِلَيْهِ أَنِ اصْنَعِ الْفُلْكَ بِأَعْيُنِنَا وَوَحْيِنَا فَإِذَا جَاءَ أَمْرُنَا وَفَارَ التَّنُّورُ ۙ فَاسْلُكْ فِيهَا مِنْ كُلٍّ زَوْجَيْنِ اثْنَيْنِ وَأَهْلَكَ إِلَّا مَنْ سَبَقَ عَلَيْهِ الْقَوْلُ مِنْهُمْ ۖ وَلَا تُخَاطِبْنِي فِي الَّذِينَ ظَلَمُوا ۖ إِنَّهُمْ مُغْرَقُونَ

  28. فَإِذَا اسْتَوَيْتَ أَنْتَ وَمَنْ مَعَكَ عَلَى الْفُلْكِ فَقُلِ الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي نَجَّانَا مِنَ الْقَوْمِ الظَّالِمِينَ

  29. وَقُلْ رَبِّ أَنْزِلْنِي مُنْزَلًا مُبَارَكًا وَأَنْتَ خَيْرُ الْمُنْزِلِينَ

  30. إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ وَإِنْ كُنَّا لَمُبْتَلِينَ

  31. ثُمَّ أَنْشَأْنَا مِنْ بَعْدِهِمْ قَرْنًا آخَرِينَ

  32. فَأَرْسَلْنَا فِيهِمْ رَسُولًا مِنْهُمْ أَنِ اعْبُدُوا اللَّهَ مَا لَكُمْ مِنْ إِلَٰهٍ غَيْرُهُ ۖ أَفَلَا تَتَّقُونَ

  33. وَقَالَ الْمَلَأُ مِنْ قَوْمِهِ الَّذِينَ كَفَرُوا وَكَذَّبُوا بِلِقَاءِ الْآخِرَةِ وَأَتْرَفْنَاهُمْ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا مَا هَٰذَا إِلَّا بَشَرٌ مِثْلُكُمْ يَأْكُلُ مِمَّا تَأْكُلُونَ مِنْهُ وَيَشْرَبُ مِمَّا تَشْرَبُونَ

  34. وَلَئِنْ أَطَعْتُمْ بَشَرًا مِثْلَكُمْ إِنَّكُمْ إِذًا لَخَاسِرُونَ

  35. أَيَعِدُكُمْ أَنَّكُمْ إِذَا مِتُّمْ وَكُنْتُمْ تُرَابًا وَعِظَامًا أَنَّكُمْ مُخْرَجُونَ

  36. هَيْهَاتَ هَيْهَاتَ لِمَا تُوعَدُونَ

  37. إِنْ هِيَ إِلَّا حَيَاتُنَا الدُّنْيَا نَمُوتُ وَنَحْيَا وَمَا نَحْنُ بِمَبْعُوثِينَ

  38. إِنْ هُوَ إِلَّا رَجُلٌ افْتَرَىٰ عَلَى اللَّهِ كَذِبًا وَمَا نَحْنُ لَهُ بِمُؤْمِنِينَ

  39. قَالَ رَبِّ انْصُرْنِي بِمَا كَذَّبُونِ

  40. قَالَ عَمَّا قَلِيلٍ لَيُصْبِحُنَّ نَادِمِينَ

  41. فَأَخَذَتْهُمُ الصَّيْحَةُ بِالْحَقِّ فَجَعَلْنَاهُمْ غُثَاءً ۚ فَبُعْدًا لِلْقَوْمِ الظَّالِمِينَ

  42. ثُمَّ أَنْشَأْنَا مِنْ بَعْدِهِمْ قُرُونًا آخَرِينَ

  43. مَا تَسْبِقُ مِنْ أُمَّةٍ أَجَلَهَا وَمَا يَسْتَأْخِرُونَ

  44. ثُمَّ أَرْسَلْنَا رُسُلَنَا تَتْرَىٰ ۖ كُلَّ مَا جَاءَ أُمَّةً رَسُولُهَا كَذَّبُوهُ ۚ فَأَتْبَعْنَا بَعْضَهُمْ بَعْضًا وَجَعَلْنَاهُمْ أَحَادِيثَ ۚ فَبُعْدًا لِقَوْمٍ لَا يُؤْمِنُونَ

  45. ثُمَّ أَرْسَلْنَا مُوسَىٰ وَأَخَاهُ هَارُونَ بِآيَاتِنَا وَسُلْطَانٍ مُبِينٍ

  46. إِلَىٰ فِرْعَوْنَ وَمَلَئِهِ فَاسْتَكْبَرُوا وَكَانُوا قَوْمًا عَالِينَ

  47. فَقَالُوا أَنُؤْمِنُ لِبَشَرَيْنِ مِثْلِنَا وَقَوْمُهُمَا لَنَا عَابِدُونَ

  48. فَكَذَّبُوهُمَا فَكَانُوا مِنَ الْمُهْلَكِينَ

  49. وَلَقَدْ آتَيْنَا مُوسَى الْكِتَابَ لَعَلَّهُمْ يَهْتَدُونَ

  50. وَجَعَلْنَا ابْنَ مَرْيَمَ وَأُمَّهُ آيَةً وَآوَيْنَاهُمَا إِلَىٰ رَبْوَةٍ ذَاتِ قَرَارٍ وَمَعِينٍ

  51. يَا أَيُّهَا الرُّسُلُ كُلُوا مِنَ الطَّيِّبَاتِ وَاعْمَلُوا صَالِحًا ۖ إِنِّي بِمَا تَعْمَلُونَ عَلِيمٌ

  52. وَإِنَّ هَٰذِهِ أُمَّتُكُمْ أُمَّةً وَاحِدَةً وَأَنَا رَبُّكُمْ فَاتَّقُونِ

  53. فَتَقَطَّعُوا أَمْرَهُمْ بَيْنَهُمْ زُبُرًا ۖ كُلُّ حِزْبٍ بِمَا لَدَيْهِمْ فَرِحُونَ

