📖 Surah 22 Al-Hajj Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. يَا أَيُّهَا النَّاسُ اتَّقُوا رَبَّكُمْ ۚ إِنَّ زَلْزَلَةَ السَّاعَةِ شَيْءٌ عَظِيمٌ

  2. يَوْمَ تَرَوْنَهَا تَذْهَلُ كُلُّ مُرْضِعَةٍ عَمَّا أَرْضَعَتْ وَتَضَعُ كُلُّ ذَاتِ حَمْلٍ حَمْلَهَا وَتَرَى النَّاسَ سُكَارَىٰ وَمَا هُمْ بِسُكَارَىٰ وَلَٰكِنَّ عَذَابَ اللَّهِ شَدِيدٌ

  3. وَمِنَ النَّاسِ مَنْ يُجَادِلُ فِي اللَّهِ بِغَيْرِ عِلْمٍ وَيَتَّبِعُ كُلَّ شَيْطَانٍ مَرِيدٍ

  4. كُتِبَ عَلَيْهِ أَنَّهُ مَنْ تَوَلَّاهُ فَأَنَّهُ يُضِلُّهُ وَيَهْدِيهِ إِلَىٰ عَذَابِ السَّعِيرِ

  5. يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنْ كُنْتُمْ فِي رَيْبٍ مِنَ الْبَعْثِ فَإِنَّا خَلَقْنَاكُمْ مِنْ تُرَابٍ ثُمَّ مِنْ نُطْفَةٍ ثُمَّ مِنْ عَلَقَةٍ ثُمَّ مِنْ مُضْغَةٍ مُخَلَّقَةٍ وَغَيْرِ مُخَلَّقَةٍ لِنُبَيِّنَ لَكُمْ ۚ وَنُقِرُّ فِي الْأَرْحَامِ مَا نَشَاءُ إِلَىٰ أَجَلٍ مُسَمًّى ثُمَّ نُخْرِجُكُمْ طِفْلًا ثُمَّ لِتَبْلُغُوا أَشُدَّكُمْ ۖ وَمِنْكُمْ مَنْ يُتَوَفَّىٰ وَمِنْكُمْ مَنْ يُرَدُّ إِلَىٰ أَرْذَلِ الْعُمُرِ لِكَيْلَا يَعْلَمَ مِنْ بَعْدِ عِلْمٍ شَيْئًا ۚ وَتَرَى الْأَرْضَ هَامِدَةً فَإِذَا أَنْزَلْنَا عَلَيْهَا الْمَاءَ اهْتَزَّتْ وَرَبَتْ وَأَنْبَتَتْ مِنْ كُلِّ زَوْجٍ بَهِيجٍ

  6. ذَٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ هُوَ الْحَقُّ وَأَنَّهُ يُحْيِي الْمَوْتَىٰ وَأَنَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

  7. وَأَنَّ السَّاعَةَ آتِيَةٌ لَا رَيْبَ فِيهَا وَأَنَّ اللَّهَ يَبْعَثُ مَنْ فِي الْقُبُورِ

  8. وَمِنَ النَّاسِ مَنْ يُجَادِلُ فِي اللَّهِ بِغَيْرِ عِلْمٍ وَلَا هُدًى وَلَا كِتَابٍ مُنِيرٍ

  9. ثَانِيَ عِطْفِهِ لِيُضِلَّ عَنْ سَبِيلِ اللَّهِ ۖ لَهُ فِي الدُّنْيَا خِزْيٌ ۖ وَنُذِيقُهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ عَذَابَ الْحَرِيقِ

  10. ذَٰلِكَ بِمَا قَدَّمَتْ يَدَاكَ وَأَنَّ اللَّهَ لَيْسَ بِظَلَّامٍ لِلْعَبِيدِ

  11. وَمِنَ النَّاسِ مَنْ يَعْبُدُ اللَّهَ عَلَىٰ حَرْفٍ ۖ فَإِنْ أَصَابَهُ خَيْرٌ اطْمَأَنَّ بِهِ ۖ وَإِنْ أَصَابَتْهُ فِتْنَةٌ انْقَلَبَ عَلَىٰ وَجْهِهِ خَسِرَ الدُّنْيَا وَالْآخِرَةَ ۚ ذَٰلِكَ هُوَ الْخُسْرَانُ الْمُبِينُ

  12. يَدْعُو مِنْ دُونِ اللَّهِ مَا لَا يَضُرُّهُ وَمَا لَا يَنْفَعُهُ ۚ ذَٰلِكَ هُوَ الضَّلَالُ الْبَعِيدُ

  13. يَدْعُو لَمَنْ ضَرُّهُ أَقْرَبُ مِنْ نَفْعِهِ ۚ لَبِئْسَ الْمَوْلَىٰ وَلَبِئْسَ الْعَشِيرُ

  14. إِنَّ اللَّهَ يُدْخِلُ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ ۚ إِنَّ اللَّهَ يَفْعَلُ مَا يُرِيدُ

  15. مَنْ كَانَ يَظُنُّ أَنْ لَنْ يَنْصُرَهُ اللَّهُ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ فَلْيَمْدُدْ بِسَبَبٍ إِلَى السَّمَاءِ ثُمَّ لْيَقْطَعْ فَلْيَنْظُرْ هَلْ يُذْهِبَنَّ كَيْدُهُ مَا يَغِيظُ

  16. وَكَذَٰلِكَ أَنْزَلْنَاهُ آيَاتٍ بَيِّنَاتٍ وَأَنَّ اللَّهَ يَهْدِي مَنْ يُرِيدُ

  17. إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَالَّذِينَ هَادُوا وَالصَّابِئِينَ وَالنَّصَارَىٰ وَالْمَجُوسَ وَالَّذِينَ أَشْرَكُوا إِنَّ اللَّهَ يَفْصِلُ بَيْنَهُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ۚ إِنَّ اللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ شَهِيدٌ

  18. أَلَمْ تَرَ أَنَّ اللَّهَ يَسْجُدُ لَهُ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَمَنْ فِي الْأَرْضِ وَالشَّمْسُ وَالْقَمَرُ وَالنُّجُومُ وَالْجِبَالُ وَالشَّجَرُ وَالدَّوَابُّ وَكَثِيرٌ مِنَ النَّاسِ ۖ وَكَثِيرٌ حَقَّ عَلَيْهِ الْعَذَابُ ۗ وَمَنْ يُهِنِ اللَّهُ فَمَا لَهُ مِنْ مُكْرِمٍ ۚ إِنَّ اللَّهَ يَفْعَلُ مَا يَشَاءُ ۩

  19. هَٰذَانِ خَصْمَانِ اخْتَصَمُوا فِي رَبِّهِمْ ۖ فَالَّذِينَ كَفَرُوا قُطِّعَتْ لَهُمْ ثِيَابٌ مِنْ نَارٍ يُصَبُّ مِنْ فَوْقِ رُءُوسِهِمُ الْحَمِيمُ

  20. يُصْهَرُ بِهِ مَا فِي بُطُونِهِمْ وَالْجُلُودُ

  21. وَلَهُمْ مَقَامِعُ مِنْ حَدِيدٍ

  22. كُلَّمَا أَرَادُوا أَنْ يَخْرُجُوا مِنْهَا مِنْ غَمٍّ أُعِيدُوا فِيهَا وَذُوقُوا عَذَابَ الْحَرِيقِ

  23. إِنَّ اللَّهَ يُدْخِلُ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ يُحَلَّوْنَ فِيهَا مِنْ أَسَاوِرَ مِنْ ذَهَبٍ وَلُؤْلُؤًا ۖ وَلِبَاسُهُمْ فِيهَا حَرِيرٌ

