📖 Surah 106 Quraish Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- لِإِيلَافِ قُرَيْشٍ
- إِيلَافِهِمْ رِحْلَةَ الشِّتَاءِ وَالصَّيْفِ
- فَلْيَعْبُدُوا رَبَّ هَٰذَا الْبَيْتِ
- الَّذِي أَطْعَمَهُمْ مِنْ جُوعٍ وَآمَنَهُمْ مِنْ خَوْفٍ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Li-eelaafi quraish
- Eelaafihim rihlatash shitaaa'i wassaif
- Faly'abudoo rabba haazal-bait
- Allazeee at'amahum min joo'inw-wa-aamanahum min khawf
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Chunke Qureish manoos (familiar) huey,2. (Yani) Jaade (winter) aur garmi ke safaron (journey) se manoos.
3. Lihaza unko chahiye ke is ghar ke Rubb ki ibaadat karein.
4. Jisne unhein bhook se bacha kar khane ko diya aur khauf se bacha kar aman ata kiya.
Comments
Post a Comment