  54. فَذَرْهُمْ فِي غَمْرَتِهِمْ حَتَّىٰ حِينٍ

  55. أَيَحْسَبُونَ أَنَّمَا نُمِدُّهُمْ بِهِ مِنْ مَالٍ وَبَنِينَ

  56. نُسَارِعُ لَهُمْ فِي الْخَيْرَاتِ ۚ بَلْ لَا يَشْعُرُونَ

  57. إِنَّ الَّذِينَ هُمْ مِنْ خَشْيَةِ رَبِّهِمْ مُشْفِقُونَ

  58. وَالَّذِينَ هُمْ بِآيَاتِ رَبِّهِمْ يُؤْمِنُونَ

  59. وَالَّذِينَ هُمْ بِرَبِّهِمْ لَا يُشْرِكُونَ

  60. وَالَّذِينَ يُؤْتُونَ مَا آتَوْا وَقُلُوبُهُمْ وَجِلَةٌ أَنَّهُمْ إِلَىٰ رَبِّهِمْ رَاجِعُونَ

  61. أُولَٰئِكَ يُسَارِعُونَ فِي الْخَيْرَاتِ وَهُمْ لَهَا سَابِقُونَ

  62. وَلَا نُكَلِّفُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا ۖ وَلَدَيْنَا كِتَابٌ يَنْطِقُ بِالْحَقِّ ۚ وَهُمْ لَا يُظْلَمُونَ

  63. بَلْ قُلُوبُهُمْ فِي غَمْرَةٍ مِنْ هَٰذَا وَلَهُمْ أَعْمَالٌ مِنْ دُونِ ذَٰلِكَ هُمْ لَهَا عَامِلُونَ

  64. حَتَّىٰ إِذَا أَخَذْنَا مُتْرَفِيهِمْ بِالْعَذَابِ إِذَا هُمْ يَجْأَرُونَ

  65. لَا تَجْأَرُوا الْيَوْمَ ۖ إِنَّكُمْ مِنَّا لَا تُنْصَرُونَ

  66. قَدْ كَانَتْ آيَاتِي تُتْلَىٰ عَلَيْكُمْ فَكُنْتُمْ عَلَىٰ أَعْقَابِكُمْ تَنْكِصُونَ

  67. مُسْتَكْبِرِينَ بِهِ سَامِرًا تَهْجُرُونَ

  68. أَفَلَمْ يَدَّبَّرُوا الْقَوْلَ أَمْ جَاءَهُمْ مَا لَمْ يَأْتِ آبَاءَهُمُ الْأَوَّلِينَ

  69. أَمْ لَمْ يَعْرِفُوا رَسُولَهُمْ فَهُمْ لَهُ مُنْكِرُونَ

  70. أَمْ يَقُولُونَ بِهِ جِنَّةٌ ۚ بَلْ جَاءَهُمْ بِالْحَقِّ وَأَكْثَرُهُمْ لِلْحَقِّ كَارِهُونَ

  71. وَلَوِ اتَّبَعَ الْحَقُّ أَهْوَاءَهُمْ لَفَسَدَتِ السَّمَاوَاتُ وَالْأَرْضُ وَمَنْ فِيهِنَّ ۚ بَلْ أَتَيْنَاهُمْ بِذِكْرِهِمْ فَهُمْ عَنْ ذِكْرِهِمْ مُعْرِضُونَ

  72. أَمْ تَسْأَلُهُمْ خَرْجًا فَخَرَاجُ رَبِّكَ خَيْرٌ ۖ وَهُوَ خَيْرُ الرَّازِقِينَ

  73. وَإِنَّكَ لَتَدْعُوهُمْ إِلَىٰ صِرَاطٍ مُسْتَقِيمٍ

  74. وَإِنَّ الَّذِينَ لَا يُؤْمِنُونَ بِالْآخِرَةِ عَنِ الصِّرَاطِ لَنَاكِبُونَ

  75. وَلَوْ رَحِمْنَاهُمْ وَكَشَفْنَا مَا بِهِمْ مِنْ ضُرٍّ لَلَجُّوا فِي طُغْيَانِهِمْ يَعْمَهُونَ

  76. وَلَقَدْ أَخَذْنَاهُمْ بِالْعَذَابِ فَمَا اسْتَكَانُوا لِرَبِّهِمْ وَمَا يَتَضَرَّعُونَ

  77. حَتَّىٰ إِذَا فَتَحْنَا عَلَيْهِمْ بَابًا ذَا عَذَابٍ شَدِيدٍ إِذَا هُمْ فِيهِ مُبْلِسُونَ

  78. وَهُوَ الَّذِي أَنْشَأَ لَكُمُ السَّمْعَ وَالْأَبْصَارَ وَالْأَفْئِدَةَ ۚ قَلِيلًا مَا تَشْكُرُونَ

  79. وَهُوَ الَّذِي ذَرَأَكُمْ فِي الْأَرْضِ وَإِلَيْهِ تُحْشَرُونَ

  80. وَهُوَ الَّذِي يُحْيِي وَيُمِيتُ وَلَهُ اخْتِلَافُ اللَّيْلِ وَالنَّهَارِ ۚ أَفَلَا تَعْقِلُونَ

  81. بَلْ قَالُوا مِثْلَ مَا قَالَ الْأَوَّلُونَ

  82. قَالُوا أَإِذَا مِتْنَا وَكُنَّا تُرَابًا وَعِظَامًا أَإِنَّا لَمَبْعُوثُونَ

  83. لَقَدْ وُعِدْنَا نَحْنُ وَآبَاؤُنَا هَٰذَا مِنْ قَبْلُ إِنْ هَٰذَا إِلَّا أَسَاطِيرُ الْأَوَّلِينَ

  84. قُلْ لِمَنِ الْأَرْضُ وَمَنْ فِيهَا إِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُونَ

  85. سَيَقُولُونَ لِلَّهِ ۚ قُلْ أَفَلَا تَذَكَّرُونَ

  86. قُلْ مَنْ رَبُّ السَّمَاوَاتِ السَّبْعِ وَرَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ

  87. سَيَقُولُونَ لِلَّهِ ۚ قُلْ أَفَلَا تَتَّقُونَ

  88. قُلْ مَنْ بِيَدِهِ مَلَكُوتُ كُلِّ شَيْءٍ وَهُوَ يُجِيرُ وَلَا يُجَارُ عَلَيْهِ إِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُونَ

  89. سَيَقُولُونَ لِلَّهِ ۚ قُلْ فَأَنَّىٰ تُسْحَرُونَ

  90. بَلْ أَتَيْنَاهُمْ بِالْحَقِّ وَإِنَّهُمْ لَكَاذِبُونَ

  91. مَا اتَّخَذَ اللَّهُ مِنْ وَلَدٍ وَمَا كَانَ مَعَهُ مِنْ إِلَٰهٍ ۚ إِذًا لَذَهَبَ كُلُّ إِلَٰهٍ بِمَا خَلَقَ وَلَعَلَا بَعْضُهُمْ عَلَىٰ بَعْضٍ ۚ سُبْحَانَ اللَّهِ عَمَّا يَصِفُونَ

  92. عَالِمِ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ فَتَعَالَىٰ عَمَّا يُشْرِكُونَ

  93. قُلْ رَبِّ إِمَّا تُرِيَنِّي مَا يُوعَدُونَ

  94. رَبِّ فَلَا تَجْعَلْنِي فِي الْقَوْمِ الظَّالِمِينَ

  95. وَإِنَّا عَلَىٰ أَنْ نُرِيَكَ مَا نَعِدُهُمْ لَقَادِرُونَ

  96. ادْفَعْ بِالَّتِي هِيَ أَحْسَنُ السَّيِّئَةَ ۚ نَحْنُ أَعْلَمُ بِمَا يَصِفُونَ

  97. وَقُلْ رَبِّ أَعُوذُ بِكَ مِنْ هَمَزَاتِ الشَّيَاطِينِ

  98. وَأَعُوذُ بِكَ رَبِّ أَنْ يَحْضُرُونِ

  99. حَتَّىٰ إِذَا جَاءَ أَحَدَهُمُ الْمَوْتُ قَالَ رَبِّ ارْجِعُونِ

  100. لَعَلِّي أَعْمَلُ صَالِحًا فِيمَا تَرَكْتُ ۚ كَلَّا ۚ إِنَّهَا كَلِمَةٌ هُوَ قَائِلُهَا ۖ وَمِنْ وَرَائِهِمْ بَرْزَخٌ إِلَىٰ يَوْمِ يُبْعَثُونَ

  101. فَإِذَا نُفِخَ فِي الصُّورِ فَلَا أَنْسَابَ بَيْنَهُمْ يَوْمَئِذٍ وَلَا يَتَسَاءَلُونَ

  102. فَمَنْ ثَقُلَتْ مَوَازِينُهُ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُفْلِحُونَ

  103. وَمَنْ خَفَّتْ مَوَازِينُهُ فَأُولَٰئِكَ الَّذِينَ خَسِرُوا أَنْفُسَهُمْ فِي جَهَنَّمَ خَالِدُونَ

  104. تَلْفَحُ وُجُوهَهُمُ النَّارُ وَهُمْ فِيهَا كَالِحُونَ

  105. أَلَمْ تَكُنْ آيَاتِي تُتْلَىٰ عَلَيْكُمْ فَكُنْتُمْ بِهَا تُكَذِّبُونَ

  106. قَالُوا رَبَّنَا غَلَبَتْ عَلَيْنَا شِقْوَتُنَا وَكُنَّا قَوْمًا ضَالِّينَ

  107. رَبَّنَا أَخْرِجْنَا مِنْهَا فَإِنْ عُدْنَا فَإِنَّا ظَالِمُونَ

  108. قَالَ اخْسَئُوا فِيهَا وَلَا تُكَلِّمُونِ

  109. إِنَّهُ كَانَ فَرِيقٌ مِنْ عِبَادِي يَقُولُونَ رَبَّنَا آمَنَّا فَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا وَأَنْتَ خَيْرُ الرَّاحِمِينَ

  110. فَاتَّخَذْتُمُوهُمْ سِخْرِيًّا حَتَّىٰ أَنْسَوْكُمْ ذِكْرِي وَكُنْتُمْ مِنْهُمْ تَضْحَكُونَ

  111. إِنِّي جَزَيْتُهُمُ الْيَوْمَ بِمَا صَبَرُوا أَنَّهُمْ هُمُ الْفَائِزُونَ

  112. قَالَ كَمْ لَبِثْتُمْ فِي الْأَرْضِ عَدَدَ سِنِينَ

  113. قَالُوا لَبِثْنَا يَوْمًا أَوْ بَعْضَ يَوْمٍ فَاسْأَلِ الْعَادِّينَ

  114. قَالَ إِنْ لَبِثْتُمْ إِلَّا قَلِيلًا ۖ لَوْ أَنَّكُمْ كُنْتُمْ تَعْلَمُونَ

  115. أَفَحَسِبْتُمْ أَنَّمَا خَلَقْنَاكُمْ عَبَثًا وَأَنَّكُمْ إِلَيْنَا لَا تُرْجَعُونَ

  116. فَتَعَالَى اللَّهُ الْمَلِكُ الْحَقُّ ۖ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ رَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ

  117. وَمَنْ يَدْعُ مَعَ اللَّهِ إِلَٰهًا آخَرَ لَا بُرْهَانَ لَهُ بِهِ فَإِنَّمَا حِسَابُهُ عِنْدَ رَبِّهِ ۚ إِنَّهُ لَا يُفْلِحُ الْكَافِرُونَ

  118. وَقُلْ رَبِّ اغْفِرْ وَارْحَمْ وَأَنْتَ خَيْرُ الرَّاحِمِينَ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Qad aflahal mu'minoon

  2. Allazeena hum fee Salaatihim khaashi'oon

  3. Wallazeena hum 'anillaghwimu'ridoon

  4. Wallazeena hum liz Zakaati faa'iloon

  5. Wallazeena hum lifuroo jihim haafizoon

  6. Illaa 'alaaa azwaajihim aw maa malakat aimaanuhum fa innahum ghairu maloomeen

  7. Famanib taghaa waraaa'a zaalika fa ulaaa'ika humul 'aadoon

  8. Wallazeena hum li amaanaatihim wa 'ahdihim raa'oon

  9. Wallazeena hum 'alaa Salawaatihim yuhaafizoon

  10. Ulaaa'ika humul waarisoon

  11. Allazeena yarisoonal Firdawsa hum feehaa khaalidoon

  12. Wa laqad khalaqnal insaana min sulaalatim minteen

  13. Summa ja'alnaahu nutfatan fee qaraarim makeen

  14. Summa khalaqnan nutfata 'alaqatan fakhalaqnal 'alaqata mudghatan fakhalaq nal mudghata 'izaaman fakasawnal 'izaama lahman summa anshaanaahu khalqan aakhar; fatabaarakal laahu ahsanul khaaliqeen

  15. Summa innakum ba'da zaalika la maiyitoon

  16. Summa innakum Yawmal Qiyaamati tub'asoon

  17. Wa laqad khalaqnaa fawqakum sab'a taraaa'iqa wa maa kunnaa 'anil khalqi ghaafileen

  18. Wa anzalnaa minas samaaa'i maaa'am biqadarin fa-askannaahu fil ardi wa innaa 'alaa zahaabim bihee laqaa diroon

  19. Fa anshaanaa lakum bihee Jannaatim min nakheelinw wa a'naab; lakum feehaa fawaakihu kaseeratunw wa minhaa taakuloon

  20. Wa shajaratan takhruju min Toori Sainaaa'a tambutu bidduhni wa sibghil lil aakileen

  21. Wa inna lakum fil an'aami la'ibrah; nusqeekum mimmaa fee butoonihaa wa lakum feehaa manaafi'u kaseeratunw wa minhaa taakuloon

  22. Wa 'alaihaa wa'alal fulki tuhmaloon (section 1)

  23. Wa laqad arsalnaa Noohan ilaa qawmihee faqaala yaa qawmi'budul laaha maa lakum min ilahin ghairuhoo afalaa tattaqoon

  24. Faqaalal mala'ul lazeena kafaroo min qawmihee maa haazaaa illaa basharum mislukum yureedu ai yatafaddala 'alaikum wa law shaaa'al laahu la anzala malaaa'ikatam maa sami'naa bihaazaa feee aabaaa'inal awwaleen

  25. In huwa illaa rajulum bihee jinnatun fatarabbasoo bihee hatta heen

  26. Qaala Rabbin surnee bimaa kazzaboon

  27. Fa awhainaaa ilaihi anis na'il fulka bi a'yuninaa wa wahyinaa fa izaa jaaa'a amrunaa wa faarat tannooru fasluk feehaa min kullin zawjainis naini wa ahlaka illaa man sabaqa 'alaihil qawlu minhum walaa tukhaatibnee fil lazeena zalamooo innaahum mughraqoon

  28. Fa izas tawaita anta wa mam ma'aka 'alal fulki faqulil hamdu lillaahil lazee najjaanaa minal qawmiz zalimeen

  29. Wa qur Rabbi anzilnee munzalam mubaarakanw wa Anta khairul munzileen

  30. Inna fee zaalika la Aayaatinw wa in kunnaa lamubtaleen

  31. Summaa anshaana mim ba'dihim qarnan aakhareen

  32. Fa arsalnaa feehim Rasoolam minhum ani'budul laaha maa lakum min ilaahin ghairuhoo afalaa tattaqoon (section 2)

  33. Wa qaalal mala-u min qawmihil lazeena kafaroo wa kazzaboo bi liqaaa'il Aakhirati wa atrafnaahum fil hayaatid dunyaa maa haazaaa illaa basharum mislukum yaakulu mimmaa taakuloona minhu wa yashrabu mimmaa tashraboon

  34. Wa la'in at'atum basharam mislakum innakum izal lakhaasiroon

  35. A-Ya'idukum annakum izaa mittum wa kuntum turaabanw wa izaaman annakum mukhrajoon

  36. Haihaata haihaata limaa too'adoon

  37. In hiya illaa hayaatunad dunyaa namootu wa nahyaa wa maa nahnu bimab'ooseen

  38. In huwa illaa rajulunif taraa 'alal laahi kazibanw wa maa nahnuu lahoo bimu'mineen

  39. Qaala Rabbin surnee bimaa kazzaboon

  40. Qaala 'ammaa qaleelil la yusbihunna naadimeen

  41. Fa akhazat humus saihatu bilhaqqi faja'alnaahum ghusaaa'aa; fabu'dal lilqaw miz zaalimeen

  42. Summa anshaanaa mim ba'dihim quroonan aakhareen

  43. Maa tasbiqu min ummatin ajalahaa wa maa yastaakhiroon

  44. Summa arsalnaa Rusulanaa tatraa kulla maa jaaa'a ummatar Rasooluhaa kazzabooh; fa atba'naa ba'dahum ba'danw wa ja'alnaahum ahaadees; fabu'dal liqawmil laa yu'minoon

  45. Summa arsalnaa Moosaa wa akhaahu Haaroona bi Aayaatinaa wa sultaanim mubeen

  46. Ilaa Fir'awna wa mala'ihee fastakbaroo wa kaanoo qawman 'aaleen

  47. Faqaaloo annu'minu libasharaini mislinaa wa qawmuhumaa lanaa 'aabidoon

  48. Fakazzaboohumaa fakaanoo minal muhlakeen

  49. Wa laqad aatainaa Moosal Kitaaba la'allahum yahtadoon

  50. Wa ja'alnab na Maryama wa ummahooo aayatannw wa aawainaahumaaa ilaa rabwatin zaati qaraarinw wa ma'een (section 3)

  51. Yaaa aiyuhar Rusulu kuloo minat taiyibaati wa'maloo saalihan innee bimaa ta'maloona 'Aleem

  52. Wa inna haaziheee ummatukum ummatanw waahidatanw wa Ana Rabbukum fattaqoon

  53. Fataqatta'ooo amrahum bainahum zuburaa; kullu hizbim bimaa ladaihim farihoon

  54. Fazarhum fee ghamratihim hattaa heen

  55. A-yahsaboona annnamaa numidduhum bihee mimmaalinw wa baneen

  56. Nusaari'u lahum fil khairaat; bal laa yash'uroon

  57. Innal lazeena hum min khashyati Rabbihim mushfiqoon

  58. Wallazeena hum bi Aayaati Rabbihim yu'minoon

  59. Wallazeena hum bi Rabbihim laa yushrikoon

  60. Wallazeena yu'toona maaa aataw wa quloobuhum wajilatun annahum ilaa Rabbihim raaji'oon

  61. Ulaaa'ika yusaari'oona fil khairaati wa hum lahaa saabiqoon

  62. Wa laa nukallifu nafsan illaa wus'ahaa wa ladainaa kitaabuny yantiqu bilhaqqi wa hum la yuzlamoon

  63. Bal quloobuhum fee ghamratim min haazaa wa lahum a'maalum min dooni zaalika hum lahaa 'aamiloon

  64. Hattaaa izaaa akhaznaa mutrafeehim bil'azaabi izaa hum yaj'aroon

  65. Laa taj'arul yawma innakum minnaa laa tunsaroon

  66. Qad kaanat Aayaatee tutlaa 'alaikum fakuntum 'alaaa a'qaabikum tankisoon

  67. Mustakbireena bihee saamiran tahjuroon

  68. Afalam yaddabbarrul qawla am jaaa'ahum maa lam yaati aabaaa'ahumul awwaleen

  69. Am lam ya'rifoo Rasoolahum fahum lahoo munkiroon

  70. Am yaqooloona bihee jinnnah; bal jaaa'ahum bilhaqqi wa aksaruhum lil haqqi kaarihoon

  71. Wa lawit taba'al haqqu ahwaaa'ahum lafasadatis samaawaatu wal ardu wa man feehinnn; bal atainaahum bizikrihim fahum 'an zikrihim mu'ridoon

  72. Am tas'aluhum kharjan fakharaaju Rabbika khairunw wa Huwa khairur raaziqeen

  73. Wa innaka latad'oohum ilaa Siraatim Mustaqeem

  74. Wa innnal lazeena laa yu'minoona bil Aakhirati 'anis siraati lanaakiboon

  75. Wa law rahimnaahum wa kashafnaa maa bihim min durril lalajjoo fee tughyaanihim ya'mahoon

  76. Wa laqad akhaznaahum bil'azaabi famastakaanoo li Rabbihim wa maa yatadarra'oon

  77. Hattaaa izaa fatahnaa 'alaihim baaban zaa 'azaabin shadeedin izaa hum feehi mublisoon (section 4)

  78. Wa Huwal lazeee ansha a-lakumus sam'a wal absaara wal af'idah; qaleelam maa tashkuroon

  79. Wa Huwal lazee zara akum fil ardi wa ilaihi tuhsharoon

  80. Wa Huwal lazee yuhyee wa yumeetu wa lahukh tilaaful laili wannahaar; afalaa ta'qiloon

  81. Bal qaaloo misla maa qaalal awwaloon

  82. Qaalooo 'a-izaa mitnaa wa kunnaa turaabanw wa 'izaaman 'a-innaa lamab 'oosoon

  83. Laqad wu'idnaa nahnu wa aabaaa'unaa haazaa min qablu in haazaaa illaaa asaateerul awwaleen

  84. Qul limanil ardu wa man feehaaa in kuntum ta'lamoon

  85. Sa-yaqooloona lillaah; qul afalaa tazakkkaroon

  86. Qul mar Rabbus samaawaatis sab'i wa Rabbul 'Arshil 'Azeem

  87. Sa yaqooloona lillaah; qul afalaa tattaqoon

  88. Qul mam bi yadihee malakootu kulli shai'inw wa Huwa yujeeru wa laa yujaaru 'alaihi in kuntum ta'lamoon

  89. Sa yaqooloona lillaah; qul fa annaa tus haroon

  90. Bal atainaahum bil haqqi wa innahum lakaaziboon

  91. Mat takhazal laahu minw waladinw wa maa kaana ma'ahoo min ilaah; izal lazahaba kullu ilaahim bimaa khalaqa wa la'alaa ba'duhum 'alaa ba'd; Subhaannal laahi 'ammaa yasifoon

  92. 'Aalimil Ghaibi wash shahhaadati fata'aalaa 'ammaa yushrikoon (section 5)

  93. Qur Rabbi immmaa turiyannee maa yoo'adoon

  94. Rabbi falaa taj'alnee fil qawmiz zaalimeen

  95. Wa innaa 'alaaa an nuriyaka maa na'iduhum laqaadiroon

  96. Idfa' billate hiya ahsanus saiyi'ah; nahnu a'lamu bimaa yasifoon

  97. Wa qur Rabbi a'oozu bika min hamazaatish Shayaateen

  98. Wa a'oozu bika Rabbi ai-yahduroon

  99. Hattaaa izaa jaaa'a ahada humul mawtu qaala Rabbir ji'oon

  100. La'alleee a'malu saalihan feemaa taraktu kallaa; innahaa kalimatun huwa qaaa'iluhaa wa minw waraaa'ihim barzakhun ilaa Yawmi yub'asoon

  101. Fa izaa nufikha fis Soori falaaa ansaaba bainahum yawma'izinw wa laa yatasaaa'aloon

  102. Faman saqulat mawaazee nuhoo fa ulaaa'ika humul muflihoon

  103. Wa man khaffat mawaa zeenuhoo fa ulaaa'ikal lazeena khasiroo 'anfusahum fee Jahannama khaalidoon

  104. Talfahu wujoohahumun Naaru wa hum feehaa kaalihoon

  105. Alam takun Aayaatee tutlaa 'alaikum fakuntum bihaa tukazziboon

  106. Qaaloo Rabbanaa ghalabat 'alainaa shiqwatunaa wa kunnaa qawman daaalleen

  107. Rabbanaa akhrijnaa minhaa fa in 'udnaa fa innaa zaalimoon

  108. Qaalakh sa'oo feehaa wa laa tukallimoon

  109. Innahoo kaana fareequm min 'ibaadee yaqooloona Rabbanaaa aamannaa faghfir lanaa warhamnaa wa Anta khairur raahimeen

  110. Fattakhaztumoohum sikhriyyan hattaaa ansawkum zikree wa kuntum minhum tadhakoon

  111. Inee jazaituhumul Yawma bimaa sabarooo annahum humul faaa'izoon

  112. Qaala kam labistum fil ardi 'adada sineen

  113. Qaaloo labisnaa yawman aw ba'da yawmin fas'alil 'aaaddeen

  114. Qaala il labistum illaa qaleelal law annakum kuntum ta'lamoon

  115. Afahasibtum annamaa khalaqnaakum 'abasanw wa annakum ilainaa laa turja'oon

  116. Fata'aalal laahul Malikul Haqq; laaa ilaaha illaa Huwa Rabbul 'Arshil Kareem

  117. Wa mai yad'u ma'allaahi ilaahan aakhara laa burhaana lahoo bihee fa inna maa hisaabuhoo 'inda Rabbih; innahoo laa yuflihul kaafiroon

