📖 Surah 15 Al-Hijr Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- الر ۚ تِلْكَ آيَاتُ الْكِتَابِ وَقُرْآنٍ مُبِينٍ
- رُبَمَا يَوَدُّ الَّذِينَ كَفَرُوا لَوْ كَانُوا مُسْلِمِينَ
- ذَرْهُمْ يَأْكُلُوا وَيَتَمَتَّعُوا وَيُلْهِهِمُ الْأَمَلُ ۖ فَسَوْفَ يَعْلَمُونَ
- وَمَا أَهْلَكْنَا مِنْ قَرْيَةٍ إِلَّا وَلَهَا كِتَابٌ مَعْلُومٌ
- مَا تَسْبِقُ مِنْ أُمَّةٍ أَجَلَهَا وَمَا يَسْتَأْخِرُونَ
- وَقَالُوا يَا أَيُّهَا الَّذِي نُزِّلَ عَلَيْهِ الذِّكْرُ إِنَّكَ لَمَجْنُونٌ
- لَوْ مَا تَأْتِينَا بِالْمَلَائِكَةِ إِنْ كُنْتَ مِنَ الصَّادِقِينَ
- مَا نُنَزِّلُ الْمَلَائِكَةَ إِلَّا بِالْحَقِّ وَمَا كَانُوا إِذًا مُنْظَرِينَ
- إِنَّا نَحْنُ نَزَّلْنَا الذِّكْرَ وَإِنَّا لَهُ لَحَافِظُونَ
- وَلَقَدْ أَرْسَلْنَا مِنْ قَبْلِكَ فِي شِيَعِ الْأَوَّلِينَ
- وَمَا يَأْتِيهِمْ مِنْ رَسُولٍ إِلَّا كَانُوا بِهِ يَسْتَهْزِئُونَ
- كَذَٰلِكَ نَسْلُكُهُ فِي قُلُوبِ الْمُجْرِمِينَ
- لَا يُؤْمِنُونَ بِهِ ۖ وَقَدْ خَلَتْ سُنَّةُ الْأَوَّلِينَ
- وَلَوْ فَتَحْنَا عَلَيْهِمْ بَابًا مِنَ السَّمَاءِ فَظَلُّوا فِيهِ يَعْرُجُونَ
- لَقَالُوا إِنَّمَا سُكِّرَتْ أَبْصَارُنَا بَلْ نَحْنُ قَوْمٌ مَسْحُورُونَ
- وَلَقَدْ جَعَلْنَا فِي السَّمَاءِ بُرُوجًا وَزَيَّنَّاهَا لِلنَّاظِرِينَ
- وَحَفِظْنَاهَا مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ رَجِيمٍ
- إِلَّا مَنِ اسْتَرَقَ السَّمْعَ فَأَتْبَعَهُ شِهَابٌ مُبِينٌ
- وَالْأَرْضَ مَدَدْنَاهَا وَأَلْقَيْنَا فِيهَا رَوَاسِيَ وَأَنْبَتْنَا فِيهَا مِنْ كُلِّ شَيْءٍ مَوْزُونٍ
- وَجَعَلْنَا لَكُمْ فِيهَا مَعَايِشَ وَمَنْ لَسْتُمْ لَهُ بِرَازِقِينَ
- وَإِنْ مِنْ شَيْءٍ إِلَّا عِنْدَنَا خَزَائِنُهُ وَمَا نُنَزِّلُهُ إِلَّا بِقَدَرٍ مَعْلُومٍ
- وَأَرْسَلْنَا الرِّيَاحَ لَوَاقِحَ فَأَنْزَلْنَا مِنَ السَّمَاءِ مَاءً فَأَسْقَيْنَاكُمُوهُ وَمَا أَنْتُمْ لَهُ بِخَازِنِينَ
- وَإِنَّا لَنَحْنُ نُحْيِي وَنُمِيتُ وَنَحْنُ الْوَارِثُونَ
- وَلَقَدْ عَلِمْنَا الْمُسْتَقْدِمِينَ مِنْكُمْ وَلَقَدْ عَلِمْنَا الْمُسْتَأْخِرِينَ
- وَإِنَّ رَبَّكَ هُوَ يَحْشُرُهُمْ ۚ إِنَّهُ حَكِيمٌ عَلِيمٌ
- وَلَقَدْ خَلَقْنَا الْإِنْسَانَ مِنْ صَلْصَالٍ مِنْ حَمَإٍ مَسْنُونٍ
- وَالْجَانَّ خَلَقْنَاهُ مِنْ قَبْلُ مِنْ نَارِ السَّمُومِ
- وَإِذْ قَالَ رَبُّكَ لِلْمَلَائِكَةِ إِنِّي خَالِقٌ بَشَرًا مِنْ صَلْصَالٍ مِنْ حَمَإٍ مَسْنُونٍ
- فَإِذَا سَوَّيْتُهُ وَنَفَخْتُ فِيهِ مِنْ رُوحِي فَقَعُوا لَهُ سَاجِدِينَ
- فَسَجَدَ الْمَلَائِكَةُ كُلُّهُمْ أَجْمَعُونَ
- إِلَّا إِبْلِيسَ أَبَىٰ أَنْ يَكُونَ مَعَ السَّاجِدِينَ
- قَالَ يَا إِبْلِيسُ مَا لَكَ أَلَّا تَكُونَ مَعَ السَّاجِدِينَ
- قَالَ لَمْ أَكُنْ لِأَسْجُدَ لِبَشَرٍ خَلَقْتَهُ مِنْ صَلْصَالٍ مِنْ حَمَإٍ مَسْنُونٍ
- قَالَ فَاخْرُجْ مِنْهَا فَإِنَّكَ رَجِيمٌ
- وَإِنَّ عَلَيْكَ اللَّعْنَةَ إِلَىٰ يَوْمِ الدِّينِ
- قَالَ رَبِّ فَأَنْظِرْنِي إِلَىٰ يَوْمِ يُبْعَثُونَ
- قَالَ فَإِنَّكَ مِنَ الْمُنْظَرِينَ
- إِلَىٰ يَوْمِ الْوَقْتِ الْمَعْلُومِ
- قَالَ رَبِّ بِمَا أَغْوَيْتَنِي لَأُزَيِّنَنَّ لَهُمْ فِي الْأَرْضِ وَلَأُغْوِيَنَّهُمْ أَجْمَعِينَ
- إِلَّا عِبَادَكَ مِنْهُمُ الْمُخْلَصِينَ
- قَالَ هَٰذَا صِرَاطٌ عَلَيَّ مُسْتَقِيمٌ
- إِنَّ عِبَادِي لَيْسَ لَكَ عَلَيْهِمْ سُلْطَانٌ إِلَّا مَنِ اتَّبَعَكَ مِنَ الْغَاوِينَ
- وَإِنَّ جَهَنَّمَ لَمَوْعِدُهُمْ أَجْمَعِينَ
- لَهَا سَبْعَةُ أَبْوَابٍ لِكُلِّ بَابٍ مِنْهُمْ جُزْءٌ مَقْسُومٌ
- إِنَّ الْمُتَّقِينَ فِي جَنَّاتٍ وَعُيُونٍ
- ادْخُلُوهَا بِسَلَامٍ آمِنِينَ
- وَنَزَعْنَا مَا فِي صُدُورِهِمْ مِنْ غِلٍّ إِخْوَانًا عَلَىٰ سُرُرٍ مُتَقَابِلِينَ
- لَا يَمَسُّهُمْ فِيهَا نَصَبٌ وَمَا هُمْ مِنْهَا بِمُخْرَجِينَ
- نَبِّئْ عِبَادِي أَنِّي أَنَا الْغَفُورُ الرَّحِيمُ
- وَأَنَّ عَذَابِي هُوَ الْعَذَابُ الْأَلِيمُ
- وَنَبِّئْهُمْ عَنْ ضَيْفِ إِبْرَاهِيمَ
- إِذْ دَخَلُوا عَلَيْهِ فَقَالُوا سَلَامًا قَالَ إِنَّا مِنْكُمْ وَجِلُونَ
- قَالُوا لَا تَوْجَلْ إِنَّا نُبَشِّرُكَ بِغُلَامٍ عَلِيمٍ
- قَالَ أَبَشَّرْتُمُونِي عَلَىٰ أَنْ مَسَّنِيَ الْكِبَرُ فَبِمَ تُبَشِّرُونَ
- قَالُوا بَشَّرْنَاكَ بِالْحَقِّ فَلَا تَكُنْ مِنَ الْقَانِطِينَ
- قَالَ وَمَنْ يَقْنَطُ مِنْ رَحْمَةِ رَبِّهِ إِلَّا الضَّالُّونَ
- قَالَ فَمَا خَطْبُكُمْ أَيُّهَا الْمُرْسَلُونَ
- قَالُوا إِنَّا أُرْسِلْنَا إِلَىٰ قَوْمٍ مُجْرِمِينَ
- إِلَّا آلَ لُوطٍ إِنَّا لَمُنَجُّوهُمْ أَجْمَعِينَ
- إِلَّا امْرَأَتَهُ قَدَّرْنَا ۙ إِنَّهَا لَمِنَ الْغَابِرِينَ
- فَلَمَّا جَاءَ آلَ لُوطٍ الْمُرْسَلُونَ
- قَالَ إِنَّكُمْ قَوْمٌ مُنْكَرُونَ
- قَالُوا بَلْ جِئْنَاكَ بِمَا كَانُوا فِيهِ يَمْتَرُونَ
- وَأَتَيْنَاكَ بِالْحَقِّ وَإِنَّا لَصَادِقُونَ
- فَأَسْرِ بِأَهْلِكَ بِقِطْعٍ مِنَ اللَّيْلِ وَاتَّبِعْ أَدْبَارَهُمْ وَلَا يَلْتَفِتْ مِنْكُمْ أَحَدٌ وَامْضُوا حَيْثُ تُؤْمَرُونَ
- وَقَضَيْنَا إِلَيْهِ ذَٰلِكَ الْأَمْرَ أَنَّ دَابِرَ هَٰؤُلَاءِ مَقْطُوعٌ مُصْبِحِينَ
- وَجَاءَ أَهْلُ الْمَدِينَةِ يَسْتَبْشِرُونَ
- قَالَ إِنَّ هَٰؤُلَاءِ ضَيْفِي فَلَا تَفْضَحُونِ
- وَاتَّقُوا اللَّهَ وَلَا تُخْزُونِ
- قَالُوا أَوَلَمْ نَنْهَكَ عَنِ الْعَالَمِينَ
- قَالَ هَٰؤُلَاءِ بَنَاتِي إِنْ كُنْتُمْ فَاعِلِينَ
- لَعَمْرُكَ إِنَّهُمْ لَفِي سَكْرَتِهِمْ يَعْمَهُونَ
- فَأَخَذَتْهُمُ الصَّيْحَةُ مُشْرِقِينَ
- فَجَعَلْنَا عَالِيَهَا سَافِلَهَا وَأَمْطَرْنَا عَلَيْهِمْ حِجَارَةً مِنْ سِجِّيلٍ
- إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِلْمُتَوَسِّمِينَ
- وَإِنَّهَا لَبِسَبِيلٍ مُقِيمٍ
- إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَةً لِلْمُؤْمِنِينَ
- وَإِنْ كَانَ أَصْحَابُ الْأَيْكَةِ لَظَالِمِينَ
- فَانْتَقَمْنَا مِنْهُمْ وَإِنَّهُمَا لَبِإِمَامٍ مُبِينٍ
- وَلَقَدْ كَذَّبَ أَصْحَابُ الْحِجْرِ الْمُرْسَلِينَ
- وَآتَيْنَاهُمْ آيَاتِنَا فَكَانُوا عَنْهَا مُعْرِضِينَ
- وَكَانُوا يَنْحِتُونَ مِنَ الْجِبَالِ بُيُوتًا آمِنِينَ
- فَأَخَذَتْهُمُ الصَّيْحَةُ مُصْبِحِينَ
- فَمَا أَغْنَىٰ عَنْهُمْ مَا كَانُوا يَكْسِبُونَ
- وَمَا خَلَقْنَا السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَمَا بَيْنَهُمَا إِلَّا بِالْحَقِّ ۗ وَإِنَّ السَّاعَةَ لَآتِيَةٌ ۖ فَاصْفَحِ الصَّفْحَ الْجَمِيلَ
- إِنَّ رَبَّكَ هُوَ الْخَلَّاقُ الْعَلِيمُ
- وَلَقَدْ آتَيْنَاكَ سَبْعًا مِنَ الْمَثَانِي وَالْقُرْآنَ الْعَظِيمَ
- لَا تَمُدَّنَّ عَيْنَيْكَ إِلَىٰ مَا مَتَّعْنَا بِهِ أَزْوَاجًا مِنْهُمْ وَلَا تَحْزَنْ عَلَيْهِمْ وَاخْفِضْ جَنَاحَكَ لِلْمُؤْمِنِينَ
- وَقُلْ إِنِّي أَنَا النَّذِيرُ الْمُبِينُ
- كَمَا أَنْزَلْنَا عَلَى الْمُقْتَسِمِينَ
- الَّذِينَ جَعَلُوا الْقُرْآنَ عِضِينَ
- فَوَرَبِّكَ لَنَسْأَلَنَّهُمْ أَجْمَعِينَ
- عَمَّا كَانُوا يَعْمَلُونَ
- فَاصْدَعْ بِمَا تُؤْمَرُ وَأَعْرِضْ عَنِ الْمُشْرِكِينَ
- إِنَّا كَفَيْنَاكَ الْمُسْتَهْزِئِينَ
- الَّذِينَ يَجْعَلُونَ مَعَ اللَّهِ إِلَٰهًا آخَرَ ۚ فَسَوْفَ يَعْلَمُونَ
- وَلَقَدْ نَعْلَمُ أَنَّكَ يَضِيقُ صَدْرُكَ بِمَا يَقُولُونَ
- فَسَبِّحْ بِحَمْدِ رَبِّكَ وَكُنْ مِنَ السَّاجِدِينَ
- وَاعْبُدْ رَبَّكَ حَتَّىٰ يَأْتِيَكَ الْيَقِينُ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Alif-Laaam-Raa; tilka Aayaatul Kitaabi wa Qur-aa-nim Mubeen
- Rubamaa yawaddul lazeena kafaroo law kaanoo muslimeen
- Zarhum yaakuloo wa yatamatta'oo wa yulhihimul amalu fasawfa ya'lamoon
- Wa maaa ahlaknaa min qaryatin illaa wa lahaa kitaabum ma'loom
- Maa tasbiqu min ummatin ajalahaa wa maa yastaakhiroon
- Wa qaaloo yaaa aiyuhal lazee nuzzila 'alaihiz Zikru innaka lamajnoon
- Law maa taateenaa bil malaaa'ikati in kunta minas saadiqeen
- Maa nunazzilul malaaa'i kata illaa bilhaqqi wa maa kaanooo izam munzareen
- Innaa Nahnu nazalnaz Zikra wa Innaa lahoo lahaa fizoon
- Wa laqad arsalnaa min qablika fee shiya'il awwaleen
- Wa maa yaateehim mir Rasoolin illaa kaanoo bihee yastahzi'oon
- kazaalika naslukuhoo fee quloobil mujrimeen
- Laa yu'minoona bihee wa qad khalat sunnatul awwaleen
- Wa law fatahnaa 'alaihim baabam minas samaaa'i fazaloo feehi ya'rujoon
- Laqaaloo innamaa sukkirat absaarunaa bal nahnu qawmum mashooroon (section 1)
- Wa laqad ja'alnaa fissamaaa'i buroojanw wa zaiyannaahaa linnaazireen
- Wa hafiznaahaa min kulli Shaitaanir rajeem
- Illaa manis taraqas sam'a fa atba'ahoo shihaabum mubeen
- Wal arda madadnaahaa wa alqainaa feehaa rawaasiya wa ambatnaa feehaa min kulli shai'im mawzoon
- Wa ja'alnaa lakum feehaa ma'aayisha wa mal lastum lahoo biraaziqeen
- Wa im min shai'in illaa 'indanaa khazaaa 'inuhoo wa maa nunazziluhooo illaa biqadarim ma'loom
- Wa arsalnar riyaaha la waaqiha fa anzalnaa minas samaaa'i maaa'an fa asqai naakumoohu wa maaa antum lahoo bikhaazineen
- Wa innnaa la nahnu nuhyee wa numeetu wa nahnul waarisoon
- Wa la qad 'alimnal mustaqdimeena minkum wa laqad 'alimnal mustaakhireen
- Wa inna Rabbaka Huwa yahshuruhum; innahoo Hakeemun 'Aleem (section 2)
- Wa laqad khalaqnal insaana min salsaalim min hama im masnoon
- Waljaaanna khalaqnaahu min qablu min naaris samoom
- Wa iz qaala Rabbuka lilmalaaa' ikati innee khaaliqum basharam min salsaalim min hama im masnoon
- Fa izaa sawwaituhoo wa nafakhtu feehi mir roohee faqa'oo lahoo saajideen
- Fasajadal malaaa'ikatu kulluhum ajma'oon
- Illaaa ibleesa abaaa ai yakoona ma'as saajideen
- Qaala yaaa Ibleesu maa laka allaa takoona ma'as saajideen
- Qaala lam akul li asjuda libasharin khalaqtahoo min salsaalim min hama im masnoon
- Qaala fakhruj minhaa fa innaka rajeem
- Wa inna 'alaikal la'nata ilaa Yawmid Deen
- Qaala Rabbi fa anzirneee ilaa Yawmi yub'asoon
- Qaala fa innaka minal munzareen
- Ilaa Yawmil waqtil ma'loom
- Qaala Rabbi bimaaa aghwaitanee la uzayyin anna lahum fil ardi wa la ughwiyan nahum ajma'een
- Illaa 'ibaadaka minhumul mukhlaseen
- Qaala haaza Siraatun 'alaiya Mustaqeem
- Inna 'ibaadee laisa laka 'alaihim sultaanun illaa manittaba'aka minal ghaaween
- Wa inna jahannama lamaw'iduhum ajma'een
- Lahaa sab'atu abwaab; likulli baabim minhum juz'um maqsoom (section 3)
- Innal muttaqeena fee Jannaatinw wa 'uyoon
- Udkhuloohaa bisalaamin aamineen
- Wa naza'naa ma fee sudoorihim min ghillin ikhwaanan 'alaa sururim mutaqaabileen
- Laa yamas suhum feehaa nasabunw wa maa hum minhaa bimukhrajeen
- Nabbi' 'ibaadeee annneee anal Ghafoorur Raheem
- Wa anna 'azaabee huwal 'azaabul aleem
- Wa nabbi'hum 'an daifi Ibraaheem
- Iz dakhaloo 'alaihi faqaaloo salaaman qaala innaa minkum wajiloon
- Qaaloo la tawjal innaa nubashshiruka bighulaamin 'aleem
- Qaala abashshartumoonee 'alaaa am massaniyal kibaru fabima tubashshiroon
- Qaaloo bashsharnaaka bilhaqqi falaa takum minal qaaniteen
- Qaala wa mai yaqnatu mir rahmati Rabbiheee illad daaaloon
- Qaala famaa khatbukum aiyuhal mursaloon
- Qaaloo innaaa ursilnaaa ilaa qawmim mujrimeen
- Illaaa Aala Loot; innaa lamunajjoohum ajma'een
- Illam ra atahoo qaddarnaaa innahaa laminal ghaabireen (section 4)
- Falamma jaaa'a Aala Lootinil mursaloon
- Qaala innakum qawmum munkaroon
- Qaaloo bal ji'naaka bimaa kaanoo feehi yamtaroon
- Wa atainaaka bilhaqqi wa innaa lasaadiqoon
- Fa asri bi ahlika biqit'im minal laili wattabi' adbaarahum wa laa yaltafit minkum ahadunw wamdoo haisu tu'maroon
- Wa qadainaaa ilaihi zaalikal amra anna daabira haaa'ulaaa'i maqtoo'um musbiheen
- Wa jaaa'a ahlul madeenati yastabshiroon
- Qaala inna haaa'ulaaa'i daifee falaa tafdahoon
- Wattaqul laaha wa laa tukhzoon
- Qaalooo awalam nanhaka 'anil 'aalameen
- Qaala haaa'ulaaa'i banaateee in kuntum faa'ileen
- La'amruka innahum lafee sakratihim ya'mahoon
- Fa akhazat humus saihatu mushriqeen
- Faja'alnaa 'aaliyahaa saafilahaa wa amtarnaa 'alaihim hijaaratam min sijjeel
- Inna fee zaalika la Aayaatil lilmutawassimeen
- Wa innahaa labi sabeelim muqeem
- Inna fee zaalika la Aayatal lilmu'mineen
- Wa in kaana Ashaabul Aikati lazaalimeen
- Fantaqamnaa minhum wa innahumaa labi imaamim mubeen (section 5)
- Wa laqad kazzaba ashaabul Hijril mursaleen
- Wa aatainaahum Aayaatinaa fakaanoo 'anhaa mu'rideen
- Wa kaanoo yanhitoona minal jibaali buyootan aamineen
- Fa akhazat humus saihatu musbiheen
- Famaaa aghnaa 'anhum maa kaanoo yaksiboon
- Wa maa khalaqnas samaawaati wal arda wa maa bainahumaaa illaa bilhaqq; wa innas Saa'ata la aatiyatun fasfahis safhal jameel
- Inna Rabbaka Huwal khallaaqul 'aleem
- Wa laqad aatainaaka sab'am minal masaanee wal Qur-aanal 'Azeem
- Laa tamuddanna 'ainaika ilaa maa matta 'naa biheee azwaajam minhum wa laa tahzan 'alaihim wakhfid janaahaka lilmu 'mineen
- Wa qul inneee anan nazeerul mubeen
- Kamaaa anzalnaa 'alal muqtasimeen
- Allazeena ja'alul Quraana'ideen
- Fawa Rabbika lanas'a lannahum ajma'een
- 'Ammaa kaanoo ya'maloon
- Fasda' bimaa tu'maru wa a'rid anil mushrikeen
- Innaa kafainaakal mustahzi'een
- Allazeena yaj'aloona ma'al laahi ilaahan aakhar; fasawfa ya'lamoon
- Wa laqad na'lamu annaka yadeequ sadruka bimaa yaqooloon
- Fasabbih bihamdi Rabbika wa kum minas saajideen
- Wa'bud Rabbaka hattaa yaatiyakal yaqeen (section 6)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
-
1. Alif Laam Raa, Yeh aayaat hain kitaab e ilahi aur Quran e mubeen ki.
2. Baeed nahin ke ek waqt woh aa jaaye jab wahi log jinhon ne aaj (dawah e Islam ko qabool karne se) inkar kardiya hai pachta pachta kar kahenge ke kaash humne sar e tasleem kham kardiya hota.
3. Chodo inhein khayein (eat) , peeyein (drink) mazey karein aur behlawe mein daale rahe inko jhooti umeed. Anqareeb inhein maloom ho jayega.
4. Humne is se pehle jis basti ko bhi halaak kiya hai uske liye ek khaas mohlat e amal likhi jaa chuki thi.
5. Koi qaum na apne waqt e muqarrar se pehle halaak ho sakti hai, na uske baad chooth sakti hai.
6. Yeh log kehte hain “Aey woh shaks jis par zikr naazil hua hai, tu yaqeenan deewana hai.
7. Agar tu saccha hai to hamare saamne Farishton ko le kyun nahin aata?”
8. Hum Farishton ko yunhi nahin utaar diya karte, woh jab utarte hain to haqq ke saath utarte hain, aur phir logon ko mohlat nahin di jati.
9. Raha yeh zikr, to isko humne naazil kiya hai aur hum khud iske nigehbaan hain.
10. (Aey Muhammad), hum tumse pehle bahut si guzri hui qaumon mein Rasool bhej chuke hain
11. Kabhi aisa nahin hua ke unke paas koi Rasool aaya ho aur unhon ne uska mazaaq na udaya ho
12. Mujrimeen ke dilon mein to hum is zikr ko isi tarah [salaakh ke manind (like a rod)] guzarte hain
13. Woh ispar iman nahin laya karte, Qadeem (ancient times) se is qumash ke logon ka yahi tareeqa chala aa raha hai
14. Agar hum unpar aasmaan ka koi darwaza khol dete aur woh din dahade usmein chadhne bhi lagte,
15. tab bhi woh yahi kehte ke hamari aankhon ko dhoka ho raha hai, balke humpar jaadu kardiya gaya hai
16. Yeh hamari kaar-farmayi hai ke aasmaan mein humne bahut se mazboot qiley (fortified spheres) banaye, unko dekhne walon ke liye muzayyan (adorn) kiya.
17. Aur har shaytan e mardood se unko mehfooz kardiya.
18. Koi shaytan in mein raah nahin paa sakta, illa yeh ke kuch sun-gun le le, aur jab woh sun-gun lene ki koshish karta hai to ek shola roshan uska peecha karta hai.
19. Humne zameen ko phaylaya, us mein pahad jamaye, usmein har naw ki nabataat theek theek napi tuli miqdar(measure) ke saath ugayi.
20. Aur is mein maishat (livelihood) ke asbaab faraham kiye, tumhare liye bhi aur un bahut si makhlooqat ke liye bhi jinke raziq tum nahin ho.
21. Koi cheez aisi nahin jiske khazane hamare paas na hon, aur jis cheez ko bhi hum naazil karte hain ek muqarrar miqdar(measure) mein naazil karte hain.
22. Baar-awar hawaon (fertilizing winds) ko hum hi bhejte hain, phir aasmaan se pani barsate hain, aur us pani se tumhein sairaab karte hain, is daulat ke khazana-daar tum nahin ho.
23. Zindagi aur maut hum dete hain, aur hum hi sab ke waris hone wale hain.
24. Pehle jo log tum mein se ho guzre hain unko bhi humne dekh rakkha hai, aur baad ke aaney wale bhi hamari nigaah mein hain.
25. Yaqeenan tumhara Rubb in sabko ikattha karega, woh hakeem(All-Wise) bhi hai aur aleem(All-Knowing) bhi.
26. Humne Insan ko sadi (rotten) hui mitti ke sukhe gaare (clay) se banaya.
27. Aur us se pehle Jinno ko hum aag ki lapat se paida kar chuke thay.
28. Phir yaad karo us mauqe ko jab tumhare Rubb ne Farishton se kaha ke “ main sadi hui mitti ke sukhe gaare se ek bashar paida kar raha hoon.
29. Jab main usey poora bana chukun aur us mein apni rooh se kuch phoonk doon to tum sab uske aage sajde mein gir jana”.
30. Chunanchey tamaam Farishton ne sajda kiya,
31. Siwaye Iblees ke, ke usne sajda karne walon ka saath dene se inkar kardiya.
32. Rubb ne pucha “ aey Iblis , tujhey kya hua ke tu ne sajda karne walon ka saath na diya?”
33. Usne kaha “mera yeh kaam nahin hai ke main is bashar ko sajda karoon jise tu ne sadi hui mitti ke sukhe gaare se paida kiya hai”.
34. Rubb ne farmaya “accha to nikal jaa yahan se kyunke tu mardood(accursed) hai.
35. Aur ab roz-e-jaza tak tujhpar laanat hai”.
36. Usne arz kiya “mere Rubb, yeh baat hai to phir mujhe us roz tak ke liye mohlat de jabke sab Insan dobara uthaye jayenge”.
37. Farmaya “ accha, tujhey mohlat hai,
38. Us din tak jiska waqt humein maloom hai”.
39. Woh bola “mere Rubb, jaisa tu ne mujhe behkaya usi tarah ab main zameen mein inke liye dil farebiyan paida karke in sabko behka dunga.
40. Siwaye tere un bandon ke jinhein tu ne inmein se khaalis karliya ho”.
41. Farmaya “yeh raasta hai jo seedha mujh tak pahunchta hai.
42. Beshak , jo mere haqiqi banday hain unpar tera bas na chalega. Tera bas to sirf un behke huey logon hi par chalega jo teri pairwi karein.
43. Aur un sab ke liye jahannum ki waeed(destined) hai”.
44. Yeh jahannum (jiski waeed pairwan e Iblis ke liye ki gayi hai) uske saat (seven) darwaze hain, har darwaze ke liye unmein se ek hissa makhsoos kardiya gaya hai.
45. Ba-khilaf iske muttaqi log baaghon (gardens) aur chashmon (fountains) mein honge.
46. Aur unse kaha jayega ke daakhil ho jao inmein salamati ke saath bekhauf o khatar.
47. Unke dilon mein jo thodi bahut khot-kapat hogi usey hum nikal denge, woh aapas mein bhai bhai bankar aamne saamne takhaton par baithenge.
48. Unhein na wahan kisi mushaqqat se paala padega aur na woh wahan se nikale jayenge.
49. (Aey Nabi), mere bandon ko khabar de do ke main bahut darguzar karne wala (Forgiving) aur Raheem hoon.
50. Magar iske saath mera azaab bhi nihayat dardnaak azaab hai.
51. Aur inhein zara Ibrahim ke mehmano ka qissa sunao,
52. Jab woh aaye uske haan aur kaha “Salaam ho tumpar,” to usne kaha “humein tumse darr lagta hai”.
53. Unhon ne jawab diya “ daro nahin, hum tumhein ek badey siyane ladke ki basharat dete hain”.
54. Ibrahim ne kaha “ kya tum is budhape mein mujhe aulad ki basharat dete ho? Zara socho to sahih ke yeh kaisi basharat tum mujhe de rahe ho?”
55. Unhon ne jawab diya “ hum tumhein bar haqq basharat de rahe hain, tum mayous na ho”.
56. Ibrahim ne kaha “ apne Rubb ki rehmat se mayous to gumraah log hi hua karte hain”.
57. Phir Ibrahim ne pucha “aey faristaad-gaan-e-Ilahi(messengers of Allah), woh mohim (expedition) kya hai jispar aap hazraat tashreef laye hain?”
58. Woh bole, “hum ek mujrim qaum ki taraf bhejhe gaye hain.
59. Sirf Lut ke ghar wale mustasna (exception) hain, un sab ko hum bacha lenge.
60. Siwaye uski biwi ke jiske liye (Allah farmata hai ke) humne muqaddar kardiya hai ke woh pichey reh jaane walon mein shamil rahegi”.
61. Phir jab yeh Faristaade Lut ke haan pahunchey.
62. To usne kaha “aap log ajnabi maloom hote hain”.
63. Unhon ne jawab diya “nahin, balke hum wahi cheez lekar aaye hain jiske aane mein yeh log shakk kar rahe thay.
64. Hum tumse sach kehte hain ke hum haqq ke saath tumhare paas aaye hain.
65. Lihaza ab tum kuch raat rahe apne ghar walon ko lekar nikal jao aur khud unke pichey pichey chalo, tum mein se koi palat kar na dekhe bas seedhe chale jao jidhar jaane ka tumhein hukm diya jaa raha hai”.
66. Aur usey humne apna yeh faisla pahuncha diya ke subah hote hote in logon ki jadd (roots) kaat di jayegi.
67. Itne mein shehar ke log khushi ke maare betab hokar Lut ke ghar chadh aaye.
68. Lut ne kaha “bhaiyon, yeh mere mehmaan hain, meri fazihat (dishonour) na karo.
69. Allah se daro, mujhe ruswa na karo”.
70. Woh bole “kya hum baaraha tumhein mana nahin kar chuke hain ke duniya bhar ke thekedar na bano?”
71. Lut ne aajiz hokar kaha “agar tumhein kuch karna hi hai to yeh meri betiyan maujood hain”!
72. Teri jaan ki qasam aey Nabi, us waqt unpar ek nasha sa chadha hua tha jismein woh aape se bahar huey jaate thay.
73. Aakhir e kaar pow phathte hi unko ek zabardast dhamake ne aa liya (severe blast overtook them at dawn).
74. Aur humne us basti ko talpat (upside down) karke rakh diya aur unpar paki (baked) hui mitti ke pattharon ki baarish barsa di.
75. Is waqiye mein badi nishaniyan hain un logon ke liye jo saahib-e-firasat (endowed with intelligence) hain.
76. Aur woh ilaqa (jahan yeh waqiya pesh aaya tha) guzar gaah e aam (high way) par waqeh hai.
77. Usmein samaan e ibrat hai un logon ke liye jo sahib e iman hain.
78. Aur Aikah wale (Companions of the Wood ) zalim thay.
79. To dekhlo ke humne unse bhi inteqam liya, aur in dono qaumon ke ujade huey ilaqe khule raaste par waqeh hain.
80. Hijr (Stone Valley) ke log bhi Rasoolon ki takzeeb kar chuke hain.
81. Humne apni aayaat unke paas bheji, apni nishaniyan unko dikhayi, magar woh sabko nazar-andaz (ignore) hi karte rahe.
82. Woh pahad tarash tarash kar makaan banate thay aur apni jagah bilkul be-khauf aur mutmaeen thay.
83. Aakhir e kaar ek zabardast dhamake ne unko subah hote hi aa liya.
84. Aur unki kamayi unke kuch kaam na aayi.
85. Humne zameen aur aasmaan ko aur unki sab maujoodaat ko haqq ke siwa kisi aur buniyaad par khalq (create) nahin kiya hai, aur faisle ki ghadi yaqeenan aane wali hai. Pas (aey Muhammad), tum (in logon ki behudgiyon par) shareefana darguzar se kaam lo.
86. Yaqeenan tumhara Rubb sab ka khaliq hai aur sab kuch jaanta hai.
87. Humne tumko saat (seven) aisi aayatein de rakkhi hain jo baar baar dohrayi jaane ke layiq hain, aur tumhein Quran e azeem ata kiya hai.
88. Tum us mata-e-duniya ki taraf aankh utha kar na dekho jo humne in mein se mukhtalif qisam ke logon ko de rakkhi hai, aur na inke haal par apna dil kudhao(grieve), inhein chodh kar iman laane walon ki taraf jhuko.
89. Aur (na maanne walon se) kehdo ke main to saaf saaf tambeeh(warn) karne wala hoon.
90. Yeh usi ki tarah ki tambeeh hai jaisi humne un tafarraqe pardazon (those who make division) ki taraf bheji thi.
91. Jinhon ne apne Quran ko tukde tukde kar dala hai.
92. To qasam hai tere Rubb ki, hum zaroor in sabse puchenge,
93. Ke tum kya karte rahe ho.
94. Pas (aey Nabi) jis cheez ka tumhein hukm diya jaa raha hai usey hankey pukare kehdo(proclaim publicly) aur shirk karne walon ki zara parwah na karo.
95. Tumhari taraf se hum un mazaaq udane walon ki khabar lenay ke liye kafi hain.
96. Jo Allah ke saath kisi aur ko bhi khuda qarar dete hain anqareeb unhein maloom ho jayega.
97. Humein maloom hai ke jo baatein yeh log tumpar banate hain unse tumhare dil ko sakht koft hoti hai (heart is distressed).
98. Iska ilaaj yeh hai ke apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh karo, uski janaab mein sajda baja lao.
99. Aur us aakhri ghadi tak apne Rubb ki bandagi karte raho jiska aana yaqeeni hai.
Comments
Post a Comment