📖 Surah 21 Al-Anbiya Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- اقْتَرَبَ لِلنَّاسِ حِسَابُهُمْ وَهُمْ فِي غَفْلَةٍ مُعْرِضُونَ
- مَا يَأْتِيهِمْ مِنْ ذِكْرٍ مِنْ رَبِّهِمْ مُحْدَثٍ إِلَّا اسْتَمَعُوهُ وَهُمْ يَلْعَبُونَ
- لَاهِيَةً قُلُوبُهُمْ ۗ وَأَسَرُّوا النَّجْوَى الَّذِينَ ظَلَمُوا هَلْ هَٰذَا إِلَّا بَشَرٌ مِثْلُكُمْ ۖ أَفَتَأْتُونَ السِّحْرَ وَأَنْتُمْ تُبْصِرُونَ
- قَالَ رَبِّي يَعْلَمُ الْقَوْلَ فِي السَّمَاءِ وَالْأَرْضِ ۖ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ
- بَلْ قَالُوا أَضْغَاثُ أَحْلَامٍ بَلِ افْتَرَاهُ بَلْ هُوَ شَاعِرٌ فَلْيَأْتِنَا بِآيَةٍ كَمَا أُرْسِلَ الْأَوَّلُونَ
- مَا آمَنَتْ قَبْلَهُمْ مِنْ قَرْيَةٍ أَهْلَكْنَاهَا ۖ أَفَهُمْ يُؤْمِنُونَ
- وَمَا أَرْسَلْنَا قَبْلَكَ إِلَّا رِجَالًا نُوحِي إِلَيْهِمْ ۖ فَاسْأَلُوا أَهْلَ الذِّكْرِ إِنْ كُنْتُمْ لَا تَعْلَمُونَ
- وَمَا جَعَلْنَاهُمْ جَسَدًا لَا يَأْكُلُونَ الطَّعَامَ وَمَا كَانُوا خَالِدِينَ
- ثُمَّ صَدَقْنَاهُمُ الْوَعْدَ فَأَنْجَيْنَاهُمْ وَمَنْ نَشَاءُ وَأَهْلَكْنَا الْمُسْرِفِينَ
- لَقَدْ أَنْزَلْنَا إِلَيْكُمْ كِتَابًا فِيهِ ذِكْرُكُمْ ۖ أَفَلَا تَعْقِلُونَ
- وَكَمْ قَصَمْنَا مِنْ قَرْيَةٍ كَانَتْ ظَالِمَةً وَأَنْشَأْنَا بَعْدَهَا قَوْمًا آخَرِينَ
- فَلَمَّا أَحَسُّوا بَأْسَنَا إِذَا هُمْ مِنْهَا يَرْكُضُونَ
- لَا تَرْكُضُوا وَارْجِعُوا إِلَىٰ مَا أُتْرِفْتُمْ فِيهِ وَمَسَاكِنِكُمْ لَعَلَّكُمْ تُسْأَلُونَ
- قَالُوا يَا وَيْلَنَا إِنَّا كُنَّا ظَالِمِينَ
- فَمَا زَالَتْ تِلْكَ دَعْوَاهُمْ حَتَّىٰ جَعَلْنَاهُمْ حَصِيدًا خَامِدِينَ
- وَمَا خَلَقْنَا السَّمَاءَ وَالْأَرْضَ وَمَا بَيْنَهُمَا لَاعِبِينَ
- لَوْ أَرَدْنَا أَنْ نَتَّخِذَ لَهْوًا لَاتَّخَذْنَاهُ مِنْ لَدُنَّا إِنْ كُنَّا فَاعِلِينَ
- بَلْ نَقْذِفُ بِالْحَقِّ عَلَى الْبَاطِلِ فَيَدْمَغُهُ فَإِذَا هُوَ زَاهِقٌ ۚ وَلَكُمُ الْوَيْلُ مِمَّا تَصِفُونَ
- وَلَهُ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ وَمَنْ عِنْدَهُ لَا يَسْتَكْبِرُونَ عَنْ عِبَادَتِهِ وَلَا يَسْتَحْسِرُونَ
- يُسَبِّحُونَ اللَّيْلَ وَالنَّهَارَ لَا يَفْتُرُونَ
- أَمِ اتَّخَذُوا آلِهَةً مِنَ الْأَرْضِ هُمْ يُنْشِرُونَ
- لَوْ كَانَ فِيهِمَا آلِهَةٌ إِلَّا اللَّهُ لَفَسَدَتَا ۚ فَسُبْحَانَ اللَّهِ رَبِّ الْعَرْشِ عَمَّا يَصِفُونَ
- لَا يُسْأَلُ عَمَّا يَفْعَلُ وَهُمْ يُسْأَلُونَ
- أَمِ اتَّخَذُوا مِنْ دُونِهِ آلِهَةً ۖ قُلْ هَاتُوا بُرْهَانَكُمْ ۖ هَٰذَا ذِكْرُ مَنْ مَعِيَ وَذِكْرُ مَنْ قَبْلِي ۗ بَلْ أَكْثَرُهُمْ لَا يَعْلَمُونَ الْحَقَّ ۖ فَهُمْ مُعْرِضُونَ
- وَمَا أَرْسَلْنَا مِنْ قَبْلِكَ مِنْ رَسُولٍ إِلَّا نُوحِي إِلَيْهِ أَنَّهُ لَا إِلَٰهَ إِلَّا أَنَا فَاعْبُدُونِ
- وَقَالُوا اتَّخَذَ الرَّحْمَٰنُ وَلَدًا ۗ سُبْحَانَهُ ۚ بَلْ عِبَادٌ مُكْرَمُونَ
- لَا يَسْبِقُونَهُ بِالْقَوْلِ وَهُمْ بِأَمْرِهِ يَعْمَلُونَ
- يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلَا يَشْفَعُونَ إِلَّا لِمَنِ ارْتَضَىٰ وَهُمْ مِنْ خَشْيَتِهِ مُشْفِقُونَ
- وَمَنْ يَقُلْ مِنْهُمْ إِنِّي إِلَٰهٌ مِنْ دُونِهِ فَذَٰلِكَ نَجْزِيهِ جَهَنَّمَ ۚ كَذَٰلِكَ نَجْزِي الظَّالِمِينَ
- أَوَلَمْ يَرَ الَّذِينَ كَفَرُوا أَنَّ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ كَانَتَا رَتْقًا فَفَتَقْنَاهُمَا ۖ وَجَعَلْنَا مِنَ الْمَاءِ كُلَّ شَيْءٍ حَيٍّ ۖ أَفَلَا يُؤْمِنُونَ
- وَجَعَلْنَا فِي الْأَرْضِ رَوَاسِيَ أَنْ تَمِيدَ بِهِمْ وَجَعَلْنَا فِيهَا فِجَاجًا سُبُلًا لَعَلَّهُمْ يَهْتَدُونَ
- وَجَعَلْنَا السَّمَاءَ سَقْفًا مَحْفُوظًا ۖ وَهُمْ عَنْ آيَاتِهَا مُعْرِضُونَ
- وَهُوَ الَّذِي خَلَقَ اللَّيْلَ وَالنَّهَارَ وَالشَّمْسَ وَالْقَمَرَ ۖ كُلٌّ فِي فَلَكٍ يَسْبَحُونَ
- وَمَا جَعَلْنَا لِبَشَرٍ مِنْ قَبْلِكَ الْخُلْدَ ۖ أَفَإِنْ مِتَّ فَهُمُ الْخَالِدُونَ
- كُلُّ نَفْسٍ ذَائِقَةُ الْمَوْتِ ۗ وَنَبْلُوكُمْ بِالشَّرِّ وَالْخَيْرِ فِتْنَةً ۖ وَإِلَيْنَا تُرْجَعُونَ
- وَإِذَا رَآكَ الَّذِينَ كَفَرُوا إِنْ يَتَّخِذُونَكَ إِلَّا هُزُوًا أَهَٰذَا الَّذِي يَذْكُرُ آلِهَتَكُمْ وَهُمْ بِذِكْرِ الرَّحْمَٰنِ هُمْ كَافِرُونَ
- خُلِقَ الْإِنْسَانُ مِنْ عَجَلٍ ۚ سَأُرِيكُمْ آيَاتِي فَلَا تَسْتَعْجِلُونِ
- وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا الْوَعْدُ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ
- لَوْ يَعْلَمُ الَّذِينَ كَفَرُوا حِينَ لَا يَكُفُّونَ عَنْ وُجُوهِهِمُ النَّارَ وَلَا عَنْ ظُهُورِهِمْ وَلَا هُمْ يُنْصَرُونَ
- بَلْ تَأْتِيهِمْ بَغْتَةً فَتَبْهَتُهُمْ فَلَا يَسْتَطِيعُونَ رَدَّهَا وَلَا هُمْ يُنْظَرُونَ
- وَلَقَدِ اسْتُهْزِئَ بِرُسُلٍ مِنْ قَبْلِكَ فَحَاقَ بِالَّذِينَ سَخِرُوا مِنْهُمْ مَا كَانُوا بِهِ يَسْتَهْزِئُونَ
- قُلْ مَنْ يَكْلَؤُكُمْ بِاللَّيْلِ وَالنَّهَارِ مِنَ الرَّحْمَٰنِ ۗ بَلْ هُمْ عَنْ ذِكْرِ رَبِّهِمْ مُعْرِضُونَ
- أَمْ لَهُمْ آلِهَةٌ تَمْنَعُهُمْ مِنْ دُونِنَا ۚ لَا يَسْتَطِيعُونَ نَصْرَ أَنْفُسِهِمْ وَلَا هُمْ مِنَّا يُصْحَبُونَ
- بَلْ مَتَّعْنَا هَٰؤُلَاءِ وَآبَاءَهُمْ حَتَّىٰ طَالَ عَلَيْهِمُ الْعُمُرُ ۗ أَفَلَا يَرَوْنَ أَنَّا نَأْتِي الْأَرْضَ نَنْقُصُهَا مِنْ أَطْرَافِهَا ۚ أَفَهُمُ الْغَالِبُونَ
- قُلْ إِنَّمَا أُنْذِرُكُمْ بِالْوَحْيِ ۚ وَلَا يَسْمَعُ الصُّمُّ الدُّعَاءَ إِذَا مَا يُنْذَرُونَ
- وَلَئِنْ مَسَّتْهُمْ نَفْحَةٌ مِنْ عَذَابِ رَبِّكَ لَيَقُولُنَّ يَا وَيْلَنَا إِنَّا كُنَّا ظَالِمِينَ
- وَنَضَعُ الْمَوَازِينَ الْقِسْطَ لِيَوْمِ الْقِيَامَةِ فَلَا تُظْلَمُ نَفْسٌ شَيْئًا ۖ وَإِنْ كَانَ مِثْقَالَ حَبَّةٍ مِنْ خَرْدَلٍ أَتَيْنَا بِهَا ۗ وَكَفَىٰ بِنَا حَاسِبِينَ
- وَلَقَدْ آتَيْنَا مُوسَىٰ وَهَارُونَ الْفُرْقَانَ وَضِيَاءً وَذِكْرًا لِلْمُتَّقِينَ
- الَّذِينَ يَخْشَوْنَ رَبَّهُمْ بِالْغَيْبِ وَهُمْ مِنَ السَّاعَةِ مُشْفِقُونَ
- وَهَٰذَا ذِكْرٌ مُبَارَكٌ أَنْزَلْنَاهُ ۚ أَفَأَنْتُمْ لَهُ مُنْكِرُونَ
- وَلَقَدْ آتَيْنَا إِبْرَاهِيمَ رُشْدَهُ مِنْ قَبْلُ وَكُنَّا بِهِ عَالِمِينَ
- إِذْ قَالَ لِأَبِيهِ وَقَوْمِهِ مَا هَٰذِهِ التَّمَاثِيلُ الَّتِي أَنْتُمْ لَهَا عَاكِفُونَ
- قَالُوا وَجَدْنَا آبَاءَنَا لَهَا عَابِدِينَ
- قَالَ لَقَدْ كُنْتُمْ أَنْتُمْ وَآبَاؤُكُمْ فِي ضَلَالٍ مُبِينٍ
- قَالُوا أَجِئْتَنَا بِالْحَقِّ أَمْ أَنْتَ مِنَ اللَّاعِبِينَ
- قَالَ بَلْ رَبُّكُمْ رَبُّ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ الَّذِي فَطَرَهُنَّ وَأَنَا عَلَىٰ ذَٰلِكُمْ مِنَ الشَّاهِدِينَ
- وَتَاللَّهِ لَأَكِيدَنَّ أَصْنَامَكُمْ بَعْدَ أَنْ تُوَلُّوا مُدْبِرِينَ
- فَجَعَلَهُمْ جُذَاذًا إِلَّا كَبِيرًا لَهُمْ لَعَلَّهُمْ إِلَيْهِ يَرْجِعُونَ
- قَالُوا مَنْ فَعَلَ هَٰذَا بِآلِهَتِنَا إِنَّهُ لَمِنَ الظَّالِمِينَ
- قَالُوا سَمِعْنَا فَتًى يَذْكُرُهُمْ يُقَالُ لَهُ إِبْرَاهِيمُ
- قَالُوا فَأْتُوا بِهِ عَلَىٰ أَعْيُنِ النَّاسِ لَعَلَّهُمْ يَشْهَدُونَ
- قَالُوا أَأَنْتَ فَعَلْتَ هَٰذَا بِآلِهَتِنَا يَا إِبْرَاهِيمُ
- قَالَ بَلْ فَعَلَهُ كَبِيرُهُمْ هَٰذَا فَاسْأَلُوهُمْ إِنْ كَانُوا يَنْطِقُونَ
- فَرَجَعُوا إِلَىٰ أَنْفُسِهِمْ فَقَالُوا إِنَّكُمْ أَنْتُمُ الظَّالِمُونَ
- ثُمَّ نُكِسُوا عَلَىٰ رُءُوسِهِمْ لَقَدْ عَلِمْتَ مَا هَٰؤُلَاءِ يَنْطِقُونَ
- قَالَ أَفَتَعْبُدُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ مَا لَا يَنْفَعُكُمْ شَيْئًا وَلَا يَضُرُّكُمْ
- أُفٍّ لَكُمْ وَلِمَا تَعْبُدُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ ۖ أَفَلَا تَعْقِلُونَ
- قَالُوا حَرِّقُوهُ وَانْصُرُوا آلِهَتَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ فَاعِلِينَ
- قُلْنَا يَا نَارُ كُونِي بَرْدًا وَسَلَامًا عَلَىٰ إِبْرَاهِيمَ
- وَأَرَادُوا بِهِ كَيْدًا فَجَعَلْنَاهُمُ الْأَخْسَرِينَ
- وَنَجَّيْنَاهُ وَلُوطًا إِلَى الْأَرْضِ الَّتِي بَارَكْنَا فِيهَا لِلْعَالَمِينَ
- وَوَهَبْنَا لَهُ إِسْحَاقَ وَيَعْقُوبَ نَافِلَةً ۖ وَكُلًّا جَعَلْنَا صَالِحِينَ
- وَجَعَلْنَاهُمْ أَئِمَّةً يَهْدُونَ بِأَمْرِنَا وَأَوْحَيْنَا إِلَيْهِمْ فِعْلَ الْخَيْرَاتِ وَإِقَامَ الصَّلَاةِ وَإِيتَاءَ الزَّكَاةِ ۖ وَكَانُوا لَنَا عَابِدِينَ
- وَلُوطًا آتَيْنَاهُ حُكْمًا وَعِلْمًا وَنَجَّيْنَاهُ مِنَ الْقَرْيَةِ الَّتِي كَانَتْ تَعْمَلُ الْخَبَائِثَ ۗ إِنَّهُمْ كَانُوا قَوْمَ سَوْءٍ فَاسِقِينَ
- وَأَدْخَلْنَاهُ فِي رَحْمَتِنَا ۖ إِنَّهُ مِنَ الصَّالِحِينَ
- وَنُوحًا إِذْ نَادَىٰ مِنْ قَبْلُ فَاسْتَجَبْنَا لَهُ فَنَجَّيْنَاهُ وَأَهْلَهُ مِنَ الْكَرْبِ الْعَظِيمِ
- وَنَصَرْنَاهُ مِنَ الْقَوْمِ الَّذِينَ كَذَّبُوا بِآيَاتِنَا ۚ إِنَّهُمْ كَانُوا قَوْمَ سَوْءٍ فَأَغْرَقْنَاهُمْ أَجْمَعِينَ
- وَدَاوُودَ وَسُلَيْمَانَ إِذْ يَحْكُمَانِ فِي الْحَرْثِ إِذْ نَفَشَتْ فِيهِ غَنَمُ الْقَوْمِ وَكُنَّا لِحُكْمِهِمْ شَاهِدِينَ
- فَفَهَّمْنَاهَا سُلَيْمَانَ ۚ وَكُلًّا آتَيْنَا حُكْمًا وَعِلْمًا ۚ وَسَخَّرْنَا مَعَ دَاوُودَ الْجِبَالَ يُسَبِّحْنَ وَالطَّيْرَ ۚ وَكُنَّا فَاعِلِينَ
- وَعَلَّمْنَاهُ صَنْعَةَ لَبُوسٍ لَكُمْ لِتُحْصِنَكُمْ مِنْ بَأْسِكُمْ ۖ فَهَلْ أَنْتُمْ شَاكِرُونَ
- وَلِسُلَيْمَانَ الرِّيحَ عَاصِفَةً تَجْرِي بِأَمْرِهِ إِلَى الْأَرْضِ الَّتِي بَارَكْنَا فِيهَا ۚ وَكُنَّا بِكُلِّ شَيْءٍ عَالِمِينَ
- وَمِنَ الشَّيَاطِينِ مَنْ يَغُوصُونَ لَهُ وَيَعْمَلُونَ عَمَلًا دُونَ ذَٰلِكَ ۖ وَكُنَّا لَهُمْ حَافِظِينَ
- وَأَيُّوبَ إِذْ نَادَىٰ رَبَّهُ أَنِّي مَسَّنِيَ الضُّرُّ وَأَنْتَ أَرْحَمُ الرَّاحِمِينَ
- فَاسْتَجَبْنَا لَهُ فَكَشَفْنَا مَا بِهِ مِنْ ضُرٍّ ۖ وَآتَيْنَاهُ أَهْلَهُ وَمِثْلَهُمْ مَعَهُمْ رَحْمَةً مِنْ عِنْدِنَا وَذِكْرَىٰ لِلْعَابِدِينَ
- وَإِسْمَاعِيلَ وَإِدْرِيسَ وَذَا الْكِفْلِ ۖ كُلٌّ مِنَ الصَّابِرِينَ
- وَأَدْخَلْنَاهُمْ فِي رَحْمَتِنَا ۖ إِنَّهُمْ مِنَ الصَّالِحِينَ
- وَذَا النُّونِ إِذْ ذَهَبَ مُغَاضِبًا فَظَنَّ أَنْ لَنْ نَقْدِرَ عَلَيْهِ فَنَادَىٰ فِي الظُّلُمَاتِ أَنْ لَا إِلَٰهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
- فَاسْتَجَبْنَا لَهُ وَنَجَّيْنَاهُ مِنَ الْغَمِّ ۚ وَكَذَٰلِكَ نُنْجِي الْمُؤْمِنِينَ
- وَزَكَرِيَّا إِذْ نَادَىٰ رَبَّهُ رَبِّ لَا تَذَرْنِي فَرْدًا وَأَنْتَ خَيْرُ الْوَارِثِينَ
- فَاسْتَجَبْنَا لَهُ وَوَهَبْنَا لَهُ يَحْيَىٰ وَأَصْلَحْنَا لَهُ زَوْجَهُ ۚ إِنَّهُمْ كَانُوا يُسَارِعُونَ فِي الْخَيْرَاتِ وَيَدْعُونَنَا رَغَبًا وَرَهَبًا ۖ وَكَانُوا لَنَا خَاشِعِينَ
- وَالَّتِي أَحْصَنَتْ فَرْجَهَا فَنَفَخْنَا فِيهَا مِنْ رُوحِنَا وَجَعَلْنَاهَا وَابْنَهَا آيَةً لِلْعَالَمِينَ
- إِنَّ هَٰذِهِ أُمَّتُكُمْ أُمَّةً وَاحِدَةً وَأَنَا رَبُّكُمْ فَاعْبُدُونِ
- وَتَقَطَّعُوا أَمْرَهُمْ بَيْنَهُمْ ۖ كُلٌّ إِلَيْنَا رَاجِعُونَ
- فَمَنْ يَعْمَلْ مِنَ الصَّالِحَاتِ وَهُوَ مُؤْمِنٌ فَلَا كُفْرَانَ لِسَعْيِهِ وَإِنَّا لَهُ كَاتِبُونَ
- وَحَرَامٌ عَلَىٰ قَرْيَةٍ أَهْلَكْنَاهَا أَنَّهُمْ لَا يَرْجِعُونَ
- حَتَّىٰ إِذَا فُتِحَتْ يَأْجُوجُ وَمَأْجُوجُ وَهُمْ مِنْ كُلِّ حَدَبٍ يَنْسِلُونَ
- وَاقْتَرَبَ الْوَعْدُ الْحَقُّ فَإِذَا هِيَ شَاخِصَةٌ أَبْصَارُ الَّذِينَ كَفَرُوا يَا وَيْلَنَا قَدْ كُنَّا فِي غَفْلَةٍ مِنْ هَٰذَا بَلْ كُنَّا ظَالِمِينَ
- إِنَّكُمْ وَمَا تَعْبُدُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ حَصَبُ جَهَنَّمَ أَنْتُمْ لَهَا وَارِدُونَ
- لَوْ كَانَ هَٰؤُلَاءِ آلِهَةً مَا وَرَدُوهَا ۖ وَكُلٌّ فِيهَا خَالِدُونَ
- لَهُمْ فِيهَا زَفِيرٌ وَهُمْ فِيهَا لَا يَسْمَعُونَ
- إِنَّ الَّذِينَ سَبَقَتْ لَهُمْ مِنَّا الْحُسْنَىٰ أُولَٰئِكَ عَنْهَا مُبْعَدُونَ
- لَا يَسْمَعُونَ حَسِيسَهَا ۖ وَهُمْ فِي مَا اشْتَهَتْ أَنْفُسُهُمْ خَالِدُونَ
- لَا يَحْزُنُهُمُ الْفَزَعُ الْأَكْبَرُ وَتَتَلَقَّاهُمُ الْمَلَائِكَةُ هَٰذَا يَوْمُكُمُ الَّذِي كُنْتُمْ تُوعَدُونَ
- يَوْمَ نَطْوِي السَّمَاءَ كَطَيِّ السِّجِلِّ لِلْكُتُبِ ۚ كَمَا بَدَأْنَا أَوَّلَ خَلْقٍ نُعِيدُهُ ۚ وَعْدًا عَلَيْنَا ۚ إِنَّا كُنَّا فَاعِلِينَ
- وَلَقَدْ كَتَبْنَا فِي الزَّبُورِ مِنْ بَعْدِ الذِّكْرِ أَنَّ الْأَرْضَ يَرِثُهَا عِبَادِيَ الصَّالِحُونَ
- إِنَّ فِي هَٰذَا لَبَلَاغًا لِقَوْمٍ عَابِدِينَ
- وَمَا أَرْسَلْنَاكَ إِلَّا رَحْمَةً لِلْعَالَمِينَ
- قُلْ إِنَّمَا يُوحَىٰ إِلَيَّ أَنَّمَا إِلَٰهُكُمْ إِلَٰهٌ وَاحِدٌ ۖ فَهَلْ أَنْتُمْ مُسْلِمُونَ
- فَإِنْ تَوَلَّوْا فَقُلْ آذَنْتُكُمْ عَلَىٰ سَوَاءٍ ۖ وَإِنْ أَدْرِي أَقَرِيبٌ أَمْ بَعِيدٌ مَا تُوعَدُونَ
- إِنَّهُ يَعْلَمُ الْجَهْرَ مِنَ الْقَوْلِ وَيَعْلَمُ مَا تَكْتُمُونَ
- وَإِنْ أَدْرِي لَعَلَّهُ فِتْنَةٌ لَكُمْ وَمَتَاعٌ إِلَىٰ حِينٍ
- قَالَ رَبِّ احْكُمْ بِالْحَقِّ ۗ وَرَبُّنَا الرَّحْمَٰنُ الْمُسْتَعَانُ عَلَىٰ مَا تَصِفُونَ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Iqtaraba linnaasi hisaabuhum wa hum fee ghaflatim mu'ridoon
- Maa ya'teehim min zikrim mir Rabbihim muhdasin illas tama'oohu wa hum yal'aboon
- Laahiyatan quloobuhum; wa asarrun najwal lazeena zalamoo hal haazaaa illaa basharum mislukum 'afa ta'toonas sihra wa antum tubsiroon
- Qaala Rabbee ya'lamul qawla fis samaaa'i wal ardi wa Huwas Samee'ul 'Aleem
- Bal qaalooo adghaasu ahlaamin bal iftaraahu bal huwa shaa'irun fal ya'tinaa bi Aayatin kamaa ursilal awwaloon
- Maaa aaamanat qablahum min qaryatin ahlaknaahaa a-fahum yu'minoon
- Wa maaa arsalnaa qablaka illaa rijaalan nooheee ilaihim fas'aloo ahlaz zikri in kuntum laa ta'lamoon
- Wa maa ja'alnaahum jasadal laa ya'kuloonat ta'aama wa maa kaanoo khaalideen
- Summa sadaqnaa humul wa'da fa-anjainaahum wa man nashaaa'u wa ahlaknal musrifeen
- Laqad anzalnaaa ilaikum Kitaaban feehi zikrukum afalaa ta'qiloon (Section 1)
- Wa kam qasamnaa min qaryatin kaanat zaalimatanw wa ansha' naa ba'dahaa qawman aakhareen
- Falammaaa ahassoo ba'sanaaa izaa hum minhaa yarkudoon
- Laa tarkudoo warji'ooo ilaa maaa utriftum feehi wa masaakinikum la'allakum tus'aloon
- Qaaloo yaa wailanaaa innaa kunnaa zaalimeen
- Famaa zaalat tilka da'waahum hattaa ja'alnaahum haseedan khaamideen
- Wa maa khalaqnas samaaa'a wal arda wa maa bainahumaa laa'ibeen
- Law aradnaaa an nattakhiza lahwal lat takhaznaahu mil ladunnaaa in kunnaa faa'ileen
- Bal naqzifu bilhaqqi 'alal baatili fa yadmaghuhoo fa izaa huwa zaahiq; wa lakumul wailu mimmaa tasifoon
- Wa lahoo man fis samaawaati wal ard; wa man 'indahoo laa yastakbiroona 'an 'ibaada tihee wa laa yastahsiroon
- Yusabbihoona laila wannahaara laa yafturoon
- Amit takhazooo aalihatam minal ardi hum yunshiroon
- Law kaana feehimaaa aalihatun illal laahu lafasadataa; fa-Subhaanal laahi Rabbil 'Arshi 'ammaa yasifoon
- Laa yus'alu 'ammaa yaf'alu wa hum yus'aloon
- Amit takhazoo min doonihee aalihatan qul haatoo burhaanakum haaza zikru mam ma'iya wa zikru man qablee; bal aksaruhum laa ya'lamoonal haqqa fahum mu'ridoon
- Wa maaa arsalnaa min qablika mir Rasoolin illaa nooheee ilaihi annahoo laaa ilaaha illaaa Ana fa'budoon
- Wa qaalut takhazar Rahmaanu waladaa; Subhaanahu bal 'ibaadum mukramoon
- Laa yasbiqoonahoo bil qawli wa hum bi amrihee ya'maloon
- Ya'lamu maa baina aideehim wa maa khalfahum wa laa yashfa'oona illaa limanir tadaa wa hum min khash yatihee mushfiqoon
- Wa mai yaqul minhum inneee ilaahum min doonihee fazaalika najzeehi Jahannam; kazaalika najziz zaalimeen (section 2)
- Awalam yaral lazeena kafarooo annas samaawaati wal arda kaanataa ratqan fafataqnaa humaa wa ja'alnaa minal maaa'i kulla shai'in haiyin afalaa yu'minoon
- Wa ja'alnaa fil ardi rawaasiya an tameeda bihim wa ja'alnaa feehaa fijaajan subulal la'allahum yahtadoon
- Wa ja'alnas samaaa'a saqfam mahfoozanw wa hum 'an Aayaatihaa mu'ridoon
- Wa Huwal lazee khalaqal laila wannahaara washshamsa wal qamara kullun fee falakiny yasbahoon
- Wa maa ja'alnaa libasharim min qablikal khuld; afa immitta fahumul khaalidoon
- Kullu nafsin zaaa'iqatul mawt; wa nablookum bi sharri walkhairi fitnatanw wa ilainaa turja'oon
- Wa izaa ra aakal lazeena kafarooo iny-yattakhizoonaka illa huzuwan; ahaazal lazee yazkuru aalihatakum wa hum bi zikrir Rahmaani hum kaafiroon
- Khuliqal insaanu min 'ajal; sa ureekum Aayaatee falaa tasta'jiloon
- Wa yaqooloona mataa haazal wa'du in kuntum saadiqeen
- Law ya'lamul lazeena kafaroo heena laa yakuffoona 'anw wujoohihimun Naara wa laa 'an zuhoorihim wa laa hum yunsaroon
- Bal ta'teehim baghtatan fatabhatuhum falaa yastatee'oona raddahaa wa laa hum yunzaroon
- Wa laqadis tuhzi'a bi-Rusulim min qablika fahaaqa billazeena sakhiroo minhum maa kaanoo bihee yastahzi'oon (section 3)
- Qul mai yakla 'ukum billaili wannahaari minar Rahmaan; bal hum 'an zikri Rabbihim mu'ridoon
- Am lahum aalihatun tamna'uhum min dooninaa; laa yastatee'oona nasra anfusihim wa laa hum minna yus-haboon
- Bal matta'naa haaa'ulaaa'i wa aabaaa'ahum hattaa taala 'alaihimul 'umur; afalaa yarawna anna na'til arda nanqusuhaa min atraafihaa; afahumul ghaaliboon
- Qul innamaaa unzirukum bilwahyi; wa laa yasma'us summud du'aaa 'a izaa maa yunzaroon
- Wa la'in massat hum nafhatun min 'azaabi Rabbika la yaqoolunna yaawailanaaa innnaa kunnaa zaalimeen
- Wa nada'ul mawaazeenal qista li Yawmil Qiyaamati falaa tuzlamu nafsun shai'aa; wa in kaana misqaala habbatim min khardalin atainaa bihaa; wa kafaa binaa haasibeen
- Wa laqad aatainaa Moosa wa haaroonal Furqaana wa diyaa'anw wa zikral lilmuttaqeen
- Allazeena yakhshawna Rabbahum bilghaibi wa hum minas Saa'ati mushfiqoon
- Wa haazaa Zikrum Mubaarakun anzalnaah; afa antum lahoo munkiroon (section 4)
- Wa laqad aatainaaa Ibraaheema rushdahoo min qablu wa kunnaa bihee 'aalimeen
- Iz qaala li abeehi wa qawmihee maa haazihit tamaaseelul lateee antum lahaa 'aakifoon
- Qaaloo wajadnaaa aabaaa'anaa lahaa 'aabideen
- Qaala laqad kuntum antum wa aabaaa'ukum fee dalaalin mubeen
- Qaalooo aji'tanaa bil haqqi am anta minal laa'ibeen
- Qaala bar Rabbukum Rabbus samaawaati wal ardil lazee fatarahunna wa ana 'alaa zaalikum minash shaahideen
- Wa tallaahi la akeedanna asnaamakum ba'da an tuwalloo mudbireen
- Faja'alahum juzaazan illaa kabeeral lahum la'allahum ilaihi yarji'oon
- Qaaloo man fa'ala haazaa bi aalihatinaaa innahoo laminaz zaalimeen
- Qaaloo sami'naa fatany yazkuruhum yuqaalu lahooo Ibraaheem
- Qaaloo fa'too bihee 'alaaa a'yunin naasi la'allahum yash hadoon
- Qaalooo 'a-anta fa'alta haazaa bi aalihatinaa yaaa Ibraaheem
- Qaala bal fa'alahoo kabeeruhum haazaa fas'aloohum in kaanoo yantiqoon
- Faraja'ooo ilaaa anfusihim faqaalooo innakum antumuz zaalimoon
- Summa nukisoo 'alaa ru'oosihim laqad 'alimta maa haaa'ulaaa'i yantiqoon
- Qaala afata'budoona min doonil laahi maa laa yanfa'ukum shai'anw wa laa yadurrukum
- Uffil lakum wa limaa ta'budoona min doonil laah; afalaa ta'qiloon
- Qaaloo harriqoohu wansurooo aalihatakum in kuntum faa'ileen
- Qulnaa yaa naaru koonee bardanw wa salaaman 'alaaa Ibraaheem
- Wa araadoo bihee kaidan faja'alnaahumul akhsareen
- Wa najjainaahu wa Lootan ilal ardil latee baaraknaa feehaa lil 'aalameen
- Wa wahabnaa lahooo Ishaaqa; wa Ya'qooba naafilah; wa kullan ja'alnaa saaliheen
- Wa ja'alnaahum a'immatany yahdoona bi amrinaa wa awhainaaa ilaihim fi'lal khairaati wa iqaamas Salaati wa eetaaa'az Zakaati wa kaanoo lanaa 'aabideen
- Wa Lootan aatainaahu hukmanw wa 'ilmanw wa najjainaahu minal qaryatil latee kaanat ta'malul khabaaa'is; innahum kaanoo qawma saw'in faasiqeen
- Wa adkhalnaahu fee rahmatinaa innahoo minas saaliheen (section 5)
- Wa noohan iz naadaa min qablu fastajabnaa lahoo fanajjainaahu wa ahlahoo minal karbil 'azeem
- Wa nasarnaahu minal qawmil lazeena kazzaboo bi Aayaatinaa; innahum kaanoo qawma saw'in fa-aghraq naahum ajma'een
- Wa Daawooda wa Sulaimaana iz yahkumaani fil harsi iz nafashat feehi ghanamul qawmi wa kunnaa lihukmihim shaahideen
- Fafahhamnaahaa sulaimaan; wa kullan aatainaa hukmanw wa'ilmanw wa sakh kharnaa ma'a Daawoodal jibaala yusabbihna wattayr; wa kunnaa faa'ileen
- Wa 'allamnaahu san'ata laboosil lakum lituhsinakum min ba'sikum fahal antum shaakiroon
- Wa li Sulaimaanar reeha 'aasifatan tajree bi amriheee ilal ardil latee baaraknaa feehaa; wa kunnaa bikulli shai'in 'aalimeen
- Wa minash Shayaateeni mai yaghoosoona lahoo wa ya'maloona 'amalan doona zaalika wa kunna lahum haafizeen
- Wa Ayyooba iz naadaa Rabbahooo annee massaniyad durru wa Anta arhamur raahimeen
- Fastajabnaa lahoo fakashaf naa maa bihee min durrinw wa aatainaahu ahlahoo wa mislahum ma'ahum rahmatan min 'indinaa wa zikraa lil'aabideen
- Wa Ismaa'eela wa Idreesa wa Zal Kifli kullum minas saabireen
- Wa adkhalnaahum fee rahmatinaa innahum minas saaliheen
- Wa Zan Nooni iz zahaba mughaadiban fa zannaa al lan naqdira 'alaihi fanaadaa fiz zulumaati al laaa ilaaha illaaa Anta Subhaanaka innee kuntu minaz zaalimeen
- Fastajabnaa lahoo wa najjainaahu minal ghamm; wa kazaalika nunjil mu'mineen
- Wa Zakariyyaaa iz naadaa Rabbahoo Rabbi laa tazarnee fardanw wa Anta khairul waariseen
- Fastajabnaa lahoo wa wahabnaa lahoo Yahyaa Wa aslahnaa lahoo zawjah; innahum kaanoo yusaari'oona fil khairaati wa yad'oonanaa raghabanw wa rahabaa; wa kaanoo lanaa khaashi'een
- Wallateee ahsanat farjahaa fanafakhnaa feehaa min roohinaa wa ja'alnaahaa wabnahaaa Aayatan lil'aalameen
- Inna haaziheee ummatukum ummatanw waahidatanw wa Ana Rabbukum fa'budoon
- Wa taqatta'ooo amrahum bainahum kullun ilainaaa raaji'oon (section 6)
- Famai ya'mal minas saalihaati wa huwa mu'minun falaa kufraana lisa'yihee wa innaa lahoo kaatiboon
- Wa haraamun 'alaa qaryatin ahlaknaahaaa annahum laa yarji'oon
- Hattaaa izaa futihat Ya'jooju wa Ma'jooju wa hum min kulli hadabiny yansiloon
- Waqtarabal wa'dul haqqu fa-izaa hiya shaakhisatun absaarul lazeena kafaroo yaawailanaa qad kunna fee ghaflatin min haaza bal kunnaa zaalimeen
- Innakum wa maa ta'budoona min doonil laahi hasabu Jahannama antum lahaa waaridoon
- Law kaana haaa'ulaaa'i aalihatan maa waradoohaa wa kullun feehaa khaalidoon
- Lahum feehaa zafeerunw wa hum feehaa laa yasma'oon
- Innal lazeena sabaqat lahum minnal husnaaa ulaaa'ika 'anhaa mub'adoon
- Laa yasma'oona hasee sahaa wa hum fee mash tahat anfusuhum khaalidoon
- Laa yahzunuhumul faza'ul akbaru wa tatalaq qaahumul malaaa'ikatu haazaa Yawmukumul lazee kuntum too'adoon
- Yawma natwis samaaa'a kataiyis sijilli lilkutub; kamaa bada'naa awwala khalqin nu'eeduh; wa'dan 'alainaa; innaa kunna faa'ileen
- Wa laqad katabnaa fiz Zaboori min ba'diz zikri annal arda yarisuhaa 'ibaadi yas saalihoon
- Inna fee haaza labalaa ghal liqawmin 'aabideen
- Wa maaa arsalnaaka illaa rahmatal lil'aalameen
- Qul innamaa yoohaa ilaiya annamaaa ilaahukum illaahunw Waahid, fahal antum muslimoon
- Fa in tawallaw faqul aazantukum 'alaa sawaaa'; wa in adreee aqareebun am ba'eedun maa too'adoon
- Innahoo ya'lamul jahra minal qawli wa ya'lamu maa taktumoon
- Wa in adree la'allahoo fitnatul lakum wa mataa'un ilaaheen
- Qaala Rabbih kum bil haqq; wa Rabbunar Rahmaa nul musta'aanu 'alaa maa tasifoon (section 7)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Qareeb aa gaya hai logon ke hisaab ka waqt, aur woh hain ke gaflat mein mooh moadey huey hain.2. Unke paas jo taaza naseehat bhi unke Rubb ki taraf se aati hai usko be-takalluf sunte hain aur khel mein padey rehte hain.
3. Dil unke (dusri hi fikron mein) munhamik hain aur zalim aapas mein sargoshiyan(whisper) karte hain ke “yeh shaks aakhir tum jaisa ek bashar (Insaan) hi to hai, phir kya tum aankhon dekhte jaadu ke phanday mein phas jaaoge?”
4. Rasool ne kaha, mera Rubb har us baat ko jaanta hai jo aasmaan aur zameen mein ki jaaye, woh sami(sunne wala) aur aleem (jaanne wala) hai.
5. Woh kehte hain “balke yeh paraganda (incoherent) khwab hai , balke yeh iski mann-ghadath hai, balke yeh shaks shayar hai warna yeh laye koi nishani jis tarah purane zamane ke Rasool nishaniyon ke saath bheje gaye thay”.
6. Halaanke inse pehle koi basti bhi, jise humne halaak kiya, iman na layi, ab kya yeh iman layenge?
7. Aur (aey Muhammad), tumse pehle bhi humne Insano hi ko Rasool bana kar bheja tha jinpar hum wahee (revelation) kiya karte thay, Tum log agar ilm nahin rakhte to ehle kitaab se puch lo.
8. Un Rasoolon ko humne koi aisa jism nahin diya tha ke woh khate na hon, aur na woh sadaa (hamesha) jeenay wale thay.
9. Phir dekhlo ke aakhir e kaar humne unke saath apne wadey poore kiye, aur unhein aur jis jis ko humne chaha bacha liya, aur hadd se guzar jaane walon ko halaak kardiya.
10. Logon, humne tumhari taraf ek aisi kitaab bheji hai jismein tumhara hi zikr hai, kya tum samajhte nahin ho?
11. Kitni hi zalim bastiyan hain jinko humne pees kar rakh diya aur unke baad dusri kisi qaum ko uthaya.
12. Jab unko hamara azaab mehsoos hua to lage wahan se bhaagne.
13. (kaha gaya) “bhaago nahin, jao apne unhi gharon mein aur aesh ke samaano mein jinke andar tum chain kar rahe thay, shayad ke tumse pucha jaaye”.
14. Kehne lage “haye hamari kambakhti, beshak hum khatawaar thay”
15. Aur woh yahi pukarte rahe yahan tak ke humne unko khalyan (threshed/field that is reaped) kardiya , zindagi ka ek sharara (spark of life) tak unmein na raha.
16. Humne is aasmaan aur zameen ko aur jo kuch bhi inmein hai kuch khel ke taur par nahin banaya hai.
17. Agar hum koi khilona banan chahte aur bas yahi kuch humein karna hota to apne hi paas se kar lete.
18. Magar hum to baatil par haqq ki chot lagate hain jo uska sar toad deti hai aur woh dekhte dekhte mitt jata hai, aur tumhare liye tabahi hai un baaton ki wajah se jo tum banate ho.
19. Zameen aur aasmano mein jo makhlooq bhi hai Allah ki hai aur jo (Farishtey) uske paas hain woh na apne aap ko bada samajh kar uski bandagi se sartabi karte hain aur na malool (weary /tire) hote hain.
20. Shab-o-roz uski tasbeeh karte rehte hain, dum nahin lete.
21. Kya in logon ke banaye huey arzi khuda aise hain ke (be-jaan ko jaan baksh kar) utha khada karte hon?
22. Agar aasmaan o zameen mein ek Allah ke siwa dusre khuda bhi hote to (zameen aur aasman) dono ka nizam bigad jata. Pas paak hai Allah Rabbul arsh un baaton se jo yeh log bana rahe hain.
23. Woh apne kaamon ke liye (kisi ke aage) jawab-de nahin hai aur sab jawab-de hain.
24. Kya usey chodh kar inhon ne dusre khuda bana liye hain? (Aey Muhammad) inse kaho ke “lao apni daleel,yeh kitaab bhi maujood hai jismein mere daur ke logon ke liye naseehat hai aur woh kitaabein bhi maujood hain jin mein mujhse pehle logon ke liye naseehat thi” magar un mein se aksar log haqeeqat se bekhabar hain, is liye mooh moadey huey hain.
25. Humne tumse pehle jo Rasool bhi bheja hai usko yahi wahee ki hai ke mere siwa koi khuda nahin hai, pas tum log meri hi bandagi karo.
26. Yeh kehte hain “rehman aulad rakhta hai” SubhanAllah , woh to banday hain jinhein izzat di gayi hai.
27. Uske huzoor badh kar nahin bolte aur bas uske hukm par amal karte hain.
28. Jo kuch unke saamne hai usey bhi woh jaanta hai aur jo kuch unse ojhal hai us se bhi woh bakhabar hai, woh kisi ki sifarish nahin karte bajuz uske jiske haqq mein sifarish sunne par Allah raazi ho, aur woh uske khauf se dare rehte hain.
29. Aur jo unmein se koi kehde ke Allah ke siwa main bhi ek khuda hoon, to usey hum jahannum ki saza dein, hamare haan zalimon ka yahi badla hai.
30. Kya yeh log jinhon ne (Nabi ki baat maanne se) inkar kardiya hai gaur nahin karte ke yeh sab aasmaan aur zameen baham mile huey thay, phir humne inhein juda kiya(big bang Ref.), aur pani se har zinda cheez paida ki, kya woh (hamari is khallaqi ko) nahin maante?
31. Aur humne zameen mein pahad jamaa diye taa-ke woh unhein lekar dhulak na jaaye, aur is mein kushada raahein bana di, shayad ke log apna raasta maloom karlein.
32. Aur humne aasmaan ko ek mehfooz chath bana diya, magar yeh hain ke iski nishaniyon ki taraf tawajju hi nahin karte.
33. Aur woh Allah hi hai jisne raat aur din banaye aur Suraj aur chaand ko paida kiya, sab ek ek falak mein tair rahe hain.
34. Aur (aey Muhammad), hameshgi (eternity) to humne tumse pehle bhi kisi Insan ke liye nahin rakkhi hai agar tum mar gaye to kya yeh log hamesha jeetay rahenge?
35. Har jaandaar ko maut ka maza chakhna hai, aur hum acchey aur bure halaat mein daal kar tum sabki aazmaish kar rahe hain, aakhir-e-kaar tumhein hamari hi taraf palatna hai.
36. Yeh munkireen e haqq jab tumhein dekhte hain to tumhara mazaaq bana lete hain. Kehte hain “kya yeh hai woh shaks jo tumhare khudaon ka zikr kiya karta hai?” aur inka apna haal yeh hai ke rehman ke zikr se munkir hain.
37. Insaan jald baaz makhlooq hai, abhi main tumko apni nishaniyan dikhaye deta hoon, jaldi na machao.
38. Yeh log kehte hain “aakhir yeh dhamki poori kab hogi agar tum sacche ho”.
39. Kaash in kafiron ko us waqt ka kuch ilm hota jabke yeh na apne mooh aag se bacha sakenge na apni peethein, aur na inko kahin se madad pahunchegi.
40. Woh balaa (catastrophe) achanak aayegi aur inhein is tarah yaklakht (suddenly) daboch legi ke yeh na usko dafaa kar sakenge aur na inko lamha bhar mohlat hi mil sakegi.
41. Mazaaq tumse pehle bhi Rasoolon ka udaya jaa chuka hai, magar unka mazaaq udane wale usi cheez ke pher mein aa kar rahe jiska woh mazaaq udatey thay.
42. (Aey Muhammad), inse kaho, “kaun hai jo raat ko ya din ko tumhein rehman se bacha sakta ho?” magar yeh apne Rubb ki naseehat se mooh moad rahe hain.
43. Kya yeh kuch aise khuda rakhte hain jo hamare muqable mein inki himayat karein? Woh na to khud apni madad kar sakte hain aur na hamari hi taaeed unko haasil hai.
44. Asal baat yeh hai ke in logon ko aur inke aabaa o ajdaad (fore-fathers) ko hum zindagi ka sar o saamaan diye chale gaye yahan tak ke inko din lag gaye (period grew too long for them). Magar kya inhein nazar nahin aata ke hum zameen ko mukhtalif simton se ghataye chale aa rahe hain (shrinking its boundaries)? Phir kya yeh gaalib aa jayenge?
45. Inse kehdo ke “main to wahee (revelation) ki bina par tumhein mutanabbeh (warn) kar raha hoon”. Magar behre pukaar ko nahin suna karte jabke unhein khabardaar kiya jaaye.
46. Aur agar tere Rubb ka azaab zara sa inhein choo jaaye to abhi cheekh utthein ke haaye hamari kambakhti, beshak hum khatawaar thay.
47. Qayamat ke roz hum theek theek toalne wale tarazu rakh denge, phir kisi shaks par zarra barabar zulm na hoga. Jiska rai (mustard seed) ke daane ke barabar bhi kuch kiya dhara hoga woh hum saamne le aayenge aur hisaab lagane ke liye hum kafi hain.
48. Pehle hum Moosa aur Haroon ko furqan (criteria) aur roshni aur “zikr” ata kar chuke hain un muttaqi logon ki bhalayi ke liye,
49. Jo bay-dekhe (bagair dekhe) apne Rubb se darein aur jinko (hisaab ki) us ghadi ka khatka laga hua hai.
50. Aur ab yeh ba-barakat “zikr” humne (tumhare liye) naazil kiya hai phir kya tum isko qabool karne se inkaari ho?
51. Ussey bhi pehle humne Ibrahim ko uski hosh-mandi bakshi thi aur hum usko khoob jaante thay.
52. Yaad karo woh mauqa ke usne apne baap aur apni qaum se kaha tha ke “yeh muratein (images) kaisi hain jinke tum log girwida (devoted) ho rahe ho?”
53. Unhon ne jawab diya “humne apne baap dada ko inki ibaadat karte paya hai”.
54. Usne kaha “tum bhi gumraah ho aur tumhare baap dada bhi sareeh gumaraahi mein paday huey thay?”
55. Unhon ne kaha “kya tu hamare saamne apne asli khayalaat pesh kar raha hai ya mazaaq karta hai?”
56. Usne jawab diya “nahin, balke fil waqey tumhara Rubb wahi hai jo zameen aur aasmano ka Rubb aur unka paida karne wala hai, ispar main tumhare saamne gawahi deta hoon.
57. Aur khuda ki qasam main tumhari gair maujoodgi mein zaroor tumhare buthon (idols/murtiyon) ki khabar lunga”.
58. Chunanchey usne unko tukde tukde kardiya aur sirf unke badey ko chodh diya taa-ke shayad woh iski taraf rujoo karein.
59. (Unhon ne aakar buthon[idols] ka yeh haal dekha to) kehne lage “hamare khudaon ka yeh haal kisne kardiya? Bada hi koi zalim tha woh”
60. (baaz log) bole “ humne ek nawjawan ko inka zikr karte suna tha jiska naam Ibrahim hai”.
61. Unhon ne kaha “ to pakad lao usey sabke saamne taa-ke log dekh lein (uski kaisi khabar li jaati hai)”
62. (Ibrahim ke aane par) unhon ne pucha “kyun Ibrahim, tu ne hamare khudaon ke saath yeh harakat ki hai?
63. Usne jawab diya “balke yeh sab kuch inke is sardar ne kiya hai, inhi se puch lo agar yeh bolte hon”.
64. Yeh sunkar woh log apne zameer ki taraf palte aur (apne dilon mein) kehne lage “waqayi tum khud hi zalim ho”.
65. Magar phir unki math palat gayi (minds became perverse) aur bole “ tu jaanta hai ke yeh bolte nahin hain”.
66. Ibrahim ne kaha “phir kya tum Allah ko chodh kar un cheezon ko poojh rahe ho jo na tumhein nafaa pahunchane par qaadir hain na nuqsan.
67. Tuff (Fie) hai tumpar aur tumhare in maboodon par jinki tum Allah ko chodh kar pooja kar rahe ho, kya tum kuch bhi aqal nahin rakhte?”
68. Unhon ne kaha “jala daalo isko aur himayat karo apne khudaon ki agar tumhein kuch karna hai”.
69. Humne kaha “Aey aag, thandi hoja aur salamati ban jaa Ibrahim par”.
70. Woh chahte thay ke Ibrahim ke saath burayi karein magar humne unko buri tarah nakaam kardiya.
71. Aur hum usey aur Lut ko bacha kar us sar-zameen ki taraf nikal le gaye jismein humne duniya walon ke liye barkatein rakkhi hain.
72. Aur humne usey Ishaq ata kiya aur Yakoob uspar mazeed, aur har ek ko saleh (righteous) banaya.
73. Aur humne unko imam bana diya jo hamare hukm se rehnumayi karte thay aur humne unhein wahee (revelation) ke zariye neik kaamon ki aur namaz qayam karne ki aur zakat dene ki hidayat ki, aur woh hamare ibaadat guzaar thay.
74. Aur Lut ko humne hukm aur ilm baksha aur usey us basti se bacha kar nikal diya jo badkariyan karti thi. Dar haqeeqat woh badi hi buri, fasiq qaum thi.
75. Aur Lut ko humne apni rehmat mein daakhil kiya, woh saleh logon mein se tha.
76. Aur yahi niyamat humne Nooh ko di, yaad karo jabke in sabse pehle usne humein pukara tha, humne uski dua qabool ki aur usey aur uske ghar walon ko karb-e-azeem (great calamity) se najaat di.
77. Aur us qaum ke muqaable mein uski madad ki jisne hamari aayaat ko jhutla diya tha. Woh badey bure log thay, pas humne un sabko garq (drown) kardiya.
78. Aur isi niyamat se humne Dawood aur Suleiman ko sarfaraz kiya. Yaad karo woh mauqa jabke woh dono ek khet (field) ke muqaddame mein faisla kar rahe thay jismein raat ke waqt dusre logon ki bakriyan(goats) phayl gayi thi (strayed at night),aur hum unki adalat khud dekh rahe thay.
79. Us waqt humne sahih faisla Sulaiman ko samjha diya, halaanke hukm aur ilm humne dono hi ko ata kiya tha. Dawood ke saath humne pahadon aur parindon ko musakkhar kardiya tha jo tasbeeh karte thay, is fail (kaam) ke karne wale hum hi thay.
80. Aur humne usko tumhare faiyde ke liye zira (coats of armor) banane ki sanat (craft) sikha di thi, taa-ke tumko ek dusre ki maar se bachaye, phir kya tum shukar-guzar ho?
81. Aur Sulaiman ke liye humne teiz hawa ko musakkhar kardiya tha jo uske hukm se us sar-zameen ki taraf chalti thi jismein humne barkatein rakkhi hain. Hum har cheez ka ilm rakhne wale thay.
82. Aur shayateen mein se humne aise bahutson (many) ko uska tabey bana diya tha jo uske liye ghotey (diving) lagate aur iske siwa dusre kaam karte thay, in sab ke nigraan hum hi thay.
83. Aur yahi (hosh-mandi aur hukm o ilm ki niyamat) humne Ayub ko di thi. Yaad karo jabke usne apne Rubb ko pukara ke “mujhe bimaari lag gayi hai aur tu arham ur rahimeen (sab se badhkar reham karne wala) hai.”
84. Humne uski dua qabool ki aur jo takleef usey thi usko door kardiya, aur sirf uske ehl-o-ayal hi usko nahin diye balke unke saath utne hi aur bhi diye, apni khaas rehmat ke taur par, aur is liye ke yeh ek sabaq ho ibaadat guzaaron keliye.
85. Aur yahi niyamat Ismail aur Idris(Enoch) aur Dhul-Kifl (Isaiah) ko di, ke yeh sab saabir log (practised fortitude) thay.
86. Aur unko humne apni rehmat mein daakhil kiya ke woh salihon (righteous people) mein se thay.
87. Aur machli wale (Yunus) ko bhi humne nawaza, yaad karo jabke woh bigad kar chala gaya tha aur samjha tha ke hum uspar giraft na karenge. Aakhir ko usne tareekiyon (darkness) mein pukara “nahin hai koi khuda magar tu, paak hai teri zaat, beshak maine kasoor kiya”.
88. Tab humne uski dua qabool ki aur ghum se usko najaat bakshi, aur isi taraah hum momino ko bacha liya karte hain.
89. Aur zakariya ko, jabke usne apne Rubb ko pukara ke “aey parwardigar, mujhe akela na chodh, aur behtareen waris to tu hi hai”.
90. Pas humne uski dua qabool ki aur usey Yahya ata kiya aur uski biwi ko uske liye durust kardiya, yeh log neki ke kaamon mein daud-dhoop karte thay aur humein ragbat (with love) aur khauf ke saath pukarte thay, aur hamare aage jhuke huey thay.
91. Aur woh khaatun jisne apni ismat (chastity) ki hifazat ki thi, humne uske andar apni rooh se phoonka aur usey aur uske bete ko duniya bhar ke liye nishani bana diya.
92. Yeh tumhari ummat haqeeqat mein ek hi ummat hai aur main tumhara Rubb hoon, pas tum meri ibaadat karo.
93. Magar (yeh logon ki karastani hai ke) inhon ne aapas mein deen ko tukde tukde kar dala, sabko hamari taraf palatna hai.
94. Phir jo neik amal karega, is haal mein ke woh momin ho, to uske kaam ki na-qadri na hogi, aur usey hum likh rahe hain.
95. Aur mumkin nahin hai ke jis basti ko humne halaak kardiya ho woh phir palat sakey.
96. Yahaan tak ke jab yajooj majooj khol diye jayenge aur har bulandi se woh nikal padenge.
97. Aur waada bar haqq ke poora hone ka waqt qareeb aa lagega to yakayak un logon ke deedhe phatey ke phatey reh jayenge (fixedly stare in horror), jinhon ne kufr kiya tha. Kahenge “haaye hamari kambakhti, hum is cheez ki taraf se gaflat mein padey huey thay, balke hum khatakaar thay.”
98. Beshak tum aur tumhare woh mabood jinhein tum poojhte ho, jahannum ka indhan (fuel) hain, wahin tumko jana hai.
99. Agar yeh waqayi khuda hote to wahan na jaate, ab sabko hamesha usi mein rehna hai.”
100. Wahan woh phunkare maarenge (groan/roar) aur haal yeh hoga ke usmein kaan padi aawaaz na sunayi degi.
101. Rahe woh log jinke liye hamari taraf se bhalayi ka pehle hi faisla ho chuka hoga, to woh yaqeenan us se door rakkhe jayenge.
102. Uski sarsarahat tak na sunenge aur woh hamesha hamesha apni mann bhati cheezon ke darmiyan rahenge.
103. Woh intihayi ghabrahat ka waqt unko zara pareshan na karega, aur malaika badh kar unko haathon haath lenge ke “yeh tumhara wahi din hai jiska tumse waada kiya jata tha”.
104. Woh din jabke aasmaan ko hum yun lapeit kar rakh denge jaise tumar mein awraaq lapeit diye jaate hain (leaves of paper are rolled up in a written scroll) jis tarah pehle humne takhleeq ki ibtida ki thi usi tarah hum phir uska iaada (originate) karenge. Yeh ek waada hai hamare zimme, aur yeh kaam humein bahr-haal karna hai.
105. Aur Zaboor mein hum naseehat ke baad yeh likh chuke hain ke zameen ke waris hamare neik banday honge.
106. Is mein ek badi khabar hai ibaadat guzar logon ke liye.
107. (Aey Muhammad), humne jo tumko bheja hai to yeh dar-asal duniya walon ke haqq mein hamari rehmat hai.
108. Inse kaho, “mere paas jo wahee aati hai woh yeh hai ke tumhara khuda sirf ek khuda hai, phir kya tum sar-e-itaat jhukate ho?”
109. Agar woh mooh pherein to kehdo “maine alal-ailaan (openly) tumko khabardaar kardiya hai. Ab yeh main nahin jaanta ke woh cheez jiska tumse waada kiya jaa raha hai qareeb hai ya door.
110. Allah woh baatein bhi jaanta hai jo ba-awaaz buland kahi jaati hain aur woh bhi jo tum chupa kar karte ho.
111. Main to yeh samajhta hoon ke shayad yeh (dair/delay) tumhare liye ek fitna hai aur tumhein ek waqt e khaas tak ke liye mazay karne ka mauqa diya jaa raha hai”
112. (aakhi-e-kaar) Rasool ne kaha “aey mere Rubb, haqq ke saath faisla karde, aur logon, tum jo baatein banate ho unke muqable mein hamara Rubb-e-Rehman hi hamare liye madad ka sahara hai.”
Comments
Post a Comment