  118. Wa qul Rabbigh fir warham wa Anta khairur raahimeen (section 6)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Yaqeenan falaah payi hai iman laane walon ne jo:

2. Apni namaz mein khushu ikhtiyar karte hain (Salat with humility).

3. Laghviyat (vain things) se door rehte hain.

4. Zakat ke tareeqe par aamil hote hain.

5. Apni sharmgaahon ki hifazat karte hain.

6. Siwaye apni biwiyon ke aur un auraton ke jo unki milk e yameen mein hon (right hand posseses) ke unpar (mehfooz na rakhne mein) woh qabil e malamat nahin hain.

7. Albatta jo uske alawa kuch aur chahein wahi zyadati karne wale hain.

8. Apni amanaton (trusts) aur apne ahad o paimaan (promises) ka paas rakhte hain.

9. Aur apni namazon ki muhafizat (hifazat) karte hain.

10. Yahi log woh waris hain

11. Jo miraas mein firdous payenge aur usmein hamesha rahenge.

12. Humne Insan ko mitti ke saatt (essence of clay) se banaya.

13. Phir usey ek mehfooz jagah tapki hui boondh mein tabdeel kiya.

14. Phir us boondh ko lothday ki shakal di, phir lothday(lump) ko boti bana diya, phir boti ki haddiyan (bones) banayi, phir haddiyon par gosht chadhaya. Phir usey ek dusri hi makhlooq bana khada kiya. Pas bada hi ba-barakat hai Allah, sab kaarigaron se accha kaarigar (creator).

15. Phir iske baad tumko zaroor marna hai.

16. Phir qayamat ke roz yaqeenan tum uthaye jaaoge.

17. Aur tumhare upar humne saat (seven) raaste banaye, takhleeq (creation) ke kaam se hum kuch na-balad (unmindful)na thay

18. Aur aasmaan se humne theek hisaab ke mutabiq ek khaas miqdar mein pani utara aur usko zameen mein thehara diya. Hum usey jis tarah chahein gayab kar sakte hain.

19. Phir is pani ke zariye se humne tumhare liye khajoor aur angoor ke baagh paida kardiye, tumhare liye in baaghon mein bahut se lazeez phal hain aur unse tum rozi haasil karte ho.

20. Aur woh darakht bhi humne paida kiya jo Tur-e-seena (mount sinai) se nikalta hai, teil (oil) bhi liye huey ugta hai aur khane walon ke liye saalan bhi.

21. Aur haqeeqat yeh hai ke tumhare liye maweshiyon mein bhi ek sabaq hai unke paithon (bellies) mein jo kuch hai usi mein se ek cheez hum tumhein pilatey hain, aur tumhare liye unmein bahut se dusre faiyde bhi hain.

22. Unko tum khate ho aur unpar aur kashtiyon par sawaar bhi kiye jaate ho.

23. Humne Nooh ko uski qaum ki taraf bheja, usne kaha “ aey meri qaum ke logon, Allah ki bandagi karo, uske siwa tumhare liye koi aur mabood nahin hai, kya tum darte nahin ho?”

24. Uski qaum ke jin sardaaron ne maanne se inkar kiya woh kehne lage ke “yeh shaks kuch nahin hai magar ek bashar(Insaan) tum hi jaisa. Iski garz yeh hai ke tumpar bartari (superiority) haasil kare. Allah ko agar bhejna hota to Farishte bhejta.Yeh baat to humne kabhi apne baap dada ke waqton mein suni hi nahin (ke bashar Rasool bankar aaye)

25. Kuch nahin , bas is aadmi ko zara junoon lahaq ho gaya hai, kuch muddat aur dekhlo [ (shayad ifaqa ho jaaye)(may be he is cured)]”

26. Nooh ne kaha “parwardigar, in logon ne jo meri takzeeb ki hai ispar ab tu hi meri nusrat farma.”

27. Humne uspar wahee ki ke “hamari nigraani mein aur hamari wahee ke mutabiq kashti (ark) tayyar kar. Phir jab hamara hukm aa jaaye aur tannur ubal paday to har qisam ke jaanwaron mein se ek ek joda lekar usmein sawaar ho jaa, aur apne ehal o ayaal ko bhi saath le, siwai unke jinke khilaf pehle faisla ho chuka hai, aur zalimon ke maamle mein mujhse kuch na kehna, yeh ab garq (doob/ drown) hone wale hain.

28. Phir jab tu apne saathiyon sameith kashti par sawar ho jaaye to keh, shukar hai us khuda ka jisne humein zalim logon se najaat di.

29. Aur keh, parwardigar, mujhko barakat wali jagah utaar aur tu behtareen jagah dene wala hai.”

30. Is qissey mein badi nishaniyan hain aur aazmaish to hum karke hi rehte hain.

31. Inke baad humne ek dusre daur ki qaum uthayi.

32. Phir un mein khud unhi ki qaum ka ek Rasool bheja (jisne unhein dawat di) ke Allah ki bandagi karo, tumhare liye uske siwa koi aur maabood nahin hai, kya tum darte nahin ho?

33. Uski qaum ke jin sardaron ne maanne se inkar kiya aur aakhirat ki peshi ko jhutlaya, jinko humne duniya ki zindagi mein aasuda (khush-haal) kar rakkha tha, woh kehne lage “ye shaks kuch nahin hai magar ek bashar tum hi jaisa, jo kuch tum khate ho wahi yeh khata hai aur jo kuch tum peete ho wahi yeh peeta hai.

34. Ab agar tumne apne hi jaise ek bashar ki itaat qabool karli to tum ghaate hi mein rahe.

35. Yeh tumhein ittila deta hai ke jab tum mar kar mitti ho jaaoge aur haddiyon ka panjar reh jaaoge us waqt tum (qabaron se) nikale jaaoge?

