📖 Surah 19 Maryam Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- كهيعص
- ذِكْرُ رَحْمَتِ رَبِّكَ عَبْدَهُۥ زَكَرِيَّآ
- إِذْ نَادَىٰ رَبَّهُ نِدَاءً خَفِيًّا
- قَالَ رَبِّ إِنِّي وَهَنَ الْعَظْمُ مِنِّي وَاشْتَعَلَ الرَّأْسُ شَيْبًا وَلَمْ أَكُنْ بِدُعَائِكَ رَبِّ شَقِيًّا
- وَإِنِّي خِفْتُ الْمَوَالِيَ مِنْ وَرَائِي وَكَانَتِ امْرَأَتِي عَاقِرًا فَهَبْ لِي مِنْ لَدُنْكَ وَلِيًّا
- يَرِثُنِي وَيَرِثُ مِنْ آلِ يَعْقُوبَ ۖ وَاجْعَلْهُ رَبِّ رَضِيًّا
- يَا زَكَرِيَّا إِنَّا نُبَشِّرُكَ بِغُلَامٍ اسْمُهُ يَحْيَىٰ لَمْ نَجْعَلْ لَهُ مِنْ قَبْلُ سَمِيًّا
- قَالَ رَبِّ أَنَّىٰ يَكُونُ لِي غُلَامٌ وَكَانَتِ امْرَأَتِي عَاقِرًا وَقَدْ بَلَغْتُ مِنَ الْكِبَرِ عِتِيًّا
- قَالَ كَذَٰلِكَ قَالَ رَبُّكَ هُوَ عَلَيَّ هَيِّنٌ وَقَدْ خَلَقْتُكَ مِنْ قَبْلُ وَلَمْ تَكُ شَيْئًا
- قَالَ رَبِّ اجْعَلْ لِي آيَةً ۚ قَالَ آيَتُكَ أَلَّا تُكَلِّمَ النَّاسَ ثَلَاثَ لَيَالٍ سَوِيًّا
- فَخَرَجَ عَلَىٰ قَوْمِهِ مِنَ الْمِحْرَابِ فَأَوْحَىٰ إِلَيْهِمْ أَنْ سَبِّحُوا بُكْرَةً وَعَشِيًّا
- يَا يَحْيَىٰ خُذِ الْكِتَابَ بِقُوَّةٍ ۖ وَآتَيْنَاهُ الْحُكْمَ صَبِيًّا
- وَحَنَانًا مِنْ لَدُنَّا وَزَكَاةً ۖ وَكَانَ تَقِيًّا
- وَبَرًّا بِوَالِدَيْهِ وَلَمْ يَكُنْ جَبَّارًا عَصِيًّا
- وَسَلَامٌ عَلَيْهِ يَوْمَ وُلِدَ وَيَوْمَ يَمُوتُ وَيَوْمَ يُبْعَثُ حَيًّا
- وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ مَرْيَمَ إِذِ انْتَبَذَتْ مِنْ أَهْلِهَا مَكَانًا شَرْقِيًّا
- فَاتَّخَذَتْ مِنْ دُونِهِمْ حِجَابًا فَأَرْسَلْنَا إِلَيْهَا رُوحَنَا فَتَمَثَّلَ لَهَا بَشَرًا سَوِيًّا
- قَالَتْ إِنِّي أَعُوذُ بِالرَّحْمَٰنِ مِنْكَ إِنْ كُنْتَ تَقِيًّا
- قَالَ إِنَّمَا أَنَا رَسُولُ رَبِّكِ لِأَهَبَ لَكِ غُلَامًا زَكِيًّا
- قَالَتْ أَنَّىٰ يَكُونُ لِي غُلَامٌ وَلَمْ يَمْسَسْنِي بَشَرٌ وَلَمْ أَكُ بَغِيًّا
- قَالَ كَذَٰلِكِ قَالَ رَبُّكِ هُوَ عَلَيَّ هَيِّنٌ ۖ وَلِنَجْعَلَهُ آيَةً لِلنَّاسِ وَرَحْمَةً مِنَّا ۚ وَكَانَ أَمْرًا مَقْضِيًّا
- فَحَمَلَتْهُ فَانْتَبَذَتْ بِهِ مَكَانًا قَصِيًّا
- فَأَجَاءَهَا الْمَخَاضُ إِلَىٰ جِذْعِ النَّخْلَةِ قَالَتْ يَا لَيْتَنِي مِتُّ قَبْلَ هَٰذَا وَكُنْتُ نَسْيًا مَنْسِيًّا
- فَنَادَاهَا مِنْ تَحْتِهَا أَلَّا تَحْزَنِي قَدْ جَعَلَ رَبُّكِ تَحْتَكِ سَرِيًّا
- وَهُزِّي إِلَيْكِ بِجِذْعِ النَّخْلَةِ تُسَاقِطْ عَلَيْكِ رُطَبًا جَنِيًّا
- فَكُلِي وَاشْرَبِي وَقَرِّي عَيْنًا ۖ فَإِمَّا تَرَيِنَّ مِنَ الْبَشَرِ أَحَدًا فَقُولِي إِنِّي نَذَرْتُ لِلرَّحْمَٰنِ صَوْمًا فَلَنْ أُكَلِّمَ الْيَوْمَ إِنْسِيًّا
- فَأَتَتْ بِهِ قَوْمَهَا تَحْمِلُهُ ۖ قَالُوا يَا مَرْيَمُ لَقَدْ جِئْتِ شَيْئًا فَرِيًّا
- يَا أُخْتَ هَارُونَ مَا كَانَ أَبُوكِ امْرَأَ سَوْءٍ وَمَا كَانَتْ أُمُّكِ بَغِيًّا
- فَأَشَارَتْ إِلَيْهِ ۖ قَالُوا كَيْفَ نُكَلِّمُ مَنْ كَانَ فِي الْمَهْدِ صَبِيًّا
- قَالَ إِنِّي عَبْدُ اللَّهِ آتَانِيَ الْكِتَابَ وَجَعَلَنِي نَبِيًّا
- وَجَعَلَنِي مُبَارَكًا أَيْنَ مَا كُنْتُ وَأَوْصَانِي بِالصَّلَاةِ وَالزَّكَاةِ مَا دُمْتُ حَيًّا
- وَبَرًّا بِوَالِدَتِي وَلَمْ يَجْعَلْنِي جَبَّارًا شَقِيًّا
- وَالسَّلَامُ عَلَيَّ يَوْمَ وُلِدْتُ وَيَوْمَ أَمُوتُ وَيَوْمَ أُبْعَثُ حَيًّا
- ذَٰلِكَ عِيسَى ابْنُ مَرْيَمَ ۚ قَوْلَ الْحَقِّ الَّذِي فِيهِ يَمْتَرُونَ
- مَا كَانَ لِلَّهِ أَنْ يَتَّخِذَ مِنْ وَلَدٍ ۖ سُبْحَانَهُ ۚ إِذَا قَضَىٰ أَمْرًا فَإِنَّمَا يَقُولُ لَهُ كُنْ فَيَكُونُ
- وَإِنَّ اللَّهَ رَبِّي وَرَبُّكُمْ فَاعْبُدُوهُ ۚ هَٰذَا صِرَاطٌ مُسْتَقِيمٌ
- فَاخْتَلَفَ الْأَحْزَابُ مِنْ بَيْنِهِمْ ۖ فَوَيْلٌ لِلَّذِينَ كَفَرُوا مِنْ مَشْهَدِ يَوْمٍ عَظِيمٍ
- أَسْمِعْ بِهِمْ وَأَبْصِرْ يَوْمَ يَأْتُونَنَا ۖ لَٰكِنِ الظَّالِمُونَ الْيَوْمَ فِي ضَلَالٍ مُبِينٍ
- وَأَنْذِرْهُمْ يَوْمَ الْحَسْرَةِ إِذْ قُضِيَ الْأَمْرُ وَهُمْ فِي غَفْلَةٍ وَهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ
- إِنَّا نَحْنُ نَرِثُ الْأَرْضَ وَمَنْ عَلَيْهَا وَإِلَيْنَا يُرْجَعُونَ
- وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ إِبْرَاهِيمَ ۚ إِنَّهُ كَانَ صِدِّيقًا نَبِيًّا
- إِذْ قَالَ لِأَبِيهِ يَا أَبَتِ لِمَ تَعْبُدُ مَا لَا يَسْمَعُ وَلَا يُبْصِرُ وَلَا يُغْنِي عَنْكَ شَيْئًا
- يَا أَبَتِ إِنِّي قَدْ جَاءَنِي مِنَ الْعِلْمِ مَا لَمْ يَأْتِكَ فَاتَّبِعْنِي أَهْدِكَ صِرَاطًا سَوِيًّا
- يَا أَبَتِ لَا تَعْبُدِ الشَّيْطَانَ ۖ إِنَّ الشَّيْطَانَ كَانَ لِلرَّحْمَٰنِ عَصِيًّا
- يَا أَبَتِ إِنِّي أَخَافُ أَنْ يَمَسَّكَ عَذَابٌ مِنَ الرَّحْمَٰنِ فَتَكُونَ لِلشَّيْطَانِ وَلِيًّا
- قَالَ أَرَاغِبٌ أَنْتَ عَنْ آلِهَتِي يَا إِبْرَاهِيمُ ۖ لَئِنْ لَمْ تَنْتَهِ لَأَرْجُمَنَّكَ ۖ وَاهْجُرْنِي مَلِيًّا
- قَالَ سَلَامٌ عَلَيْكَ ۖ سَأَسْتَغْفِرُ لَكَ رَبِّي ۖ إِنَّهُ كَانَ بِي حَفِيًّا
- وَأَعْتَزِلُكُمْ وَمَا تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ وَأَدْعُو رَبِّي عَسَىٰ أَلَّا أَكُونَ بِدُعَاءِ رَبِّي شَقِيًّا
- فَلَمَّا اعْتَزَلَهُمْ وَمَا يَعْبُدُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ وَهَبْنَا لَهُ إِسْحَاقَ وَيَعْقُوبَ ۖ وَكُلًّا جَعَلْنَا نَبِيًّا
- وَوَهَبْنَا لَهُمْ مِنْ رَحْمَتِنَا وَجَعَلْنَا لَهُمْ لِسَانَ صِدْقٍ عَلِيًّا
- وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ مُوسَىٰ ۚ إِنَّهُ كَانَ مُخْلَصًا وَكَانَ رَسُولًا نَبِيًّا
- وَنَادَيْنَاهُ مِنْ جَانِبِ الطُّورِ الْأَيْمَنِ وَقَرَّبْنَاهُ نَجِيًّا
- وَوَهَبْنَا لَهُ مِنْ رَحْمَتِنَا أَخَاهُ هَارُونَ نَبِيًّا
- وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ إِسْمَاعِيلَ ۚ إِنَّهُ كَانَ صَادِقَ الْوَعْدِ وَكَانَ رَسُولًا نَبِيًّا
- وَكَانَ يَأْمُرُ أَهْلَهُ بِالصَّلَاةِ وَالزَّكَاةِ وَكَانَ عِنْدَ رَبِّهِ مَرْضِيًّا
- وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ إِدْرِيسَ ۚ إِنَّهُ كَانَ صِدِّيقًا نَبِيًّا
- وَرَفَعْنَاهُ مَكَانًا عَلِيًّا
- أُولَٰئِكَ الَّذِينَ أَنْعَمَ اللَّهُ عَلَيْهِمْ مِنَ النَّبِيِّينَ مِنْ ذُرِّيَّةِ آدَمَ وَمِمَّنْ حَمَلْنَا مَعَ نُوحٍ وَمِنْ ذُرِّيَّةِ إِبْرَاهِيمَ وَإِسْرَائِيلَ وَمِمَّنْ هَدَيْنَا وَاجْتَبَيْنَا ۚ إِذَا تُتْلَىٰ عَلَيْهِمْ آيَاتُ الرَّحْمَٰنِ خَرُّوا سُجَّدًا وَبُكِيًّا ۩
- فَخَلَفَ مِنْ بَعْدِهِمْ خَلْفٌ أَضَاعُوا الصَّلَاةَ وَاتَّبَعُوا الشَّهَوَاتِ ۖ فَسَوْفَ يَلْقَوْنَ غَيًّا
- إِلَّا مَنْ تَابَ وَآمَنَ وَعَمِلَ صَالِحًا فَأُولَٰئِكَ يَدْخُلُونَ الْجَنَّةَ وَلَا يُظْلَمُونَ شَيْئًا
- جَنَّاتِ عَدْنٍ الَّتِي وَعَدَ الرَّحْمَٰنُ عِبَادَهُ بِالْغَيْبِ ۚ إِنَّهُ كَانَ وَعْدُهُ مَأْتِيًّا
- لَا يَسْمَعُونَ فِيهَا لَغْوًا إِلَّا سَلَامًا ۖ وَلَهُمْ رِزْقُهُمْ فِيهَا بُكْرَةً وَعَشِيًّا
- تِلْكَ الْجَنَّةُ الَّتِي نُورِثُ مِنْ عِبَادِنَا مَنْ كَانَ تَقِيًّا
- وَمَا نَتَنَزَّلُ إِلَّا بِأَمْرِ رَبِّكَ ۖ لَهُ مَا بَيْنَ أَيْدِينَا وَمَا خَلْفَنَا وَمَا بَيْنَ ذَٰلِكَ ۚ وَمَا كَانَ رَبُّكَ نَسِيًّا
- رَبُّ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَمَا بَيْنَهُمَا فَاعْبُدْهُ وَاصْطَبِرْ لِعِبَادَتِهِ ۚ هَلْ تَعْلَمُ لَهُ سَمِيًّا
- وَيَقُولُ الْإِنْسَانُ أَإِذَا مَا مِتُّ لَسَوْفَ أُخْرَجُ حَيًّا
- أَوَلَا يَذْكُرُ الْإِنْسَانُ أَنَّا خَلَقْنَاهُ مِنْ قَبْلُ وَلَمْ يَكُ شَيْئًا
- فَوَرَبِّكَ لَنَحْشُرَنَّهُمْ وَالشَّيَاطِينَ ثُمَّ لَنُحْضِرَنَّهُمْ حَوْلَ جَهَنَّمَ جِثِيًّا
- ثُمَّ لَنَنْزِعَنَّ مِنْ كُلِّ شِيعَةٍ أَيُّهُمْ أَشَدُّ عَلَى الرَّحْمَٰنِ عِتِيًّا
- ثُمَّ لَنَحْنُ أَعْلَمُ بِالَّذِينَ هُمْ أَوْلَىٰ بِهَا صِلِيًّا
- وَإِنْ مِنْكُمْ إِلَّا وَارِدُهَا ۚ كَانَ عَلَىٰ رَبِّكَ حَتْمًا مَقْضِيًّا
- ثُمَّ نُنَجِّي الَّذِينَ اتَّقَوْا وَنَذَرُ الظَّالِمِينَ فِيهَا جِثِيًّا
- وَإِذَا تُتْلَىٰ عَلَيْهِمْ آيَاتُنَا بَيِّنَاتٍ قَالَ الَّذِينَ كَفَرُوا لِلَّذِينَ آمَنُوا أَيُّ الْفَرِيقَيْنِ خَيْرٌ مَقَامًا وَأَحْسَنُ نَدِيًّا
- وَكَمْ أَهْلَكْنَا قَبْلَهُمْ مِنْ قَرْنٍ هُمْ أَحْسَنُ أَثَاثًا وَرِئْيًا
- قُلْ مَنْ كَانَ فِي الضَّلَالَةِ فَلْيَمْدُدْ لَهُ الرَّحْمَٰنُ مَدًّا ۚ حَتَّىٰ إِذَا رَأَوْا مَا يُوعَدُونَ إِمَّا الْعَذَابَ وَإِمَّا السَّاعَةَ فَسَيَعْلَمُونَ مَنْ هُوَ شَرٌّ مَكَانًا وَأَضْعَفُ جُنْدًا
- وَيَزِيدُ اللَّهُ الَّذِينَ اهْتَدَوْا هُدًى ۗ وَالْبَاقِيَاتُ الصَّالِحَاتُ خَيْرٌ عِنْدَ رَبِّكَ ثَوَابًا وَخَيْرٌ مَرَدًّا
- أَفَرَأَيْتَ الَّذِي كَفَرَ بِآيَاتِنَا وَقَالَ لَأُوتَيَنَّ مَالًا وَوَلَدًا
- أَطَّلَعَ الْغَيْبَ أَمِ اتَّخَذَ عِنْدَ الرَّحْمَٰنِ عَهْدًا
- كَلَّا ۚ سَنَكْتُبُ مَا يَقُولُ وَنَمُدُّ لَهُ مِنَ الْعَذَابِ مَدًّا
- وَنَرِثُهُ مَا يَقُولُ وَيَأْتِينَا فَرْدًا
- وَاتَّخَذُوا مِنْ دُونِ اللَّهِ آلِهَةً لِيَكُونُوا لَهُمْ عِزًّا
- كَلَّا ۚ سَيَكْفُرُونَ بِعِبَادَتِهِمْ وَيَكُونُونَ عَلَيْهِمْ ضِدًّا
- أَلَمْ تَرَ أَنَّا أَرْسَلْنَا الشَّيَاطِينَ عَلَى الْكَافِرِينَ تَؤُزُّهُمْ أَزًّا
- فَلَا تَعْجَلْ عَلَيْهِمْ ۖ إِنَّمَا نَعُدُّ لَهُمْ عَدًّا
- يَوْمَ نَحْشُرُ الْمُتَّقِينَ إِلَى الرَّحْمَٰنِ وَفْدًا
- وَنَسُوقُ الْمُجْرِمِينَ إِلَىٰ جَهَنَّمَ وِرْدًا
- لَا يَمْلِكُونَ الشَّفَاعَةَ إِلَّا مَنِ اتَّخَذَ عِنْدَ الرَّحْمَٰنِ عَهْدًا
- وَقَالُوا اتَّخَذَ الرَّحْمَٰنُ وَلَدًا
- لَقَدْ جِئْتُمْ شَيْئًا إِدًّا
- تَكَادُ السَّمَاوَاتُ يَتَفَطَّرْنَ مِنْهُ وَتَنْشَقُّ الْأَرْضُ وَتَخِرُّ الْجِبَالُ هَدًّا
- أَنْ دَعَوْا لِلرَّحْمَٰنِ وَلَدًا
- وَمَا يَنْبَغِي لِلرَّحْمَٰنِ أَنْ يَتَّخِذَ وَلَدًا
- إِنْ كُلُّ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ إِلَّا آتِي الرَّحْمَٰنِ عَبْدًا
- لَقَدْ أَحْصَاهُمْ وَعَدَّهُمْ عَدًّا
- وَكُلُّهُمْ آتِيهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ فَرْدًا
- إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ سَيَجْعَلُ لَهُمُ الرَّحْمَٰنُ وُدًّا
- فَإِنَّمَا يَسَّرْنَاهُ بِلِسَانِكَ لِتُبَشِّرَ بِهِ الْمُتَّقِينَ وَتُنْذِرَ بِهِ قَوْمًا لُدًّا
- وَكَمْ أَهْلَكْنَا قَبْلَهُمْ مِنْ قَرْنٍ هَلْ تُحِسُّ مِنْهُمْ مِنْ أَحَدٍ أَوْ تَسْمَعُ لَهُمْ رِكْزًا
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Kaaaf-Haa-Yaa-'Ayyyn-Saaad
- Zikru rahmati Rabbika 'abdahoo Zakariyya
- Iz naadaa Rabbahoo nidaaa'an khafiyyaa
- Qaala Rabbi innee wahanal 'azmu minnee washta 'alar ra'su shaibanw wa lam akum bidu'aaa'ika Rabbi shaqiyyaa
- Wa innee khiftul mawaaliya minw waraaa'ee wa kaanat imra atee 'aqiran fa hablee mil ladunka waliyyaa
- Yarisunee wa yarisu min aali Ya'qoob, waj'alhu Rabbi radiyya
- Yaa Zakariyyaaa innaa nubashshiruka bi ghulaamin ismuhoo Yahyaa lam naj'al lahoo min qablu samiyyaa
- Qaala Rabbi annaa yakoonu lee ghulaamunw wakaanat imra atee 'aaqiranw wa qad balaghtu minal kibari 'itiyyaa
- Qaala kazaalika qaala Rabbuka huwa 'alaiya haiyinunw wa qad khalaqtuka min qablu wa lam taku shai'aa
- Qaala Rabbij 'al leee Aayah; qaala Aayatuka allaa tukalliman naasa salaasa layaalin sawiyyaa
- Fakharaja 'alaa qawmihee minal mihraabi fa-awhaaa ilaihim an sabbihoo bukratanw wa 'ashiyyaa
- Yaa Yahyaa khuzil Kitaaba biquwwatinw wa aatainaahul hukma sabiyyaa
- Wa hanaanam mil ladunnaa wa zakaatanw wa kaana taqiyyaa
- Wa barram biwaalidayhi wa lam yakum jabbaaran 'asiyyaa
- Wa salaamun 'alaihi yawma wulida wa yawma yamootu wa yawma yub'asu haiyyaa (section 1)
- Wazkur fil Kitaabi Maryama; izin tabazat min ahlihaa makaanan sharqiyyaa
- Fattakhazat min doonihim hijaaban fa arsalnaaa ilaihaa roohanaa fatamassala lahaa basharan sawiyyaa
- Qaalat inneee a'oozu bir Rahmaani minka in kunta taqiyyaa
- Qaala innamaa ana rasoolu Rabbiki li ahaba laki ghulaaman zakiyyaa
- Qaalat anna yakoonu lee ghulaamunw wa lam yamsasnee bashrunw wa lam aku baghiyyaa
- Qaala kazaaliki qaala Rabbuki huwa 'alaiya haiyinuwn wa linaj 'alahooo Aayatal linnaasi wa rahmatam minnaa; wa kaana amram maqdiyyaa
- Fahamalat hu fantabazat bihee makaanan qasiyyaa
- Fa ajaaa 'ahal makhaadu ilaa jiz'in nakhlati qaalat yaa laitanee mittu qabla haazaa wa kuntu nasyam mansiyyaa
- Fanaadaahaa min tahtihaaa allaa tahzanee qad ja'ala Rabbuki tahtaki sariyyaa
- Wa huzzeee ilaiki bijiz 'in nakhlati tusaaqit 'alaiki rutaban janiyyaa
- Fakulee washrabee wa qarree 'ainaa; fa immaa tarayinnna minal bashari ahadan faqooleee innee nazartu lir Rahmaani sawman falan ukallimal yawma insiyyaa
- Fa atat bihee qawmahaa tahmiluhoo qaaloo yaa Maryamoo laqad ji'ti shai'an fariyyaa
- Yaaa ukhta Haaroona maa kaana abookimra'a saw'inw wa maa kaanat ummuki baghiyyaa
- Fa ashaarat ilaih; qaaloo kaifa nukallimu man kaana fil mahdi sabiyyaa
- Qaala innee 'abdullaahi aataaniyal Kitaaba wa ja'alanee Nabiyyaa
- Wa ja'alanee mubaarakan aina maa kuntu wa awsaanee bis Salaati waz Zakaati maa dumtu haiyaa
- Wa barram biwaalidatee wa lam yaj'alnee jabbaaran shaqiyyaa
- Wassalaamu 'alaiya yawma wulidtu wa yawma amootu wa yawma ub'asu haiyaa
- Zaalika 'Eesab-nu Maryama; qawlal haqqil lazee feehi yamtaroon
- Maa kaana lillaahi ai yattakhiza minw waladin Subhaanah; izaa qadaaa amran fa innamaa yaqoolu lahoo kun fa yakoon
- Wa innal laaha Rabbee wa Rabbukum fa'budooh; haazaa Siraatum Mustaqeem
- Fakhtalafal ahzaabu min bainihim fawailul lillazeena kafaroo min mashhadi Yawmin 'azeem
- Asmi' bihim wa absir Yawma ya'toonanaa laakiniz zaalimoonal yawma fee dalaalin mubeen
- Wa anzirhum Yawmal hasrati iz qudiyal amr; wa hum fee ghaflatinw wa hum laa yu'minoon
- Innaa nahnu narisul arda wa man 'alaihaa wa ilainaa yurja'oon (section 2)
- Wazkur fil Kitaabi Ibraaheem; innahoo kaana siddeeqan Nabiyyaa
- Iz qaala li abeehi yaaa abati lima ta'budu maa laa yasma'u wa laa yubsiru wa laa yughnee 'anka shai'aa
- Yaaa abati innee qad jaaa'anee minal 'ilmi maa lam ya'tika fattabi'neee ahdika siraatan Sawiyyaa
- Yaaa abati laa ta'budish Shaitaan; innash Shaitaana kaana lir Rahmaani 'asiyyaa
- Yaaa abati innee akhaafu ai yamassaka 'azaabum minar Rahmaani fatakoona lish Shaitaani waliyyaa
- Qaala araaghibun anta 'an aalihatee yaaa Ibraaheemu la 'il lam tantahi la arjumannaka wahjurnee maliyyaa
- Qaala salaamun 'alaika sa astaghfiru laka Rabbeee innahoo kaana bee hafiyyaa
- Wa a'tazilukum wa maa tad'oona min doonil laahi wa ad'oo Rabbee 'asaaa allaaa akoona bidu'aaa'i Rabbee shaqiyyaa
- Fa lam ma'tazalahum wa maa ya'budoona min doonil laahi wahabnaa lahoo is-haaqa wa ya'qoob; wa kullan ja'alnaa Nabiyyaa
- Wa wahabnaa lahum mirrahmatinaa wa ja'alnaa lahum lisaana sidqin 'aliyyaa (section 3)
- Wazkur fil Kitaabi Moosaaa; innahoo kaana mukhlasanw wa kaana Rasoolan Nabiyyaa
- Wa naadainaahu min jaanibit Tooril aimani wa qarrabnaahu najiyyaa
- Wa wahabnaa lahoo mir rahmatinaaa akhaahu Haaroona Nabiyyaa
- Wazkur fil Kitaabi ismaa'eel; innahoo kaana saadiqal wa'di wa kaana Rasoolan Nabiyyaa
- Wa kaana ya'muru ahlahoo bis Salaati waz zakaati wa kaana 'inda Rabbihee mardiyyaa
- Wazkur fil Kitaabi Idrees; innahoo kaana siddeeqan Nabiyyaa
- Wa rafa'naahu makaanan 'aliyyaa
- Ulaaa'ikal lazeena an'amal laahu 'alaihim minan Nabiyyeena min zurriyyati Aadama wa mimman hamalnaa ma'a Noohinw wa min zurriyyati Ibraaheema wa Israaa'eela wa mimman hadainaa wajta bainaaa; izaa tutlaa 'alaihim Aayaatur Rahmaani kharroo sujjadanw wa bukiyyaa (make sajda)
- Fakhalafa min ba'dihim khalfun adaa'us Salaata wattaba'ush shahawaati fasawfa yalqawna ghaiyyaa
- Illaa man taaba wa aamana wa 'amila saalihan fa ulaaa'ika yadkhuloonal jannata wa laa yuzlamoona shai'aa
- Jannaati 'adninil latee wa'adar Rahmaanu ibaadahoo bilghaib; innahoo kaana wa'duhoo ma'tiyyaa
- Laa yasma'oona feehaa laghwan illaa salaamaa; wa lahum rizquhum feehaa bukratanw wa 'ashiyyaa
- Tilkal jannatul latee noorisu min 'ibaadinaa man kaana taqiyyaa
- Wa maa natanazzalu illaa bi amri Rabbika lahoo maa baina aideenaa wa maa khalfanaa wa maa baina zaalik; wa maa kaana Rabbuka nasiyyaa
- Rabbus samaawaati wal ardi wa maa bainahumaa fa'bud hu wastabir li'ibaadatih; hal ta'lamu lahoo samiyyaa (section 4)
- Wa yaqoolul insaanu 'a izaa maa mittu lasawfa ukhraju haiyaa
- 'A wa laa yazkurul insaanu annaa khalaqnaahu min qablu wa lam yaku shai'aa
- Fawa Rabbika lanahshu rannahum wash shayaateena summa lanuhdirannahum hawla jahannama jisiyyaa
- Summa lanan zi'anna min kulli shee'atin aiyuhum ashaddu 'alar Rahmaani 'itiyyaa
- Summa lanahnu a'lamu billazeena hum awlaa bihaa siliyyaa
- Wa in minkum illaa waariduhaa; kaana 'alaa Rabbika hatmam maqdiyyaa
- Summa nunajjil lazeenat taqaw wa nazaruz zaalimeena feehaa jisiyyaa
- Wa izaa tutlaa 'alaihim Aayaatunaa baiyinaatin qaalal lazeena kafaroo lillazeena aamanooo aiyul fareeqaini khairum maqaamanw wa ahsanu nadiyyaa
- Wa kam ahlaknaa qablahum min qarnin hum ahsanu asaasanw wa ri'yaa
- Qul man kaana fidda laalati falyamdud lahur Rahmaanu maddaa; hattaaa izaa ra aw maa yoo'adoona immal 'azaaba wa immas Saa'ata fasa ya'lamoona man huwa sharrum makaananw wa ad'afu jundaa
- Wa yazeedul laahul lazeenah tadaw hudaa; wal baaqiyaatus saalihaatu khairun 'inda Rabbika sawaabanw wa khairum maraddaa
- Afara'aytal lazee kafara bi Aayaatinaa wa qaala la oota yanna maalanw wa waladaa
- 'At tala'al ghaiba 'amit takhaza 'indar Rahmaani 'ahdaa
- Kallaa; sanaktubu maa yaqoolu wa namuddu lahoo minal 'azaabi maddaa
- Wa narisuhoo maa yaqoolu wa ya'teenaa fardaa
- Wattakhazoo min doonil laahi aalihatal liyakoonoo lahum 'izzaa
- Kallaa; sa yakfuroona bi'ibaadatihim wa yakoonoona 'alaihim diddaa (section 5)
- Alam tara annaaa arsalnash Shayaateena 'alal kaafireena ta'uzzuhum azzaa
- Falaa ta'jal alaihim innamaa na 'uddu lahum 'addaa
- Yawma nahshurul muttaqeena ilar Rahmaani wafdaa
- Wa nasooqul mujrimeena ilaa Jahannama wirdaa
- Laa yamlikoonash shafaa'ata illaa manittakhaza 'indar Rahmaani 'ahdaa
- Wa qaalut takhazar Rahmaanu waladaa
- Laqad ji'tum shai'an iddaa
- Takaadus samaawaatu yatafattarna minhu wa tanshaq qul ardu wa takhirrul jibaalu haddaa
- An da'aw lir Rahmaani waladaa
- Wa maa yambaghee lir Rahmaani ai yattakhiza waladaa
- In kullu man fis samaawaati wal ardi illaaa aatir Rahmaani 'abdaa
- Laqad ahsaahum wa addahum 'addaa
- Wa kulluhum aateehi Yawmal Qiyaamati fardaa
- Innal lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati sa yaj'alu lahumur Rahmaanu wuddaa
- Fa innamaa yassarnaahu bilisaanika litubashshira bihil muttaqeena wa tunzira bihee qawmal luddaa
- Wa kam ahlaknaa qabla hum min qarnin hal tuhissu minhum min ahadin aw tasma'u lahum rikzaa (section 6)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Kaaf , Haa , yaa, ain , saad2. Zikr hai us rehmat ka jo tere Rubb ne apne banday zakariya par ki thi.
3. Jabke usne apne Rubb ko chupke chupke pukara.
4. Usne arz kiya “aey parwardigar, meri haddiyan tak ghul gayi hain aur sar budhape se bhadak utha hai, aey parwardigar, main kabhi tujhse dua maang kar na-murad nahin raha.
5. Mujhe apne pichey apne bhai bandon ki buraiyon ka khauf hai, aur meri biwi baanjh (barren) hai, tu mujhe apne fazl e khaas se ek waris ata karde.
6. Jo mera bhi ho aur aale yaqub ki miras bhi paye, aur aey parwardigar , usko ek pasandeeda Insan bana”.
7. (Jawab diya gaya) “Aey zakariya, hum tujhe ek ladke ki basharat dete hain jiska naam Yahya hoga, humne is naam ka koi aadmi is se pehle paida nahin kiya”.
8. Arz kiya, “parwardigar, bhala mere haan kaise beta hoga jabke meri biwi baanjh (barren) hai aur main boodha hokar sookh chuka hoon?”
9. Jawab mila “aisa hi hoga. Tera Rubb farmata hai ke yeh to mere liye ek zara si baat hai, aakhir is se pehle main tujhey paida kar chuka hoon jabke tu koi cheez na tha”.
10. Zakariya ne kaha, “parwardigar, mere liye koi nishani muqarrar karde”. Farmaya “tere liye nishani yeh hai ke tu paiham teen din logon se baat na kar sakey”.
11. Chunache woh mehrab se nikal kar apni qaum ke saamne aaya aur usne ishaare se unko hidayat ki ke subh-o-shaam tasbeeh karo.
12. Aey Yahya! Kitaab e ilahi ko mazboot thaam le, humne usey bachpan hi mein “hukum” se nawaza.
13. Aur apni taraf se usko narm dili aur paakeezgi ata ki aur woh bada parheizgaar,
14. Aur apne walidain ka haqq shanaas (dutiful ) tha, woh jabbar(arrogant) na tha aur na nafarman.
15. Salaam uspar jis roz ke woh paida hua aur jis din mare aur jis roz woh zinda karke uthaya jaaye.
16. Aur (aey Muhammad), is kitaab mein Maryam ka haal bayan karo, jabke woh apne logon se alag hokar sharqi (eastern side) janib gosha nasheen (in seclusion) ho gayi thi.
17. Aur purda daal kar unse chup (hidden) baithi thi is haalat mein humne uske paas apni rooh ko (yani Farishte ko) bheja aur woh uske saamne ek pooray Insan ki shakal mein namudar ho gaya.
18. Maryam yakayak bol uthi ke “agar tu koi khuda tars aadmi hai to main tujhse rehman ki panaah maangti hoon”.
19. Usne kaha “main to tere Rubb ka faristada hoon aur is liye bheja gaya hoon ke tujhey ek paakeeza ladka doon”.
20. Maryam ne kaha “ mere haan kaise ladka hoga jabke mujhe kisi bashar (Insaan) ne chua tak nahin hai aur main koi badhkaar aurat nahin hoon”.
21. Farishtey ne kaha “ aisa hi hoga, tera Rubb farmata hai ke aisa karna mere liye bahut aasaan hai aur hum yeh is liye karenge ke us ladke ko logon ke liye ek nishani banayein aur apni taraf se ek rehmat, aur yeh kaam hokar rehna hai”.
22. Mayam ko us bacche ka hamal reh gaya aur woh is hamal ko liye huey ek door ke muqaam par chali gayi.
23. Phir zachgi (delivery) ki takleef ne usey ek khajoor ke darakht ke niche pahucha diya. Woh kehne lagi “kaash main is se pehle hi marr jaati aur mera naam o nishan na rehta”.
24. Farishtey ne paintey (at the foot of her bed) se usko pukar kar kaha “ghum na kar tere Rubb ne tere niche ek chashma rawan kardiya hai.
25. Aur tu zara is darakht ke tanay (trunk) ko hila, tere upar tarr-o-taaza khajoorein tapak padengi.
26. Pas tu kha aur pee aur apni aankhein thandi kar phir agar koi aadmi tujhey nazar aaye to us se kehde ke maine rehman ke liye roze ki nazar maani hai, is liye aaj main kisi se na bolungi”.
27. Phir woh is bacche ko liye huey apni qaum mein aayi. Log kehne lage “aey Maryam, yeh tu ne bada paap kar daala.
28. Aey Haroon ki behan, na tera baap koi bura aadmi tha aur na teri Maa hi koi badhkar aurat thi”.
29. Maryam ne bacche ki taraf ishara kardiya. Logon ne kaha “hum is se kya baat karein jo gehware (cradle) mein pada hua ek baccha hai?”
30. Baccha bol utha “ main Allah ka banda hoon usne mujhe kitaab di , aur Nabi banaya,
31. Aur babarakat kiya jahan bhi main rahoon, aur namaz aur zakat ki pabandi ka hukm diya jab tak main zinda rahoon.
32. Aur apni walida ka haqq ada karne wala banaya, aur mujhko jabbar (oppressive) aur shaqqi (hard-hearted) nahin banaya.
33. Salam hai mujhpar jabke main paida hua aur jabke main maroon(die) aur jabke zinda karke uthaya jaun”.
34. Yeh hai Isa ibn Maryam aur yeh hai uske baare mein woh sacchi baat jismein log shakk kar rahe hain.
35. Allah ka yeh kaam nahin hai ke woh kisi ko beta banaye. Woh paak zaat hai, woh jab kisi baat ka faisla karta hai to kehta hai ke ho jaa, aur bas woh ho jaati hai.
36. (Aur Isa ne kaha tha ke)”Allah mera Rubb bhi hai aur tumhara Rubb bhi, pas tum usi ki bandagi karo, yahi seedhi raah hai”.
37. Magar phir mukhtalif giroh baham ikhtilaf karne lage. So jin logon ne kufr kiya unke liye woh waqt badi tabahi ka hoga.
38. Jabke woh ek bada din dekhenge, jab woh hamare saamne haazir honge us roz to unke kaan bhi khoob sun rahe honge aur unki aankhein bhi khoob dekhti hongi, magar aaj yeh zalim khuli gumraahi mein mubtala hain.
39. (Aey Muhammad), is haalat mein jabke yeh log gafil hain aur iman nahin la rahe hain, inhein us din se dara do jabke faisla kardiya jayega aur pachtawe ke siwa koi chara-e-kaar na hoga.
40. Aakhir-e-kaar hum hi zameen aur uski sari cheezon ke waris honge aur sab hamari taraf hi paltaye jayenge.
41. Aur is kitaab mein Ibrahim ka qissa bayan karo, beshak woh ek raast-baaz Insan aur ek Nabi tha.
42. (Inhein zara us mauqe ki yaad dilao) jabke usne apne baap se kaha ke “Abbajaan, aap kyun un cheezon ki ibaadat karte hain jo na sunti hain na dekhti hain aur na aap ka koi kaam bana sakti hain?
43. Abbajaan, mere paas ek aisa ilm aaya hai jo aapke paas nahin aaya, aap mere pichey chalein , main aapko seedha raasta bataunga.
44. Abbajaan!aap shaytan ki bandagi na karein, shaytan to rehman ka nafarman hai.
45. Abbajaan, mujhe darr hai ke kahin aap rehman ke azaab mein mubtala na ho jayein aur shaytan ke saathi ban kar rahein”.
46. Baap ne kaha “Ibrahim, kya tu mere maboodon se phir gaya hai? Agar tu baaz na aaya to main tujhey sangsar(stone you to death) kardunga. Bas tu hamesha ke liye mujhse alag ho jaa”.
47. Ibrahim ne kaha “Salaam hai aapko, main apne Rubb se dua karunga ke aapko maaf karde. Mera Rubb mujhpar bada hi meharban hai.
48. Main aap logon ko bhi chodhta hoon aur un hastiyon ko bhi jinhein aap log khuda ko chodh kar pukara karte hain. Main to apne Rubb hi ko pukarunga , umeed hai ke main apne Rubb ko pukar ke na-murad na rahunga”.
49. Pas jab woh un logon se aur unke maboodane gair Allah se juda ho gaya to humne usko Ishaaq aur Yakub jaisi aulad di aur har ek ko Nabi banaya.
50. Aur unko apni rehmat se nawaza aur unko sacchi naamwari ata ki.
51. Aur zikr karo is kitaab mein Moosa ka, woh ek cheeda (chosen) shaks tha aur Rasool Nabi tha.
52. Humne usko Tur ke dahini(right) janib se pukara aur raaz ki guftagu se usko takarrub (honour) ata kiya.
53. Aur apni mehrabani se uske bhai Haroon ko Nabi bana kar usey (madadgaar ke taur par) diya.
54. Aur is kitaab mein Ismail ka zir karo, woh wadey ka saccha tha aur Rasool Nabi tha.
55. Woh apne ghar walon ko namaz aur zakat ka hukm deta tha aur apne Rubb ke nazdeek ek pasandeeda Insan tha.
56. Aur is kitaab mein Idris ka zikr karo, woh ek raast-baaz (righteous) Insan aur ek Nabi tha.
57. Aur usey humne buland muqaam par uthaya tha.
58. Yeh woh paigambar hain jinpar Allah ne inaam farmaya Adam ki aulad mein se, aur un logon ki nasal se jinhein humne Nooh ke saath kashti par sawaar kiya tha, aur Ibrahim ki nasal se aur Israel ki nasal se aur yeh un logon mein se thay jinko humne hidayat bakshi aur barguzida kiya.Inka haal yeh tha ke jab rehman ki aayaat unko sunayi jaati to rotey huey sajde mein gir jaate thay.
59. Phir inke baad woh nakhalf (degenerate) log inke jaansaheen (sucessors) huey jinhon ne namaz ko zaya kiya aur khwahishaat e nafs ki pairwi ki. Pas qareeb hai ke woh gumraahi ke anjaam se do-char hon.
60. Albatta jo tauba karlein aur iman le aayein aur neik amali ikhtiyar karlein woh jannat mein daakhil honge aur unki zarra barabar haqq talafi na hogi.
61. Inke liye hamesha rehne wali jannatein hain jinka rehman ne apne bandon se dar-purda waada kar rakkha hai aur yaqeenan yeh waada poora hokar rehna hai.
62. Wahan woh koi behuda baat na sunenge , jo kuch bhi sunenge theek hi sunenge aur unka rizq unhein paiham subh-o-shaam milta rahega.
63. Yeh hai woh jannat jiska waris hum apne bandon mein se usko banayenge jo parheizgaar raha hai.
64. (Aey Muhammad), hum tumhare Rubb ke hukm ke bagair nahin utra karte, jo kuch hamare aage hai aur jo kuch pichey hai aur jo kuch iske darmiyan mein hai har cheez ka maalik wahi hai aur tumhara Rubb bhoolne wala nahin hai.
65. Woh Rubb hai aasmano ka aur zameen ka aur un saari cheezon ka jo aasmaan o zameen ke darmiyan hain, pas tum uski bandagi karo aur usi ki bangadi par saabit qadam raho. Kya hai koi hasti tumhare ilm mein iski hum paya (equal in rank to him)?
66. Insaan kehta hai kya waqayi jab main marr chukunga to phir zinda karke nikal laya jaunga?
67. Kya Insan ko yaad nahin aata ke hum pehle usko paida kar chuke hain jabke woh kuch bhi na tha?
68. Tere Rubb ki qasam , hum zaroor un sab ko aur unke saath shayateen ko bhi gher layenge, phir jahannum ke gird laa kar inhein ghutno (knees) ke bal gira denge.
69. Phir har giroh mein se har us shaks ko chaant lenge (pick out) jo rehman ke muqable mein zyada sarkash bana hua tha.
70. Phir hum yeh jaante hain ke in mein se kaun sabse badhkar jahannum mein jhonke jaane ka mustahiq hai.
71. Tum mein se koi nahin hai jo jahannum par warid na ho, yeh to ek teh shuda baat hai jise poora karna tere Rubb ka zimma hai.
72. Phir hum un logon ko bacha lenge jo (duniya mein ) muttaqi thay aur zalimon ko usi mein gira hua chodh denge.
73. In logon ko jab hamari khuli khuli aayaat sunayi jaati hain to inkar karne wale iman laane walon se kehte hain “batao, hum dono girohon mein se kaun behtar haalat mein hai aur kiski majlisein zyada shandaar hai?”
74. Halanke inse pehle hum kitni hi aisi qaumo ko halaak kar chuke hain jo inse zyada sar-o-samaan rakhti thin aur zaahiri shaan o shaukat mein inse badi hui thi.
75. Inse kaho, jo shaks gumraahi mein mubtala hota hai usey Rehman dheel diya karta hai, yahan tak ke jab aise log woh cheez dekh lete hain jiska unse waada kiya gaya hai khwa woh azaab e ilahi ho ya qayamat ki ghadi tab unhein maloom ho jata hai ke kiska haal kharab hai aur kiska jattha (party) kamzor!
76. Iske baraks jo logo raah e raast ikhtiyar karte hain Allah unko raast-rawi mein taraqqi ata farmata hai aur baki reh jaane wali nekiyan hi tere Rubb ke nazdeek jaza aur anjaam ke aitbaar se behtar hain.
77. Phir tu ne dekha us shaks ko jo hamari aayaat ko maanne se inkar karta hai aur kehta hai ke main to maal aur aulad se nawaza hi jata rahunga?
78. Kya usey gaib ka pata chal gaya hai ya usne rehman se koi ahad le rakkha hai?
79. Hargiz nahin, jo kuch yeh bakhta (boasts of) hai isey hum likh lenge aur iske liye saza mein aur zyada izafa karenge.
80. Jis sar-o-samaan aur laao lashkar ka yeh zikr kar raha hai woh sab hamare paas reh jayega aur yeh akela hamare saamne haazir hoga.
81. In logon ne Allah ko chodh kar apne kuch khuda bana rakkhe hain taa-ke woh inke pushtebaan (supporters) hon.
82. Koi pushtebaan na hoga, woh sab inki ibaadat ka inkar karenge aur ultey inke mukhalif ban jayenge.
83. Kya tum dekhte nahin ho ke humne in munkireen e haqq par shayateen chodh rakkhe hain jo inhein khoob khoob (mukhalifat e haqq par) uksa rahe hain?
84. Accha, to ab inpar nuzul e azaab ke liye betaab na ho, hum inke din gin rahe hain.
85. Woh din aane wala hai jab muttaqi logon ko hum mehmaano ki tarah rehman ke huzur pesh karenge.
86. Aur mujrimon ko pyase jaanwaron ki tarah jahannum ki taraf haank le jayenge.
87. Us waqt log koi sifarish laane par qaadir na honge bajuz uske jisne Rehman ke huzur se parwana haasil karliya ho.
88. Woh kehte hain ke rehman ne kisi ko beta bana liya hai.
89. Sakht behuda baat hai jo tum log ghadh laye ho.
90. Qareeb hai ke aasmaan phatt padein, zameen shaqq ho jaaye (split asunder) aur pahad gir jayein.
91. Is baat par ke logon ne Rehman ke liye aulad hone ka dawa kiya!
92. Rehman ki yeh shaan nahin hai ke woh kisi ko beta banaye.
93. Zameen aur aasmaano ke andar jo bhi hain sab uske huzoor bandon ki haisiyat se pesh hone wale hain.
94. Sab par woh muheet (encircled) hai aur usne unko shumaar kar rakkha hai.
95. Sab qayamat ke roz fardan fardan (akele akele) uske saamne haazir honge.
96. Yaqeenan jo log iman le aaye hain aur amal e saleh kar rahe hain anqareeb Rehman unke liye dilon mein muhabbat paida kardega.
97. Pas (aey Muhammad) , is kalam ko humne aasaan karke tumhari zubaan mein isi liye naazil kiya hai ke tum parheizgaron ko khush-khabri dedo aur hat-dharm (jhagdalu/obdurate) logon ko dara do.
98. Inse pehle hum kitni hi qaumon ko halaak kar chuke hain, phir aaj kahin tum unka nishaan paatey ho, ya unki bhanak bhi kahin sunayi deti hai?
Comments
Post a Comment