📖 Surah 17 Al-Isra Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- سُبْحَانَ الَّذِي أَسْرَىٰ بِعَبْدِهِ لَيْلًا مِنَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ إِلَى الْمَسْجِدِ الْأَقْصَى الَّذِي بَارَكْنَا حَوْلَهُ لِنُرِيَهُ مِنْ آيَاتِنَا ۚ إِنَّهُ هُوَ السَّمِيعُ الْبَصِيرُ
- وَآتَيْنَا مُوسَى الْكِتَابَ وَجَعَلْنَاهُ هُدًى لِبَنِي إِسْرَائِيلَ أَلَّا تَتَّخِذُوا مِنْ دُونِي وَكِيلًا
- ذُرِّيَّةَ مَنْ حَمَلْنَا مَعَ نُوحٍ ۚ إِنَّهُ كَانَ عَبْدًا شَكُورًا
- وَقَضَيْنَا إِلَىٰ بَنِي إِسْرَائِيلَ فِي الْكِتَابِ لَتُفْسِدُنَّ فِي الْأَرْضِ مَرَّتَيْنِ وَلَتَعْلُنَّ عُلُوًّا كَبِيرًا
- فَإِذَا جَاءَ وَعْدُ أُولَاهُمَا بَعَثْنَا عَلَيْكُمْ عِبَادًا لَنَا أُولِي بَأْسٍ شَدِيدٍ فَجَاسُوا خِلَالَ الدِّيَارِ ۚ وَكَانَ وَعْدًا مَفْعُولًا
- ثُمَّ رَدَدْنَا لَكُمُ الْكَرَّةَ عَلَيْهِمْ وَأَمْدَدْنَاكُمْ بِأَمْوَالٍ وَبَنِينَ وَجَعَلْنَاكُمْ أَكْثَرَ نَفِيرًا
- إِنْ أَحْسَنْتُمْ أَحْسَنْتُمْ لِأَنْفُسِكُمْ ۖ وَإِنْ أَسَأْتُمْ فَلَهَا ۚ فَإِذَا جَاءَ وَعْدُ الْآخِرَةِ لِيَسُوءُوا وُجُوهَكُمْ وَلِيَدْخُلُوا الْمَسْجِدَ كَمَا دَخَلُوهُ أَوَّلَ مَرَّةٍ وَلِيُتَبِّرُوا مَا عَلَوْا تَتْبِيرًا
- عَسَىٰ رَبُّكُمْ أَنْ يَرْحَمَكُمْ ۚ وَإِنْ عُدْتُمْ عُدْنَا ۘ وَجَعَلْنَا جَهَنَّمَ لِلْكَافِرِينَ حَصِيرًا
- إِنَّ هَٰذَا الْقُرْآنَ يَهْدِي لِلَّتِي هِيَ أَقْوَمُ وَيُبَشِّرُ الْمُؤْمِنِينَ الَّذِينَ يَعْمَلُونَ الصَّالِحَاتِ أَنَّ لَهُمْ أَجْرًا كَبِيرًا
- وَأَنَّ الَّذِينَ لَا يُؤْمِنُونَ بِالْآخِرَةِ أَعْتَدْنَا لَهُمْ عَذَابًا أَلِيمًا
- وَيَدْعُ الْإِنْسَانُ بِالشَّرِّ دُعَاءَهُ بِالْخَيْرِ ۖ وَكَانَ الْإِنْسَانُ عَجُولًا
- وَجَعَلْنَا اللَّيْلَ وَالنَّهَارَ آيَتَيْنِ ۖ فَمَحَوْنَا آيَةَ اللَّيْلِ وَجَعَلْنَا آيَةَ النَّهَارِ مُبْصِرَةً لِتَبْتَغُوا فَضْلًا مِنْ رَبِّكُمْ وَلِتَعْلَمُوا عَدَدَ السِّنِينَ وَالْحِسَابَ ۚ وَكُلَّ شَيْءٍ فَصَّلْنَاهُ تَفْصِيلًا
- وَكُلَّ إِنْسَانٍ أَلْزَمْنَاهُ طَائِرَهُ فِي عُنُقِهِ ۖ وَنُخْرِجُ لَهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ كِتَابًا يَلْقَاهُ مَنْشُورًا
- اقْرَأْ كِتَابَكَ كَفَىٰ بِنَفْسِكَ الْيَوْمَ عَلَيْكَ حَسِيبًا
- مَنِ اهْتَدَىٰ فَإِنَّمَا يَهْتَدِي لِنَفْسِهِ ۖ وَمَنْ ضَلَّ فَإِنَّمَا يَضِلُّ عَلَيْهَا ۚ وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٌ وِزْرَ أُخْرَىٰ ۗ وَمَا كُنَّا مُعَذِّبِينَ حَتَّىٰ نَبْعَثَ رَسُولًا
- وَإِذَا أَرَدْنَا أَنْ نُهْلِكَ قَرْيَةً أَمَرْنَا مُتْرَفِيهَا فَفَسَقُوا فِيهَا فَحَقَّ عَلَيْهَا الْقَوْلُ فَدَمَّرْنَاهَا تَدْمِيرًا
- وَكَمْ أَهْلَكْنَا مِنَ الْقُرُونِ مِنْ بَعْدِ نُوحٍ ۗ وَكَفَىٰ بِرَبِّكَ بِذُنُوبِ عِبَادِهِ خَبِيرًا بَصِيرًا
- مَنْ كَانَ يُرِيدُ الْعَاجِلَةَ عَجَّلْنَا لَهُ فِيهَا مَا نَشَاءُ لِمَنْ نُرِيدُ ثُمَّ جَعَلْنَا لَهُ جَهَنَّمَ يَصْلَاهَا مَذْمُومًا مَدْحُورًا
- وَمَنْ أَرَادَ الْآخِرَةَ وَسَعَىٰ لَهَا سَعْيَهَا وَهُوَ مُؤْمِنٌ فَأُولَٰئِكَ كَانَ سَعْيُهُمْ مَشْكُورًا
- كُلًّا نُمِدُّ هَٰؤُلَاءِ وَهَٰؤُلَاءِ مِنْ عَطَاءِ رَبِّكَ ۚ وَمَا كَانَ عَطَاءُ رَبِّكَ مَحْظُورًا
- انْظُرْ كَيْفَ فَضَّلْنَا بَعْضَهُمْ عَلَىٰ بَعْضٍ ۚ وَلَلْآخِرَةُ أَكْبَرُ دَرَجَاتٍ وَأَكْبَرُ تَفْضِيلًا
- لَا تَجْعَلْ مَعَ اللَّهِ إِلَٰهًا آخَرَ فَتَقْعُدَ مَذْمُومًا مَخْذُولًا
- وَقَضَىٰ رَبُّكَ أَلَّا تَعْبُدُوا إِلَّا إِيَّاهُ وَبِالْوَالِدَيْنِ إِحْسَانًا ۚ إِمَّا يَبْلُغَنَّ عِنْدَكَ الْكِبَرَ أَحَدُهُمَا أَوْ كِلَاهُمَا فَلَا تَقُلْ لَهُمَا أُفٍّ وَلَا تَنْهَرْهُمَا وَقُلْ لَهُمَا قَوْلًا كَرِيمًا
- وَاخْفِضْ لَهُمَا جَنَاحَ الذُّلِّ مِنَ الرَّحْمَةِ وَقُلْ رَبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا
- رَبُّكُمْ أَعْلَمُ بِمَا فِي نُفُوسِكُمْ ۚ إِنْ تَكُونُوا صَالِحِينَ فَإِنَّهُ كَانَ لِلْأَوَّابِينَ غَفُورًا
- وَآتِ ذَا الْقُرْبَىٰ حَقَّهُ وَالْمِسْكِينَ وَابْنَ السَّبِيلِ وَلَا تُبَذِّرْ تَبْذِيرًا
- إِنَّ الْمُبَذِّرِينَ كَانُوا إِخْوَانَ الشَّيَاطِينِ ۖ وَكَانَ الشَّيْطَانُ لِرَبِّهِ كَفُورًا
- وَإِمَّا تُعْرِضَنَّ عَنْهُمُ ابْتِغَاءَ رَحْمَةٍ مِنْ رَبِّكَ تَرْجُوهَا فَقُلْ لَهُمْ قَوْلًا مَيْسُورًا
- وَلَا تَجْعَلْ يَدَكَ مَغْلُولَةً إِلَىٰ عُنُقِكَ وَلَا تَبْسُطْهَا كُلَّ الْبَسْطِ فَتَقْعُدَ مَلُومًا مَحْسُورًا
- إِنَّ رَبَّكَ يَبْسُطُ الرِّزْقَ لِمَنْ يَشَاءُ وَيَقْدِرُ ۚ إِنَّهُ كَانَ بِعِبَادِهِ خَبِيرًا بَصِيرًا
- وَلَا تَقْتُلُوا أَوْلَادَكُمْ خَشْيَةَ إِمْلَاقٍ ۖ نَحْنُ نَرْزُقُهُمْ وَإِيَّاكُمْ ۚ إِنَّ قَتْلَهُمْ كَانَ خِطْئًا كَبِيرًا
- وَلَا تَقْرَبُوا الزِّنَا ۖ إِنَّهُ كَانَ فَاحِشَةً وَسَاءَ سَبِيلًا
- وَلَا تَقْتُلُوا النَّفْسَ الَّتِي حَرَّمَ اللَّهُ إِلَّا بِالْحَقِّ ۗ وَمَنْ قُتِلَ مَظْلُومًا فَقَدْ جَعَلْنَا لِوَلِيِّهِ سُلْطَانًا فَلَا يُسْرِفْ فِي الْقَتْلِ ۖ إِنَّهُ كَانَ مَنْصُورًا
- وَلَا تَقْرَبُوا مَالَ الْيَتِيمِ إِلَّا بِالَّتِي هِيَ أَحْسَنُ حَتَّىٰ يَبْلُغَ أَشُدَّهُ ۚ وَأَوْفُوا بِالْعَهْدِ ۖ إِنَّ الْعَهْدَ كَانَ مَسْئُولًا
- وَأَوْفُوا الْكَيْلَ إِذَا كِلْتُمْ وَزِنُوا بِالْقِسْطَاسِ الْمُسْتَقِيمِ ۚ ذَٰلِكَ خَيْرٌ وَأَحْسَنُ تَأْوِيلًا
- وَلَا تَقْفُ مَا لَيْسَ لَكَ بِهِ عِلْمٌ ۚ إِنَّ السَّمْعَ وَالْبَصَرَ وَالْفُؤَادَ كُلُّ أُولَٰئِكَ كَانَ عَنْهُ مَسْئُولًا
- وَلَا تَمْشِ فِي الْأَرْضِ مَرَحًا ۖ إِنَّكَ لَنْ تَخْرِقَ الْأَرْضَ وَلَنْ تَبْلُغَ الْجِبَالَ طُولًا
- كُلُّ ذَٰلِكَ كَانَ سَيِّئُهُ عِنْدَ رَبِّكَ مَكْرُوهًا
- ذَٰلِكَ مِمَّا أَوْحَىٰ إِلَيْكَ رَبُّكَ مِنَ الْحِكْمَةِ ۗ وَلَا تَجْعَلْ مَعَ اللَّهِ إِلَٰهًا آخَرَ فَتُلْقَىٰ فِي جَهَنَّمَ مَلُومًا مَدْحُورًا
- أَفَأَصْفَاكُمْ رَبُّكُمْ بِالْبَنِينَ وَاتَّخَذَ مِنَ الْمَلَائِكَةِ إِنَاثًا ۚ إِنَّكُمْ لَتَقُولُونَ قَوْلًا عَظِيمًا
- وَلَقَدْ صَرَّفْنَا فِي هَٰذَا الْقُرْآنِ لِيَذَّكَّرُوا وَمَا يَزِيدُهُمْ إِلَّا نُفُورًا
- قُلْ لَوْ كَانَ مَعَهُ آلِهَةٌ كَمَا يَقُولُونَ إِذًا لَابْتَغَوْا إِلَىٰ ذِي الْعَرْشِ سَبِيلًا
- سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ عَمَّا يَقُولُونَ عُلُوًّا كَبِيرًا
- تُسَبِّحُ لَهُ السَّمَاوَاتُ السَّبْعُ وَالْأَرْضُ وَمَنْ فِيهِنَّ ۚ وَإِنْ مِنْ شَيْءٍ إِلَّا يُسَبِّحُ بِحَمْدِهِ وَلَٰكِنْ لَا تَفْقَهُونَ تَسْبِيحَهُمْ ۗ إِنَّهُ كَانَ حَلِيمًا غَفُورًا
- وَإِذَا قَرَأْتَ الْقُرْآنَ جَعَلْنَا بَيْنَكَ وَبَيْنَ الَّذِينَ لَا يُؤْمِنُونَ بِالْآخِرَةِ حِجَابًا مَسْتُورًا
- وَجَعَلْنَا عَلَىٰ قُلُوبِهِمْ أَكِنَّةً أَنْ يَفْقَهُوهُ وَفِي آذَانِهِمْ وَقْرًا ۚ وَإِذَا ذَكَرْتَ رَبَّكَ فِي الْقُرْآنِ وَحْدَهُ وَلَّوْا عَلَىٰ أَدْبَارِهِمْ نُفُورًا
- نَحْنُ أَعْلَمُ بِمَا يَسْتَمِعُونَ بِهِ إِذْ يَسْتَمِعُونَ إِلَيْكَ وَإِذْ هُمْ نَجْوَىٰ إِذْ يَقُولُ الظَّالِمُونَ إِنْ تَتَّبِعُونَ إِلَّا رَجُلًا مَسْحُورًا
- انْظُرْ كَيْفَ ضَرَبُوا لَكَ الْأَمْثَالَ فَضَلُّوا فَلَا يَسْتَطِيعُونَ سَبِيلًا
- وَقَالُوا أَإِذَا كُنَّا عِظَامًا وَرُفَاتًا أَإِنَّا لَمَبْعُوثُونَ خَلْقًا جَدِيدًا
- قُلْ كُونُوا حِجَارَةً أَوْ حَدِيدًا
- أَوْ خَلْقًا مِمَّا يَكْبُرُ فِي صُدُورِكُمْ ۚ فَسَيَقُولُونَ مَنْ يُعِيدُنَا ۖ قُلِ الَّذِي فَطَرَكُمْ أَوَّلَ مَرَّةٍ ۚ فَسَيُنْغِضُونَ إِلَيْكَ رُءُوسَهُمْ وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هُوَ ۖ قُلْ عَسَىٰ أَنْ يَكُونَ قَرِيبًا
- يَوْمَ يَدْعُوكُمْ فَتَسْتَجِيبُونَ بِحَمْدِهِ وَتَظُنُّونَ إِنْ لَبِثْتُمْ إِلَّا قَلِيلًا
- وَقُلْ لِعِبَادِي يَقُولُوا الَّتِي هِيَ أَحْسَنُ ۚ إِنَّ الشَّيْطَانَ يَنْزَغُ بَيْنَهُمْ ۚ إِنَّ الشَّيْطَانَ كَانَ لِلْإِنْسَانِ عَدُوًّا مُبِينًا
- رَبُّكُمْ أَعْلَمُ بِكُمْ ۖ إِنْ يَشَأْ يَرْحَمْكُمْ أَوْ إِنْ يَشَأْ يُعَذِّبْكُمْ ۚ وَمَا أَرْسَلْنَاكَ عَلَيْهِمْ وَكِيلًا
- وَرَبُّكَ أَعْلَمُ بِمَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۗ وَلَقَدْ فَضَّلْنَا بَعْضَ النَّبِيِّينَ عَلَىٰ بَعْضٍ ۖ وَآتَيْنَا دَاوُودَ زَبُورًا
- قُلِ ادْعُوا الَّذِينَ زَعَمْتُمْ مِنْ دُونِهِ فَلَا يَمْلِكُونَ كَشْفَ الضُّرِّ عَنْكُمْ وَلَا تَحْوِيلًا
- أُولَٰئِكَ الَّذِينَ يَدْعُونَ يَبْتَغُونَ إِلَىٰ رَبِّهِمُ الْوَسِيلَةَ أَيُّهُمْ أَقْرَبُ وَيَرْجُونَ رَحْمَتَهُ وَيَخَافُونَ عَذَابَهُ ۚ إِنَّ عَذَابَ رَبِّكَ كَانَ مَحْذُورًا
- وَإِنْ مِنْ قَرْيَةٍ إِلَّا نَحْنُ مُهْلِكُوهَا قَبْلَ يَوْمِ الْقِيَامَةِ أَوْ مُعَذِّبُوهَا عَذَابًا شَدِيدًا ۚ كَانَ ذَٰلِكَ فِي الْكِتَابِ مَسْطُورًا
- وَمَا مَنَعَنَا أَنْ نُرْسِلَ بِالْآيَاتِ إِلَّا أَنْ كَذَّبَ بِهَا الْأَوَّلُونَ ۚ وَآتَيْنَا ثَمُودَ النَّاقَةَ مُبْصِرَةً فَظَلَمُوا بِهَا ۚ وَمَا نُرْسِلُ بِالْآيَاتِ إِلَّا تَخْوِيفًا
- وَإِذْ قُلْنَا لَكَ إِنَّ رَبَّكَ أَحَاطَ بِالنَّاسِ ۚ وَمَا جَعَلْنَا الرُّؤْيَا الَّتِي أَرَيْنَاكَ إِلَّا فِتْنَةً لِلنَّاسِ وَالشَّجَرَةَ الْمَلْعُونَةَ فِي الْقُرْآنِ ۚ وَنُخَوِّفُهُمْ فَمَا يَزِيدُهُمْ إِلَّا طُغْيَانًا كَبِيرًا
- وَإِذْ قُلْنَا لِلْمَلَائِكَةِ اسْجُدُوا لِآدَمَ فَسَجَدُوا إِلَّا إِبْلِيسَ قَالَ أَأَسْجُدُ لِمَنْ خَلَقْتَ طِينًا
- قَالَ أَرَأَيْتَكَ هَٰذَا الَّذِي كَرَّمْتَ عَلَيَّ لَئِنْ أَخَّرْتَنِ إِلَىٰ يَوْمِ الْقِيَامَةِ لَأَحْتَنِكَنَّ ذُرِّيَّتَهُ إِلَّا قَلِيلًا
- قَالَ اذْهَبْ فَمَنْ تَبِعَكَ مِنْهُمْ فَإِنَّ جَهَنَّمَ جَزَاؤُكُمْ جَزَاءً مَوْفُورًا
- وَاسْتَفْزِزْ مَنِ اسْتَطَعْتَ مِنْهُمْ بِصَوْتِكَ وَأَجْلِبْ عَلَيْهِمْ بِخَيْلِكَ وَرَجِلِكَ وَشَارِكْهُمْ فِي الْأَمْوَالِ وَالْأَوْلَادِ وَعِدْهُمْ ۚ وَمَا يَعِدُهُمُ الشَّيْطَانُ إِلَّا غُرُورًا
- إِنَّ عِبَادِي لَيْسَ لَكَ عَلَيْهِمْ سُلْطَانٌ ۚ وَكَفَىٰ بِرَبِّكَ وَكِيلًا
- رَبُّكُمُ الَّذِي يُزْجِي لَكُمُ الْفُلْكَ فِي الْبَحْرِ لِتَبْتَغُوا مِنْ فَضْلِهِ ۚ إِنَّهُ كَانَ بِكُمْ رَحِيمًا
- وَإِذَا مَسَّكُمُ الضُّرُّ فِي الْبَحْرِ ضَلَّ مَنْ تَدْعُونَ إِلَّا إِيَّاهُ ۖ فَلَمَّا نَجَّاكُمْ إِلَى الْبَرِّ أَعْرَضْتُمْ ۚ وَكَانَ الْإِنْسَانُ كَفُورًا
- أَفَأَمِنْتُمْ أَنْ يَخْسِفَ بِكُمْ جَانِبَ الْبَرِّ أَوْ يُرْسِلَ عَلَيْكُمْ حَاصِبًا ثُمَّ لَا تَجِدُوا لَكُمْ وَكِيلًا
- أَمْ أَمِنْتُمْ أَنْ يُعِيدَكُمْ فِيهِ تَارَةً أُخْرَىٰ فَيُرْسِلَ عَلَيْكُمْ قَاصِفًا مِنَ الرِّيحِ فَيُغْرِقَكُمْ بِمَا كَفَرْتُمْ ۙ ثُمَّ لَا تَجِدُوا لَكُمْ عَلَيْنَا بِهِ تَبِيعًا
- وَلَقَدْ كَرَّمْنَا بَنِي آدَمَ وَحَمَلْنَاهُمْ فِي الْبَرِّ وَالْبَحْرِ وَرَزَقْنَاهُمْ مِنَ الطَّيِّبَاتِ وَفَضَّلْنَاهُمْ عَلَىٰ كَثِيرٍ مِمَّنْ خَلَقْنَا تَفْضِيلًا
- يَوْمَ نَدْعُو كُلَّ أُنَاسٍ بِإِمَامِهِمْ ۖ فَمَنْ أُوتِيَ كِتَابَهُ بِيَمِينِهِ فَأُولَٰئِكَ يَقْرَءُونَ كِتَابَهُمْ وَلَا يُظْلَمُونَ فَتِيلًا
- وَمَنْ كَانَ فِي هَٰذِهِ أَعْمَىٰ فَهُوَ فِي الْآخِرَةِ أَعْمَىٰ وَأَضَلُّ سَبِيلًا
- وَإِنْ كَادُوا لَيَفْتِنُونَكَ عَنِ الَّذِي أَوْحَيْنَا إِلَيْكَ لِتَفْتَرِيَ عَلَيْنَا غَيْرَهُ ۖ وَإِذًا لَاتَّخَذُوكَ خَلِيلًا
- وَلَوْلَا أَنْ ثَبَّتْنَاكَ لَقَدْ كِدْتَ تَرْكَنُ إِلَيْهِمْ شَيْئًا قَلِيلًا
- إِذًا لَأَذَقْنَاكَ ضِعْفَ الْحَيَاةِ وَضِعْفَ الْمَمَاتِ ثُمَّ لَا تَجِدُ لَكَ عَلَيْنَا نَصِيرًا
- وَإِنْ كَادُوا لَيَسْتَفِزُّونَكَ مِنَ الْأَرْضِ لِيُخْرِجُوكَ مِنْهَا ۖ وَإِذًا لَا يَلْبَثُونَ خِلَافَكَ إِلَّا قَلِيلًا
- سُنَّةَ مَنْ قَدْ أَرْسَلْنَا قَبْلَكَ مِنْ رُسُلِنَا ۖ وَلَا تَجِدُ لِسُنَّتِنَا تَحْوِيلًا
- أَقِمِ الصَّلَاةَ لِدُلُوكِ الشَّمْسِ إِلَىٰ غَسَقِ اللَّيْلِ وَقُرْآنَ الْفَجْرِ ۖ إِنَّ قُرْآنَ الْفَجْرِ كَانَ مَشْهُودًا
- وَمِنَ اللَّيْلِ فَتَهَجَّدْ بِهِ نَافِلَةً لَكَ عَسَىٰ أَنْ يَبْعَثَكَ رَبُّكَ مَقَامًا مَحْمُودًا
- وَقُلْ رَبِّ أَدْخِلْنِي مُدْخَلَ صِدْقٍ وَأَخْرِجْنِي مُخْرَجَ صِدْقٍ وَاجْعَلْ لِي مِنْ لَدُنْكَ سُلْطَانًا نَصِيرًا
- وَقُلْ جَاءَ الْحَقُّ وَزَهَقَ الْبَاطِلُ ۚ إِنَّ الْبَاطِلَ كَانَ زَهُوقًا
- وَنُنَزِّلُ مِنَ الْقُرْآنِ مَا هُوَ شِفَاءٌ وَرَحْمَةٌ لِلْمُؤْمِنِينَ ۙ وَلَا يَزِيدُ الظَّالِمِينَ إِلَّا خَسَارًا
- وَإِذَا أَنْعَمْنَا عَلَى الْإِنْسَانِ أَعْرَضَ وَنَأَىٰ بِجَانِبِهِ ۖ وَإِذَا مَسَّهُ الشَّرُّ كَانَ يَئُوسًا
- قُلْ كُلٌّ يَعْمَلُ عَلَىٰ شَاكِلَتِهِ فَرَبُّكُمْ أَعْلَمُ بِمَنْ هُوَ أَهْدَىٰ سَبِيلًا
- وَيَسْأَلُونَكَ عَنِ الرُّوحِ ۖ قُلِ الرُّوحُ مِنْ أَمْرِ رَبِّي وَمَا أُوتِيتُمْ مِنَ الْعِلْمِ إِلَّا قَلِيلًا
- وَلَئِنْ شِئْنَا لَنَذْهَبَنَّ بِالَّذِي أَوْحَيْنَا إِلَيْكَ ثُمَّ لَا تَجِدُ لَكَ بِهِ عَلَيْنَا وَكِيلًا
- إِلَّا رَحْمَةً مِنْ رَبِّكَ ۚ إِنَّ فَضْلَهُ كَانَ عَلَيْكَ كَبِيرًا
- قُلْ لَئِنِ اجْتَمَعَتِ الْإِنْسُ وَالْجِنُّ عَلَىٰ أَنْ يَأْتُوا بِمِثْلِ هَٰذَا الْقُرْآنِ لَا يَأْتُونَ بِمِثْلِهِ وَلَوْ كَانَ بَعْضُهُمْ لِبَعْضٍ ظَهِيرًا
- وَلَقَدْ صَرَّفْنَا لِلنَّاسِ فِي هَٰذَا الْقُرْآنِ مِنْ كُلِّ مَثَلٍ فَأَبَىٰ أَكْثَرُ النَّاسِ إِلَّا كُفُورًا
- وَقَالُوا لَنْ نُؤْمِنَ لَكَ حَتَّىٰ تَفْجُرَ لَنَا مِنَ الْأَرْضِ يَنْبُوعًا
- أَوْ تَكُونَ لَكَ جَنَّةٌ مِنْ نَخِيلٍ وَعِنَبٍ فَتُفَجِّرَ الْأَنْهَارَ خِلَالَهَا تَفْجِيرًا
- أَوْ تُسْقِطَ السَّمَاءَ كَمَا زَعَمْتَ عَلَيْنَا كِسَفًا أَوْ تَأْتِيَ بِاللَّهِ وَالْمَلَائِكَةِ قَبِيلًا
- أَوْ يَكُونَ لَكَ بَيْتٌ مِنْ زُخْرُفٍ أَوْ تَرْقَىٰ فِي السَّمَاءِ وَلَنْ نُؤْمِنَ لِرُقِيِّكَ حَتَّىٰ تُنَزِّلَ عَلَيْنَا كِتَابًا نَقْرَؤُهُ ۗ قُلْ سُبْحَانَ رَبِّي هَلْ كُنْتُ إِلَّا بَشَرًا رَسُولًا
- وَمَا مَنَعَ النَّاسَ أَنْ يُؤْمِنُوا إِذْ جَاءَهُمُ الْهُدَىٰ إِلَّا أَنْ قَالُوا أَبَعَثَ اللَّهُ بَشَرًا رَسُولًا
- قُلْ لَوْ كَانَ فِي الْأَرْضِ مَلَائِكَةٌ يَمْشُونَ مُطْمَئِنِّينَ لَنَزَّلْنَا عَلَيْهِمْ مِنَ السَّمَاءِ مَلَكًا رَسُولًا
- قُلْ كَفَىٰ بِاللَّهِ شَهِيدًا بَيْنِي وَبَيْنَكُمْ ۚ إِنَّهُ كَانَ بِعِبَادِهِ خَبِيرًا بَصِيرًا
- وَمَنْ يَهْدِ اللَّهُ فَهُوَ الْمُهْتَدِ ۖ وَمَنْ يُضْلِلْ فَلَنْ تَجِدَ لَهُمْ أَوْلِيَاءَ مِنْ دُونِهِ ۖ وَنَحْشُرُهُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ عَلَىٰ وُجُوهِهِمْ عُمْيًا وَبُكْمًا وَصُمًّا ۖ مَأْوَاهُمْ جَهَنَّمُ ۖ كُلَّمَا خَبَتْ زِدْنَاهُمْ سَعِيرًا
- ذَٰلِكَ جَزَاؤُهُمْ بِأَنَّهُمْ كَفَرُوا بِآيَاتِنَا وَقَالُوا أَإِذَا كُنَّا عِظَامًا وَرُفَاتًا أَإِنَّا لَمَبْعُوثُونَ خَلْقًا جَدِيدًا
- أَوَلَمْ يَرَوْا أَنَّ اللَّهَ الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ قَادِرٌ عَلَىٰ أَنْ يَخْلُقَ مِثْلَهُمْ وَجَعَلَ لَهُمْ أَجَلًا لَا رَيْبَ فِيهِ فَأَبَى الظَّالِمُونَ إِلَّا كُفُورًا
- قُلْ لَوْ أَنْتُمْ تَمْلِكُونَ خَزَائِنَ رَحْمَةِ رَبِّي إِذًا لَأَمْسَكْتُمْ خَشْيَةَ الْإِنْفَاقِ ۚ وَكَانَ الْإِنْسَانُ قَتُورًا
- وَلَقَدْ آتَيْنَا مُوسَىٰ تِسْعَ آيَاتٍ بَيِّنَاتٍ ۖ فَاسْأَلْ بَنِي إِسْرَائِيلَ إِذْ جَاءَهُمْ فَقَالَ لَهُ فِرْعَوْنُ إِنِّي لَأَظُنُّكَ يَا مُوسَىٰ مَسْحُورًا
- قَالَ لَقَدْ عَلِمْتَ مَا أَنْزَلَ هَٰؤُلَاءِ إِلَّا رَبُّ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ بَصَائِرَ وَإِنِّي لَأَظُنُّكَ يَا فِرْعَوْنُ مَثْبُورًا
- فَأَرَادَ أَنْ يَسْتَفِزَّهُمْ مِنَ الْأَرْضِ فَأَغْرَقْنَاهُ وَمَنْ مَعَهُ جَمِيعًا
- وَقُلْنَا مِنْ بَعْدِهِ لِبَنِي إِسْرَائِيلَ اسْكُنُوا الْأَرْضَ فَإِذَا جَاءَ وَعْدُ الْآخِرَةِ جِئْنَا بِكُمْ لَفِيفًا
- وَبِالْحَقِّ أَنْزَلْنَاهُ وَبِالْحَقِّ نَزَلَ ۗ وَمَا أَرْسَلْنَاكَ إِلَّا مُبَشِّرًا وَنَذِيرًا
- وَقُرْآنًا فَرَقْنَاهُ لِتَقْرَأَهُ عَلَى النَّاسِ عَلَىٰ مُكْثٍ وَنَزَّلْنَاهُ تَنْزِيلًا
- قُلْ آمِنُوا بِهِ أَوْ لَا تُؤْمِنُوا ۚ إِنَّ الَّذِينَ أُوتُوا الْعِلْمَ مِنْ قَبْلِهِ إِذَا يُتْلَىٰ عَلَيْهِمْ يَخِرُّونَ لِلْأَذْقَانِ سُجَّدًا
- وَيَقُولُونَ سُبْحَانَ رَبِّنَا إِنْ كَانَ وَعْدُ رَبِّنَا لَمَفْعُولًا
- وَيَخِرُّونَ لِلْأَذْقَانِ يَبْكُونَ وَيَزِيدُهُمْ خُشُوعًا ۩
- قُلِ ادْعُوا اللَّهَ أَوِ ادْعُوا الرَّحْمَٰنَ ۖ أَيًّا مَا تَدْعُوا فَلَهُ الْأَسْمَاءُ الْحُسْنَىٰ ۚ وَلَا تَجْهَرْ بِصَلَاتِكَ وَلَا تُخَافِتْ بِهَا وَابْتَغِ بَيْنَ ذَٰلِكَ سَبِيلًا
- وَقُلِ الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي لَمْ يَتَّخِذْ وَلَدًا وَلَمْ يَكُنْ لَهُ شَرِيكٌ فِي الْمُلْكِ وَلَمْ يَكُنْ لَهُ وَلِيٌّ مِنَ الذُّلِّ ۖ وَكَبِّرْهُ تَكْبِيرًا
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Subhaanal lazeee asraa bi'abdihee lailam minal Masjidil Haraami ilal Masjidil Aqsal-lazee baaraknaa haw lahoo linuriyahoo min aayaatinaa;innahoo Huwas Samee'ul-Baseer
- Wa aatainaa Moosal-Kitaaba wa ja'alnaahu hudal-liBaneee Israaa'eel;
- allaa tat-takhizoo min doonee wakeelaa.
- Zurriyyata man hamalnaa ma'a Noohin innahoo kaana 'abdan shakooraa
- Wa qadainaaa ilaa Baneee Israaa'eela fil Kitaabi latufsidunna fil ardi marratain; wa lata'lunna'uluwwan kabeeraa
- Fa-izaa jaaa'a wa'duoolaahumaa ba'asnaaa 'alykum 'ibaadal-lanaaa ulee baasin shadeedin fajaasoo khilaalad diyaar; wa kaana wa'dam maf'oolaa
- Summa radadnaa lakumul karrata 'alaihim wa amdad-naakum-bi amwaalinuw wa baneen; wa ja'alnaakum aksara nafeeraa
- In ahsantum ahsantum li anfusikum wa in asaatum falahaa; fa izaa jaaa'a wa'dul aakhirati liyasooo'oo wujoo hakum wa liyadkhulul masjida kamaa dakhaloohu awwala marratinw wa liyutabbiroo maa a'law tatbeera
- 'Asaa rabbukum anyyarhamakum; wa in 'uttum 'udnaa; wa ja'alnaa jahannama lilkaafireena haseera
- Inna haazal Quraana yahdee lillatee hiya aqwamu wa yubashshirul mu'mineenal lazeena ya'maloonas saalihaati anna lahum ajran kabeeraa
- Wa annal lazeena laa yu'minoona bil aakhirati a'tadnaa lahum 'azaaban aleemaa (section 1)
- Wa yad'ul insaanu bishsharri du'aaa 'ahoo bilkhayr; wa kaanal insaanu 'ajoola
- Wa ja'alnal laila wannahaara Aayatayni famahawnaaa Aayatal laili wa ja'alnaaa Aayatan nahaari mubsiratal litabtaghoo fadlam mir Rabbikum wa lita'lamoo 'adadas sineena walhisaab; wa kulla shai'in fassalnaahu tafseelaa
- Wa kulla insaanin alzamnaahu taaa'irahoo fee 'unuqihee wa nukhriji lahoo Yawmal Qiyaamati kitaabany yalqaahu manshooraa
- Iqra kitaabaka kafaa bi nafsikal Yawma 'alaika haseebaa
- Manihtadaa fa innamaa yahtadee linafsihee wa man dalla fa innamaa yadillu 'alaihaa; wa laa taziru waaziratunw wizra ukhraa; wa maa kunnaa mu'azzibeena hatta nab'asa Rasoola
- Wa izaaa aradnaaa an nuhlika qaryatan amarnaa mutrafeehaa fafasaqoo feehaa fahaqqa 'alaihal qawlu fadammarnaahaa tadmeeraa
- Wa kam ahlaknaa minal qurooni min ba'di Nooh; wa kafaa bi Rabbika bizunoobi 'ibaadihee Khabeeram Baseeraa
- Man kaana yureedul 'aajilata 'ajjalnaa lahoo feehaa maa nashaaa'u liman nureedu summa ja'alnaa lahoo Jahannama yaslaahaa mazmoomammad hooraa
- Wa man araadal Aakhirata wa sa'aa lahaa sa'yahaa wa huwa mu'minun fa ulaaa'ika kaana sa'yuhum mashkooraa
- Kullan numiddu haaa 'ulaaa'i wa haaa'ulaaa'i min 'ataaa'i rabbik; wa maa kaana 'ataaa'u rabbika mahzooraa
- Unzur kaifa faddalnaa ba'dahum 'alaa ba'd; wa lal Aakhiratu akbaru darajaatinw wa akbaru tafdeelaa
- Laa taj'al ma'al laahi ilaahan aakhara fataq'uda mazoomam makhzoolaa (section 2)
- Wa qadaa Rabbuka allaa ta'budooo illaaa iyyaahu wa bilwaalidaini ihsaanaa; immaa yablughanna 'indakal kibara ahaduhumaaa aw kilaahumaa falaa taqul lahumaaa uffinw wa laa tanharhumaa wa qullahumaa qawlan kareemaa
- Wakhfid lahumaa janaahaz zulli minar rahmati wa qur Rabbir hamhumaa kamaa rabbayaanee sagheera
- Rabbukum a'lamu bimaa fee nufoosikum; in takoonoo saaliheena fa innahoo kaana lil awwaabeena Ghafoooraa
- Wa aati zal qurbaa haqqahoo walmiskeena wabnas sabeeli wa laa tubazzir tabzeeraa
- Innal mubazzireena kaanoo ikhwaanash shayaateeni wa kaanash shaytaanu li Rabbihee kafooraa
- Wa immaa tu'ridanna 'anhum ubtighaaa'a rahmatim mir rabbika tarjoohaa faqul lahum qawlam maisooraa
- Wa laa taj'al yadaka maghloolatan ilaa 'unuqika wa laa tabsut haa kullal basti fataq'uda maloomam mahsooraa
- Inna Rabbaka yabsuturrizqa limai yashaaa'u wa yaqdir; innahoo kaana bi'ibaadihee Khabeeran Baseera (section 3)
- Wa laa taqtulooo awlaadakum khashyata imlaaqin nahnu narzuquhum wa iyyaakum; inna qatlahum kaana khit 'an kabeeraa
- Wa laa taqrabuz zinaaa innahoo kaana faahishatanw wa saaa'a sabeelaa
- Wa laa taqtulun nafsal latee harramal laahu illaa bilhaqq; wa man qutila mazlooman faqad ja'alnaa liwaliyyihee sultaanan falaa yusrif fil qatli innahoo kaana mansooraa
- Wa laa taqraboo maalal yateemi illaa billatee hiya ahsanu hattaa yablugha ashuddah; wa awfoo bil'ahd, innal 'ahda kaana mas'oolaa
- Wa awful kaila izaa kiltum wa zinoo bilqistaasil mustaqeem; zaalika khairunw wa ahsanu ta'weelaa
- Wa laa taqfu maa laisa laka bihee 'ilm; innas sam'a walbasara walfu'aada kullu ulaaa'ika kaana 'anhu mas'oolaa
- Wa laa tamshi fil ardi marahan innaka lan takhriqal arda wa lan tablughal jibaala toola
- Kullu zaalika kaana sayyi'uhoo inda Rabbika makroohaa
- Zaalika mimmaaa awhaaa ilaika Rabbuka minal hikmah; wa laa taj'al ma'allaahi ilaahan aakhara fatulqaa fee Jahannama maloomam mad hooraa
- Afa asfaakum rabbukum bilbaneena wattakhaza minal malaaa'ikati inaasaa; innakum lataqooloona qawlan 'azeema (section 4)
- Wa laqad sarrafnaa fee haazal Quraani liyazzakkaroo wa maa yazeeduhum illaa nufooraa
- Qul law kaana ma'ahooo aalihatun kamaa yaqooloona izal labtaghaw ilaa zil 'Arshi Sabeela
- Subhaanahoo wa Ta'aalaa 'ammaa yaqooloona 'uluwwan kabeeraa
- Tusabbihu lahus samaawaatus sab'u wal ardu wa man feehinn; wa im min shai'in illaa yusabbihu bihamdihee wa laakil laa tafqahoona tasbeehahum; innahoo kaana Haleeman Ghafooraa
- Wa izaa qara' tal Quraana ja'alnaa bainaka wa bainal lazeena laa yu'minoona bil aakhirati hijaabam mastooraa
- Wa ja'alnaa 'alaa quloo bihim akinnatan any yafqahoohu wa feee aazaanihim waqraa; wa izaa zakarta Rabbaka fil Quraani wahdahoo wallaw 'alaaa adbaarihim nufooraa
- Nahnu a'lamu bimaa yastami'oona biheee iz yastami'oona ilaika wa iz hum najwaaa iz yaqooluz zaalimoona in tattabi'oona illaa rajulam mas hooraa
- Unzur kaifa daraboo lakal amsaala fadalloo falaa yastatee'oona sabeelaa
- Wa qaalooo 'a izaa kunnaa 'izaamanw wa rufaatan 'a innaa lamab'oosoona khalqan jadeedaa
- Qul koonoo hijaaratan aw hadeedaa
- Aw khalqam mimmaa yakburu fee sudoorikum; fasa yaqooloona mai yu'eedunaa qulil lazee fatarakum awwala marrah; fasa yunghidoona ilaika ru'oosahum wa yaqooloona mataahoo; qul 'asaaa any yakoona qareeba
- Yawma yad'ookum fatastajeeboona bihamdihee wa tazunnoona il labistum illaa qaleela (section 5)
- Wa qul li'ibaadee yaqoolul latee hiya ahsan; innash shaitaana yanzaghu bainahum; innash shaitaana kaana lil insaani 'aduwwam mubeenaa
- Rabbukum a'lamu bikum iny yasha' yarhamkum aw iny yasha' yu'azzibkum; wa maaa arsalnaaka 'alaihim wakeelaa
- Wa Rabbuka a'lamu biman fis samaawaati wal ard; wa laqad faddalnaa ba'dan Nabiyyeena 'alaa ba'dinw wa aatainaaa Daawooda Zabooraa
- Qulid 'ul lazeena za'amtum min doonihee falaa yamlikoona kashfad durri'ankum wa laa tahweelaa
- Ulaaa'ikal lazeena yad'oona yabtaghoona ilaa Rabbihimul waseelata ayyuhum aqrabu wa yarjoona rahmatahoo wa yakhaafoona 'azaabah; inna 'azaaba rabbika kaana mahzooraa
- Wa in min qaryatin illaa Nahnu muhlikoohaa qabla Yawmil Qiyaamati aw mu'az ziboohaa 'azaaban shadeedaa; kaana zaalika fil Kitaabi mastooraa
- Wa maa mana'anaaa an nursila bil aayaati illaaa an kazzaba bihal awwaloon; wa aatainaa Samoodan naaqata mubsiratan fazalamoo bihaa; wa maa nursilu bil aayaati illaa takhweefaa
- Wa iz qulnaa laka inna rabbaka ahaata binnaas; wa maa ja'alnar ru'yal lateee arainaaka illaa fitnatal linnaasi washshajaratal mal'oonata fil quraan; wa nukhaw wifuhum famaa yazeeduhum illa tughyaanan kabeeraa (section 6)
- Wa iz qulnaa lil malaaa'ikatis judoo li Aadama fasajadooo illaaa Ibleesa qaala 'a-asjudu liman khalaqta teena
- Qaala ara'aytaka haazal lazee karramta 'alaiya la'in akhartani ilaa Yawmil Qiyaamati la ahtanikanna zurriyyatahooo illaa qaleelaa
- Qaalaz hab faman tabi'aka minhum fa inna Jahannama jazaaa'ukum jazaaa'am mawfooraa
- Wastafziz manis tata'ta minhum bisawtika wa ajlib 'alaihim bikhailika wa rajilika wa shaarik hum fil amwaali wal awlaadi wa 'idhum; wa maa ya'iduhumush Shaitaanu illaa ghurooraa
- Inna 'ibaadee laisa laka 'alaihim sultaan; wa kafaa bi Rabbika Wakeelaa
- Rabbukumul lazee yuzjee lakumul fulka fil bahri litabtaghoo min fadlih; innahoo kaana bikum Raheemaa
- Wa izaa massakumuddurru fil bahri dalla man tad'oona illaaa iyyaahu falammaa najjaakum ilal barri a'radtum; wa kaanal insaanu kafooraa
- Afa amintum any yakhsifa bikum jaanibal barri aw yursila 'alaikum haasiban summa laa tajidoo lakum wakeelaa
- Am amintum any yu'eedakum feehi taaratan ukhraa fa yursila 'alaikum qaasifam minar reehi fa yugh riqakum bimaa kafartum summa laa tajidoo lakum 'alainaa bihee tabee'aa
- Wa laqad karramnaa Baneee aadama wa hamalnaahum fil barri walbahri wa razaqnaahum minat taiyibaati wa faddalnaahum 'alaa kaseerim mimman khalaqnaa tafdeelaa (section 7)
- Yawma nad'oo kulla unaasim bi imaamihim faman ootiya kitaabahoo bi yameenihee fa ulaaa'ika yaqra'oona kitaabahum wa laa yuzlamoona fateelaa
- Wa man kaana fee haaziheee a'maa fahuwa fil aakhirati a'maa wa adallu sabeelaa
- Wa in kaadoo la yaftinoonaka 'anil lazeee awhainaaa ilaika litaftariya 'alainaaa ghairahoo wa izallat takhazooka khaleelaa
- Wa law laaa an sabbatnaaka laqad kitta tarkanu ilaihim shai'an qaleela
- Izal la azaqnaaka di'fal hayaati wa di'fal mamaati summa laa tajidu laka 'alainaa naseeraa
- Wa in kaadoo la yastafizzoonaka minal ardi liyukhri jooka minhaa wa izal laa yalbasoona khilaafaka illaa qaleelaa
- Sunnata man qad arsalnaa qablakamir Rusulinaa wa laa tajidu lisunnatinaa tahweelaa
- Aqimis Salaata liduloo kish shamsi ilaa ghasaqil laili wa quraanal Fajri inna quraa nal Fajri kaana mashhoodaa
- Wa minal laili fatahajjad bihee naafilatal laka 'asaaa any yab'asaka Rabbuka Maqaamam Mahmoodaa
- Wa qur Rabbi adkhilnee mudkhala sidqinw wa akhrijnee mukhraja sidqinw waj'al lee milladunka sultaanan naseeraa
- Wa qul jaaa'al haqqu wa zahaqal baatil; innal baatila kaana zahooqaa
- Wa nunazzilu minal quraani maa huwa shifaaa'unw wa rahmatullil mu'mineena wa laa yazeeduz zaalimeena illaa khasaaraa
- Wa izaaa an'amnaa 'alal insaani a'rada wa na-aa bijaani bihee wa izaa massahush sharru kaana ya'oosaa
- Qul kulluny ya'malu 'alaa shaakilatihee fa rabbukum a'lamu biman huwa ahdaa sabeelaa (section 9)
- Wa yas'aloonaka 'anirrooh; qulir roohu min amri rabbee wa maaa ooteetum minal 'ilmi illaa qaleelaa
- Wa la'in shi'naa lanaz habanna billazeee awhainaaa ilaika summa laa tajidu laka bihee 'alainaa wakeelaa
- Illaa rahmatam mir Rabbik; inna fadlahoo kaana 'alaika kabeeraa
- Qul la'inij tama'atil insu waljinnu 'alaaa any ya'too bimisli haazal quraani laa ya'toona bimislihee wa law kaana ba'duhum liba 'din zaheeraa
- Wa laqad sarrafnaa linnaasi fee haazal quraani min kulli masalin fa abaaa aksarun naasi illaa kufooraa
- Wa qaaloo lan nu'mina laka hattaa tafjura lanaa minal ardi yamboo'aa
- Aw takoona laka jannatum min nakheelinw wa 'inabin fatufajjiral anhaara khilaalahaa tafjeeraa
- Aw tusqitas samaaa'a kamaa za'amta 'alainaa kisafan aw ta'tiya billaahi wal malaaa'ikati qabeelaa
- Aw yakoona laka baitum min zukhrufin aw tarqaa fis samaaa'i wa lan nu'mina liruqiyyika hatta tunazzila 'alainaa kitaaban naqra'uh; qul Subhaana Rabbee hal kuntu illaa basharar Rasoolaa (section 10)
- Wa maa mana'an naasa any yu'minooo iz jaaa'ahumul hudaaa illaaa an qaalooo aba'asal laahu basharar Rasoolaa
- Qul law kaana fil ardi malaaa 'ikatuny yamshoona mutma'in neena lanazzalnaa 'alaihim minas samaaa'i malakar Rasoolaa
- Qul kafaa billaahi shaheedam bainee wa bainakum; innahoo kaana bi'ibaadihee Khabeeram Baseeraa
- Wa mai yahdil laahu fahuwal muhtad; wa mai yudlil falan tajida lahum awliyaaa'a min doonih; wa nahshuruhum Yawmal Qiyaamati 'alaa wujoohihim umyanw wa bukmanw wa summaa; ma'waahum Jahannamu kullamaa khabat zidnaahum sa'eeraa
- Zaalika jazaa'uhum bi annahum kafaroo bi aayaatinaa wa qaalooo 'a izaa kunnaa 'izaamanw wa rufaatan 'a innaa la mab'oosoona khalqan jadeedaa
- Awalam yaraw annal laahal lazee khalaqas samaawaati wal arda qaadirun 'alaaa any yakhluqa mislahum wa ja'ala lahum ajalal laa raiba fee; fa abaz zaalimoona illaa kufooraa
- Qul law antum tamlikoona khazaaa'ina rahmati Rabbeee izal la amsaktum khash yatal infaaq; wa kaanal insaanu qatooraa (section 11)
- Wa laqad aatainaa Moosaa tis'a Aayaatim baiyinaatin fas'al Baneee Israaa'eela iz jaaa'ahum faqaala lahoo Fir'awnu inee la azunnuka yaa Moosaa mas hooraa
- Qaala laqad 'alimta maaa anzala haaa'ulaaa'i illaa Rabbus samaawaati wal ardi basaaa'ira wa innee la azun nuka yaa Fir'awnu masbooraa
- Fa araada any yastafizzahum minal ardi fa aghraqnaahu wa mam ma'ahoo jamee'aa
- Wa qulnaa min ba'dihee li Baneee Israaa'eelas kunul arda fa izaa jaaa'a wa'dul aakhirati ji'naa bikum lafeefaa
- Wa bilhaqqi anzalnaahu wa bilhaqqi nazal; wa maaa arsalnaaka illaa mubash shiranw wa nazeeraa
- Wa quraanan faraqnaahu litaqra ahoo 'alan naasi 'alaa muksinw wa nazzalnaahu tanzeelaa
- Qul aaminoo biheee aw laa tu'minoo; innal lazeena ootul 'ilma min qabliheee izaa yutlaa 'alaihim yakhirroona lil azqaani sujjadaa
- Wa yaqooloona Subhaana Rabbinaaa in kaana wa'du Rabbinaa lamaf'oolaa
- Wa yakhirroona lil azqaani yabkoona wa yazeeduhum khushoo'aa (make sajda)
- Qulid'ul laaha awid'ur Rahmaana ayyam maa tad'oo falahul asmaaa'ul Husnaa; wa laa tajhar bi Salaatika wa laa tukhaafit bihaa wabtaghi baina zaalika sabeela
- Wa qulil hamdu lillaahil lazee lam yattakhiz waladanw wa lam yakul lahoo shareekun fil mulki wa lam yakul lahoo waliyyum minaz zulli wa kabbirhu takbeeraa (section 12)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
-
1. Paak hai woh jo le gaya ek raat apne banday ko masjid e haraam se door ki us masjid tak jiske maahol ko usne barakat di hai, taa-ke usey apni kuch nishaniyon ka mushahida karaye (dikhaye). Haqeeqat mein wahi hai sab kuch sunney aur dekhne wala.
2. Humne is se pehle Moosa ko kitaab di thi aur usey bani Israel ke liye zariya e hidayat banaya tha, is takeed ke saath ke mere siwa kisi ko apna wakeel(guardian) na banana.
3. Tum un logon ki aulad ho jinhein humne Nooh ke saath kashti par sawar kiya tha, aur Nooh ek shukarguzar banda tha.
4. Phir humne apni kitaab mein bani Israel ko is baat par bhi mutanabbeh (warn) kardiya tha ke tum do martaba zameen mein fasaad e azeem barpa karoge aur badi sarkashi dikhaoge.
5. Aakhir e kaar jab un mein se pehli sarkashi ka mauqa pesh aaya, to aey bani Israel, humne tumhare muqable par apne aise banday uthaye jo nihayat zoarawar thay aur woh tumhare mulk mein ghus kar har taraf phayl gaye. Yeh ek waada tha jise poora hokar hi rehna tha.
6. Iske baad humne tumhein unpar galabe ka mauqa de diya aur tumhein maal aur aulad se madad di aur tumhari taadaad pehle se badha di.
7. Dekho! Tumne bhalayi ki to woh tumhare apne hi liye bhalayi thi, aur burayi ki to woh tumhari apni zaat ke liye burayi saabit hui. Phir jab dusre wadey ka waqt aaya to humne dusre dushmano ko tumpar musallat kiya taa-ke woh tumhare chehre bigaad dein aur masjid (bayt ul maqdis) mein usi tarah ghus jayein jis tarah pehle dushman ghuse thay aur jis cheez par unka haath padey usey tabaah karke rakh dein.
8. Ho sakta hai ke ab tumhara Rubb tumpar reham kare, lekin agar tumne phir apni sabiq rawish(former behaviour) ka iaada kiya to hum bhi phir apni saza ka iaada karenge, aur kafir e niyamat logon ke liye humne jahannum ko qaid khana bana rakkha hai.
9. Haqeeqat yeh hai ke yeh Quran woh raah dikhata hai jo bilkul seedhi hai. Jo log isey maan kar bhale kaam karne lagein unhein yeh basharat deta hai ke unke liye bada ajar hai.
10. Aur jo log aakhirat ko na maanein unhein yeh khabar deta hai ke unke liye humne dardnaak azaab muhaiyya kar rakkha hai.
11. Insaan sharr (burai) us tarah maangta hai jis tarah khair maangni chahiye. Insan bada hi jald baaz waqey hua hai.
12. Dekho, humne raat aur din ko do nishaniyan banaya hai. Raat ki nishani ko humne be-noor banaya, aur din ki nishani ko roshan kardiya, taa-ke tum apne Rubb ka fazl talash kar sako aur maah-o-saal ka hisaab maloom kar sako. Isi tarah humne har cheez ko alag alag mumaiyyaz (manifestly distinct) karke rakkha hai.
13. Har Insan ka shagun (fate) humne uske apne galey mein latka rakkha hai, aur qayamat ke roz hum ek nawishta (book/record/scroll) uske liye nikalenge jise woh khuli kitaab ki tarah payega.
14. Padh apna naam-e-aamal, aaj apna hisaab lagane ke liye tu khud hi kafi hai.
15. Jo koi raah-e-raast ikhtiyar kare uski raast-rawi uske apne hi liye mufeed hai, aur jo gumraah ho uski gumraahi ka wabal usi par hai. Koi boojh uthane wala dusre ka boojh na uthayega aur hum azaab dene wale nahin hain jabtak ke (logon ko haqq-o-baatil ka farq samjhane ke liye) ek paigambar na bhej dein.
16. Jab hum kisi basti ko halaak karne ka irada karte hain to uske khush haal logon ko hukm dete hain aur woh usmein nafarmaaniyan karne lagte hain, tab azaab ka faisla us basti par chaspan ho jata hai aur hum usey barbaad karke rakh dete hain.
17. Dekhlo, kitni hi nasalein (generations) hain jo Nooh ke baad hamare hukm se halaak huyi, tera Rubb apne bandon ke gunaahon se poori tarah bakhabar hai aur sab kuch dekh raha hai.
18. Jo koi aajila (jaldi) ka khwahish-mand ho, usey yahin hum de dete hain jo kuch bhi jise dena chahein, phir uske maqsoom mein jahannum likh dete hain jis se woh taapega, malamat zada aur rehmat se mehroom hokar.
19. Aur jo aakhirat ka khwahish-mand ho aur uske liye sayi (koshish) kare jaisi ke uske liye sayi (strive) karni chahiye, aur ho woh momin, to aise har shaks ki sayi mashkur (koshish ki qadardani) hogi.
20. Inko bhi aur unko bhi, dono fareeqon ko hum (duniya mein) saaman-e-zeist diye jaa rahe hain, yeh tere Rubb ka atiya hai, aur tere Rubb ki ata ko roakne wala koi nahin hai.
21. Magar dekhlo, duniya hi mein humne ek giroh ko dusre par kaisi fazilat de rakkhi hai, aur aakhirat mein uske darje aur bhi zyada honge, aur uski fazilat aur bhi zyada badh chadh kar hogi.
22. Tu Allah ke saath koi dusra mabood na bana, warna malamat zada aur be yaar o madadgaar baitha reh jayega.
23. Tere Rubb ne faisla kardiya hai ke: tum log kisi ki ibaadat na karo, magar sirf uski, walidain (maa-baap) ke saath neik sulook karo.Agar tumhare pas unmein se koi ek, ya dono, boodhey (old) hokar rahein to unhein ‘ uff ’ tak na kaho, na unhein jhidak kar jawab do , balke unse ehtaram ke saath baat karo.
24. Aur narmi o reham ke saath unke saamne jhuk kar raho, aur dua kiya karo ke “parwardigar, inpar reham farma jis tarah inhon ne rehmat o shafaqat ke saath mujhe bachpan mein paala tha”.
25. Tumhara Rubb khoob jaanta hai ke tumhare dilon mein kya hai, agar tum saleh bankar raho to woh aise sab logon ke liye darguzar karne wala hai jo apne kasoor par mutanabbeh hokar bandagi ke rawaiyye ki taraf palat aayein.
26. Rishtedar ko uska haqq do aur miskeen aur musafir ko uska haqq. Fizool kharchi na karo
27. Fizool kharch log shaytan ke bhai hain, aur shaytan apne Rubb ka na-shukra hai.
28. Agar unse (yani haajat-mand rishtedaaron, miskeeno aur musafiron se) tumhein katrana ho (turn away from them), is bina par ke abhi tum Allah ki us rehmat ko jiske tum umeedwaar ho talash kar rahe ho, to unhein narm jawab de do.
29. Na to apna haath gardan se bandh rakkho aur na usey bilkul hi khula chodh do ke malamat zada aur aajiz ban kar reh jao.
30. Tera Rubb jiske liye chahta hai rizq kushada karta hai aur jiske liye chahta hai tangg kardeta hai, woh apne bandon ke haal se bakhabar hai aur unhein dekh raha hai.
31. Apni aulad ko iflas (tangdasti) ke andeshey se qatal na karo, hum unhein bhi rizq denge aur tumhein bhi. Dar haqeeqat unka qatal ek badi khata hai.
32. Zina ke qareeb na phatko, woh bahut bura fail (kaam) hai aur bada hi bura raasta.
33. Qatal-e-nafs ka irtiqab na karo jise Allah ne haraam kiya hai magar haqq ke saath, aur jo shaks mazloomana qatal kiya gaya ho uske wali ko humne qisas (retribution) ke mutalibe ka haqq ata kiya hai. Pas chahiye ke woh qatal mein hadd se na guzre, uski madad ki jayegi.
34. Maal-e-yateem ke paas na phatko magar ahsan tareeqe se, yahan tak ke woh apne shabaab (jawani) ko pahunch jaaye. Ahad ki pabandi karo, beshak ahad ke baare mein tumko jawab-dehi karni hogi.
35. Paimane (measure/scales) se do to poora bhar kar do, aur tolo to theek tarazu se tolo. Yeh accha tareeqa hai aur ba-lihaz anjaam bhi yahi behtar hai.
36. Kisi aisi cheez ke pichey na lago jiska tumhein ilm na ho , yaqeenan aankh, kaan aur dil sab hi ki baaz-purs honi hai.
37. Zameen mein akad kar na chalo, tum na zameen ko phaadh sakte ho na pahadon ki bulandi ko pahunch sakte ho.
38. In umoor mein se har ek ka bura pehlu tere Rubb ke nazdeek na pasandeeda hai.
39. Yeh woh hikmat ki baatein hain jo tere Rubb ne tujhpar wahee ki hai aur dekh! Allah ke saath koi dusra mabood na bana baith warna tu jahannum mein daal diya jayega malamat zada aur har bhalayi se mehroom hokar.
40. Kaisi ajeeb baat hai ke tumhare Rubb ne tumhein to beton (sons) se nawaza aur khud apne liye malaika (farishton) ko betiyan bana liya? Badi jhooti baat hai jo tum log zubaano se nikalte ho.
41. Humne is Quran mein tarah tarah se logon ko samjhaya ke hosh mein aayein, magar woh haqq se aur zyada door hi bhaage jaa rahe hain.
42. (Aey Muhammad), inse kaho ke agar Allah ke saath dusre khuda bhi hotay, jaisa ke yeh log kehte hain, to woh maalik e arsh ke muqaam par pahunchne ki zaroor koshish karte.
43. Paak hai woh aur bahut baala-o-bartar hai un baaton se jo yeh log keh rahe hain.
44. Uski paaki to saato (seven) aasmaan aur zameen aur woh saari cheezein bayan kar rahi hain jo aasmaan o zameen mein hain. Koi cheez aisi nahin hai jo uski hamd ke saath uski tasbeeh na kar rahi ho, magar tum unki tasbeeh samajhte nahin ho. Haqeeqat yeh hai ke woh bada hi burdbaar (Forbearing) aur darguzar karne wala hai.
45. Jab tum Quran padte ho to hum tumhare aur aakhirat par iman na laane walon ke darmiyan ek purda hayal kardete hain.
46. Aur unke dilon par aisa gilaf (invisible curtain) chadha dete hain ke woh kuch nahin samajhte, aur unke kaano mein girani paida kardete hain aur jab tum Quran mein apne ek hi Rubb ka zikr karte ho to woh nafrat se mooh moad lete hain.
47. Humein maloom hai ke jab woh kaan laga kar tumhari baat sunte hain to dar-asal kya sunte hain, aur jab baith kar baaham sargoshiyan karte hain to kya kehte hain. Yeh zalim aapas mein kehte hain ke yeh ek sehar-zada (bewitched) aadmi hai jiske pichey tum log jaa rahe ho.
48. Dekho, kaisi baatein hain jo yeh log tumpar chaante hain, yeh bhatak gaye hain, inhein raasta nahin milta.
49. Woh kehte hain “ jab hum sirf haddiyan aur khaak hokar reh jayenge to kya hum naye sirey se paida karke uthaye jayenge?”
50. Inse kaho “tum patthar ya loha bhi ho jao.
51. Ya us se bhi zyada sakht koi cheez jo tumhare zehan mein qabool-e-hayat se baeed tarr ho” (phir bhi tum uth kar rahoge). Woh zaroor poochenge “kaun hai woh jo humein phir zindagi ki taraf palta kar layega?” jawab mein kaho “ wahi jisne pehli baar tumko paida kiya”. Woh sar hila hila kar poochenge “accha , to yeh hoga kab?” tum kaho “ kya ajab , woh waqt qareeb hi aa laga ho.
52. Jis roz woh tumhein pukarega to tum uski hamd karte huey uski pukar ke jawab mein nikal aaoge aur tumhara gumaan us waqt yeh hoga ke hum bas thodi dair hi is haalat mein padey rahe hain”.
53. Aur (aey Muhammad), mere bandon se kehdo ke zubaan se woh baat nikala karein jo behtareen ho. Dar-asal yeh shaytan hai jo Insano ke darmiyan fasaad dalwane ki koshish karta hai. Haqeeqat yeh hai ke shaytan Insan ka khula dushman hai.
54. Tumhara Rubb tumhare haal se zyada waqif hai. Woh chahe to tumpar reham kare aur chahe to tumhein azaab de de. Aur (aey Nabi) humne tumko logon par hawaladaar (guardian) banakar nahin bheja hai.
55. Tera Rubb zameen aur aasmano ki makhlooqat ko zyada jaanta hai. Humne baaz paigambaron ko baaz se badh kar martabe diye, aur humne hi Dawood ko zaboor di thi.
56. Inse kaho pukar dekho un maboodon ko jinko tum khuda ke siwa (apna kaarsaaz) samajhte ho, woh kisi takleef ko tumse na hata sakte hain na badal sakte hain.
57. Jinko yeh log pukarte hain woh to khud apne Rubb ke huzoor rasayi haasil karne ka waseela talash kar rahe hain (seek means of approach) ke kaun us se qareeb tar ho jaaye aur woh uski rehmat ke umeedwar aur uske azaab se khaif (darte) hain. Haqeeqat yeh hai ke tere Rubb ka azaab hai hi darne ke lahiq.
58. Aur koi basti aisi nahin jise hum qayamat se pehle halaak na karein ya sakht azaab na dein. Yeh nawishta-e-ilahi (Eternal Record) mein likha hua hai.
59. Aur humko nishniyan bhejne se nahin roka magar is baat ne ke inse pehle ke log unko jhutla chuke hain. (Chunanche dekhlo) Samood ko humne alaniya ountni (she-camel) laa kar di aur unhon ne uspar zulm kiya. Hum nishaniyan isi liye to bhejte hain ke log unhein dekh kar darein.
60. Yaad karo (aey Muhammad), humne tumse keh diya tha ke tere Rubb ne in logon ko gher rakkha hai aur yeh jo kuch abhi humne tumhein dikahya hai, isko aur us darakht ko jispar Quran mein laanat ki gayi hai, humne in logon ke liye bas ek fitna banakar rakh diya. Hum inhein tambeeh (warning) par tambeeh (warning) kiye jaa rahe hain, magar har tambeeh inki sarkashi hi mein izafa kiye jaati hai.
61. Aur yaad karo jabke humne malaika (farishton) se kaha Adam ko sajda karo, to sab ne sajda kiya, magar Iblees ne na kiya, usne kaha “ kya main usko sajda karoon jise tu ne mitti se banaya hai?”
62. Phir woh bola “dekh to sahi, kya yeh is qabil tha ke tu ne isey mujhpar fazilat di? Agar tu mujhe qayamat ke din tak mohlat de to main iski poori nasal ki behakani (uproot) kar daloon. Bas thode hi log mujhse bach sakenge.”
63. Allah taala ne farmaya, “accha to jaa, inmein se jo bhi teri pairwi karein, tujh sameith un sab ke liye jahannum hi bharpur jaza hai.
64. Tu jis jis ko apni dawat se phisla sakta hai phisla le. Unpar apne sawar (horsemen) aur pyade (footmen) chadha la, maal aur aulad mein unke saath saajha (partner) laga, aur unko wadon ke jaal mein phaans, aur shaytan ke wadey ek dhoke ke siwa aur kuch bhi nahin.
65. Yaqeenan mere bandon par tujhey koi iqtedar haasil na hoga, aur tawakkul (bharose) ke liye tera Rubb kafi hai”.
66. Tumhara (haqeeqi) Rubb to woh hai jo samandar mein tumhari kashti chalata hai taa-ke tum uska fazl talash karo. Haqeeqat yeh hai ke woh tumhare haal par nihayat meharban hai.
67. Jab samandar mein tumpar museebat aati hai to us ek ke siwa dusre jin jin ko tum pukara karte ho woh sab ghum ho jaate hain, magar jab woh tumko bacha kar khushki(land) par pahuncha deta hai to tum us se mooh moad jaate ho.Insan waqayi bada nashukra hai.
68. Accha, to kya tum is baat se bilkul be-khauf ho ke khuda kabhi khushki (land) par hi tumko zameen mein dhansa de, ya tumpar pathrao karne wali aandhi bhej de aur tum us se bachane wala koi himayati na pao?
69. Aur kya tumhein iska koi andesha nahin ke khuda phir kisi waqt samandar mein tumko le jaaye aur tumhari nashukri ke badle tumpar sakht toofaani hawa bhej kar tumhein garq karde aur tumko aisa koi na mile jo us se tumhare is anjaam ki pooch-gajj kar sakey?
70. Yeh to hamari inayat hai ke humne bani Adam ko buzurgi (honour) di aur unhein khushki (land) o tari (sea) mein sawariyan ata kiye aur unko pakeeza cheezon se rizq diya aur apni bahut se makhlooqat par numayan fawqiyat (fazilat) bakshi.
71. Phir khayal karo us din ka jabke hum har Insani giroh ko uske peshwa(leader) ke sath bulayenge, us waqt jin logon ko unka naam-e-aamal seedhe haath mein diya gaya woh apna karnama padhenge aur unpar zarra barabar zulm na hoga.
72. Aur jo is duniya mein andha bankar raha woh aakhirat mein bhi andha hi rahega balke raasta paaney mein andhey se bhi zyada nakaam.
73. (Aey Muhammad), in logon ne is koshish mein koi kasar utha nahin rakkhi ke tumhein fitne mein daal kar us Wahee se pher dein jo humne tumhari taraf bheji hai, taa-ke tum hamare naam par apni taraf se koi baat ghado(fabricate). Agar tum aisa karte to woh zaroor tumhein apna dost bana lete.
74. Aur baeed na tha ke agar hum tumhein mazboot na rakhte to tum unki taraf kuch na kuch jhuk jaate.
75. Lekin agar tum aisa karte to hum tumhein duniya mein bhi dohre (double) azaab ka maza chakkhate aur aakhirat mein bhi dohre azaab ka, phir hamare muqable mein tum koi madadgaar na paatey.
76. Aur yeh log is baat par bhi tuley rahe hain ke tumhare qadam is sar-zameen se ukhadh (uproot) dein aur tumhein yahan se nikal bahar karein , lekin agar yeh aisa karenge to tumhare baad yeh khud yahan kuch zyada dair na thehar sakenge.
77. Yeh hamara mustaqil tareeqe-kar hai jo un sab Rasoolon ke maamle mein humne barta hai jinhein tumse pehle humne bheja tha, aur hamare tareeqe-kar mein tum koi tagayyur (change) na paoge.
78. Namaz qayam karo zawal-e-aftaab (declining of the sun) se lekar raat ke andhere tak, aur fajr ke Quran ka bhi intezam karo, kyunke Quran e fajr mashood (witnessed) hota hai.
79. Aur Raat ko tahajjud padho, yeh tumhare liye nafl hai, baeed (door/far) nahin ke tumhara Rubb tumhein muqaam e mehmood par faiz karde.
80. Aur dua karo ke parwardigaar, mujhko jahan bhi tu leja sachchayi ke saath leja aur jahan se bhi nikal sachchayi ke saath nikal aur apni taraf se ek iqtedar (power) ko mera madadgaar bana de.
81. Aur elan kardo ke “ haqq aa gaya aur baatil mitt gaya, baatil to mitne hi wala hai”.
82. Hum is Quran ke silsila-e-tanzil (revelation) mein woh kuch naazil kar rahe hain jo maanne walon ke liye to shifa aur rehmat hai, magar zalimon ke liye khasare (nuksan/loss) ke siwa aur kisi cheez mein izafa nahin karta.
83. Insaan ka haal yeh hai ke jab hum usko niyamat ata karte hain to woh ainthta (arrogant) aur peeth moad leta hai, aur jab zara museebat se do-char hota hai to mayous hone lagta hai.
84. (Aey Nabi), in logon se kehdo ke “ har ek apne tareeqe par amal kar raha hai, ab yeh tumhara Rubb hi behtar jaanta hai ke seedhi raah par kaun hai”.
85. Yeh log tumse Rooh (spirit) ke mutaaliq puchte hain. Kaho “yeh rooh mere Rubb ke hukm se aati hai, magar tum logon ne ilm se kum hi behra paya hai”(but you have been given only a little of the Knowledge).
86. Aur (aey Muhammad), hum chahein to woh sab kuch tumse cheen lein jo humne wahee ke zariye se tumko ata kiya hai, phir tum hamare muqable mein koi himayati (helper) na paoge jo isey wapas dila sakey.
87. Yeh to jo kuch tumhein mila hai tumhare Rubb ki rehmat se mila hai, haqeeqat yeh hai ke uska fazl tumpar bahut bada hai.
88. Kehdo ke agar Insan aur Jinn sab ke sab milkar is Quran jaisi koi cheez laane ki koshish karein to na laa sakenge, chahe woh sab ek dusre ke madadgaar hi kyun na hon.
89. Humne is Quran mein logon ko tarah tarah se samjhaya magar aksar log inkar hi par jamey rahe.
90. Aur unhon ne kaha “ hum teri baat na maanenge jab tak ke tu hamare liye zameen ko phaadh kar ek chashma (spring) jari na karde.
91. Ya tere liye khajooron aur angooron ka ek baagh paida ho aur tu usmein nehrein rawan karde.
92. Ya tu aasmaan ko tukde tukde karke hamare upar gira de jaisa ke tera dawaa hai ya khuda aur Farishton ko ru dar ru (face to face )hamare saamne le aaye
93. Ya tere liye sooney ka ek ghar ban jaaye ya tu aasmaan par chadh jaaye, aur tere chadne ka bhi hum yaqeen na karenge jab tak ke tu hamare upar ek aisi tehrir (written) na utaar laye jise hum padhein”. (Aey Muhammad), inse kaho “paak hai mera parwardigar! Kya main ek paigam laane wale Insan ke siwa aur bhi kuch hoon?”
94. Logon ke saamne jab kabhi hidayat aayi to uspar iman laane se unko kisi cheez ne nahin roka magar unke isi qaul ne ke “Kya Allah ne bashar (Insan) ko paigambar bana kar bhej diya?”
95. Inse kaho agar zameen mein Farishte itminaan se chal phir rahe hote to hum zaroor aasmaan se kisi Farishte hi ko unke liye paigambar bana kar bhejte.
96. (Aey Muhammad), inse kehdo ke mere aur tumhare darmiyan bas ek Allah ki gawahi kafi hai, woh apne bandon ke haal se bakhabar hai aur sab kuch dekh raha hai.
97. Jisko Allah hidayat de wahi hidayat paane wala hai, aur jise woh gumraahi mein daal de to uske siwa aise logon ke liye tu koi haami o nasir (protector and helper) nahin paa sakta. Un logon ko hum qayamat ke roz aundhe mooh kheench layenge, andhey, gungay aur behre. Unka thikana jahannum hai. Jab kabhi uski aag dheemi hone lagegi hum usey aur bhadka denge.
98. Yeh badla hai unke is harakat ka ke unhon ne hamari aayaat ka inkar kiya aur kaha “kya jab hum sirf haddiyan aur khaak (dust) hokar reh jayenge to naye sirey se humko paida karke utha khada kiya jayega?”
99. Kya inko yeh na soojha ke jis khuda ne zameen aur aasmano ko paida kiya hai woh in jaison ko paida karne ki zaroor qudrat rakhta hai? Usne inke hashar ke liye ek waqt muqarrar kar rakkha hai jiska aana yakeeni hai, magar zalimon ko israar(persist) hai ke woh iska inkar hi karenge.
100. (Aey Muhammad) Inse kaho, agar kahin mere Rubb ki rehmat ke khazane tumhare qabze mein hotay to tum kharch ho jaane ke andeshey se zarror unko roak rakhte. Waqayi Insan bada tangg dil (narrow minded) waqey hua hai.
101. Humne Moosa ko naw (nine) nishaniyan ata ki thi jo sareeh taur par dikhayi de rahi thi (which were quite manifest). Ab yeh tum khud bani Israel se puch lo ke jab woh saamne aayi to Firoun ne yahi kaha tha na ke “Aey Moosa, main samajhta hoon ke tu zaroor ek sehar-zada (bewitched) aadmi hai.
102. Moosa ne uske jawab mein kaha “tu khoob jaanta hai ke yeh baseerat afroz (eye opener) nishaniyan Rabbus samawaati wal ardh (asmaan o zameen ke Rubb)ke siwa kisi ne naazil nahin ki hain, aur mera khayal yeh hai ke aey Firoun, tu zaroor ek shamat-zada (doomed) aadmi hai”.
103. Aakhr-e-kaar Firoun ne irada kiya ke Moosa aur bani Israel ko zameen se ukhad phenke, magar humne usko aur uske saathiyon ko ikattha garq(drown) kardiya.
104. Aur uske baad bani Israel se kaha ke ab tum zameen mein baso, phir jab aakhirat ke wadey ka waqt aan poora hoga to hum tum sab ko ek sath laa haazir karenge.
105. Is Quran ko humne haqq ke saath naazil kiya hai aur haqq hi ke saath yeh naazil hua hai. Aur (aey Muhammad) tumhein humne iske siwa aur kisi kaam ke liye nahin bheja ke (jo maan le usey) basharat de do aur (ja na maane usey) mutanabbeh (warn) kardo.
106. Aur is Quran ko humne thoda thoda karke naazil kiya hai taa-ke tum thehar thehar kar isey logon ko sunao, aur isey humne (mauqa mauqa se) ba-tadreej utara hai.
107. (Aey Muhammad), in logon se kehdo ke tum isey maano ya na maano, jin logon ko is se pehle ilm diya gaya hai unhein jab yeh sunaya jata hai to woh mooh ke bal sajde mein gir jaate hain.
108. Aur pukar uthte hain “paak hai hamara Rubb , uska waada to poora hona hi tha”.
109. Aur woh mooh ke bal rotey rotey huey gir jaatey hain aur isey sunkar unka khushu (humility) aur badh jata hai.
110. (Aey Nabi), inse kaho, Allah kehkar pukaro ya rehman kehkar, jis naam se bhi pukaro uske liye sab acchey hi naam hain aur apni namaz na bahut zyada buland aawaz se padho aur na bahut past aawaz se, in dono ke darmiyan awsat darje ka lehja ikhtiyar karo.
111. Aur kaho “tareef hai us khuda ke liye jisne na kisi ko beta banaya, na koi baadshahi mein uska shareek hai, aur na woh aajiz (helpless) hai ke koi uska pushtbaan (supporter) ho” aur uski badayi bayan karo, kamaal darje ki badayi.
Comments
Post a Comment