36. Baeed (far/Impossible), bilkul baeed(Impossible) hai yeh waada jo tumse kiya jaa raha hai.

37. Zindagi kuch nahin hai magar bas yahi duniya ki zindagi. Yahin humko marna aur jeena hai aur hum hargiz uthaye jaane wale nahin hain.

38. Yeh shaks khuda ke naam par mehaz jhoot ghadh raha hai aur hum kabhi iske maanne wale nahin hain.”

39. Rasool ne kaha “parwardigar , in logon ne jo meri takzeeb ki hai, ispar ab tu hi meri nusrat farma”

40. Jawab mein irshad hua “qareeb hai woh waqt jab yeh apne kiye par pachtayenge”.

41. Aakhir e kaar theek theek haqq ke mutabiq ek hungama e azeem ne unko aa liya aur humne inko kachra bana kar phenk diya. Door ho zalim qaum!

42. Phir humne unke baad dusri qaumein uthayi.

43. Koi qaum na apne waqt se pehle khatam hui aur na uske baad thehar saki.

44. Phir humne pai dar pai apne Rasool bheje. Jis qaum ke paas bhi uska Rasool aaya, usne usey jhutlaya, aur hum ek ke baad ek qaum ko halaak karte chale gaye hatta ke unko bas afsana hi bana kar choda, phitkar un logon par jo iman nahin latey!

45. Phir humne Moosa aur uske bhai Haroon ko apni nishaniyon aur khuli sanad ke saath Firoun aur uske ayaan sultanat ki taraf bheja.

46. Magar unhon ne takabbur (arrogance) kiya aur badi dunki li (sarkashi).

47. Kehne lage “Kya hum apne hi jaise do aadmiyon par iman le aayein? Aur aadmi bhi woh jinki qaum hamari bandi (ghulam) hai”.

48. Pas unhon ne dono ko jhutla diya aur halaak hone walon mein jaa mile.

49. Aur Moosa ko humne kitaab ata farmayi taa-ke log us se rehnumayi haasil karein.

50. Aur Ibne Maryam aur uski maa ko humne ek nishani banaya aur unko ek sateh murtafa (unchi jagah) par rakkha jo itminaan ki jagah thi aur chashme usmein jaari thay.

51. Aey paigambaron, khao paak cheezein aur amal karo saleh, tum jo kuch bhi karte ho, main usko khoob jaanta hoon.

52. Aur yeh tumhari yeh ummat ek hi ummat hai aur main tumhara Rubb hoon, pas mujhi se tum daro.

53. Magar baad mein logon ne apne deen (religion) ko aapas mein tukde tukde karliya, har giroh ke paas jo kuch hai usi mein woh magan hai.

54. Accha, to chodo inhein, doobey rahein apni gaflat mein ek waqt e khaas tak.

55. Kya yeh samajhte hain ke hum jo inhein maal o aulad se madad diye jaa rahe hain,

56. To goya inhein bhalaiyan dene mein sargarm hain? Nahin, asal maamle ka inhein shaour nahin hai.

57. Jo apne Rubb ke khauf se dare rehte hain,

58. Jo Rubb ki aayaat par iman latey hain.

59. Jo apne Rubb ke saath kisi ko shareek nahin karte.

60. Aur jinka haal yeh hai ke dete hain jo kuch bhi dete hain aur dil unke is khayal se kaampte rehte hain ke humein apne Rubb ki taraf palatna hai.

61. Bhalaiyon ki taraf daudne wale aur sabaqat karke unhein paa lene wale to dar-haqeeqat woh log hain.

62. Hum kisi shaks ko uski maqdart (taaqat) se zyada ki takleef nahin dete aur hamare paas ek kitaab hai jo (har ek ka haal) theek theek bata dene wali hai, aur logon par zulm bahr-haal nahin kiya jayega.

63. Magar yeh log is maamle se be-khabar hain aur inke aamal bhi is tareeqe se (jiska upar zikr kiya gaya hai) mukhtalif hain. Woh apne yeh karoot kiye chale jayenge.

64. Yahan tak ke jab hum unke ayyashon (affluent ones /aasuda haal) ko azaab mein pakad lenge to phir woh dakrana shuru kar denge (begin to bellow /cry).

65. Ab bandh karo apni fariyad o fugaan, hamari taraf se ab koi madad tumhein nahin milni.

66. Meri aayaat sunayi jaati thi to tum (Rasool ki aawaz sunte hi) ultay paon bhaag nikalte thay.

67. Apne ghamand mein usko khatir hi mein na latey thay,apne chaoupalon (meeting places) mein unpar baatein chaant-te (ridiculed him) aur bakwas kiya karte thay.

68. To kya in logon ne kabhi is kalaam par gaur nahin kiya? Ya woh koi aisi baat laya hai jo kabhi inke aslaaf (forefathers) ke paas na aayi thi?

69. Ya yeh apne Rasool se kabhi ke waqif na thay ke (anjaana aadmi hone ke baais) us se bidakte hain?

70. Ya yeh is baat ke qayal hain ke woh majnoon [possessed (by a jinn)] hai? Nahin, balke woh haqq laya hai aur haqq hi inki aksariyat (most) ko nagawar hai.

71. Aur haqq agar kahin inki khwahishaat ke pichey chalta to zameen aur aasmaan aur inki saari aabaadi ka nizam darham barham ho jata. Nahin, balke hum unka apna hi zikr unke paas laye hain aur woh apne zikr se mooh moad rahe hain.

72. Kya tu inse kuch maang raha hai? Tere liye tere Rubb ka diya hi behtar hai aur woh behtareen raziq hai.

73. Tu to unko seedhe raaste ki taraf bula raha hai.

74. Magar jo log aakhirat ko nahin maante woh raah e raast se hatt kar chalna chahte hain.

75. Agar hum inpar reham karein aur woh takleef jis mein aaj kal yeh mubtala hain door kardein to yeh apni sarkashi mein bilkul hi behak jayenge.

76. Inka haal to yeh hai ke humne unhein takleef mein mubtala kiya, phir bhi yeh apne Rubb ke aage na jhuke aur na aajizi (humble)ikhtiyar karte hain.

77. Albatta jab naubat yahan tak pahunch jayegi ke hum inpar sakht azaab ka darwaza khol denge to yakayak tum dekhoge ke us haalat mein yeh har khair se mayous hain.

78. Woh Allah hi to hai jisne tumhein sunney aur dekhne ki quwwatein di aur sochne ko dil diye , magar tum log kam hi shukarguzar hote ho.

79. Wahi hai jisne tumhein zameen mein phaylaya, aur usi ki taraf tum sametay jaaoge.

80. Wahi zindagi bakashta hai aur wahi maut deta hai, gardish e layl (raat) o nahar (din) usi ke qabze qudrat mein hai. Kya tumhari samajh mein yeh baat nahin aati?

81. Magar yeh log wahi kuch kehte hain jo unke peshraw (forefathers) keh chuke hain.

82. Yeh kehte hain “kya jab hum marr kar mitti ho jayenge aur haddiyon ka panjar ban kar reh jayenge to humko phir zinda karke uthaya jayega?

83. Humne bhi yeh wadey bahut sunay hain aur humse pehle hamare baap dada bhi suntey rahe hain. Yeh mehaz afasana haye pareena hain(ancient tales)”

84. Inse kaho, batao agar tum jaante ho, ke yeh zameen aur iski saari aabaadi kiski hai?

85. Yeh zaroor kahenge ke Allah ki, kaho phir tum hosh mein kyun nahin aatey?

86. Inse pucho, saato (seven) aasmaano aur arsh-e-azeem ka maalik kaun hai?

87. Yeh zaroor kahenge Allah, kaho phir tum darte kyun nahin?

88. Inse kaho, batao agar tum jaante ho ke har cheez par iqtedaar kiska hai? Aur kaun hai woh jo panaah deta hai aur uske muqable mein koi panaah nahin de sakta?

89. Yeh zaroor kahenge ke yeh baat to Allah hi ke liye hai. Kaho, phir kahan se tumko dhoka lagta hai?

90. Jo amr e haqq hai woh hum inke saamne le aaye hain, aur koi shakk nahin ke yeh log jhootey hain.

91. Allah ne kisi ko apni aulaad nahin banaya hai aur koi dusra khuda uske saath nahin hai. Agar aisa hota to har khuda apni khalq(creation) ko lekar alag ho jaata, aur phir woh ek dusre par chadh daudte.Paak hai Allah un baaton se jo yeh log banate hain.

92. Khule aur chupe ka jaanne wala, woh baalatar hai us shirk se jo yeh log tajweez kar rahe hain.

93. (Aey Muhammad) dua karo ke “parwardigar, jis azaab ki inko dhamki di jaa rahi hai woh agar meri maujoodgi mein tu laye,

94. To aey mere Rubb, mujhe in zalim logon mein shamil na kijiyo”.

95. Aur haqeeqat yeh hai ke hum tumhari aankhon ke saamne hi woh cheez le aane ki poori qudrat rakhte hain jiski dhamki hum unhein de rahe hain.

96. (Aey Nabi), burayi ko is tareeqe se dafa karo jo behtareen ho jo kuch baatein woh tumpar banate hain woh humein khoob maloom hai.

97. Aur dua karo ke “parwardigar, main shayateen ki uksahaton(waswason) se teri panaah maangta hoon.

98. Balke aey mere Rubb, main to is se bhi teri panaah maanga hoon ke woh mere paas aayein”

99. (yeh log apni karni se baaz na aayenge) yahan tak ke jab in mein se kisi ko maut aa jayegi to kehna shuru kardega ke “Aey mere Rubb, mujhe usi duniya mein wapas bhej dijiye jise main chodh aaya hoon.

100. Umeed hai ke ab main neik amal karunga”. Hargiz nahin, yeh to bas ek baat hai jo woh bakk raha hai. Ab in sab (marne walon) ke pichey ek barzakh (barrier) hayal hai dusri zindagi ke din tak.

101. Phir junhi ke Sur (trumphet) phoonk diya gaya, unke darmiyan phir koi rishta na rahega aur na woh ek dusre ko puchenge.

102. Us waqt jinke padle (scales) bhaari honge wahi falaah payenge.

103. Aur jinke padle (scales) halke honge wahi log honge jinhon ne apne aap ko ghaate mein daal liya. Woh jahannum mein hamesha rahenge.

104. Aag unke chehron ki khaal chaat jayegi aur unke jabde (jaws) bahar nikal aayenge.

105. “kya tum wahi log nahin ho ke meri aayaat tumhein sunayi jaati thi to tum unhein jhutlate thay?”

106. Woh kahenge “aey hamare Rubb, hamari badbakhti hum par chaa gayi thi, hum waqayi gumraah log thay.

107. Aey parwardigar, ab humein yahan se nikaal de phir hum aisa kasoor karein to zalim honge”

108. Allah taala jawab dega “ door ho mere saamne se, padey raho isi mein aur mujhse baat na karo.

109. Tum wahi log to ho ke mere kuch banday jab kehte thay ke aey hamare parwardigar, hum iman laye, humein maaf karde, humpar reham kar, tu sab raheemon se accha raheem hai.

110. To tumne unka mazaaq bana liye, yahan tak ke unki zidd ne tumhein yeh bhi bhula diya ke main bhi koi hoon, aur tum unpar haste rahe.

111. Aaj unke us sabr ka maine yeh phal diya hai ke wahi kamiyaab hain”.

112. Phir Allah taala unse puchega “batao,zameen mein tum kitne saal rahe?”

113. Woh kahenge “ ek din ya din ka bhi kuch hissa hum wahan thehre hain, shumaar karne walon se puch lijiye”.

114. Irshad hoga “ thodi hi dair thehre ho na, kaash tumne yeh us waqt jana hota.

115. Kya tumne yeh samajh rakkha tha ke humne tumhein fizul(bekar) hi paida kiya hai aur tumhein hamari taraf kabhi palatna hi nahin hai?”

116. Pas baala o bartar hai Allah , baadshah e haqiqi, koi khuda uske siwa nahin, maalik hai arsh e buzurg ka

117. Aur jo koi Allah ke saath kisi aur maabood ko pukare, jiske liye uske paas koi daleel nahin, to uska hisaab uske Rubb ke paas hai. Aise kafir kabhi falaah nahin paa sakte.

118. (Aey Muhammad) kaho, “Mere Rubb darguzar farma, aur reham kar, aur tu sab raheemon se accha raheem hai”

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments