📖 Surah 14 Ibrahim Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- الر ۚ كِتَابٌ أَنْزَلْنَاهُ إِلَيْكَ لِتُخْرِجَ النَّاسَ مِنَ الظُّلُمَاتِ إِلَى النُّورِ بِإِذْنِ رَبِّهِمْ إِلَىٰ صِرَاطِ الْعَزِيزِ الْحَمِيدِ
- اللَّهِ الَّذِي لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۗ وَوَيْلٌ لِلْكَافِرِينَ مِنْ عَذَابٍ شَدِيدٍ
- الَّذِينَ يَسْتَحِبُّونَ الْحَيَاةَ الدُّنْيَا عَلَى الْآخِرَةِ وَيَصُدُّونَ عَنْ سَبِيلِ اللَّهِ وَيَبْغُونَهَا عِوَجًا ۚ أُولَٰئِكَ فِي ضَلَالٍ بَعِيدٍ
- وَمَا أَرْسَلْنَا مِنْ رَسُولٍ إِلَّا بِلِسَانِ قَوْمِهِ لِيُبَيِّنَ لَهُمْ ۖ فَيُضِلُّ اللَّهُ مَنْ يَشَاءُ وَيَهْدِي مَنْ يَشَاءُ ۚ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ
- وَلَقَدْ أَرْسَلْنَا مُوسَىٰ بِآيَاتِنَا أَنْ أَخْرِجْ قَوْمَكَ مِنَ الظُّلُمَاتِ إِلَى النُّورِ وَذَكِّرْهُمْ بِأَيَّامِ اللَّهِ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِكُلِّ صَبَّارٍ شَكُورٍ
- وَإِذْ قَالَ مُوسَىٰ لِقَوْمِهِ اذْكُرُوا نِعْمَةَ اللَّهِ عَلَيْكُمْ إِذْ أَنْجَاكُمْ مِنْ آلِ فِرْعَوْنَ يَسُومُونَكُمْ سُوءَ الْعَذَابِ وَيُذَبِّحُونَ أَبْنَاءَكُمْ وَيَسْتَحْيُونَ نِسَاءَكُمْ ۚ وَفِي ذَٰلِكُمْ بَلَاءٌ مِنْ رَبِّكُمْ عَظِيمٌ
- وَإِذْ تَأَذَّنَ رَبُّكُمْ لَئِنْ شَكَرْتُمْ لَأَزِيدَنَّكُمْ ۖ وَلَئِنْ كَفَرْتُمْ إِنَّ عَذَابِي لَشَدِيدٌ
- وَقَالَ مُوسَىٰ إِنْ تَكْفُرُوا أَنْتُمْ وَمَنْ فِي الْأَرْضِ جَمِيعًا فَإِنَّ اللَّهَ لَغَنِيٌّ حَمِيدٌ
- أَلَمْ يَأْتِكُمْ نَبَأُ الَّذِينَ مِنْ قَبْلِكُمْ قَوْمِ نُوحٍ وَعَادٍ وَثَمُودَ ۛ وَالَّذِينَ مِنْ بَعْدِهِمْ ۛ لَا يَعْلَمُهُمْ إِلَّا اللَّهُ ۚ جَاءَتْهُمْ رُسُلُهُمْ بِالْبَيِّنَاتِ فَرَدُّوا أَيْدِيَهُمْ فِي أَفْوَاهِهِمْ وَقَالُوا إِنَّا كَفَرْنَا بِمَا أُرْسِلْتُمْ بِهِ وَإِنَّا لَفِي شَكٍّ مِمَّا تَدْعُونَنَا إِلَيْهِ مُرِيبٍ
- قَالَتْ رُسُلُهُمْ أَفِي اللَّهِ شَكٌّ فَاطِرِ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۖ يَدْعُوكُمْ لِيَغْفِرَ لَكُمْ مِنْ ذُنُوبِكُمْ وَيُؤَخِّرَكُمْ إِلَىٰ أَجَلٍ مُسَمًّى ۚ قَالُوا إِنْ أَنْتُمْ إِلَّا بَشَرٌ مِثْلُنَا تُرِيدُونَ أَنْ تَصُدُّونَا عَمَّا كَانَ يَعْبُدُ آبَاؤُنَا فَأْتُونَا بِسُلْطَانٍ مُبِينٍ
- قَالَتْ لَهُمْ رُسُلُهُمْ إِنْ نَحْنُ إِلَّا بَشَرٌ مِثْلُكُمْ وَلَٰكِنَّ اللَّهَ يَمُنُّ عَلَىٰ مَنْ يَشَاءُ مِنْ عِبَادِهِ ۖ وَمَا كَانَ لَنَا أَنْ نَأْتِيَكُمْ بِسُلْطَانٍ إِلَّا بِإِذْنِ اللَّهِ ۚ وَعَلَى اللَّهِ فَلْيَتَوَكَّلِ الْمُؤْمِنُونَ
- وَمَا لَنَا أَلَّا نَتَوَكَّلَ عَلَى اللَّهِ وَقَدْ هَدَانَا سُبُلَنَا ۚ وَلَنَصْبِرَنَّ عَلَىٰ مَا آذَيْتُمُونَا ۚ وَعَلَى اللَّهِ فَلْيَتَوَكَّلِ الْمُتَوَكِّلُونَ
- وَقَالَ الَّذِينَ كَفَرُوا لِرُسُلِهِمْ لَنُخْرِجَنَّكُمْ مِنْ أَرْضِنَا أَوْ لَتَعُودُنَّ فِي مِلَّتِنَا ۖ فَأَوْحَىٰ إِلَيْهِمْ رَبُّهُمْ لَنُهْلِكَنَّ الظَّالِمِينَ
- وَلَنُسْكِنَنَّكُمُ الْأَرْضَ مِنْ بَعْدِهِمْ ۚ ذَٰلِكَ لِمَنْ خَافَ مَقَامِي وَخَافَ وَعِيدِ
- وَاسْتَفْتَحُوا وَخَابَ كُلُّ جَبَّارٍ عَنِيدٍ
- مِنْ وَرَائِهِ جَهَنَّمُ وَيُسْقَىٰ مِنْ مَاءٍ صَدِيدٍ
- يَتَجَرَّعُهُ وَلَا يَكَادُ يُسِيغُهُ وَيَأْتِيهِ الْمَوْتُ مِنْ كُلِّ مَكَانٍ وَمَا هُوَ بِمَيِّتٍ ۖ وَمِنْ وَرَائِهِ عَذَابٌ غَلِيظٌ
- مَثَلُ الَّذِينَ كَفَرُوا بِرَبِّهِمْ ۖ أَعْمَالُهُمْ كَرَمَادٍ اشْتَدَّتْ بِهِ الرِّيحُ فِي يَوْمٍ عَاصِفٍ ۖ لَا يَقْدِرُونَ مِمَّا كَسَبُوا عَلَىٰ شَيْءٍ ۚ ذَٰلِكَ هُوَ الضَّلَالُ الْبَعِيدُ
- أَلَمْ تَرَ أَنَّ اللَّهَ خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ بِالْحَقِّ ۚ إِنْ يَشَأْ يُذْهِبْكُمْ وَيَأْتِ بِخَلْقٍ جَدِيدٍ
- وَمَا ذَٰلِكَ عَلَى اللَّهِ بِعَزِيزٍ
- وَبَرَزُوا لِلَّهِ جَمِيعًا فَقَالَ الضُّعَفَاءُ لِلَّذِينَ اسْتَكْبَرُوا إِنَّا كُنَّا لَكُمْ تَبَعًا فَهَلْ أَنْتُمْ مُغْنُونَ عَنَّا مِنْ عَذَابِ اللَّهِ مِنْ شَيْءٍ ۚ قَالُوا لَوْ هَدَانَا اللَّهُ لَهَدَيْنَاكُمْ ۖ سَوَاءٌ عَلَيْنَا أَجَزِعْنَا أَمْ صَبَرْنَا مَا لَنَا مِنْ مَحِيصٍ
- وَقَالَ الشَّيْطَانُ لَمَّا قُضِيَ الْأَمْرُ إِنَّ اللَّهَ وَعَدَكُمْ وَعْدَ الْحَقِّ وَوَعَدْتُكُمْ فَأَخْلَفْتُكُمْ ۖ وَمَا كَانَ لِيَ عَلَيْكُمْ مِنْ سُلْطَانٍ إِلَّا أَنْ دَعَوْتُكُمْ فَاسْتَجَبْتُمْ لِي ۖ فَلَا تَلُومُونِي وَلُومُوا أَنْفُسَكُمْ ۖ مَا أَنَا بِمُصْرِخِكُمْ وَمَا أَنْتُمْ بِمُصْرِخِيَّ ۖ إِنِّي كَفَرْتُ بِمَا أَشْرَكْتُمُونِ مِنْ قَبْلُ ۗ إِنَّ الظَّالِمِينَ لَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ
- وَأُدْخِلَ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ خَالِدِينَ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِمْ ۖ تَحِيَّتُهُمْ فِيهَا سَلَامٌ
- أَلَمْ تَرَ كَيْفَ ضَرَبَ اللَّهُ مَثَلًا كَلِمَةً طَيِّبَةً كَشَجَرَةٍ طَيِّبَةٍ أَصْلُهَا ثَابِتٌ وَفَرْعُهَا فِي السَّمَاءِ
- تُؤْتِي أُكُلَهَا كُلَّ حِينٍ بِإِذْنِ رَبِّهَا ۗ وَيَضْرِبُ اللَّهُ الْأَمْثَالَ لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمْ يَتَذَكَّرُونَ
- وَمَثَلُ كَلِمَةٍ خَبِيثَةٍ كَشَجَرَةٍ خَبِيثَةٍ اجْتُثَّتْ مِنْ فَوْقِ الْأَرْضِ مَا لَهَا مِنْ قَرَارٍ
- يُثَبِّتُ اللَّهُ الَّذِينَ آمَنُوا بِالْقَوْلِ الثَّابِتِ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الْآخِرَةِ ۖ وَيُضِلُّ اللَّهُ الظَّالِمِينَ ۚ وَيَفْعَلُ اللَّهُ مَا يَشَاءُ
- أَلَمْ تَرَ إِلَى الَّذِينَ بَدَّلُوا نِعْمَتَ اللَّهِ كُفْرًا وَأَحَلُّوا قَوْمَهُمْ دَارَ الْبَوَارِ
- جَهَنَّمَ يَصْلَوْنَهَا ۖ وَبِئْسَ الْقَرَارُ
- وَجَعَلُوا لِلَّهِ أَنْدَادًا لِيُضِلُّوا عَنْ سَبِيلِهِ ۗ قُلْ تَمَتَّعُوا فَإِنَّ مَصِيرَكُمْ إِلَى النَّارِ
- قُلْ لِعِبَادِيَ الَّذِينَ آمَنُوا يُقِيمُوا الصَّلَاةَ وَيُنْفِقُوا مِمَّا رَزَقْنَاهُمْ سِرًّا وَعَلَانِيَةً مِنْ قَبْلِ أَنْ يَأْتِيَ يَوْمٌ لَا بَيْعٌ فِيهِ وَلَا خِلَالٌ
- اللَّهُ الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَأَنْزَلَ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً فَأَخْرَجَ بِهِ مِنَ الثَّمَرَاتِ رِزْقًا لَكُمْ ۖ وَسَخَّرَ لَكُمُ الْفُلْكَ لِتَجْرِيَ فِي الْبَحْرِ بِأَمْرِهِ ۖ وَسَخَّرَ لَكُمُ الْأَنْهَارَ
- وَسَخَّرَ لَكُمُ الشَّمْسَ وَالْقَمَرَ دَائِبَيْنِ ۖ وَسَخَّرَ لَكُمُ اللَّيْلَ وَالنَّهَارَ
- وَآتَاكُمْ مِنْ كُلِّ مَا سَأَلْتُمُوهُ ۚ وَإِنْ تَعُدُّوا نِعْمَتَ اللَّهِ لَا تُحْصُوهَا ۗ إِنَّ الْإِنْسَانَ لَظَلُومٌ كَفَّارٌ
- وَإِذْ قَالَ إِبْرَاهِيمُ رَبِّ اجْعَلْ هَٰذَا الْبَلَدَ آمِنًا وَاجْنُبْنِي وَبَنِيَّ أَنْ نَعْبُدَ الْأَصْنَامَ
- رَبِّ إِنَّهُنَّ أَضْلَلْنَ كَثِيرًا مِنَ النَّاسِ ۖ فَمَنْ تَبِعَنِي فَإِنَّهُ مِنِّي ۖ وَمَنْ عَصَانِي فَإِنَّكَ غَفُورٌ رَحِيمٌ
- رَبَّنَا إِنِّي أَسْكَنْتُ مِنْ ذُرِّيَّتِي بِوَادٍ غَيْرِ ذِي زَرْعٍ عِنْدَ بَيْتِكَ الْمُحَرَّمِ رَبَّنَا لِيُقِيمُوا الصَّلَاةَ فَاجْعَلْ أَفْئِدَةً مِنَ النَّاسِ تَهْوِي إِلَيْهِمْ وَارْزُقْهُمْ مِنَ الثَّمَرَاتِ لَعَلَّهُمْ يَشْكُرُونَ
- رَبَّنَا إِنَّكَ تَعْلَمُ مَا نُخْفِي وَمَا نُعْلِنُ ۗ وَمَا يَخْفَىٰ عَلَى اللَّهِ مِنْ شَيْءٍ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ
- الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي وَهَبَ لِي عَلَى الْكِبَرِ إِسْمَاعِيلَ وَإِسْحَاقَ ۚ إِنَّ رَبِّي لَسَمِيعُ الدُّعَاءِ
- رَبِّ اجْعَلْنِي مُقِيمَ الصَّلَاةِ وَمِنْ ذُرِّيَّتِي ۚ رَبَّنَا وَتَقَبَّلْ دُعَاءِ
- رَبَّنَا اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِلْمُؤْمِنِينَ يَوْمَ يَقُومُ الْحِسَابُ
- وَلَا تَحْسَبَنَّ اللَّهَ غَافِلًا عَمَّا يَعْمَلُ الظَّالِمُونَ ۚ إِنَّمَا يُؤَخِّرُهُمْ لِيَوْمٍ تَشْخَصُ فِيهِ الْأَبْصَارُ
- مُهْطِعِينَ مُقْنِعِي رُءُوسِهِمْ لَا يَرْتَدُّ إِلَيْهِمْ طَرْفُهُمْ ۖ وَأَفْئِدَتُهُمْ هَوَاءٌ
- وَأَنْذِرِ النَّاسَ يَوْمَ يَأْتِيهِمُ الْعَذَابُ فَيَقُولُ الَّذِينَ ظَلَمُوا رَبَّنَا أَخِّرْنَا إِلَىٰ أَجَلٍ قَرِيبٍ نُجِبْ دَعْوَتَكَ وَنَتَّبِعِ الرُّسُلَ ۗ أَوَلَمْ تَكُونُوا أَقْسَمْتُمْ مِنْ قَبْلُ مَا لَكُمْ مِنْ زَوَالٍ
- وَسَكَنْتُمْ فِي مَسَاكِنِ الَّذِينَ ظَلَمُوا أَنْفُسَهُمْ وَتَبَيَّنَ لَكُمْ كَيْفَ فَعَلْنَا بِهِمْ وَضَرَبْنَا لَكُمُ الْأَمْثَالَ
- وَقَدْ مَكَرُوا مَكْرَهُمْ وَعِنْدَ اللَّهِ مَكْرُهُمْ وَإِنْ كَانَ مَكْرُهُمْ لِتَزُولَ مِنْهُ الْجِبَالُ
- فَلَا تَحْسَبَنَّ اللَّهَ مُخْلِفَ وَعْدِهِ رُسُلَهُ ۗ إِنَّ اللَّهَ عَزِيزٌ ذُو انْتِقَامٍ
- يَوْمَ تُبَدَّلُ الْأَرْضُ غَيْرَ الْأَرْضِ وَالسَّمَاوَاتُ ۖ وَبَرَزُوا لِلَّهِ الْوَاحِدِ الْقَهَّارِ
- وَتَرَى الْمُجْرِمِينَ يَوْمَئِذٍ مُقَرَّنِينَ فِي الْأَصْفَادِ
- سَرَابِيلُهُمْ مِنْ قَطِرَانٍ وَتَغْشَىٰ وُجُوهَهُمُ النَّارُ
- لِيَجْزِيَ اللَّهُ كُلَّ نَفْسٍ مَا كَسَبَتْ ۚ إِنَّ اللَّهَ سَرِيعُ الْحِسَابِ
- هَٰذَا بَلَاغٌ لِلنَّاسِ وَلِيُنْذَرُوا بِهِ وَلِيَعْلَمُوا أَنَّمَا هُوَ إِلَٰهٌ وَاحِدٌ وَلِيَذَّكَّرَ أُولُو الْأَلْبَابِ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Alif-Laaam-Raa; Kitaabun anzalnaahu ilaika litukhrijan-naasa minaz zulumaati ilan noori bi-izni Rabbihim ilaa siraatil 'Azeezil Hameed
- Allaahil lazee lahoo maa fis samaawaati wa maa fill ard; wa wailul lilkaafireena min 'azaabin shadeed
- Allazeena yastahibboo nal hayaatad dunyaa 'alal aakhirati wa yasuddoona 'ansabeelil laahi wa yabghoonahaa 'iwajaa; ulaaa 'ika fee dalaalin ba'eed
- Wa maaa arsalnaa mir Rasoolin illaa bilisaani qawmihee liyubaiyina lahum fa yudillul laahu mai yashaaa'u wa yahdee mai yashaaa'; wa Huwal 'Azeezul Hakeem
- Wa laqad arsalnaa Moosaa bi Aayaatinaa an akhrij qawmaka minaz zulumaati ilan noori wa zak kirhum bi ayyaamil laah; inna fee zaalika la aayaatil likulli sabbaarin shakoor
- Wa iz qaala Moosaa liqawmihiz kuroo ni'matal laahi 'alaikum iz anjaakum min Aali Fir'awna yasoomoo nakum sooo'al 'azaabi wa yuzabbihoona abnaaa'akum wa yastahyoona nisaaa'akum; wa fee zaalikum balaaa'un mir Rabbikum 'azeem (section 1)
- Wa iz ta azzana Rabbukum la'in shakartum la azeedannakum wa la'in kafartum inna 'azaabee lashadeed
- Wa qaala Moosaaa in takfurooo antum wa man fil ardi jamee'an fa innal laaha la Ghaniyyun Hameed
- Alam ya'tikum naba'ul lazeena min qablikum qawmi Noohinw wa 'Aadinw wa Samood, wallazeena mim ba'dihim; laa ya'lamuhum illallaah; jaaa'at hum Rusuluhum bilbaiyinaati faraddooo aydiyahum feee afwaahihim wa qaalooo innaa kafarnaa bimaaa ursiltum bihee wa innaa lafee shakkim mimmaa tad'oonanaaa ilaihi mureeb
- Qaalat Rusuluhum afillaahi shakkun faatiris samaawaati wal ardi yad'ookum liyaghfira lakum min zunoobikum wa yu'akhirakum ilaaa ajalin musammaa; qaaloo in antum illaa basharum mislunaa tureedoona an tasuddoonaa 'ammaa kaana ya'budu aabaaa'unaa fa'toonaa bi sultaanin mubeen
- Qaalat lahum Rusuluhum in nahnu illaa basharum mislukum wa laakinnal laaha yamunnu 'alaa mai yashaaa'u min 'ibaadihee wa maa kaana lanaaa an na'tiyakum bisul taanin illaa bi iznil laah; wa 'alal laahi falyatawakkalil mu'minoon
- Wa maa lanaa allaa natawakkala 'alal laahi wa qad hadaanaa subulanaa; wa lanasbiranna 'alaa maaa aazaitumoonaa; wa 'alal laahi falyatawakkalil mutawakkiloon (section 2)
- Wa qaalal lazeena kafaroo li Rusulihim lanukhrijanna kum min aardinaaa aw la ta'oodunna fee millatinaa fa awhaaa ilaihim Rabbuhum lanuhlikannaz zaalimeen
- Wa lanuskinan nakumul arda min ba'dihim; zaalika liman khaafa maqaamee wa khaafa wa'eed
- Wastaftahoo wa khaaba kullu jabbaarin 'aneed
- Minw waraaa'ihee jahannamu wa yusqaa min maaa'in sadeed
- Yatajarra'uhoo wa laa yakaadu yuseeghuhoo wa ya'teehil mawtu min kulli makaaninw wa maa huwa bimaiyitinw wa minw waraaa'ihee 'azaabun ghaleez
- Masalul lazeena kafaroo bi Rabbihim; a'maaluhum karamaadinish taddat bihir reehu fee yawmin 'aasifin; laa yaqdiroona mimmaa kasaboo 'alaa shai'; zaalika huwad dalaalul ba'eed
- Alam tara annal laaha khalaqas samaawaati wal arda bilhaqq; iny yasha yuzhibkum wa ya'ti bikhalqin jadeed
- Wa maa zaalika 'alal laahi bi 'azeez
- Wa barazoo lillaahi jamee'an faqaalad du'afaaa'u lil lazeenas takbarooo innaa kunnaa lakum taba'an fahal antum mughnoona 'annaa min 'azaabil laahi min shai'; qaaloo law hadaanal laahu la hadaynaakum sawaaa'un 'alainaaa ajazi'naa am sabarnaa maa lanaa min mahees (section 3)
- Wa qaalash Shaitaanu lammaa qudiyal amru innal laaha wa'adakum wa'dal haqqi wa wa'attukum fa akhlaftukum wa maa kaana liya 'alaikum min sultaanin illaaa an da'awtukum fastajabtum lee falaa taloomoonee wa loomooo anfusakum maaa ana bimusrikhikum wa maaa antum bimusrikhiyya innee kafartu bimaaa ashraktumooni min qabl; innaz zaalimeena lahum azaabun aleem
- Wa udkhilal lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati Jannaatin tajree min tahtihal anhaaru khaalideena feehaa bi izni Rabbihim tahiyyatuhum feeha salaam
- Alam tara kaifa darabal laahu masalan kalimatan taiyibatan kashajaratin taiyibatin asluhaa saabitunw wa far'uhaa fis samaaa'
- Tu'teee ukulahaa kulla heenim bi izni Rabbihaa; wa yadribul laahul amsaala linnaasi la'allahum yatazak karoon
- Wa masalu kalimatin khabeesatin kashajaratin khabee satinij tussat min fawqil ardi maa lahaa min qaraar
- Yusabbitul laahul lazeena aamanoo bilqawlis saabiti fil hayaatid dunyaa wa fil Aakhirati wa yudillul laahuz zaalimeen; wa yaf'alul laahu maa yashaaa' (section 4)
- Alam tara ilal lazeena baddaloo ni'matal laahi kufranw wa ahalloo qawmahum daaral bawaar
- Jahannama yaslawnahaa wa bi'sal qaraar
- Wa ja'aloo lillaahi andaadal liyudilloo 'an sabeelih; qul tamatta'oo fa innaa maseerakum ilan Naar
- Qul li'ibaadiyal lazeena aamanoo yuqeemus Salaata wa yunfiqoo mimmaa razaqnaahum sirranw wa 'alaaniyatam min qabli any yaatiya Yawmul laa bai'un feehi wa laa khilaal
- Allaahul lazee khalaqas samaawaati wal arda wa anzala minas samaaa'i maaa'an faakhraja bihee minas samaraati rizqal lakum wa sakhkhara lakumul fulka litajriya fil bahri bi amrihee wa sakhkhara lakumul anhaar
- Wa sakhkhara lakumush shamsa walqamara daaa'ibaini wa sakhkhara lakumul laila wannahaar
- Wa aataakum min kulli maa sa altumooh; wa in ta'uddoo ni'matal laahi laa tuhsoohaa; innal insaana lazaloo mun kaffaar (section 5)
- Wa iz qaala Ibraaheemu Rabbij 'al haazal balada aaminanw wajnubnee wa baniyya an na'budal asnaam
- Rabbi innahunna adlalna kaseeram minan naasi faman tabi'anee fa innahoo minnee wa man 'asaanee fa innaka Ghafoorur Raheem
- Rabbanaaa inneee askantu min zurriyyatee biwaadin ghairi zee zar'in 'inda Baitikal Muharrami Rabbanaa liyuqeemus Salaata faj'al af'idatam minan naasi tahweee ilaihim warzuqhum minas samaraati la'allahum yashkuroon
- Rabbanaaa innaka ta'lamu maa nukhfee wa maa nu'lin; wa maa yakhfaa 'alal laahi min shai'in fil ardi wa laa fis samaaa'
- Alhamdu lillaahil lazee wahaba lee 'alal kibari Ismaa'eela wa Ishaaq; inna Rabbee lasamee'ud du'aaa
- Rabbij 'alnee muqeemas Salaati wa min zurriyyatee Rabbanaa wa taqabbal du'aaa'
- Rabbanagh fir lee wa liwaalidaiya wa lilmu'mineena Yawma yaqoomul hisaab (section 6)
- Wa laa tahsabannal laaha ghaafilan 'ammaa ya'maluz zaalimoon; innamaa yu'akh khiruhum li Yawmin tashkhasu feehil absaar
- Muhti'eena muqni'ee ru'oosihim laa yartaddu ilaihim tarfuhum wa af'idatuhum hawaaa'
- Wa anzirin naasa Yawma yaateehimul 'azaabu fa yaqoolul lazeena zalamoo Rabbanaaa akhkhirnaaa ilaaa ajalin qareebin nujib da'wataka wa nattabi 'ir Rusul; awalam takoonooo aqsamtum min qablu maa lakum min zawaal
- Wa sakantum fee masaakinil lazeena zalamooo anfusahum wa tabaiyana lakum kaifa fa'alnaa bihim wa darabnaa lakumul amsaal
- Wa qad makaroo makrahum wa 'indal laahi makruhum wa in kaana makruhum litazoola minhul jibaal
- Falaa tahsabannal laaha mukhlifa wa'dihee Rusulah; innal laaha 'azeezun zuntiqaam
- Yawma tubaddalul ardu ghairal ardi wassamaawaatu wa barazoo lillaahil Waahidil Qahhaar
- Wa taral mujrimeena Yawma 'izim muqarraneena filasfaad
- Saraabeeluhum min qatiraaninw wa taghshaa wujoohahumun Naar
- Liyajziyal laahu kulla nafsim maa kasabat; innal laaha saree'ul hisaab
- Haaza balaaghul linnaasi wa liyunzaroo bihee wa liya'lamooo annamaa Huwa Illaahunw Waahidunw wa liyaz zakkara ulul albaab (section 7) (End Juz 13)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
-
1. Alif Laam Raa (aey Muhammad), yeh ek kitaab hai jisko humne tumhari taraf naazil kiya hai taa-ke tum logon ko tareekiyon (andhere) se nikal kar roshni mein lao unke Rubb ki taufeeq se, us khuda ke raaste par jo zabardast aur apni zaat mein aap mehmood (qabil e tareef) hai.
2. Aur zameen aur aasmano ki saari maujuddat (har cheez) ka maalik hai, aur sakht tabah-kun saza hai qabool e haqq se inkar karne walon ke liye.
3. Jo duniya ki zindagi ko aakhirat par tarjeeh (prefrence) dete hain, jo Allah ke raaste se logon ko roak rahe hain aur chahte hain ke yeh raasta (unki khwahishaat ke mutabiq) teda (croocked) ho jaaye. Yeh log gumraahi mein bahut door nikal gaye hain.
4. Humne apna paigam dene ke liye jab kabhi koi Rasool bheja hai, usne apni qaum hi ki zubaan mein paigaam diya hai taa-ke woh unhein acchi tarah khol kar baat samjhaye. Phir Allah jise chahta hai bhatka deta hai aur jise chahta hai hidayat bakshta hai, woh baaladast (gaalib/all powerful) aur hakeem hai.
5. Hum is se pehle Moosa ko bhi apni nishaniyon ke saath bhej chuke hain, usey bhi humne hukm diya tha ke apni qaum ko tareekiyon (darkness) se nikal kar roshni mein laa aur unhein tareekh-e-ilahi (Divine History) ke sabaq-aamoz waqiyat suna kar naseehat kar.In waqiyat mein badi nishaniyan hain har us shaks ke liye jo sabr aur shukar karne wala ho.
6. Yaad karo jab Moosa ne apni qaum se kaha “Allah ke us ehsan ko yaad rakkho jo usne tumpar kiya hai, usne tumko Firoun walon se chudaya jo tumko sakht takleefein dete thay, tumhare ladkon ko qatal kar daalte thay aur tumhari auraton ko zinda bacha rakhte thay. Usmein tumhare Rubb ki taraf se tumhari badi aazmaish thi.
7. Aur yaad rakho, tumhare Rubb ne khabardaar kardiya tha ke agar shukar-guzar banoge to main tumko aur zyada nawazunga aur agar kufran-e-niyamat (ungrateful) karoge to meri saza bahut sakht hai”.
8. Aur Moosa ne kaha ke “agar tum kufr karo aur zameen ke saare rehne wale bhi kafir ho jayein to Allah be niyaz aur apni zaat mein aap mehmood hai”.
9. Kya tumhein un qaumon ke halaat nahin pahunche jo tumse pehle guzar chuki hain? Qaum-e-Nooh, Aad, Samood aur unke baad aane wali bahut se qaumein jinka shumaar Allah hi ko maloom hai? Unke Rasool jab unke paas saaf saaf baatein aur khuli khuli nishaniyan liye huey aaye to unhon ne apne mooh mein haath daba liye aur kaha ke “ jis paigaam ke saath tum bheje gaye ho hum usko nahin maante aur jis cheez ki tum humein dawat dete ho uski taraf se hum sakht khaljan aameiz shakk (disquieting doubt) mein padey huey hain”.
10. Unke Rasoolon ne kaha “kya khuda ke baare mein Shakk hai jo aasmano aur zameen ka khaliq hai? Woh tumhein bula raha hai taa-ke tumhare kasoor maaf kare aur tumko ek muddat-e-muqarrar tak mohlat de”. Unhon ne jawab diya “ tum kuch nahin ho magar waise hi Insan jaise hum hain , tum humein un hastiyon ki bandagi se roakna chahte ho jinki bandagi baap dada se hoti chali aa rahi hai, accha to lao koi sareeh sanad(clear proof)”.
11. Unke Rasoolon ne unse kaha “waqayi hum kuch nahin hain magar tum hi jaise Insan, lekin Allah apne bandon mein se jisko chahta hai nawazta hai aur yeh hamare ikhtiyar mein nahin hai ke tumhein koi sanad (maujiza) laa dein. Sanad to Allah hi ke izan (permission/will) se aa sakti hai. Aur Allah hi par ehle iman ko bharosa karna chahiye.
12. Aur hum kyun na Allah par bharosa karein jabke hamari zindagi ki raahon mein usne hamari rehnumayi ki hai? Jo aziyatein (takleefein) tum log humein de rahe ho unpar hum sabr karenge aur bharosa karne walon ka bharosa Allah hi par hona chahiye”.
13. Aakhir-e-kaar munkireen ne apne Rasoolon se kehdiya ke “ ya to tumhein hamari millat mein wapas aana hoga warna hum tumhein apne mulk se nikal denge”. Tab unke Rubb ne unpar wahee bheji ke “hum in zalimon ko halaak kar denge.
14. Aur unke baad tumhein zameen mein aabaad karenge. Yeh inaam hai uska jo mere huzoor jawab-dehi (accountability) ka khauf rakhta ho aur meri waeed (warning) se darta ho”.
15. Unhon ne faisla chaha tha (to yun unka faisla hua) aur har jabbar (tyrant) dushman-e-haqq ne mooh ki khayi (suffered ignominy).
16. Phir iske baad aage uske liye jahannum hai, wahan usey kach-lahu (blood) ka sa pani peene ko diya jayega.
17. Jise woh zabardasti halaq se utarne ki koshish karega aur mushkil hi se utaar sakega. Maut har taraf se uspar chayi rahegi magar woh marne na payega aur aage ek sakht azaab uski jaan ka laagu rahega.
18. Jin logon ne apne Rubb se kufr kiya hai unke aamal ki misaal us raakh (ash) ki si hai jise ek toofaani din ki aandhi ne uda diya ho. Woh apne kiye ka kuch bhi phal na paa sakenge, yahi parle darje ki gum-gashtagi (extreme deviation) hai.
19. Kya tum dekhte nahin ho ke Allah ne aasmaan o zameen ki takhleeq ko haqq par qayam kiya hai? Woh chahe to tum logon ko le jaaye aur ek nayi khalqat (creation) tumhari jagah le aaye.
20. Aisa karna uspar kuch bhi dushwar nahin hai.
21. Aur yeh log jab ikatthey Allah ke saamne be-naqab honge to us waqt in mein se jo duniya mein kamzor thay woh un logon se jo badey baney huey thay, kahenge “ duniya mein hum tumhare tabey thay, ab kya tum Allah ke azaab se humko bachane ke liye bhi kuch kar sakte ho?” Woh jawab denge “agar Allah ne humein najaat ki koi raah dikhayi hoti to hum zaroor tumhein bhi dikha dete, ab to yaksan hai, khwa hum jaza fazaa karein ya sabr, bahar haal hamare bachne ki koi surat nahin”.
22. Aur jab faisla chuka diya jayega to shaytan kahega “ haqeeqat yeh hai ke Allah ne jo wadey tumse kiye thay woh sab sacche thay aur maine jitne wadey kiye un mein se koi bhi poora na kiya. Mera tumpar koi zoar to tha nahin, maine iske siwa kuch nahin kiya ke apne raaste ki taraf tumhein dawat di aur tumne meri dawat par labbaik kiya (qabool ki). Ab mujhe malamat na karo, apne aap hi ko malamat karo. Yahan na main tumhari fariyad-rasi kar sakta hoon aur na tum meri. Isse pehle jo tumne mujhe khudayi mein shareek bana rakkha tha main us se bari uz-zimma (dissociate myself) hoon. Aise zalimon ke liye dardnaak saza yaqeeni hai”.
23. Ba khilaf iske ke jo log duniya mein iman laye hain aur jinhon ne neik amal kiye hain woh aise baaghon mein daakhil kiye jayenge jinke nichey nehrein behti hongi. Wahan woh apne Rubb ke izn(permission) se hamesha rahenge, aur wahan unka isteqbal salamati ki mubarak-baadi se hoga.
24. Kya tum dekhte nahin ho ke Allah ne kalima-e-tayyiba ko kis cheez se misaal di hai? Iski misaal aisi hai jaise ek acchi zaat ka darakht, jiski jadh(root) zameen mein gehri jami hui hai aur shaakhein (branches) aasmaan tak pahunchi hui hain.
25. Har aan woh apne Rubb ke hukm se apne phal de raha hai. Yeh misaalein Allah is liye deta hai ke log inse sabaq lein.
26. Aur kalima e khabisa (evil word) ki misaal ek badh-zaat darakht ki si hai jo zameen ki sath(surface) se ukhad phenka jata hai, uske liye koi istehkam (stability) nahin hai.
27. Iman laane walon ko Allah ek qaul-e-saabit ki buniyad par duniya aur aakhirat, dono mein sabaat (firmness) ata karta hai, aur zalimon ko Allah bhatka deta hai. Allah ko ikhtiyar hai jo chahe kare.
28. Tumne dekha un logon ko jinhon ne Allah ki niyamat payi aur usey kufran-e-niyamat (ingratitude) se badal dala aur (apne saath) apni qaum ko bhi halakat ke ghar mein jhonk diya.
29. Yani jahannum, jismein woh jhulse jayenge aur woh badhtareen jaaye qarar hai.
30. Aur Allah ke kuch humsar (muqabil/shareek) tajweej karliye taa-ke woh unhein Allah ke raaste se bhatka dein. Inse kaho: accha mazey karlo, aakhir e kaar tumhein palat kar jana dozakh hi mein hai.
31. (Aey Nabi), mere jo banday iman laye hain unse kehdo ke namaz qayam karein aur jo kuch humne unko diya hai, usmein se khule aur chupe (raah e khair mein) kharch karein qabl iske ke woh din aaye jismein na khareed o farokht hogi aur na dost nawazi ho sakegi (dosti kaam aayegi).
32. Allah wahi to hai jisne zameen aur aasmano ko paida kiya aur aasmaan se pani barsaya, phir uske zariye se tumhari rizq rasani ke liye tarah tarah ke phal paida kiye. Jisne kashti ko tumhare liye musakkhar kiya ke samadar mein uske hukm se chale aur dariyaon ko tumhare liye musakkhar kiya.
33. Jisne Suraj aur chaand ko tumhare liye musakkhar kiya ke lagataar chale jaa rahe hain aur raat aur din ko tumhare liye musakkhar kiya.
34. Jinse woh sab kuch tumhein diya jo tumne maanga, agar tum Allah kin niyamaton ka shumaar karna chaho to kar nahin sakte. Haqeeqat yeh hai ke Insan bada hi bay-insaaf aur nashukra hai.
35. Yaad karo woh waqt jab Ibrahim ne dua ki thi ke “parwardigar, is shehar (Makkah) ko aman ka shehar bana aur mujhe aur meri aulad ko buth parasti (idol worship) se bacha.
36. Parwardigar, in buthon (idols) ne bahuton ko gumraahi mein dala hai (mumkin hai ke meri aulad ko bhi yeh gumraah kardein, lihaza unmein se) jo mere tareeqe par chale woh mera hai aur jo mere khilaf tareeqa ikhtiyar kare to yaqeenan tu darguzar karne wala mehrabaan hai.
37. Parwardigar, maine ek be aab-o-giyah waadi (barren valley) mein apni aulad ke ek hisse ko tere mohtaram ghar ke paas laa basaya hai. Parwardigar, yeh maine is liye kiya hai ke yeh log yahan namaz qayam karein. Lihaza tu logon ke dilon ko inka mushtaq bana (hearts of the people towards them) aur unhein khane ko phal de, shayad ke yeh shukarguzar banein.
38. Parwardigar, tu jaanta hai jo kuch hum chupate hain aur jo kuch zaahir karte hain”. Aur waqayi Allah se kuch bhi chupa hua nahin hai, na zameen mein na asmano mein.
39. “Shukar hai us khuda ka jisne mujhe is budhape mein Ismail aur Ishaq jaise bete diye, haqeeqat yeh hai ke mera Rubb zaroor dua sunta hai.
40. Aey mere parwardigar, mujhe namaz qayam karne wala bana aur meri aulad se bhi (aise log utha jo yeh kaam karein) parwardigar, meri dua qabool kar.
41. Parwardigar, mujhe aur mere walidain ko aur sab iman laane walon ko us din maaf kardijiyo jabke hisaab qayam hoga”.
42. Ab yeh zalim log jo kuch kar rahe hain Allah ko tum us se gaafil na samjho. Allah to inhein taal raha hai us din ke liye jab haal yeh hoga ke aankhein phati ki phati reh gayi hain.
43. Sar uthaye bhaage chale jaa rahe hain, nazrein upar jami hain aur dil udey jaate hain.
44. (Aey Muhammad), us din se tum inhein darao jabke azaab inhein aa lega us waqt yeh zalim kahenge ke “aey hamare Rubb, humein thodi si mohlat aur de de, hum teri dawat ko labbaik kahenge aur Rasoolon ki paiwari karenge”. (Magar unhein saaf jawab de diya jayega ke) kya tum wahi log nahin ho jo is se pehle kasmein kha kha kar kehte thay ke humpar to kabhi zawaal (decline) aana hi nahin hai?
45. Halanke tum un qaumon ki bastiyon mein reh bas chuke thay jinhon ne apne upar aap zulm kiya tha aur dekh chuke thay ke humne unse kya sulook kiya aur unki misaalein (examples) de dekar hum tumhein samjha bhi chuke thay.
46. Unhon ne apni saari hi chalein chal dekhi, magar unki har chaal ka toad Allah ke paas tha, agarche unki chaalein aisi gazab ki thi ke pahad unse tal jayein.
47. Pas (aey Nabi), tum hargiz yeh gumaan na karo ke Allah kabhi apne Rasoolon se kiye huey wadon ke khilaf karega. Allah zabardast hai aur inteqam lene wala hai.
48. Darao inhein us din se jabke zameen aur aasmaan badal kar kuch se kuch kar diye jayenge aur sab ke sab Allah wahid-e-qahhar (the one the irressitible) ke saamne bay-naqab haazir ho jayenge.
49. Us roz tum mujrimon ko dekhoge ke zanjeeron mein haath paaon jakde honge,
50. Taar-kol (liquid pitch/tar/dambar) ke libaas pehne huey honge aur aag ke shole unke chehron par chaye jaa rahe honge.
51. Yeh is liye hoga ke Allah har mutanaffis ko uske kiye ka balda dega. Allah ko hisaab lete kuch dair nahin lagti.
52. Yeh ek paigam hai sab Insano ke liye, aur yeh bheja gaya hai is liye ke unko iske zariye se khabardaar kardiya jaaye aur woh jaan lein ke haqeeqat mein khuda bas ek hi hai aur jo aqal rakhte hain woh hosh mein aa jayein.
Comments
Post a Comment