📖 Surah 102 At-Takathur Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- أَلْهَاكُمُ التَّكَاثُرُ
- حَتَّىٰ زُرْتُمُ الْمَقَابِرَ
- كَلَّا سَوْفَ تَعْلَمُونَ
- ثُمَّ كَلَّا سَوْفَ تَعْلَمُونَ
- كَلَّا لَوْ تَعْلَمُونَ عِلْمَ الْيَقِينِ
- لَتَرَوُنَّ الْجَحِيمَ
- ثُمَّ لَتَرَوُنَّهَا عَيْنَ الْيَقِينِ
- ثُمَّ لَتُسْأَلُنَّ يَوْمَئِذٍ عَنِ النَّعِيمِ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Al haaku mut takathur
- Hatta zurtumul-maqaabir
- Kalla sawfa ta'lamoon
- Thumma kalla sawfa ta'lamoon
- Kalla law ta'lamoona 'ilmal yaqeen
- Latara-wun nal jaheem
- Thumma latara wunnaha 'ainal yaqeen
- Thumma latus alunna yauma-izin 'anin na'eem
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Tum logon ko zyada se zyada aur ek dusre se badh kar duniya haasil karne ki dhun ne gaflat mein daal rakkha hai.2. Yahan tak ke (isi fikr mein) tum lab-e-gaur (Kabr) tak pahunch jaate ho.
3. Hargiz nahin, ankareeb tumko maloom ho jayega.
4. phir (sunlo ke) hargiz nahin, ankareeb tumko maloom ho jayega.
5. Hargiz nahin agar tum yaqeeni ilm ki haisiyat se (is rawish ke anjam ko) jaante hote (to tumhara yeh tarz-e-amal na hota)
6. Tum dozakh dekh kar rahoge.
7. Phir (sunlo ke) tum bilkul yaqeen ke saath usey dekh loge.
8. Phir zaroor us roz tumse in neyamaton ke baare mein jawab talabi ki jayegi.
Comments
Post a Comment