  24. وَهُدُوا إِلَى الطَّيِّبِ مِنَ الْقَوْلِ وَهُدُوا إِلَىٰ صِرَاطِ الْحَمِيدِ

  25. إِنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا وَيَصُدُّونَ عَنْ سَبِيلِ اللَّهِ وَالْمَسْجِدِ الْحَرَامِ الَّذِي جَعَلْنَاهُ لِلنَّاسِ سَوَاءً الْعَاكِفُ فِيهِ وَالْبَادِ ۚ وَمَنْ يُرِدْ فِيهِ بِإِلْحَادٍ بِظُلْمٍ نُذِقْهُ مِنْ عَذَابٍ أَلِيمٍ

  26. وَإِذْ بَوَّأْنَا لِإِبْرَاهِيمَ مَكَانَ الْبَيْتِ أَنْ لَا تُشْرِكْ بِي شَيْئًا وَطَهِّرْ بَيْتِيَ لِلطَّائِفِينَ وَالْقَائِمِينَ وَالرُّكَّعِ السُّجُودِ

  27. وَأَذِّنْ فِي النَّاسِ بِالْحَجِّ يَأْتُوكَ رِجَالًا وَعَلَىٰ كُلِّ ضَامِرٍ يَأْتِينَ مِنْ كُلِّ فَجٍّ عَمِيقٍ

  28. لِيَشْهَدُوا مَنَافِعَ لَهُمْ وَيَذْكُرُوا اسْمَ اللَّهِ فِي أَيَّامٍ مَعْلُومَاتٍ عَلَىٰ مَا رَزَقَهُمْ مِنْ بَهِيمَةِ الْأَنْعَامِ ۖ فَكُلُوا مِنْهَا وَأَطْعِمُوا الْبَائِسَ الْفَقِيرَ

  29. ثُمَّ لْيَقْضُوا تَفَثَهُمْ وَلْيُوفُوا نُذُورَهُمْ وَلْيَطَّوَّفُوا بِالْبَيْتِ الْعَتِيقِ

  30. ذَٰلِكَ وَمَنْ يُعَظِّمْ حُرُمَاتِ اللَّهِ فَهُوَ خَيْرٌ لَهُ عِنْدَ رَبِّهِ ۗ وَأُحِلَّتْ لَكُمُ الْأَنْعَامُ إِلَّا مَا يُتْلَىٰ عَلَيْكُمْ ۖ فَاجْتَنِبُوا الرِّجْسَ مِنَ الْأَوْثَانِ وَاجْتَنِبُوا قَوْلَ الزُّورِ

  31. حُنَفَاءَ لِلَّهِ غَيْرَ مُشْرِكِينَ بِهِ ۚ وَمَنْ يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَكَأَنَّمَا خَرَّ مِنَ السَّمَاءِ فَتَخْطَفُهُ الطَّيْرُ أَوْ تَهْوِي بِهِ الرِّيحُ فِي مَكَانٍ سَحِيقٍ

  32. ذَٰلِكَ وَمَنْ يُعَظِّمْ شَعَائِرَ اللَّهِ فَإِنَّهَا مِنْ تَقْوَى الْقُلُوبِ

  33. لَكُمْ فِيهَا مَنَافِعُ إِلَىٰ أَجَلٍ مُسَمًّى ثُمَّ مَحِلُّهَا إِلَى الْبَيْتِ الْعَتِيقِ

  34. وَلِكُلِّ أُمَّةٍ جَعَلْنَا مَنْسَكًا لِيَذْكُرُوا اسْمَ اللَّهِ عَلَىٰ مَا رَزَقَهُمْ مِنْ بَهِيمَةِ الْأَنْعَامِ ۗ فَإِلَٰهُكُمْ إِلَٰهٌ وَاحِدٌ فَلَهُ أَسْلِمُوا ۗ وَبَشِّرِ الْمُخْبِتِينَ

  35. الَّذِينَ إِذَا ذُكِرَ اللَّهُ وَجِلَتْ قُلُوبُهُمْ وَالصَّابِرِينَ عَلَىٰ مَا أَصَابَهُمْ وَالْمُقِيمِي الصَّلَاةِ وَمِمَّا رَزَقْنَاهُمْ يُنْفِقُونَ

  36. وَالْبُدْنَ جَعَلْنَاهَا لَكُمْ مِنْ شَعَائِرِ اللَّهِ لَكُمْ فِيهَا خَيْرٌ ۖ فَاذْكُرُوا اسْمَ اللَّهِ عَلَيْهَا صَوَافَّ ۖ فَإِذَا وَجَبَتْ جُنُوبُهَا فَكُلُوا مِنْهَا وَأَطْعِمُوا الْقَانِعَ وَالْمُعْتَرَّ ۚ كَذَٰلِكَ سَخَّرْنَاهَا لَكُمْ لَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ

  37. لَنْ يَنَالَ اللَّهَ لُحُومُهَا وَلَا دِمَاؤُهَا وَلَٰكِنْ يَنَالُهُ التَّقْوَىٰ مِنْكُمْ ۚ كَذَٰلِكَ سَخَّرَهَا لَكُمْ لِتُكَبِّرُوا اللَّهَ عَلَىٰ مَا هَدَاكُمْ ۗ وَبَشِّرِ الْمُحْسِنِينَ

  38. إِنَّ اللَّهَ يُدَافِعُ عَنِ الَّذِينَ آمَنُوا ۗ إِنَّ اللَّهَ لَا يُحِبُّ كُلَّ خَوَّانٍ كَفُورٍ

  39. أُذِنَ لِلَّذِينَ يُقَاتَلُونَ بِأَنَّهُمْ ظُلِمُوا ۚ وَإِنَّ اللَّهَ عَلَىٰ نَصْرِهِمْ لَقَدِيرٌ

  40. الَّذِينَ أُخْرِجُوا مِنْ دِيَارِهِمْ بِغَيْرِ حَقٍّ إِلَّا أَنْ يَقُولُوا رَبُّنَا اللَّهُ ۗ وَلَوْلَا دَفْعُ اللَّهِ النَّاسَ بَعْضَهُمْ بِبَعْضٍ لَهُدِّمَتْ صَوَامِعُ وَبِيَعٌ وَصَلَوَاتٌ وَمَسَاجِدُ يُذْكَرُ فِيهَا اسْمُ اللَّهِ كَثِيرًا ۗ وَلَيَنْصُرَنَّ اللَّهُ مَنْ يَنْصُرُهُ ۗ إِنَّ اللَّهَ لَقَوِيٌّ عَزِيزٌ

  41. الَّذِينَ إِنْ مَكَّنَّاهُمْ فِي الْأَرْضِ أَقَامُوا الصَّلَاةَ وَآتَوُا الزَّكَاةَ وَأَمَرُوا بِالْمَعْرُوفِ وَنَهَوْا عَنِ الْمُنْكَرِ ۗ وَلِلَّهِ عَاقِبَةُ الْأُمُورِ

  42. وَإِنْ يُكَذِّبُوكَ فَقَدْ كَذَّبَتْ قَبْلَهُمْ قَوْمُ نُوحٍ وَعَادٌ وَثَمُودُ

  43. وَقَوْمُ إِبْرَاهِيمَ وَقَوْمُ لُوطٍ

  44. وَأَصْحَابُ مَدْيَنَ ۖ وَكُذِّبَ مُوسَىٰ فَأَمْلَيْتُ لِلْكَافِرِينَ ثُمَّ أَخَذْتُهُمْ ۖ فَكَيْفَ كَانَ نَكِيرِ

  45. فَكَأَيِّنْ مِنْ قَرْيَةٍ أَهْلَكْنَاهَا وَهِيَ ظَالِمَةٌ فَهِيَ خَاوِيَةٌ عَلَىٰ عُرُوشِهَا وَبِئْرٍ مُعَطَّلَةٍ وَقَصْرٍ مَشِيدٍ

  46. أَفَلَمْ يَسِيرُوا فِي الْأَرْضِ فَتَكُونَ لَهُمْ قُلُوبٌ يَعْقِلُونَ بِهَا أَوْ آذَانٌ يَسْمَعُونَ بِهَا ۖ فَإِنَّهَا لَا تَعْمَى الْأَبْصَارُ وَلَٰكِنْ تَعْمَى الْقُلُوبُ الَّتِي فِي الصُّدُورِ

  47. وَيَسْتَعْجِلُونَكَ بِالْعَذَابِ وَلَنْ يُخْلِفَ اللَّهُ وَعْدَهُ ۚ وَإِنَّ يَوْمًا عِنْدَ رَبِّكَ كَأَلْفِ سَنَةٍ مِمَّا تَعُدُّونَ

  48. وَكَأَيِّنْ مِنْ قَرْيَةٍ أَمْلَيْتُ لَهَا وَهِيَ ظَالِمَةٌ ثُمَّ أَخَذْتُهَا وَإِلَيَّ الْمَصِيرُ

  49. قُلْ يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنَّمَا أَنَا لَكُمْ نَذِيرٌ مُبِينٌ

  50. فَالَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ لَهُمْ مَغْفِرَةٌ وَرِزْقٌ كَرِيمٌ

  51. وَالَّذِينَ سَعَوْا فِي آيَاتِنَا مُعَاجِزِينَ أُولَٰئِكَ أَصْحَابُ الْجَحِيمِ

  52. وَمَا أَرْسَلْنَا مِنْ قَبْلِكَ مِنْ رَسُولٍ وَلَا نَبِيٍّ إِلَّا إِذَا تَمَنَّىٰ أَلْقَى الشَّيْطَانُ فِي أُمْنِيَّتِهِ فَيَنْسَخُ اللَّهُ مَا يُلْقِي الشَّيْطَانُ ثُمَّ يُحْكِمُ اللَّهُ آيَاتِهِ ۗ وَاللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ

  53. لِيَجْعَلَ مَا يُلْقِي الشَّيْطَانُ فِتْنَةً لِلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِمْ مَرَضٌ وَالْقَاسِيَةِ قُلُوبُهُمْ ۗ وَإِنَّ الظَّالِمِينَ لَفِي شِقَاقٍ بَعِيدٍ

  54. وَلِيَعْلَمَ الَّذِينَ أُوتُوا الْعِلْمَ أَنَّهُ الْحَقُّ مِنْ رَبِّكَ فَيُؤْمِنُوا بِهِ فَتُخْبِتَ لَهُ قُلُوبُهُمْ ۗ وَإِنَّ اللَّهَ لَهَادِ الَّذِينَ آمَنُوا إِلَىٰ صِرَاطٍ مُسْتَقِيمٍ

  55. وَلَا يَزَالُ الَّذِينَ كَفَرُوا فِي مِرْيَةٍ مِنْهُ حَتَّىٰ تَأْتِيَهُمُ السَّاعَةُ بَغْتَةً أَوْ يَأْتِيَهُمْ عَذَابُ يَوْمٍ عَقِيمٍ

  56. الْمُلْكُ يَوْمَئِذٍ لِلَّهِ يَحْكُمُ بَيْنَهُمْ ۚ فَالَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ فِي جَنَّاتِ النَّعِيمِ

  57. وَالَّذِينَ كَفَرُوا وَكَذَّبُوا بِآيَاتِنَا فَأُولَٰئِكَ لَهُمْ عَذَابٌ مُهِينٌ

  58. وَالَّذِينَ هَاجَرُوا فِي سَبِيلِ اللَّهِ ثُمَّ قُتِلُوا أَوْ مَاتُوا لَيَرْزُقَنَّهُمُ اللَّهُ رِزْقًا حَسَنًا ۚ وَإِنَّ اللَّهَ لَهُوَ خَيْرُ الرَّازِقِينَ

  59. لَيُدْخِلَنَّهُمْ مُدْخَلًا يَرْضَوْنَهُ ۗ وَإِنَّ اللَّهَ لَعَلِيمٌ حَلِيمٌ

  60. ذَٰلِكَ وَمَنْ عَاقَبَ بِمِثْلِ مَا عُوقِبَ بِهِ ثُمَّ بُغِيَ عَلَيْهِ لَيَنْصُرَنَّهُ اللَّهُ ۗ إِنَّ اللَّهَ لَعَفُوٌّ غَفُورٌ

  61. ذَٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ يُولِجُ اللَّيْلَ فِي النَّهَارِ وَيُولِجُ النَّهَارَ فِي اللَّيْلِ وَأَنَّ اللَّهَ سَمِيعٌ بَصِيرٌ

  62. ذَٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ هُوَ الْحَقُّ وَأَنَّ مَا يَدْعُونَ مِنْ دُونِهِ هُوَ الْبَاطِلُ وَأَنَّ اللَّهَ هُوَ الْعَلِيُّ الْكَبِيرُ

  63. أَلَمْ تَرَ أَنَّ اللَّهَ أَنْزَلَ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً فَتُصْبِحُ الْأَرْضُ مُخْضَرَّةً ۗ إِنَّ اللَّهَ لَطِيفٌ خَبِيرٌ

  64. لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۗ وَإِنَّ اللَّهَ لَهُوَ الْغَنِيُّ الْحَمِيدُ

  65. أَلَمْ تَرَ أَنَّ اللَّهَ سَخَّرَ لَكُمْ مَا فِي الْأَرْضِ وَالْفُلْكَ تَجْرِي فِي الْبَحْرِ بِأَمْرِهِ وَيُمْسِكُ السَّمَاءَ أَنْ تَقَعَ عَلَى الْأَرْضِ إِلَّا بِإِذْنِهِ ۗ إِنَّ اللَّهَ بِالنَّاسِ لَرَءُوفٌ رَحِيمٌ

  66. وَهُوَ الَّذِي أَحْيَاكُمْ ثُمَّ يُمِيتُكُمْ ثُمَّ يُحْيِيكُمْ ۗ إِنَّ الْإِنْسَانَ لَكَفُورٌ

  67. لِكُلِّ أُمَّةٍ جَعَلْنَا مَنْسَكًا هُمْ نَاسِكُوهُ ۖ فَلَا يُنَازِعُنَّكَ فِي الْأَمْرِ ۚ وَادْعُ إِلَىٰ رَبِّكَ ۖ إِنَّكَ لَعَلَىٰ هُدًى مُسْتَقِيمٍ

  68. وَإِنْ جَادَلُوكَ فَقُلِ اللَّهُ أَعْلَمُ بِمَا تَعْمَلُونَ

  69. اللَّهُ يَحْكُمُ بَيْنَكُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ فِيمَا كُنْتُمْ فِيهِ تَخْتَلِفُونَ

  70. أَلَمْ تَعْلَمْ أَنَّ اللَّهَ يَعْلَمُ مَا فِي السَّمَاءِ وَالْأَرْضِ ۗ إِنَّ ذَٰلِكَ فِي كِتَابٍ ۚ إِنَّ ذَٰلِكَ عَلَى اللَّهِ يَسِيرٌ

  71. وَيَعْبُدُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ مَا لَمْ يُنَزِّلْ بِهِ سُلْطَانًا وَمَا لَيْسَ لَهُمْ بِهِ عِلْمٌ ۗ وَمَا لِلظَّالِمِينَ مِنْ نَصِيرٍ

  72. وَإِذَا تُتْلَىٰ عَلَيْهِمْ آيَاتُنَا بَيِّنَاتٍ تَعْرِفُ فِي وُجُوهِ الَّذِينَ كَفَرُوا الْمُنْكَرَ ۖ يَكَادُونَ يَسْطُونَ بِالَّذِينَ يَتْلُونَ عَلَيْهِمْ آيَاتِنَا ۗ قُلْ أَفَأُنَبِّئُكُمْ بِشَرٍّ مِنْ ذَٰلِكُمُ ۗ النَّارُ وَعَدَهَا اللَّهُ الَّذِينَ كَفَرُوا ۖ وَبِئْسَ الْمَصِيرُ

  73. يَا أَيُّهَا النَّاسُ ضُرِبَ مَثَلٌ فَاسْتَمِعُوا لَهُ ۚ إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ لَنْ يَخْلُقُوا ذُبَابًا وَلَوِ اجْتَمَعُوا لَهُ ۖ وَإِنْ يَسْلُبْهُمُ الذُّبَابُ شَيْئًا لَا يَسْتَنْقِذُوهُ مِنْهُ ۚ ضَعُفَ الطَّالِبُ وَالْمَطْلُوبُ

  74. مَا قَدَرُوا اللَّهَ حَقَّ قَدْرِهِ ۗ إِنَّ اللَّهَ لَقَوِيٌّ عَزِيزٌ

  75. اللَّهُ يَصْطَفِي مِنَ الْمَلَائِكَةِ رُسُلًا وَمِنَ النَّاسِ ۚ إِنَّ اللَّهَ سَمِيعٌ بَصِيرٌ

  76. يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ ۗ وَإِلَى اللَّهِ تُرْجَعُ الْأُمُورُ

  77. يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا ارْكَعُوا وَاسْجُدُوا وَاعْبُدُوا رَبَّكُمْ وَافْعَلُوا الْخَيْرَ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ ۩

  78. وَجَاهِدُوا فِي اللَّهِ حَقَّ جِهَادِهِ ۚ هُوَ اجْتَبَاكُمْ وَمَا جَعَلَ عَلَيْكُمْ فِي الدِّينِ مِنْ حَرَجٍ ۚ مِلَّةَ أَبِيكُمْ إِبْرَاهِيمَ ۚ هُوَ سَمَّاكُمُ الْمُسْلِمِينَ مِنْ قَبْلُ وَفِي هَٰذَا لِيَكُونَ الرَّسُولُ شَهِيدًا عَلَيْكُمْ وَتَكُونُوا شُهَدَاءَ عَلَى النَّاسِ ۚ فَأَقِيمُوا الصَّلَاةَ وَآتُوا الزَّكَاةَ وَاعْتَصِمُوا بِاللَّهِ هُوَ مَوْلَاكُمْ ۖ فَنِعْمَ الْمَوْلَىٰ وَنِعْمَ النَّصِيرُ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Yaaa ayyuhan naasuttaqoo Rabbakum; inna zalzalatas Saa'ati shai'un 'azeem

  2. Yawma tarawnahaa tazhalu kullu murdi'atin 'ammaaa arda'at wa tada'u kullu zaati hamlin hamlahaa wa tarannaasa sukaaraa wa maa hum bisukaaraa wa lakinna 'azaabal laahi shadeed

  3. Wa minan naasi mai yujaadilu fil laahi bighairi 'ilminw wa yattabi'u kullaa shaitaanim mareed

  4. Kutiba 'alaihi annahoo man tawallaahu fa annahoo yudilluhoo wa yahdeehi ilaa 'azaabis sa'eer

  5. Yaaa ayyuhan naasu in kuntum fee raibin minal ba'thi fa innaa khalaqnaakum min turaabin thumma min nutfatin thumma min 'alaqatin thumma min mudghatin mukhallaqatinw wa ghairi mukhallaqatin linubaiyina lakum; wa nuqirru fil arhaami maa nashaaa'u ilaaa ajalin musamman thumma nukhrijukum tiflan thumma litablughooo ashuddakum wa minkum mai yutawaffa wa minkum mai yuraddu ilaaa arzalil 'umuri likailaa ya'lama min ba'di 'ilmin shai'aa; wa taral arda haamidatan fa izaaa anzalnaa 'alaihal maaa'ah tazzat wa rabat wa ambatat min kulli zawjin baheej

  6. Zaalika bi annal laaha Huwal haqqu wa annahoo yuhyil mawtaa wa annahoo 'alaakulli shai'in Qadeer

  7. Wa annas Saa'ata aatiya tul laa raiba feeha wa annal laaha yab'asuman fil quboor

  8. Wa minan naasi mai yujaadilu fil laahi bighairi 'ilminw wa laa hudanw wa laa Kitaabim Muneer

  9. Saaniya 'itfihee liyudilla 'an sabeelil laahi lahoo fiddun yaa khizyunw wa nuzeequhoo Yawmal Qiyaamati 'azaabal lhareeq

  10. Zaalika bimaa qaddamat yadaaka wa annal laaha laisa bizallaamil lil'abeed (section 1)

  11. Wa minan naasi mai ya'budul laaha 'alaa harfin fa in asaabahoo khairunit maanna bihee wa in asaabat hu fitnatunin qalaba 'alaa wajhihee khasirad dunyaa wal aakhirah; zaalika huwal khusraanul mubeen

  12. Yad'oo min doonil laahi maa laa yadurruhoo wa maa laa yanfa'uh' zaalika huwad dalaalul ba'ed

  13. Yad'oo laman darruhooo aqrabu min naf'ih; labi'salmawlaa wa labi'sal 'asheer

  14. Innal laaha yudkhilul lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati jannaatin tajree min tahtihal anhaar; innal laaha yaf'alu maa yureed

  15. Man kaana yazunnu allai yansurahul laahu fid dunyaa wal aakhirati fal yamdud bisababin ilas samaaa'i summal yaqta' falyanzur hal yuzhibanna kaiduhoo maa yagheez

  16. Wa kazaalika anzalnaahu aayaatim baiyinaatinw wa annal laaha yahdee mai yureed

  17. Innal lazeena aamanoo wallazeena haadoo was saabi'eena wan nasaaraa wal Majoosa wallazeena ashrakooo innal laaha yafsilu bainahum yawmal qiyaamah; innal laaha 'alaa kulli shai'in shaheed

  18. Alam tara annal laaha yasjudu lahoo man fis samaawaati wa man fil ardi wash shamsu walqamaru wan nu joomu wal jibaalu wash shajaru wad dawaaabbu wa kaseerum minan naasi wa kaseerun haqqa 'alaihil 'azaab; wa mai yuhinil laahu famaa lahoo mim mukrim; innallaaha yaf'alu maa yashaaa (make sajda)

  19. Haazaani khasmaanikh tasamoo fee Rabbihim fal lazeena kafaroo qutti'at lahum siyaabum min naar; yusabbu min fawqi ru'oosihimul hameem

  20. Yusharu bihee maa fee butoonihim waljulood

  21. Wa lahum maqaami'u min hadeed

  22. Kullamaa araadooo any yakhrujoo minhaa min ghammin u'eedoo feeha wa zooqoo 'azaabal hareeq (section 2)

  23. Innal laaha yudkhilul lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati jannaatin tajree min tahtihal anhaaru yuhallawna feehaa min asaawira min zahabinw wa lu'lu'aa; wa libaasuhum feehaa hareer

  24. Wa hudooo ilat taiyibi minal qawli wa hudooo ilaaa siraatil hameed

  25. Innal lazeena kafaroo wa yasuddoona 'an sabeelil laahi wal Masjidil Haraamil lazee ja'alnaahu linnaasi sawaaa'anil 'aakifu feehi walbaad; wa mai yurid feehi bi ilhaadim bizulmin nuziqhu min 'azaabin aleem (section 3)

  26. Wa iz bawwaanaa li Ibraaheema makaanal Baiti allaa tushrik bee shai'anw wa tahhir Baitiya litaaa'ifeena walqaaa' imeena warrukka 'is sujood

  27. Wa azzin fin naasi bil Hajji yaatooka rijaalanw wa 'alaa kulli daamiriny yaateena min kulli fajjin 'ameeq

  28. Li yashhadoo manaafi'a lahum wa yazkurus mal laahi feee ayyaamimma'loomaatin 'alaa maa razaqahum mim baheematil an'aami fakuloo minhaa wa at'imul baaa'isal faqeer

  29. Summal yaqdoo tafasahum wal yoofoo nuzoorahum wal yattawwafoo bil Baitil 'Ateeq

  30. Zaalika wa mai yu'azzim hurumaatil laahi fahuwa khairul lahoo 'inda Rabbih; wa uhillat lakumul an'aamu illaa maa yutlaa 'alaikum fajtanibur rijsa minal awsaani wajtaniboo qawlaz zoor

  31. Hunafaaa'a lillaahi ghaira mushrikeena bih; wa mai yushrik billaahi faka annamaa kharra minas samaaa'i fatakh tafuhut tairu aw tahwee bihir reehu bee makaanin saheeq

  32. Zaalika wa mai yu'azzim sha'aaa'iral laahi fa innahaa min taqwal quloob

  33. Lakum feehaa manaafi'u ilaaa ajalim musamman summa mahilluhaaa ilal Baitil 'Ateeq (section 4)

  34. Wa likulli ummatin ja'alnaa mansakal liyazkurus mal laahi 'alaa maa razaqahum mim baheematil an'aam; failaahukum ilaahunw Waahidun falahooo aslimoo; wa bashshiril mukhbiteen

  35. Allazeena izaa zukiral laahu wajilat quloobuhum wassaabireena 'alaa maaa asaabahum walmuqeemis Salaati wa mimmaa razaqnaahum yunfiqoon

  36. Walbudna ja'alnaahaa lakum min sha'aaa'iril laahi lakum feehaa khairun fazkurusmal laahi 'alaihaa sawaaff; fa izaa wajabat junoobuhaa fakuloo minhaa wa at'imul qaani'a walmu'tarr; kazaalika sakhkharnaahaa lakum la'allakum tashkuroon

  37. Lany yanaalal laaha luhoo muhaa wa laa dimaaa'uhaa wa laakiny yanaaluhut taqwaa minkum; kazaalika sakhkharhaa lakum litukabbirul laaha 'alaa ma hadaakum; wa bashshiril muhsineen

  38. Innal laaha yudaafi' 'anil lazeena aamanoo; innal laaha laa yuhibbu kulla khawwaanin kafoor (section 5)

  39. Uzina lillazeena yuqaataloona bi annahum zulimoo; wa innal laaha 'alaa nasrihim la Qadeer

  40. Allazeena ukhrijoo min diyaarihim bighairi haqqin illaaa any yaqooloo rabbunallaah; wa law laa daf'ul laahin naasa ba'dahum biba'dil lahuddimat sawaami'u wa biya'unw wa salawaatunw wa masaajidu yuzkaru feehasmul laahi kaseeraa; wa layansurannal laahu mai yansuruh; innal laaha la qawiyyun 'Azeez

  41. Allazeena im makkan naahum fil ardi aqaamus Salaata wa aatawuz Zakaata wa amaroo bilma'roofi wa nahaw 'anil munkar; wa lillaahi 'aaqibatul umoor

  42. Wa iny yukazzibooka faqad kazzabat qablahum qawmu Noohinw wa Aadunw wa Samood

  43. Wa qawmu Ibraaheema wa qawmu Loot

  44. Wa as haabu Madyana wa kuzziba Moosaa fa amlaitu lilkaafireena summa akhaztuhum fakaifa kaana nakeer

  45. Faka ayyim min qaryatin ahlaknaahaa wa hiya zaalimatun fahiya khaawiyatun 'alaa 'urooshihaa wa bi'rim mu'at talatinw wa qasrim masheed

  46. Afalam yaseeroo fil ardi fatakoona lahum quloobuny ya'qiloona bihaaa aw aazaanuny yasma'oona bihaa fa innahaa laa ta'mal absaaru wa laakin ta'mal quloobul latee fissudoor

  47. Wa yasta'jiloonaka bil'azaabi wa lany yukhlifal laahu wa'dah; wa inna yawman 'inda Rabbika ka'alfi sanatim mimmaa ta'uddoon

  48. Wa ka ayyim min qaryatin amlaitu lahaa wa hiya zaalimatun summa akhaztuhaa wa ilaiyal maseer (section 6)

  49. Qul yaaa ayyuhan naasu innamaaa ana lakum nazeerum mubeen

  50. Fallazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati lahum maghfiratunw wa rizqun kareem

  51. Wallazeena sa'aw feee Aayaatinaa mu'aajizeena ulaaa ika As-haabul jaheem

  52. Wa maaa arsalnaa min qablika mir Rasoolinnw wa laa Nabiyyin illaaa izaaa tamannaaa alqash Shaitaanu feee umniy yatihee fa yansakhul laahu maa yulqish Shaitaanu summa yuhkimul laahu aayaatih; wallaahu 'Aleemun Hakeem

  53. Liyaj'ala maa yulqish Shaitaanu fitnatal lillazeena fee quloobihim maradunw walqaasiyati quloobuhum; wa innaz zaalimeena lafee shiqaaqim ba'eed

  54. Wa liya'lamal lazeena ootul 'ilma annahul haqqu mir Rabbika fa yu'minoo bihee fatukhbita lahoo quloobuhum; wa innal laaha lahaadil lazeena aamanoo ilaa Siraatim Mustaqeem

  55. Wa laa yazaalul lazeena kafaroo fee miryatim minhu hattaa taatiyahumus Saa'atu baghtatan aw yaatiyahum 'azaabu Yawmin 'aqeem

  56. Almulku Yawma'izil lillaahi yahkumu bainahum; fallazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati fee jannaatin Na'eem

  57. Wallazeena kafaroo wa kazzaboo bi Aayaatinaa fa ulaaa'ika lahum 'azaabum muheen (section 7)

  58. Wallazeena haajaroo fee sabeelil laahi summa qutilooo aw maatoo la yarzuqan nahumul laahu rizqan hasanaa; wa innal laaha la Huwa khairur raaziqeen

  59. La yudkhilan nahum mud khalany yardawnah; wa innal laaha la 'Aleemun Haleem

  60. Zaalika wa man 'aaqaba bimisli maa 'ooqiba bihee summa bughiya 'alaihi la yansurannahul laah; innal laaha la 'Afuwwun Ghafoor

  61. Zaalika bi annal laaha yoolijul laila fin nahaari wa yoolijun nahaara fil laili wa annal laaha Samee'um Baseer

  62. Zaalika bi annal laaha Huwal haqqu wa anna maa yad'oona min doonihee huwal baatilu wa annal laaha Huwal 'Aliyyul kabeer

  63. Alam tara annal laaha anzala minas samaaa'i maaa'an fatusbihul ardu mukhdarrah; innal laaha Lateefun Khabeer

  64. Lahoo ma fis samaawaati wa ma fil ard; wa innal laaha la Huwal Ghaniyyul Hameed (section 8)

  65. Alam tara annal laaha sakhkhara lakum maa fil ardi wal fulka tajree fil bahri bi amrihee wa yumsikus samaaa'a an taqa'a 'alal ardi illaa biiznih; innal laaha binnaasi la Ra'oofur Raheem

  66. Wa Huwal lazee ahyaakum summa yumeetukum summa yuhyeekum; innal insaana la kafoor

  67. Likulli ummatin ja'alnaa mansakan hum naasikoohu falaa yunaazi 'unnaka fil amr; wad'u ilaa Rabbika innaka la 'alaa hudan mustaqeem

  68. Wa in jaadalooka faqulil laahu a'lamu bimaa ta'maloon

  69. Allaahu yahkumu bainakum Yawmal Qiyaamati feemaa kuntum feehi takhtalifoon

  70. Alam ta'lam annal laaha ya'lamu maa fis samaaa'i wal ard; inna zaalika fee kitaab; inna zaalika 'alal laahi yaseer

  71. Wa ya'budoona min doonil laahi maa lam yunazzil bihee sultaananw wa maa laisa lahum bihee 'ilm; wa maa lizzaalimeena min naseer

  72. Wa izaa tutlaa 'alaihim Aayaatunaa baiyinaatin ta'rifu fee wujoohil lazeena kafarul munkara yakaadoona yastoona bil lazeena yatloona 'alaihim Aayaatinaa; qul afa unab bi'ukum bisharrim min zaalikum; an Naaru wa 'adahal laahul lazeena kafaroo wa bi'sal maseer (section 9)

  73. Yaaa ayyuhan naasu duriba masalun fastami'oo lah; innal lazeena tad'oona min doonil laahi lai yakhluqoo zubaabanw wa lawijtama'oo lahoo wa iny yaslub humuz zubaabu shai'an laa yastanqizoohu minh; da'ufat taalibu wal matloob

  74. Maa qadrul laaha haqqa qadrih; innal laaha la Qawiyyun 'Azeez

  75. Allahu yastafee minal malaaa'ikati Rusulanw wa minan naas; innal laaha Samee'un Baseer

  76. Ya'lamu maa baina aydeehim wa maa khalfahum; wa ilal laahi turja'ul umoor

  77. Yaaa ayyuhal lazeena aamanur ka'oo wasjudoo wa'budoo Rabbakum waf'alul khaira la'allakum tuflihoon (make sajda)

  78. Wa jaahidoo fil laahi haqqa jihaadih; Huwaj tabaakum wa maa ja'ala 'alaikum fid deeni min haraj; Millata abeekum Ibraaheem; Huwa sammaakumul muslimeena min qablu wa fee haaza li yakoonar Rasoolu shaheedan 'alaikum wa takoonoo shuhadaaa'a 'alan naas; fa aqeemus salaata wa aatuz zakaata wa'tasimoo billaahi Huwa mawlaakum fani'mal mawlaa wa ni'man naseer (section 10) (End Juz 17)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Logon, apne Rubb ke gazab se bacho, haqeeqat yeh hai ke qayamat ka zalzala badi (haulnaak) cheez hai.

2. Jis roz tum usey dekhoge, haal yeh hoga ke har doodh pilaane wali apne doodh peetay bacche se gaafil ho jayegi, har haamila (pregnant) ka hamal gir jayega, aur log tumko madhosh nazar aayenge, halanke woh nashey mein na honge, balke Allah ka azaab hi kuch aisa sakht hoga.

3. Baaz log aise hain jo ilm ke bagair Allah ke baare mein bahas karte hain aur har shaytan e sarkash ki pairwi karne lagte hain.

4. Halanke uske to naseeb hi mein yeh likha hai ke jo usko dost banayega usey woh gumraah karke chodega aur azaab e jahannum ka raasta dikhaeyga.

5. Logon, agar tumhein zindagi baad e maut ke baare mein kuch shakk hai to tumhein maloom ho ke humne tumko mitti se paida kiya hai, phir nutfe se,phir khoon ke lothdey se, phir gosht ki boti se jo shakal wali bhi hoti hai aur be shakal bhi (yeh hum is liye bata rahe hain) taa-ke tumpar haqeeqat wazeh kardein, hum jis (nutfe) ko chahte hain ek khaas waqt tak rehemo (wombs) mein thehraye rakhte hain, phir tumko ek bacche ki surat mein nikal latey hain, (phir tumhein parwarish karte hain) taa-ke tum apni poori jawani ko pahuncho aur tum mein se koi pehle hi wapas bula liya jata hai aur koi badhtareen umar ki taraf pher diya jata hai, taa-ke sab kuch jaanney ke baad phir kuch na jaane. Aur tum dekhte ho ke zameen sukhi padi hai, phir jahan humne uspar meh barsaya ke yakayak woh phabak uthi aur phool gayi aur usne har qisam ki khush manzar nabataat(vegetation) ugalni shuri kardi.

6. Ye sab kuch is wajah se hai ke Allah hi haqq hai, aur woh murdon ko zinda karta hai, aur woh har cheez par qaadir hai.

7. Aur yeh (is baat ki daleel hai) ke qayamat ki ghadi aakar rahegi, is mein kisi shakk ki gunjaish nahin, aur Allah zaroor un logon ko uthayega jo qabaron mein jaa chuke hain.

8. Baaz log aise hain jo kisi ilm aur hidayat aur roshni bakshne wali kitaab ke bagair, gardan akdaye huey,

9. Khuda ke baare mein jhagadte hain, taa-ke logon ko raah e khuda se bhatka dein. Aise shaks ke liye duniya mein ruswayi hai aur qayamat ke roz usko hum aag ke azaab ka maza chakkhayenge.

10. Yeh hai tera woh mustaqbil (future) jo tere apne haathon ne tere liye tayyar kiya hai, warna Allah apne bandon par zulm karne wala nahin hai.

11. Aur logon mein koi aisa hai jo kinare par reh kar Allah ki bandagi karta hai, agar faiyda hua to mutmaeen hogaya aur jo koi museebat aa gayi to ulta phir gaya. Uski duniya bhi gayi aur aakhirat bhi, yeh hai sareeh khasara (loss/nuksaan).

12. Phir woh Allah ko chodh kar unko pukarta hai jo na usko nuqsaan pahuncha sakte hain na faiyda, yeh hai gumraahi ki inteha.

13. Woh unko pukarta hai jinka nuqsaan unke nafey (faiyda) se qareeb tar hai, badhtareen hai uska maula (guardian) aur badtareen hai uska rafeeq(companion).

14. (iske baraks) Allah un logon ko jo iman laye aur jinon ne neik amal kiye, yaqeenan aisi jannaton mein daakhil karega jinke nichey nehrein beh rahi hongi. Allah karta hai jo kuch chahta hai.

15. Jo shaks yeh gumaan rakhta ho ke Allah duniya aur aakhirat mein uski koi madad na karega usey chahiye ke ek rassi (rope) ke zariye aasmaan tak pahunch kar shigaf lagaye(cut a hole into it), phir dekh le ke aaya uski tadbeer kisi aisi cheez ko radd kar sakti hai jo usko nagawar hai.

16. Aisi hi khuli khuli baaton ke saath humne is Quran ko naazil kiya hai, aur hidayat Allah jise chahta hai deta hai.

17. Jo log iman laye, aur jo yahudi huey, aur sabayi (Sabaeans), aur nasara ,aur majoos, aur jin logon ne shirk kiya, un sab ke darmiyan Allah qayamat ke roz faisla kardega. Har cheez Allah ki nazar mein hai.

18. Kya tum dekhte nahin ho ke Allah ke aage sar-ba-sujood hain woh sab jo aasmano mein hain aur jo zameen mein hain, Suraj aur chaand aur taare aur pahad aur darakht aur jaanwar aur bahut se Insan aur bahut se woh log bhi jo azaab ke mustahiq ho chuke hain? Aur jise Allah zaleel-o-khwar karde usey phir koi izzat dene wala nahin hai. Allah karta hai jo kuch chahta hai.

19. Yeh do fareeq hain jinke darmiyan apne Rubb ke maamle ka jhagda hai. In mein se woh log jinhon ne kufr kiya hai unke liye aag ke libaas kaate jaa chuke hain, unke saron (heads) par khaulta (boiling) hua pani dala jayega.

20. Jissey unki khalein (skins) hi nahin pait ke andar ke hisse tak gal (melt) jayenge.

21. Aur unki khabar lene ke liye lohey (iron) ke gurz (maces) honge.

22. Jab kabhi woh ghabra kar jahannum se nikalne ki koshish karenge phir usi mein dhakeil diye jayenge ke chakkho ab jalne ki saza ka maza.

23. (Dusri taraf) jo log iman laye aur jinhon ne neik amal kiye unko Allah aisi jannaton mein daakhil karega jinke nichey nehrein beh rahi hongi, wahan woh soonay ke kangano aur motiyon se aarasta kiye jayenge aur unke libaas resham ke honge.

24. Unko pakeeza baat kabool karne ki hidayat bakshi gayi aur unhein khudaye satuda siffat (All Praiseworthy) ka raasta dikhaya gaya.

25. Jin logon ne kufr kiya aur jo (aaj) Allah ke raaste se roak rahe hain aur us masjid e haraam ki ziyarat mein maney hain jise humne sab logon ke liye banaya hai, jismein muqami bashindon aur bahar se aane walon ke huqooq barabar hain, (unki rawish yaqeenan saza ki mustahiq hai), is (masjid e haram) mein jo bhi raasti se hatkar (deviate from righteousness) zulm ka tareeqa ikhtiyar karega usey hum dardnaak azaab ka maza chakhayenge.

26. Yaad karo woh waqt jab humne Ibrahim ke liye is ghar (khane Kaaba) ki jagah tajweez ki thi (is hidayat ke saath) ke “mere saath kisi cheez ko shareek na karo, aur mere ghar ko tawaf karne walon aur qayam va ruku va sujood karne walon ke liye paak rakho.

27. Aur logon ko hajj ke liye izan e aam (proclamation) de do ke woh tumhare paas har door daraz muqaam se paidal aur ounton(camels) par sawar aayein.

28. Taa-ke woh faiyde dekhein jo yahan unke liye rakkhe gaye hain, aur chandh muqarrar dino mein un jaanwaron par Allah ka naam lein jo usne unhein bakshe hain, khud bhi khayein aur tang-dast mohtaj ko bhi dein.

29. Phir apna mail-kuchel (dirt) door karein aur apni nazrein (vows) poori karein, aur us qadeem (ancient) ghar ka tawaf karein.

30. Yeh tha (taamir e kaaba ka maqsad) aur jo koi Allah ki qayam karda hurmaton (sanctity) ka ehtamaam kare to yeh uske Rubb ke nazdeek khud usi ke liye behtar hai. Aur tumhare liye maweshi (cattle) jaanwar halal kiye gaye , ma siwa un cheezon ke jo tumhein batayi jaa chuki hain. Pas buthon(Idols) ki gandagi se bacho, jhooti baaton se parheiz karo.

31. Yaksu hokar Allah ke banday bano, uske saath kisi ko shareek na karo aur jo koi Allah ke saath shirk kare to goya woh aasmaan se gir gaya, ab ya to usey parinday uchak le jayenge ya hawa usko aisi jagah le jaa kar phenk degi jahan uske cheethdey udh (shattered into pieces) jayenge.

32. Yeh hai asal maamla (isey samajh lo), aur jo Allah ke muqarrar karda shaair (sanctity) ka ehtaram kare to yeh dilon ke taqwa se hai.

33. Tumhein ek waqt e muqarrar tak un (hadi ke jaanwaron) se faiyda uthane ka haqq hai phir un (ke qurbaan karne) ki jagah usi qadeem ghar ke paas hai.

34. Har ummat ke liye humne qurbani ka ek qaida muqarrar kardiya hai taa-ke (us ummat ke log) un jaanwaron par Allah ka naam lein jo usne unko bakshey hain (in mukhtalif tareeqon ke andar maqsad ek hi hai). Pas tumhara khuda ek hi khuda hi aur usi ke tum mutii e farmaan bano. Aur aey Nabi, basharat de de aajizana (humble ) rawish ikhtiyar karne walon ko.

35. Jinka haal yeh hai ke Allah ka zikr sunte hain to unke dil kaanp uthte hain, jo museebat bhi unpar aati hai uspar sabr karte hain, namaz qayam karte hai, aur jo kuch rizq humne unko diya hai us mein se kharch karte hain.

36. Aur (qurbani ke) ounton (camels) ko humne tumhare liye shaaer-Allah (symbols of Allah) mein shamil kiya hai, tumhare liye un mein bhalayi hai. Pas unhein khada karke unpar Allah ka naam lo, aur jab (qurbani ke baad) unki peethein zameen par tik jayein to unmein se khud bhi khao aur unko bhi khilao jo qanaat kiye baithe hain (contented ones) aur unko bhi jo apni haajat pesh karein. In jaanwaron ko humne is tarah tumhare liye musakkhar kiya hai taa-ke tum shukriya ada karo.

37. Na unke gosht Allah ko pahunchte hain na khoon, magar usey tumhara taqwa pahunchta hai. Usne unko tumhare liye is tarah musakkhar kiya hai taa-ke uski bakshi hui hidayat par tum uski takbeer karo. Aur (aey Nabi), basharat dedo neikukar logon ko.

38. Yaqeenan Allah mudafiyat (defends) karta hai un logon ki taraf se jo iman laye hain. Yaqeenan Allah kisi khain (treacherous) kafir e niyamat ko pasand nahin karta.

39. Ijazat de di gayi un logon ko jinke khilaf jung ki jaa rahi hai, kyunke woh mazloom hain, aur Allah yaqeenan unki madad par qaadir hai.

40. Yeh woh log hain jo apne gharon se na-haqq nikal diye gaye sirf is kasoor par ke woh kehte thay “hamara Rubb Allah hai”. Agar Allah logon ko ek dusre ke zariye dafa na karta rahe to khanqahein (monasteries), aur girja (churches) aur mabad (synagogues) aur masjidein, jin mein Allah ka kasrat se naam liye jata hai, sab mismaar (demolished) kar daali jayein. Allah zaroor un logon ki madad karega jo uski madad karenge. Allah bada taaqatwar aur zabardast hai.

41. Yeh woh log hain jinhein agar hum zameen mein iqtedar bakshein to woh namaz qayam karenge, zakat denge, maroof (bhalayi) ka hukm denge aur munkar (burayi) se mana karenge aur tamaam maamlaat ka anjaam kaar Allah ke haath mein hai.

42. (Aey Nabi), agar woh tumhein jhutlate hain to unse pehle qaum e Nooh aur Aad aur Samood

43. Aur qaum e Ibrahim aur qaum e Lut

44. Aur ehle madyan bhi jhutla chuke hain aur Moosa bhi jhutlaye jaa chuke hain. Un sab munkireen ko maine pehle mohlat di , phir pakad liya. Ab dekhlo ke meri uqubat(chastisement) kaisi thi.

45. Kitni hi khatakar bastiyan hain jinko humne tabaah kiya hai aur aaj woh apni chathon (roofs) par ulti padi hain, kitne hi kuwein (wells) bekar aur kitne hi qasr (castle) khandar bani huey hain.

46. Kya yeh log zameen mein chale phire nahin hain ke inke dil samajhne wale aur inke kaan sunney wale hote? Haqeeqat yeh hai ke aankhein andhi nahin hoti magar woh dil andhey ho jaate hain jo seeno mein hain.

47. Yeh log azaab ke liye jaldi macha rahe hain. Allah hargiz apne wadey ke khilaf na karega, magar tere Rubb ke haan ka ek din tumhare shumaar ke hazaar baras ke barabar hua karta hai.

48. Kitni hi bastiyan hain jo zalim thi, maine uno pehle mohlat di, phir pakad liya aur sab ko wapas to mere paas hi aana hai.

49. (Aey Muhammad), kehdo ke “ logon, main to tumhare liye sirf woh shaks hoon jo (bura waqt aane se pehle) saaf saaf khabardaar karne wala ho.

50. Phir jo iman layenge aur neik amal karenge unke liye magfirat hai aur izzat ki rozi.

51. Aur jo hamari aayaat ko neecha dikhane ki koshish karenge woh dozakh ke yaar hain.

52. Aur (aey Muhammad) tumse pehle humne na koi Rasool aisa bheja hai na Nabi (jiske saath yeh maamla na pesh aaya ho ke) jab usne tamanna ki, shaytan uski tamanna mein khalal andaz ho gaya. Is tarah jo kuch bhi shaytan khalal andaziyan karta hai Allah unko mita deta hai aur apni aayaat ko pukhta (confirm) kardeta hai. Allah aleem hai aur hakeem.

53. (Woh is liye aisa hone deta hai) taa-ke shaytan ki daali hui kharabi ko fitna bana de un logon ke liye jinke dilon ko [nifaq (hypocrisy) ka] roag laga hua hai aur jinke dil khotay hain. Haqeeqat yeh hai ke yeh zalim log inaad (enmity) mein bahut door nikal gaye hain.

54. Aur ilm se behramand log jaan lein ke yeh haqq hai tere Rubb ki taraf se aur woh ispar iman le aayein aur unke dil iske aage jhuk jaayein. Yaqeenan Allah iman laane walon ko hamesha seedha raasta dikha deta hai.

55. Inkar karne wale to iski taraf se shakk hi mein padey rahenge yaha tak ke ya to unpar qayamat ki ghadi achanak aa jaaye, ya ek manhoos din ka azaab naazil ho jaaye.

56. Us roz baadshahi Allah ki hogi aur woh unke darmiyan faisla kardega. Jo iman rakhne wale aur amal e saleh karne wale honge woh niyamat bhari jannaton mein jayenge.

57. Aur jinhon ne kufr kiya hoga aur hamari aayaat ko jhutlaya hoga unke liye ruswakun azaab hoga.

58. Aur jin logon ne Allah ki raah mein hijrat ki, phir qatal kardiye gaye ya marr gaye, Allah unko accha rizq dega aur yaqeenan Allah hi behtareen raaziq hai.

59. Woh unhein aisi jagah pahunchayega jis se woh khush ho jayenge. Beshak Allah aleem (all knowing) aur haleem (Most Forbearing) hai.

60. Yeh to hai unka haal, aur jo koi badla le, waisa hi jaisa uske saath kiya gaya, aur phir uspar zyadati bhi ki gayi ho, to Allah uski madad zaroor karega. Allah maaf karne wala aur darguzar karne wala hai.

61. Yeh is liye ke raat se din aur din se raat nikalne wala Allah hi hai aur woh sami (sunney wala) o baseer (dekhne wala) hai.

62. Yeh is liye ke Allah hi haqq hai aur woh sab baatil hain jinhein Allah ko chodh kar yeh log pukarte hain. Aur Allah hi baaladast (Supreme) aur buzurg (Exalted One) hai.

63. Kya tum dekhte nahin ho ke Allah aasmaan se pani barsata hai aur uski badaulat zameen sar-sabz ho jaati hai? Haqeeqat yeh hai ke woh lateef o khabeer hai (fully aware of everything).

64. Usi ka hai jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zameen mein hai. Beshak wahi gani (All-Sufficient/ free of all wants) o hameed (praiseworthy) hai.

65. Kya tum dekhte nahin ho ke usne woh sab kuch tumhare liye musakkhar kar rakkha hai jo zameen mein hai, aur usi ne kashti ko qaide ka paband banaya hai ke woh uske hukm se samandar mein chalti hai, aur wahi aasmaan ko is tarah thamey huey ke uske izan ke bagair woh zameen par nahin gir sakta? Waqia yeh hai ke Allah logon ke haqq mein bada shafeeq (very Kind) aur raheem (merciful) hai.

66. Wahi hai jisne tumhein zindagi bakshi hai, wahi tumko maut deta hai aur wahi phir tumko zinda karega, sach yeh hai ke Insan bada hi munkir e haqq hai.

67. Har ummat ke liye humne ek tareeq-e-ibaadat muqarrar kiya hai jiski woh pairwi karti hai, pas (aey Muhammad), woh is maamle mein tumse jhagda na karein, tum apne Rubb ki taraf dawat do, yaqeenan tum seedhe raaste par ho.

68. Aur agar woh tumse jhagdein to kehdo ke “jo kuch tum kar rahe ho Allah ko khoob maloom hai.

69. Allah qayamat ke roz tumhare darmiyan un sab baaton ka faisla kardega jin mein tum ikhtilaf karte rahe ho”.

70. Kya tum nahin jaante ke aasmaan o zameen ki har cheez Allah ke ilm mein hai? Sab kuch ek kitaab mein darj hai. Allah ke liye yeh kuch bhi mushkil nahin hai.

71. Yeh log Allah ko chodh kar unki ibaadat kar rahe hain jinke liye na to usne koi sanad(authority) naazil ki hai aur na yeh khud unke baare mein koi ilm rakhte hain. In zalimon ke liye koi madadgaar nahin hai.

72. Aur jab inko hamari saaf saaf aayaat sunayi jaati hain to tum dekhte ho ke munkireen e haqq ke chehre bigadne lagte hain aur aisa mehsoos hota hai ke abhi woh un logon par toot padenge jo unhein hamari aayaat sunate hain. inse kaho “ main bataoon tumhein ke is se badhtar cheez kya hai? Aag, Allah ne usi ka waada un logon ke haqq mein kar rakkha hai jo qabool e haqq se inkar karein, aur woh bahut hi bura thikana hai”

73. Logon, ek misaal di jaati hai, gaur se suno, jin maboodon ko tum khuda ko chodh kar pukarte ho woh sab milkar ek makkhi (fly) bhi paida karna chahein to nahin kar sakte, balke agar makkhi unse koi cheez cheen le jaaye to woh usey chuda bhi nahin sakte. Madad chahne wale bhi kamzoar aur jinse madad chahi jaati hai woh bhi kamzoar.

74. In logon ne Allah ki qadar hi na pehchani jaisa ke uske pehchanne ka haqq hai , waqia yeh hai ke quwwat aur izzat wala to Allah hi hai.

75. Haqeeqat yeh hai ke Allah [apne faramin ki tarsil ke liye(to convey His decrees)] malaika (Farishte) mein se bhi paigam rasaan muntakhab (choose) karta hai aur Insano mein se bhi. Woh Sami (sunney wala) aur baseer (dekhne wala) hai.

76. Jo kuch unke saamne hai usey bhi woh jaanta hai aur jo kuch unse ojhal (hidden/behind) hai us se bhi woh waqif hai, aur saare maamlaat usi ki taraf rujoo hote hain.

77. Aey logon jo iman laye ho, ruku aur sajda karo, apne Rubb ki bandagi karo, aur neik kaam karo, shayad ke tumko falaah naseeb ho.

78. Allah ki raah mein jihad karo jaisa ke jihad karne ka haqq hai, usne tumhein apne kaam ke liye chun liya hai aur deen mein tumpar koi tanggi nahin rakkhi. Qayam ho jao apne baap Ibrahim ki millat par. Allah ne pehle bhi tumhara naam “Muslim” rakkha tha aur is (Quran) mein bhi (tumhara yahi naam hai) taa-ke Rasool tumpar gawah ho aur tum logon par gawah. Pas namaz qayam karo, zakat do aur Allah se wabista ho jao (hold fast to Allah), woh hai tumhara maula (guardian), bahut hi accha hai woh maula aur bahut hi accha hai woh madadgaar.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments