📖 Surah 13 Ar-Rad Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. المر ۚ تِلْكَ آيَاتُ الْكِتَابِ ۗ وَالَّذِي أُنْزِلَ إِلَيْكَ مِنْ رَبِّكَ الْحَقُّ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَ النَّاسِ لَا يُؤْمِنُونَ

  2. اللَّهُ الَّذِي رَفَعَ السَّمَاوَاتِ بِغَيْرِ عَمَدٍ تَرَوْنَهَا ۖ ثُمَّ اسْتَوَىٰ عَلَى الْعَرْشِ ۖ وَسَخَّرَ الشَّمْسَ وَالْقَمَرَ ۖ كُلٌّ يَجْرِي لِأَجَلٍ مُسَمًّى ۚ يُدَبِّرُ الْأَمْرَ يُفَصِّلُ الْآيَاتِ لَعَلَّكُمْ بِلِقَاءِ رَبِّكُمْ تُوقِنُونَ

  3. وَهُوَ الَّذِي مَدَّ الْأَرْضَ وَجَعَلَ فِيهَا رَوَاسِيَ وَأَنْهَارًا ۖ وَمِنْ كُلِّ الثَّمَرَاتِ جَعَلَ فِيهَا زَوْجَيْنِ اثْنَيْنِ ۖ يُغْشِي اللَّيْلَ النَّهَارَ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يَتَفَكَّرُونَ

  4. وَفِي الْأَرْضِ قِطَعٌ مُتَجَاوِرَاتٌ وَجَنَّاتٌ مِنْ أَعْنَابٍ وَزَرْعٌ وَنَخِيلٌ صِنْوَانٌ وَغَيْرُ صِنْوَانٍ يُسْقَىٰ بِمَاءٍ وَاحِدٍ وَنُفَضِّلُ بَعْضَهَا عَلَىٰ بَعْضٍ فِي الْأُكُلِ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يَعْقِلُونَ

  5. وَإِنْ تَعْجَبْ فَعَجَبٌ قَوْلُهُمْ أَإِذَا كُنَّا تُرَابًا أَإِنَّا لَفِي خَلْقٍ جَدِيدٍ ۗ أُولَٰئِكَ الَّذِينَ كَفَرُوا بِرَبِّهِمْ ۖ وَأُولَٰئِكَ الْأَغْلَالُ فِي أَعْنَاقِهِمْ ۖ وَأُولَٰئِكَ أَصْحَابُ النَّارِ ۖ هُمْ فِيهَا خَالِدُونَ

  6. وَيَسْتَعْجِلُونَكَ بِالسَّيِّئَةِ قَبْلَ الْحَسَنَةِ وَقَدْ خَلَتْ مِنْ قَبْلِهِمُ الْمَثُلَاتُ ۗ وَإِنَّ رَبَّكَ لَذُو مَغْفِرَةٍ لِلنَّاسِ عَلَىٰ ظُلْمِهِمْ ۖ وَإِنَّ رَبَّكَ لَشَدِيدُ الْعِقَابِ

  7. وَيَقُولُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَوْلَا أُنْزِلَ عَلَيْهِ آيَةٌ مِنْ رَبِّهِ ۗ إِنَّمَا أَنْتَ مُنْذِرٌ ۖ وَلِكُلِّ قَوْمٍ هَادٍ

  8. اللَّهُ يَعْلَمُ مَا تَحْمِلُ كُلُّ أُنْثَىٰ وَمَا تَغِيضُ الْأَرْحَامُ وَمَا تَزْدَادُ ۖ وَكُلُّ شَيْءٍ عِنْدَهُ بِمِقْدَارٍ

  9. عَالِمُ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ الْكَبِيرُ الْمُتَعَالِ

  10. سَوَاءٌ مِنْكُمْ مَنْ أَسَرَّ الْقَوْلَ وَمَنْ جَهَرَ بِهِ وَمَنْ هُوَ مُسْتَخْفٍ بِاللَّيْلِ وَسَارِبٌ بِالنَّهَارِ

  11. لَهُ مُعَقِّبَاتٌ مِنْ بَيْنِ يَدَيْهِ وَمِنْ خَلْفِهِ يَحْفَظُونَهُ مِنْ أَمْرِ اللَّهِ ۗ إِنَّ اللَّهَ لَا يُغَيِّرُ مَا بِقَوْمٍ حَتَّىٰ يُغَيِّرُوا مَا بِأَنْفُسِهِمْ ۗ وَإِذَا أَرَادَ اللَّهُ بِقَوْمٍ سُوءًا فَلَا مَرَدَّ لَهُ ۚ وَمَا لَهُمْ مِنْ دُونِهِ مِنْ وَالٍ

  12. هُوَ الَّذِي يُرِيكُمُ الْبَرْقَ خَوْفًا وَطَمَعًا وَيُنْشِئُ السَّحَابَ الثِّقَالَ

  13. وَيُسَبِّحُ الرَّعْدُ بِحَمْدِهِ وَالْمَلَائِكَةُ مِنْ خِيفَتِهِ وَيُرْسِلُ الصَّوَاعِقَ فَيُصِيبُ بِهَا مَنْ يَشَاءُ وَهُمْ يُجَادِلُونَ فِي اللَّهِ وَهُوَ شَدِيدُ الْمِحَالِ

  14. لَهُ دَعْوَةُ الْحَقِّ ۖ وَالَّذِينَ يَدْعُونَ مِنْ دُونِهِ لَا يَسْتَجِيبُونَ لَهُمْ بِشَيْءٍ إِلَّا كَبَاسِطِ كَفَّيْهِ إِلَى الْمَاءِ لِيَبْلُغَ فَاهُ وَمَا هُوَ بِبَالِغِهِ ۚ وَمَا دُعَاءُ الْكَافِرِينَ إِلَّا فِي ضَلَالٍ

  15. وَلِلَّهِ يَسْجُدُ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ طَوْعًا وَكَرْهًا وَظِلَالُهُمْ بِالْغُدُوِّ وَالْآصَالِ ۩

  16. قُلْ مَنْ رَبُّ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ قُلِ اللَّهُ ۚ قُلْ أَفَاتَّخَذْتُمْ مِنْ دُونِهِ أَوْلِيَاءَ لَا يَمْلِكُونَ لِأَنْفُسِهِمْ نَفْعًا وَلَا ضَرًّا ۚ قُلْ هَلْ يَسْتَوِي الْأَعْمَىٰ وَالْبَصِيرُ أَمْ هَلْ تَسْتَوِي الظُّلُمَاتُ وَالنُّورُ ۗ أَمْ جَعَلُوا لِلَّهِ شُرَكَاءَ خَلَقُوا كَخَلْقِهِ فَتَشَابَهَ الْخَلْقُ عَلَيْهِمْ ۚ قُلِ اللَّهُ خَالِقُ كُلِّ شَيْءٍ وَهُوَ الْوَاحِدُ الْقَهَّارُ

  17. أَنْزَلَ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً فَسَالَتْ أَوْدِيَةٌ بِقَدَرِهَا فَاحْتَمَلَ السَّيْلُ زَبَدًا رَابِيًا ۚ وَمِمَّا يُوقِدُونَ عَلَيْهِ فِي النَّارِ ابْتِغَاءَ حِلْيَةٍ أَوْ مَتَاعٍ زَبَدٌ مِثْلُهُ ۚ كَذَٰلِكَ يَضْرِبُ اللَّهُ الْحَقَّ وَالْبَاطِلَ ۚ فَأَمَّا الزَّبَدُ فَيَذْهَبُ جُفَاءً ۖ وَأَمَّا مَا يَنْفَعُ النَّاسَ فَيَمْكُثُ فِي الْأَرْضِ ۚ كَذَٰلِكَ يَضْرِبُ اللَّهُ الْأَمْثَالَ

  18. لِلَّذِينَ اسْتَجَابُوا لِرَبِّهِمُ الْحُسْنَىٰ ۚ وَالَّذِينَ لَمْ يَسْتَجِيبُوا لَهُ لَوْ أَنَّ لَهُمْ مَا فِي الْأَرْضِ جَمِيعًا وَمِثْلَهُ مَعَهُ لَافْتَدَوْا بِهِ ۚ أُولَٰئِكَ لَهُمْ سُوءُ الْحِسَابِ وَمَأْوَاهُمْ جَهَنَّمُ ۖ وَبِئْسَ الْمِهَادُ

  19. أَفَمَنْ يَعْلَمُ أَنَّمَا أُنْزِلَ إِلَيْكَ مِنْ رَبِّكَ الْحَقُّ كَمَنْ هُوَ أَعْمَىٰ ۚ إِنَّمَا يَتَذَكَّرُ أُولُو الْأَلْبَابِ

  20. الَّذِينَ يُوفُونَ بِعَهْدِ اللَّهِ وَلَا يَنْقُضُونَ الْمِيثَاقَ

  21. وَالَّذِينَ يَصِلُونَ مَا أَمَرَ اللَّهُ بِهِ أَنْ يُوصَلَ وَيَخْشَوْنَ رَبَّهُمْ وَيَخَافُونَ سُوءَ الْحِسَابِ

  22. وَالَّذِينَ صَبَرُوا ابْتِغَاءَ وَجْهِ رَبِّهِمْ وَأَقَامُوا الصَّلَاةَ وَأَنْفَقُوا مِمَّا رَزَقْنَاهُمْ سِرًّا وَعَلَانِيَةً وَيَدْرَءُونَ بِالْحَسَنَةِ السَّيِّئَةَ أُولَٰئِكَ لَهُمْ عُقْبَى الدَّارِ

  23. جَنَّاتُ عَدْنٍ يَدْخُلُونَهَا وَمَنْ صَلَحَ مِنْ آبَائِهِمْ وَأَزْوَاجِهِمْ وَذُرِّيَّاتِهِمْ ۖ وَالْمَلَائِكَةُ يَدْخُلُونَ عَلَيْهِمْ مِنْ كُلِّ بَابٍ

  24. سَلَامٌ عَلَيْكُمْ بِمَا صَبَرْتُمْ ۚ فَنِعْمَ عُقْبَى الدَّارِ

  25. وَالَّذِينَ يَنْقُضُونَ عَهْدَ اللَّهِ مِنْ بَعْدِ مِيثَاقِهِ وَيَقْطَعُونَ مَا أَمَرَ اللَّهُ بِهِ أَنْ يُوصَلَ وَيُفْسِدُونَ فِي الْأَرْضِ ۙ أُولَٰئِكَ لَهُمُ اللَّعْنَةُ وَلَهُمْ سُوءُ الدَّارِ

  26. اللَّهُ يَبْسُطُ الرِّزْقَ لِمَنْ يَشَاءُ وَيَقْدِرُ ۚ وَفَرِحُوا بِالْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَمَا الْحَيَاةُ الدُّنْيَا فِي الْآخِرَةِ إِلَّا مَتَاعٌ

  27. وَيَقُولُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَوْلَا أُنْزِلَ عَلَيْهِ آيَةٌ مِنْ رَبِّهِ ۗ قُلْ إِنَّ اللَّهَ يُضِلُّ مَنْ يَشَاءُ وَيَهْدِي إِلَيْهِ مَنْ أَنَابَ

  28. الَّذِينَ آمَنُوا وَتَطْمَئِنُّ قُلُوبُهُمْ بِذِكْرِ اللَّهِ ۗ أَلَا بِذِكْرِ اللَّهِ تَطْمَئِنُّ الْقُلُوبُ

  29. الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ طُوبَىٰ لَهُمْ وَحُسْنُ مَآبٍ

  30. كَذَٰلِكَ أَرْسَلْنَاكَ فِي أُمَّةٍ قَدْ خَلَتْ مِنْ قَبْلِهَا أُمَمٌ لِتَتْلُوَ عَلَيْهِمُ الَّذِي أَوْحَيْنَا إِلَيْكَ وَهُمْ يَكْفُرُونَ بِالرَّحْمَٰنِ ۚ قُلْ هُوَ رَبِّي لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ عَلَيْهِ تَوَكَّلْتُ وَإِلَيْهِ مَتَابِ

  31. وَلَوْ أَنَّ قُرْآنًا سُيِّرَتْ بِهِ الْجِبَالُ أَوْ قُطِّعَتْ بِهِ الْأَرْضُ أَوْ كُلِّمَ بِهِ الْمَوْتَىٰ ۗ بَلْ لِلَّهِ الْأَمْرُ جَمِيعًا ۗ أَفَلَمْ يَيْأَسِ الَّذِينَ آمَنُوا أَنْ لَوْ يَشَاءُ اللَّهُ لَهَدَى النَّاسَ جَمِيعًا ۗ وَلَا يَزَالُ الَّذِينَ كَفَرُوا تُصِيبُهُمْ بِمَا صَنَعُوا قَارِعَةٌ أَوْ تَحُلُّ قَرِيبًا مِنْ دَارِهِمْ حَتَّىٰ يَأْتِيَ وَعْدُ اللَّهِ ۚ إِنَّ اللَّهَ لَا يُخْلِفُ الْمِيعَادَ

  32. وَلَقَدِ اسْتُهْزِئَ بِرُسُلٍ مِنْ قَبْلِكَ فَأَمْلَيْتُ لِلَّذِينَ كَفَرُوا ثُمَّ أَخَذْتُهُمْ ۖ فَكَيْفَ كَانَ عِقَابِ

  33. أَفَمَنْ هُوَ قَائِمٌ عَلَىٰ كُلِّ نَفْسٍ بِمَا كَسَبَتْ ۗ وَجَعَلُوا لِلَّهِ شُرَكَاءَ قُلْ سَمُّوهُمْ ۚ أَمْ تُنَبِّئُونَهُ بِمَا لَا يَعْلَمُ فِي الْأَرْضِ أَمْ بِظَاهِرٍ مِنَ الْقَوْلِ ۗ بَلْ زُيِّنَ لِلَّذِينَ كَفَرُوا مَكْرُهُمْ وَصُدُّوا عَنِ السَّبِيلِ ۗ وَمَنْ يُضْلِلِ اللَّهُ فَمَا لَهُ مِنْ هَادٍ

  34. لَهُمْ عَذَابٌ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا ۖ وَلَعَذَابُ الْآخِرَةِ أَشَقُّ ۖ وَمَا لَهُمْ مِنَ اللَّهِ مِنْ وَاقٍ

  35. مَثَلُ الْجَنَّةِ الَّتِي وُعِدَ الْمُتَّقُونَ ۖ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ ۖ أُكُلُهَا دَائِمٌ وَظِلُّهَا ۚ تِلْكَ عُقْبَى الَّذِينَ اتَّقَوْا ۖ وَعُقْبَى الْكَافِرِينَ النَّارُ

  36. وَالَّذِينَ آتَيْنَاهُمُ الْكِتَابَ يَفْرَحُونَ بِمَا أُنْزِلَ إِلَيْكَ ۖ وَمِنَ الْأَحْزَابِ مَنْ يُنْكِرُ بَعْضَهُ ۚ قُلْ إِنَّمَا أُمِرْتُ أَنْ أَعْبُدَ اللَّهَ وَلَا أُشْرِكَ بِهِ ۚ إِلَيْهِ أَدْعُو وَإِلَيْهِ مَآبِ

  37. وَكَذَٰلِكَ أَنْزَلْنَاهُ حُكْمًا عَرَبِيًّا ۚ وَلَئِنِ اتَّبَعْتَ أَهْوَاءَهُمْ بَعْدَمَا جَاءَكَ مِنَ الْعِلْمِ مَا لَكَ مِنَ اللَّهِ مِنْ وَلِيٍّ وَلَا وَاقٍ

  38. وَلَقَدْ أَرْسَلْنَا رُسُلًا مِنْ قَبْلِكَ وَجَعَلْنَا لَهُمْ أَزْوَاجًا وَذُرِّيَّةً ۚ وَمَا كَانَ لِرَسُولٍ أَنْ يَأْتِيَ بِآيَةٍ إِلَّا بِإِذْنِ اللَّهِ ۗ لِكُلِّ أَجَلٍ كِتَابٌ

  39. يَمْحُو اللَّهُ مَا يَشَاءُ وَيُثْبِتُ ۖ وَعِنْدَهُ أُمُّ الْكِتَابِ

  40. وَإِنْ مَا نُرِيَنَّكَ بَعْضَ الَّذِي نَعِدُهُمْ أَوْ نَتَوَفَّيَنَّكَ فَإِنَّمَا عَلَيْكَ الْبَلَاغُ وَعَلَيْنَا الْحِسَابُ

  41. أَوَلَمْ يَرَوْا أَنَّا نَأْتِي الْأَرْضَ نَنْقُصُهَا مِنْ أَطْرَافِهَا ۚ وَاللَّهُ يَحْكُمُ لَا مُعَقِّبَ لِحُكْمِهِ ۚ وَهُوَ سَرِيعُ الْحِسَابِ

  42. وَقَدْ مَكَرَ الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ فَلِلَّهِ الْمَكْرُ جَمِيعًا ۖ يَعْلَمُ مَا تَكْسِبُ كُلُّ نَفْسٍ ۗ وَسَيَعْلَمُ الْكُفَّارُ لِمَنْ عُقْبَى الدَّارِ

  43. وَيَقُولُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَسْتَ مُرْسَلًا ۚ قُلْ كَفَىٰ بِاللَّهِ شَهِيدًا بَيْنِي وَبَيْنَكُمْ وَمَنْ عِنْدَهُ عِلْمُ الْكِتَابِ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Alif-Laaam-Meeem-Raa; tilka Aayaatul Kitaab; wallazee unzila ilaika mir Rabbikal haqqu wa laakinna aksaran naasi laa yu'minoon

  2. Allaahul lazee raf'as samaawaati bighairi 'amadin tarawnahaa summas tawaa 'alal 'Arshi wa sakhkharash shamsa walqamara kulluny yajree li ajalim musammaa; yudabbirul amra yufassilul Aayaati la'allakum biliqaaa'i Rabbikum tooqinoon

  3. Wa Huwal lazee maddal arda wa ja'ala feehaa rawaasiya wa anhaaraa; wa min kullis samaraati ja'ala feehaa zawjain ithnayn; Yughshil lailan nahaar; inna fee zaalika la aayaatil liqawminy yatafakkaroon

  4. Wa fil ardi qita'um muta jaawiraatunw wa jannaatum min a'naabinw wa zar'unw wa nakheelun sinwaanunw wa ghairu sinwaaniny yusqaa bimaaa'inw waahid; wa nufaddilu ba'dahaa 'alaa ba'din fil-ukul; inna fee zaalika la aayaatil liqawminy ya'qiloon

  5. Wa in ta'jab fa'ajabun qawluhum 'a-izaa kunna turaaban 'a-inna lafee khalqin jadeed; ulaaa 'ikal lazeena kafaroo bi Rabbihim wa ulaaa'ikal aghlaalu feee a'naaqihim wa ulaaa'ika Ashaabun Naari hum feehaa khaalidoon

  6. Wa yasta'jiloonaka bis saiyi'ati qablal hasanati wa qad khalat min qablihimul masulaat; wa inna Rabbaka lazoo maghfiratil linnaasi 'alaa zulmihim wa inna Rabbaka lashadeedul 'iqaab

  7. Wa yaqoolul lazeena kafaroo law laaa unzila 'alaihi Aayatum mir Rabbih; innamaaa anta munzirunw wa likulli qawmin haad (section 1)

  8. Allaahu ya'lamu maa tahmilu kullu unsaa wa maa tagheedul arhaamu wa maa tazdaad, wa kullu shai'in 'indahoo bimiqdaar

  9. 'Aalimul Ghaibi wash shahaadatil Kaabeerul Muta'aal

  10. Sawaaa'um minkum man asarral qawla wa man jahara bihee wa man huwa mustakhfim billaili wa saaribum binnahaar

  11. Lahoo mu'aqqibaatum mim baini yadaihi wa min khalfihee yahfazoonahoo min amril laah; innal laaha laa yughaiyiru maa biqawmin hattaa yughaiyiroo maa bianfusihim; wa izaaa araadal laahu biqawmin sooo'an falaa maradda lah; wa maa lahum min dooniheeminw waal

  12. Huwal lazee yureekumul barqa khawfanw wa tama'anw wa yunshi'us sahaabas siqaal

  13. Wa yusabbihur ra'du bihamdihee walmalaaa'ikatu min kheefatihee wa yursilus sawaa'iqa fa yuseebu bihaa mai yashaaa'u wa hum yujaadiloona fil laahi wa Huwa shadeedul mihaal

  14. Lahoo da'watul haqq; wallazeena yad'oona min doonihee laa yastajeeboona lahum bishai'in illaa kabaasiti kaffaihi ilal maaa'i liyablugha faahu wa maa huwa bibaalighih; wa maa du'aaa'ul kaafireena illaa fee dalaal

  15. Wa lillaahi yasjudu man fis samaawaati wal ardi taw 'anw wa karhanw wa zilaaluhum bilghuduwwi wal aasaal (make sajda)

  16. Qul mar Rabbus samaawaati wal ard; qulillaah; qul afattakhaztum min dooniheee awliyaaa'a laa yamlikoona li anfusihim naf'anw wa laa darraa; qul hal yastawil a'maa wal baseeru am hal tastawiz zulumaatu wannoor; am ja'aloo lillaahi shurakaaa'a khalaqoo kakhalqihee fatashaa bahal khalqu 'alaihim; qulil laahu Khaaliqu kulli shai'inw wa Huwal Waahidul Qahhar

  17. Anzala minas samaaa'i maaa'an fasaalat awdiyatum biqadarihaa fahtamalas sailu zabadar raabiyaa; wa mimmmaa yooqidoona 'alaihi fin naarib tighaaa'a hilyatin aw mataa'in zabadum misluh; kazaalika yadribul laahul haqqa wal baatil; fa ammaz zabadu fa yazhabu jufaaa'aa; wa ammaa maa yanfa'un naasa fa yamkusu fil ard; kazaalika yadribul laahul amsaal

  18. Lillazeenas tajaaboo lirabbihimul husnaa; wallazeena lam yastajeeboo lahoo law anna lahum maa fil ardi jamee'anw wa mislahoo ma'ahoo laftadaw bih; ulaaa'ika lahum sooo'ul hisaab; wa ma'waahum Jahannamu wa bi'sal mihaad (section 2)

  19. Afamai ya'lamu annamaaa unzila ilaika mir Rabbikal haqqu kaman huwa a'maa; innamaa yatazakkaru ulul albaab

  20. Allazeena yoofoona bi'ahdil laahi wa laa yanqu doonal meesaaq

  21. Wallazeena yasiloona maaa amaral laahu bihee ai yoosala wa yakhshawna Rabbahum wa yakhaafoona sooo'al hisaab

  22. Wallazeena sabarub tighaaa'a Wajhi Rabbihim wa aqaamus Salaata wa anfaqoo mimmaa razaqnaahum sirranw wa 'alaaniyatanw wa yadra'oona bilhasanatis saiyi'ata ulaaa'ika lahum 'uqbad daar

  23. Jannaatu 'adiny yadkhu loonahaa wa man salaha min aabaaa'ihim wa azwaajihim wa zurriyyaatihim walmalaaa'i katu yadkhuloona 'alaihim min kulli baab

  24. Salaamun 'alaikum bimaa sabartum; fani'ma 'uqbad daar

  25. Wallazeena yanqudoona 'Ahdal laahi mim ba'di meesaaqihee wa yaqta'oona maaa amaral laahu biheee ai yoosala wa yufsidoona fil ardi ulaaa'ika lahumul la'natu wa lahum sooo'ud daar

  26. Allaahu yabsutur rizqa limai yashaaa'u wa yaqdir; wa farihoo bilhayaatid dunyaa wa mal hayaatud dunya fil Aakhirati illaa mataa' (section 3)

  27. Wa yaqoolul lazeena kafaroo law laaa unzila 'alaihi Aayatum mir Rabbih; qul innal laaha yudillu mai yashaa'u wa yahdeee ilaihi man anaab

  28. Allazeena aamanoo wa tatma'innu quloobuhum bizikril laah; alaa bizikril laahi tatma'innul quloob

  29. Allazeena aamanoo wa a'amilus saalihaati toobaa lahum wa husnu ma aab

  30. Kazaalika arsalnaaka feee ummatin qad khalat min qablihaaa umamul litatluwa 'alaihimul lazeee awhainaaa ilaika wa hum yakfuroona bir Rahmaaan; qul Huwa Rabbee laaa ilaaha illaa Huwa 'alaihi tawakkaltu wa ilaihi mataab

  31. Wa law anna Quraanan suyyirat bihil jibaalu aw qutti'at bihil ardu aw kullima bihil mawtaa; bal lillaahil amru jamee'aa; afalam yai'asil lazeena aamanooo al law yashaaa 'ullaahu lahadan naasa jamee'aa; wa laa yazaalul lazeena kafaroo tuseebuhum bimaa sana'oo qaari'atun aw tahullu qareebam min daarihim hatta ya'tiya wa'dul laah; innal laaha laa yukhliful mee'aad (section 4)

  32. Wa laqadis tuhzi'a bi Rusulim min qablika fa amlaitu lillazeena kafaroo summa akhaztuhum fakaifa kaana 'iqaab

  33. Afaman Huwa qaaa'imun 'alaa kulli nafsim bimaa kasabat; wa ja'aloo lillaahi shurakaaa'a qul samoohum; am tunabbi'oona hoo bimaa laa ya'lamu fil ardi; am bizaahirim minal qawl; bal zuyyina lillazeena kafaroo makruhum wa suddoo 'anis sabeel; wa mai yudlilil laahu famaa lahoo min haad;

  34. Lahum 'azaabun fil hayaatid dunyaa wa la'azaabul Aakhirati ashaq, wa maa lahum minal laahi min-waaq

  35. Masalul Jannatil latee wu'idal muttaqoona tajree min tahtihal anhaaru ukuluhaa daaa'imunw wa zilluhaa; tilka uqbal lazeenat taqaw wa 'uqbal kafireenan Naar

  36. Wallazeena aatainaa humul Kitaaba yafrahoona bimaa unzila ilaika wa minal Ahzaabi mai yunkiru ba'dah; qul innamaa umirtu an a'budal laaha wa laaa ushrika bih; ilaihi ad'oo wa ilaihi maab

  37. Wa kazaalika anzalnaahu hukman 'Arabiyyaa; wa la'init taba'ta ahwaaa 'ahum ba'da maa jaaa'aka minal 'ilmi maa laka minal laahi minw waliyinw wa laa waaq (section 5)

  38. Wa laqad arsalnaa Rusulam min qablika wa ja'alnaa lahum azwaajanw wa zurriyyah; wa maa kaana lirasoolin ai ya'tiya bi aayatin illaa bi iznil laah; likulli ajalin kitaab

  39. Yamhul laahu maa yashaaa'u wa yusbitu wa 'indahooo ummul Kitaab

  40. Wa im maa nurriyannaka ba'dal lazee na'iduhum aw nata waffayannaka fa innamaa 'alaikal balaaghu wa 'alainal hisaab

  41. Awalam yaraw annaa na'til arda nanqusuhaa min atraafihaa; wallaahu yahkumu laa mu'aqqiba lihukmih; wa Huwa saree'ul hisaab

  42. Wa qad makaral lazeena min qablihim falillaahil makru jamee'aa; ya'lamu maa taksibu kullu nafs; wa sa ya'lamul kuffaaru liman 'uqbad daar

  43. Wa yaqoolul lazeena kafaroo lasta mursalaa; qul kafaa billaahi shaheedam bainee wa bainakum wa man 'indahoo 'ilmul Kitaab (section 6)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

    1. Alif laam Meem Raa Yeh kitaab-e-ilahi ki aayaat hain, aur jo kuch tumhare Rubb ki taraf se tumpar naazil kiya gaya hai woh ain haqq hai, magar (tumhari qaum ke) aksar log maan nahin rahe hain.

    2. Woh Allah hi hai jisne aasmano ko aise saharon (support) ke bagair qayam kiya jo tumko nazar aatey hon, phir woh apne takht e sultanat par jalwa farma hua, aur usne aftaab (Sun) o mahtaab (Moon) ko ek kanoon ka paband banaya. Is saare nizam ki har cheez ek waqt-e-muqarrar tak ke liye chal rahi hai. Aur Allah hi is saare kaam ki tadbeer farma raha hai. Woh nishaniyan khol khol kar bayan karta hai, shayad ke tum apne Rubb ki mulaqat ka yaqeen karo.

    3. Aur wahi hai jisne zameen phayla rakkhi hai, is mein pahadon ke khunte gaad rakkhe hain aur dariya baha diye hain , usi ne har tarah ke phalon (fruits) ke jodey paida kiye hain, aur wahi din par raat taari karta hai. In saari cheezon mein badi nishaniyan hain un logon ke liye jo gaur o fikr se kaam lete hain.

    4. Aur dekho, zameen mein alag alag khittey (regions) paye jaate hain jo ek dusre se muttasil (close to one another) waqeh hain angoor ke baagh hain, khetiyan hain, khajoor ke darakht hain jinmein se kuch ekehre (single) hain aur kuch dohre(double trunk). Sabko ek hi pani sairaab karta hai magar mazey mein hum kisi ko behtar bana dete hain aur kisi ko kamtar. In sab cheezon mein bahut si nishaniyan hain un logon ke liye jo aqal se kaam lete hain.

    5. Ab agar tumhein tajjub karna hai to tajjub ke qabil logon ka yeh qaul hai ke “jab hum marr kar mitti ho jayenge to kya hum naye sirey se paida kiye jayenge?” Yeh woh log hain jinhon ne apne Rubb se kufr kiya hai, yeh woh log hain jinki gardano mein tauq (fetters/shackels) padey huey hain, yeh jahannumi hain aur hamesha rahenge.

    6. Yeh log bhalayi se pehle burayi ke liye jaldi macha rahe hain, halanke inse pehle (jo log is rawish par chale hain unpar khuda ke azaab ki) ibrat-naak misaalein guzar chuki hain. Haqeeqat yeh hai ke tera Rubb logo ki zyadatiyon ke bawajood unke saath chashm-poshi (forbearance) se kaam leta hai aur yeh bhi haqeeqat hai ke tera Rubb sakht saza dene wala hai.

    7. Yeh log jinhon ne tumhari baat maanne se inkar kardiya hai, kehte hain ke “Is shaks par iske Rubb ki taraf se koi nishani kyun na utri? Tum to mehaz khabardaar kardene wale ho, aur har qaum ke liye ek rehnuma hai.

    8. Allah ek ek haamila (pregnant) ke pait se waqif hai, jo kuch usmein banta hai usey bhi woh jaanta hai aur jo kuch is mein kami ya beshi hoti hai us se bhi woh bakhabar rehta hai. Har cheez ke liye uske haan ek miqdar muqarrar hai.

    9. Woh posheeda aur zaahir, har cheez ka aalim hai, woh buzurg hai aur har haal mein baala-tar rehne wala hai.

    10. Tum mein se koi shaks khwa zoar se baat kare ya aahista, aur koi raat ki tareeki (darkness) mein chupa hua ho ya din ki roshni mein chal raha ho, uske liye sab yaksan hai.

    11. Har shaks ke aage aur pichey uske muqarrar kiye huey nigraan lage huey hain jo Allah ke hukm se uski dekh-bhal kar rahe hain. Haqeeqat yeh hai ke Allah kisi qaum ke haal ko nahin badalta jab tak woh khud apne awsaf ko nahin badal deti, aur jab Allah kisi qaum ki shamat (punishment/retribution) laane ka faisla karle to phir woh kisi ke taaley nahin tal sakti, na Allah ke muqable mein aisi qaum ka koi haami o madadgaar ho sakta hai.

    12. Wahi hai jo tumhare saamne bijliyan chamkata hai jinhein dekh kar tumhein andeshe (darr) bhi lahaq hote hain aur umeedein bhi bandhti hai, wahi hai jo pani se laday huey badal utarta hai.

    13. Badalon ki garaj uski hamd ke saath uski paaki bayan karti hai aur Farishte uski haibat (khauf/darr) se larazte huey uski tasbeeh karte hain. Woh kadakti hui bijliyon ko bhejta hai aur (basa auqat) unhein jispar chahta hai ain is haal mein gira deta hai jabke log Allah ke baare mein jhagad rahe hote hain. Fil waqeh uski chaal badi zabardast hai.

    14. Usi ko pukarna bar-haqq hai, rahi woh dusri hastiyan jinhein usko chodh kar yeh log pukarte hain, woh unki duaon ka koi jawab nahin de sakti, unhein pukarna to aisa hai jaise koi shaks pani ki tarf haath phayla kar us se darkhwast kare ke tu mere mooh tak pahuch jaa, halanke pani us tak pahunchne wala nahin, bas isi tarah kafiron ki duaein bhi kuch nahin hai magar ek teer be hadaf (aimless efforts).

    15. Woh to Allah hi hai jisko zameen o aasmaan ki har cheez touan (willingly) o karhan (unwillingly) sajda kar rahi hai aur sab cheezon ke saaye subh-o-shaam uske aage jhukte hain.

    16. Inse pucho, aasmaan o zameen ka Rubb kaun hai? Kaho, Allah, phir inse kaho ke jab haqeeqat yeh hai to kya tumne usey chodh kar aise maboodon ko apna kaarsaaz thehra liya jo khud apne liye bhi kisi nafa o nuksaan ka ikhtiyar nahin rakhte? Kaho, kya andha aur aankhon wala barabar hua karta hai? Kya roshni aur tareekiyan yaksan hoti hai? Aur agar aisa nahin to kya inke thehraye huey shareekon ne bhi Allah ki tarah kuch paida kiya hai ke uski wajah se inpar takhleeq (creation) ka maamla mushtaba (dubious/confused) ho gaya? Kaho, har cheez ka khaliq(creator) sirf Allah hai aur woh yakta hai, sab par gaalib!

    17. Allah ne aasmaan se pani barsaya aur har nadi naala apne zarf ke mutabiq isey lekar chal nikla, phir jab sailaab utha to satah par jhaag (foam) bhi aa gaye. Aur waisi hi jhaag un dhaton (metals) par bhi uthte hain jinhein zewar (ornaments) aur bartan (utensils) wagairah banane ke liye log pighlaya karte hain. Isi misaal se Allah haqq aur baatil ke maamle ko wazeh karta hai. Jo jhaag hai woh udh (vanish) jaya karta hai aur jo cheez Insano ke liye naafey (faiydamand) hai woh zameen mein thehar jaati hai. Is tarah Allah misaalon se apni baat samjhata hai.

    18. Jin logon ne apne Rubb ki dawat qabool karli hai unke liye bhalayi hai. Aur jinhon ne isey qabool na kiya woh agar zameen ki saari daulat ke bhi maalik hon aur utni hi aur faraham karlein to woh khuda ki pakad se bachne ke liye is sab ko fidiya (ransom) mein de daalne par tayyar ho jayenge. Yeh woh log hain jinse buri tarah hisaab liya jayega, aur unka thikana jahannum hai, bahut hi bura thikana.

    19. Bhala yeh kis tarah mumkin hai ke woh shaks jo tumhare Rubb ki is kitaab ko jo usne tumpar naazil ki hai haqq jaanta hai, aur woh shaks jo is haqeeqat ki taraf se andha hai, dono yaksan ho jayein? Naseehat to danishmand (akalmand) log hi qabool kiya karte hain.

    20. Aur unka tarz-e-amal yeh hota hai ke Allah ke saath apne ahad ko poora karte hain, usey mazboot baandhne ke baad toad nahin daalte.

    21. Unki rawish yeh hoti hai ke Allah ne jin jin rawabit (rishtey/ties) ko barqarar rakhne ka hukm diya hai, unhein barqarar rakhte hain, apne Rubb se darte hain aur is baat ka khauf rakhte hain ke kahin unse buri tarah hisab na liya jaaye.

    22. Unka haal yeh hota hai ke apne Rubb ki raza ke liye sabr se kaam lete hain, namaz qayam karte hai, hamare diye huey rizq mein se elaniya (openly) aur posheeda (chupey taur par) kharch karte hai, aur burayi ko bhalayi se dafa karte hain, aakhirat ka ghar unhi logon ke liye hai.

    23. Yani aise baagh jo unki abadi qayamgaah honge. Woh khud bhi unmein daakhil honge aur unke aaba o ajdaad aur unki biwiyon aur unki aulad mein se jo jo saleh (neikukar) hain woh bhi unke saath wahan jayenge. Malaika har taraf se unke isteqbal ke liye aayenge.

    24. Aur unse kahenge ke “tumpar salamati hai, tumne duniya mein jis tarah sabr se kaam liya uski badaulat aaj tum iske mustahiq huey ho”. Pas kya hi khoob hai yeh aakhirat ka ghar!

    25. Rahe woh log jo Allah ke ahad ko mazboot baandh lene ke baad toad daltey hain, jo un raabton(relations) ko kaat-te hain jinhein Allah ne jodne ka hukm diya hai, aur jo zameen mein fasaad phaylate hain, woh laanat ke mustahiq hain aur unke liye aakhirat mein bahut bura thikana hai.

    26. Allah jisko chahta hai rizq ki farakhi bakshta hai aur jise chahta hai napa-tula rizq deta hai.Yeh log dunyavi zindagi mein magan hain, halanke duniya ki zindagi aakhirat ke muqable mein ek mataa-e-qaleel (brief passing enjoyment) ke siwa kuch bhi nahin.

    27. Yeh log jinhon ne (risalat e Muhammadi ko maanne se) inkar kardiya hai kehte hain “is shaks par iske Rubb ki taraf se koi nishani kyun na utri?” kaho, Allah jise chahta hai gumraah kardeta hai aur woh apni taraf aane ka raasta usi ko dikhata hai jo uski taraf rujoo kare.

    28. Aise hi log hain woh jinhon ne (is Nabi ki dawat ko) maan liya hai aur unke dilon ko Allah ki yaad se itminaan naseeb hota hai, khabardaar raho! Allah ki yaad hi woh cheez hai jis se dilon ko itminaan naseeb hua karta hai.

    29. Phir jin logon ne dawat-e-haqq ko maana aur neik amal kiye woh khush-naseeb hain aur unke liye accha anjaam hai.

    30. (Aey Muhammad) isi shaan se humne tumko Rasool bana kar bheja hai, ek aisi qaum mein jis se pehle bahut si qaumein guzar chuki hain, taa-ke tum in logon ko woh paigam sunao jo humne tumpar naazil kiya hai, is haal mein ke yeh apne nihayat meharbaan khuda ke kafir baney huey hain. Inse kaho ke wahi mera Rubb hai, uske siwa koi mabood nahin hai, usi par maine bharosa kiya aur wahi mera malja-o-mawi hai (to Him I shall return ").

    31. Aur kya ho jata agar koi aisa Quran utaar diya jata jiske zoar se pahad chalne lage, ya zameen shaqq ho (phatt) jaati, ya murde qabaron se nikal kar bolne lagte? (Is tarah ki nishaniyan dikha dena kuch mushkil nahin hai) balke saara ikhtiyar hi Allah ke haath mein hai. Phir kya ehle iman (abhi tak kuffar ki talab ke jawab mein kisi nishani ke zahoor ki aas lagaye baithe hain aur woh yeh jaan kar) mayous nahin ho gaye ke agar Allah chahta to saare Insano ko hidayat de deta? Jin logon ne khuda ke saath kufr ka rawayya ikhtiyar kar rakkha hai unpar unke kartooton ki wajah se koi na koi aafat aati hi rehti hai ya unke ghar ke qareeb kahin naazil hoti hai. Yeh silsila chalta rahega yahan tak ke Allah ka waada aan poora ho. Yaqeenan Allah apne wadey ki khilaf warzi nahin karta.

    32. Tumse pehle bhi bahut se Rasoolon ka mazaaq udaya jaa chuka hai, magar maine hamesha munkireen ko dheel di aur aakhir e kaar unko pakad liya, phir dekhlo ke meri saza kaisi sakht thi.

    33. Phir kya woh jo ek ek mutanaffis(every soul) ki kamayi par nazar rakhta hai (uske muqable mein yeh jasaratein ki jaa rahi hain ke) logon ne uske kuch shareek thehra rakkhe hain? (Aey Nabi), inse kaho (agar waqayi woh khuda ke apne banaye huey shareek hain to) zara unke naam lo ke woh kaun hain? Kya tum Allah ko ek nayi baat ki khabar de rahe ho jise woh apni zameen mein nahin jaanta? Ya tum log bas yunhi jo mooh mein aata hai keh daalte ho? Haqeeqat yeh hai ke jin logon ne dawat e haqq ko maanne se inkar kiya hai unke liye unki makkariyan khushnuma bana di gayi hain aur woh raah-e-raast se roak diye gaye hain, phir jisko Allah gumraahi mein phenk de usey koi raah dikhane wala nahin hai.

    34. Aise logon ke liye duniya ki zindagi hi mein azaab hai, aur aakhirat ka azaab us se bhi zyada sakht hai, koi aisa nahin jo unhein khuda se bachane wala ho.

    35. Khuda tars Insano ke liye jis jannat ka waada kiya gaya hai uski shaan yeh hai ke uske nichey nehrein (canals) beh rahi hain, uske phal (fruits) daimi (hamesha qayam rehne wale) hain aur uska saaya la-zawal (perpetual). Yeh anjaam hai muttaqi (pious) logon ka, aur munkireen e haqq ka anjaam yeh hai ke unke liye dozakh ki aag hai.

    36. (Aey Nabi), jin logon ko humne pehle kitaab di thi woh is kitaab se jo humne tumpar naazil ki hai khush hain aur mukhtalif girohon mein kuch log aise bhi hain jo iski baaz baaton ko nahin maante. Tum saaf kehdo ke “mujhe to sirf Allah ki bandagi ka hukm diya gaya hai aur is se mana kiya gaya hai ke kisi ko uske saath shareek thehraoon, lihaza main usi ki taraf dawat deta hoon aur usi ki taraf mera rujoo (lautna) hai ”.

    37. Isi hidayat ke saath humne yeh farmaan-e-arabi tumpar naazil kiya hai . Ab agar tumne is ilm ke bawajood jo tumhare paas aa chuka hai logon ki khwahishaat ki pairwi ki to Allah ke muqable mein na koi tumhara haami o madadgaar hai aur na koi uski pakad se tumko bacha sakta hai.

    38. Tumse pehle bhi hum bahut se Rasool bhej chuke hain aur unko humne biwi bacchon wala hi banaya tha, aur kisi Rasool ki bhi yeh taaqat na thi ke Allah ke izan ke bagair koi nishani khud laa dikhata. Har daur ke liye ek kitaab hai.

    39. Allah jo kuch chahta hai mitaa deta hai aur jis cheez ko chahta hai qayam rakhta hai, ummul kitaab (Original Book) usi ke paas hai.

    40. Aur (Aey Nabi), jis bure anjaam ki dhamki hum in logon ko de rahe hain uska koi hissa khwa hum tumhare jeete jee dikha dein ya uske zahoor mein aane se pehle hum tumhein utha lein, bahar haal tumhara kaam sirf paigam pahuncha dena hai aur hisaab lena hamara kaam hai.

    41. Kya yeh log dekhte nahin hain ke hum is sar-zameen par chale aa rahe hain aur iska daira (boundaries) har taraf se tangg karte chale aate hain? Allah hukumat kar raha hai, koi uske faislon par nazar-e-saani (revise) karne wala nahin hai, aur usey hisaab lete kuch dair nahin lagti.

    42. Inse pehle jo log ho guzre hain woh bhi badi badi chalein chal chuke hain, magar asal faisla-kun chaal to poori ki poori Allah hi ke haath mein hai. Woh jaanta hai ke kaun kya kuch kamayi kar raha hai, aur anqareeb yeh munkireen-e-haqq (disbelievers) dekh lenge ke anjaam kiska ba-khair hota hai.

    43. Yeh munkireen kehte hain ke tum khuda ke bheje huey nahin ho. Kaho “mere aur tumhare darmiyan Allah ki gawahi kafi hai, aur phir har us shaks ki gawahi jo kitaab e aasmani ka ilm rakhta hai”.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments