📖 Suarh Ash-Shura 42 Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. حم

  2. عسق

  3. كَذَٰلِكَ يُوحِي إِلَيْكَ وَإِلَى الَّذِينَ مِنْ قَبْلِكَ اللَّهُ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ

  4. لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۖ وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ

  5. تَكَادُ السَّمَاوَاتُ يَتَفَطَّرْنَ مِنْ فَوْقِهِنَّ ۚ وَالْمَلَائِكَةُ يُسَبِّحُونَ بِحَمْدِ رَبِّهِمْ وَيَسْتَغْفِرُونَ لِمَنْ فِي الْأَرْضِ ۗ أَلَا إِنَّ اللَّهَ هُوَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ

  6. وَالَّذِينَ اتَّخَذُوا مِنْ دُونِهِ أَوْلِيَاءَ اللَّهُ حَفِيظٌ عَلَيْهِمْ وَمَا أَنْتَ عَلَيْهِمْ بِوَكِيلٍ

  7. وَكَذَٰلِكَ أَوْحَيْنَا إِلَيْكَ قُرْآنًا عَرَبِيًّا لِتُنْذِرَ أُمَّ الْقُرَىٰ وَمَنْ حَوْلَهَا وَتُنْذِرَ يَوْمَ الْجَمْعِ لَا رَيْبَ فِيهِ ۚ فَرِيقٌ فِي الْجَنَّةِ وَفَرِيقٌ فِي السَّعِيرِ

  8. وَلَوْ شَاءَ اللَّهُ لَجَعَلَهُمْ أُمَّةً وَاحِدَةً وَلَٰكِنْ يُدْخِلُ مَنْ يَشَاءُ فِي رَحْمَتِهِ ۚ وَالظَّالِمُونَ مَا لَهُمْ مِنْ وَلِيٍّ وَلَا نَصِيرٍ

  9. أَمِ اتَّخَذُوا مِنْ دُونِهِ أَوْلِيَاءَ ۖ فَاللَّهُ هُوَ الْوَلِيُّ وَهُوَ يُحْيِي الْمَوْتَىٰ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

  10. وَمَا اخْتَلَفْتُمْ فِيهِ مِنْ شَيْءٍ فَحُكْمُهُ إِلَى اللَّهِ ۚ ذَٰلِكُمُ اللَّهُ رَبِّي عَلَيْهِ تَوَكَّلْتُ وَإِلَيْهِ أُنِيبُ

  11. فَاطِرُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ جَعَلَ لَكُمْ مِنْ أَنْفُسِكُمْ أَزْوَاجًا وَمِنَ الْأَنْعَامِ أَزْوَاجًا ۖ يَذْرَؤُكُمْ فِيهِ ۚ لَيْسَ كَمِثْلِهِ شَيْءٌ ۖ وَهُوَ السَّمِيعُ الْبَصِيرُ

  12. لَهُ مَقَالِيدُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۖ يَبْسُطُ الرِّزْقَ لِمَنْ يَشَاءُ وَيَقْدِرُ ۚ إِنَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ

  13. شَرَعَ لَكُمْ مِنَ الدِّينِ مَا وَصَّىٰ بِهِ نُوحًا وَالَّذِي أَوْحَيْنَا إِلَيْكَ وَمَا وَصَّيْنَا بِهِ إِبْرَاهِيمَ وَمُوسَىٰ وَعِيسَىٰ ۖ أَنْ أَقِيمُوا الدِّينَ وَلَا تَتَفَرَّقُوا فِيهِ ۚ كَبُرَ عَلَى الْمُشْرِكِينَ مَا تَدْعُوهُمْ إِلَيْهِ ۚ اللَّهُ يَجْتَبِي إِلَيْهِ مَنْ يَشَاءُ وَيَهْدِي إِلَيْهِ مَنْ يُنِيبُ

  14. وَمَا تَفَرَّقُوا إِلَّا مِنْ بَعْدِ مَا جَاءَهُمُ الْعِلْمُ بَغْيًا بَيْنَهُمْ ۚ وَلَوْلَا كَلِمَةٌ سَبَقَتْ مِنْ رَبِّكَ إِلَىٰ أَجَلٍ مُسَمًّى لَقُضِيَ بَيْنَهُمْ ۚ وَإِنَّ الَّذِينَ أُورِثُوا الْكِتَابَ مِنْ بَعْدِهِمْ لَفِي شَكٍّ مِنْهُ مُرِيبٍ

  15. فَلِذَٰلِكَ فَادْعُ ۖ وَاسْتَقِمْ كَمَا أُمِرْتَ ۖ وَلَا تَتَّبِعْ أَهْوَاءَهُمْ ۖ وَقُلْ آمَنْتُ بِمَا أَنْزَلَ اللَّهُ مِنْ كِتَابٍ ۖ وَأُمِرْتُ لِأَعْدِلَ بَيْنَكُمُ ۖ اللَّهُ رَبُّنَا وَرَبُّكُمْ ۖ لَنَا أَعْمَالُنَا وَلَكُمْ أَعْمَالُكُمْ ۖ لَا حُجَّةَ بَيْنَنَا وَبَيْنَكُمُ ۖ اللَّهُ يَجْمَعُ بَيْنَنَا ۖ وَإِلَيْهِ الْمَصِيرُ

  16. وَالَّذِينَ يُحَاجُّونَ فِي اللَّهِ مِنْ بَعْدِ مَا اسْتُجِيبَ لَهُ حُجَّتُهُمْ دَاحِضَةٌ عِنْدَ رَبِّهِمْ وَعَلَيْهِمْ غَضَبٌ وَلَهُمْ عَذَابٌ شَدِيدٌ

  17. اللَّهُ الَّذِي أَنْزَلَ الْكِتَابَ بِالْحَقِّ وَالْمِيزَانَ ۗ وَمَا يُدْرِيكَ لَعَلَّ السَّاعَةَ قَرِيبٌ

  18. يَسْتَعْجِلُ بِهَا الَّذِينَ لَا يُؤْمِنُونَ بِهَا ۖ وَالَّذِينَ آمَنُوا مُشْفِقُونَ مِنْهَا وَيَعْلَمُونَ أَنَّهَا الْحَقُّ ۗ أَلَا إِنَّ الَّذِينَ يُمَارُونَ فِي السَّاعَةِ لَفِي ضَلَالٍ بَعِيدٍ

  19. اللَّهُ لَطِيفٌ بِعِبَادِهِ يَرْزُقُ مَنْ يَشَاءُ ۖ وَهُوَ الْقَوِيُّ الْعَزِيزُ

  20. مَنْ كَانَ يُرِيدُ حَرْثَ الْآخِرَةِ نَزِدْ لَهُ فِي حَرْثِهِ ۖ وَمَنْ كَانَ يُرِيدُ حَرْثَ الدُّنْيَا نُؤْتِهِ مِنْهَا وَمَا لَهُ فِي الْآخِرَةِ مِنْ نَصِيبٍ

  21. أَمْ لَهُمْ شُرَكَاءُ شَرَعُوا لَهُمْ مِنَ الدِّينِ مَا لَمْ يَأْذَنْ بِهِ اللَّهُ ۚ وَلَوْلَا كَلِمَةُ الْفَصْلِ لَقُضِيَ بَيْنَهُمْ ۗ وَإِنَّ الظَّالِمِينَ لَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ

  22. تَرَى الظَّالِمِينَ مُشْفِقِينَ مِمَّا كَسَبُوا وَهُوَ وَاقِعٌ بِهِمْ ۗ وَالَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ فِي رَوْضَاتِ الْجَنَّاتِ ۖ لَهُمْ مَا يَشَاءُونَ عِنْدَ رَبِّهِمْ ۚ ذَٰلِكَ هُوَ الْفَضْلُ الْكَبِيرُ

  23. ذَٰلِكَ الَّذِي يُبَشِّرُ اللَّهُ عِبَادَهُ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ ۗ قُلْ لَا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ أَجْرًا إِلَّا الْمَوَدَّةَ فِي الْقُرْبَىٰ ۗ وَمَنْ يَقْتَرِفْ حَسَنَةً نَزِدْ لَهُ فِيهَا حُسْنًا ۚ إِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ شَكُورٌ

  24. أَمْ يَقُولُونَ افْتَرَىٰ عَلَى اللَّهِ كَذِبًا ۖ فَإِنْ يَشَإِ اللَّهُ يَخْتِمْ عَلَىٰ قَلْبِكَ ۗ وَيَمْحُ اللَّهُ الْبَاطِلَ وَيُحِقُّ الْحَقَّ بِكَلِمَاتِهِ ۚ إِنَّهُ عَلِيمٌ بِذَاتِ الصُّدُورِ

  25. وَهُوَ الَّذِي يَقْبَلُ التَّوْبَةَ عَنْ عِبَادِهِ وَيَعْفُو عَنِ السَّيِّئَاتِ وَيَعْلَمُ مَا تَفْعَلُونَ

  26. وَيَسْتَجِيبُ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ وَيَزِيدُهُمْ مِنْ فَضْلِهِ ۚ وَالْكَافِرُونَ لَهُمْ عَذَابٌ شَدِيدٌ

  27. وَلَوْ بَسَطَ اللَّهُ الرِّزْقَ لِعِبَادِهِ لَبَغَوْا فِي الْأَرْضِ وَلَٰكِنْ يُنَزِّلُ بِقَدَرٍ مَا يَشَاءُ ۚ إِنَّهُ بِعِبَادِهِ خَبِيرٌ بَصِيرٌ

  28. وَهُوَ الَّذِي يُنَزِّلُ الْغَيْثَ مِنْ بَعْدِ مَا قَنَطُوا وَيَنْشُرُ رَحْمَتَهُ ۚ وَهُوَ الْوَلِيُّ الْحَمِيدُ

  29. وَمِنْ آيَاتِهِ خَلْقُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَمَا بَثَّ فِيهِمَا مِنْ دَابَّةٍ ۚ وَهُوَ عَلَىٰ جَمْعِهِمْ إِذَا يَشَاءُ قَدِيرٌ

  30. وَمَا أَصَابَكُمْ مِنْ مُصِيبَةٍ فَبِمَا كَسَبَتْ أَيْدِيكُمْ وَيَعْفُو عَنْ كَثِيرٍ

  31. وَمَا أَنْتُمْ بِمُعْجِزِينَ فِي الْأَرْضِ ۖ وَمَا لَكُمْ مِنْ دُونِ اللَّهِ مِنْ وَلِيٍّ وَلَا نَصِيرٍ

  32. وَمِنْ آيَاتِهِ الْجَوَارِ فِي الْبَحْرِ كَالْأَعْلَامِ

  33. إِنْ يَشَأْ يُسْكِنِ الرِّيحَ فَيَظْلَلْنَ رَوَاكِدَ عَلَىٰ ظَهْرِهِ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِكُلِّ صَبَّارٍ شَكُورٍ

  34. أَوْ يُوبِقْهُنَّ بِمَا كَسَبُوا وَيَعْفُ عَنْ كَثِيرٍ

  35. وَيَعْلَمَ الَّذِينَ يُجَادِلُونَ فِي آيَاتِنَا مَا لَهُمْ مِنْ مَحِيصٍ

  36. فَمَا أُوتِيتُمْ مِنْ شَيْءٍ فَمَتَاعُ الْحَيَاةِ الدُّنْيَا ۖ وَمَا عِنْدَ اللَّهِ خَيْرٌ وَأَبْقَىٰ لِلَّذِينَ آمَنُوا وَعَلَىٰ رَبِّهِمْ يَتَوَكَّلُونَ

  37. وَالَّذِينَ يَجْتَنِبُونَ كَبَائِرَ الْإِثْمِ وَالْفَوَاحِشَ وَإِذَا مَا غَضِبُوا هُمْ يَغْفِرُونَ

  38. وَالَّذِينَ اسْتَجَابُوا لِرَبِّهِمْ وَأَقَامُوا الصَّلَاةَ وَأَمْرُهُمْ شُورَىٰ بَيْنَهُمْ وَمِمَّا رَزَقْنَاهُمْ يُنْفِقُونَ

  39. وَالَّذِينَ إِذَا أَصَابَهُمُ الْبَغْيُ هُمْ يَنْتَصِرُونَ

  40. وَجَزَاءُ سَيِّئَةٍ سَيِّئَةٌ مِثْلُهَا ۖ فَمَنْ عَفَا وَأَصْلَحَ فَأَجْرُهُ عَلَى اللَّهِ ۚ إِنَّهُ لَا يُحِبُّ الظَّالِمِينَ

  41. وَلَمَنِ انْتَصَرَ بَعْدَ ظُلْمِهِ فَأُولَٰئِكَ مَا عَلَيْهِمْ مِنْ سَبِيلٍ

  42. إِنَّمَا السَّبِيلُ عَلَى الَّذِينَ يَظْلِمُونَ النَّاسَ وَيَبْغُونَ فِي الْأَرْضِ بِغَيْرِ الْحَقِّ ۚ أُولَٰئِكَ لَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ

  43. وَلَمَنْ صَبَرَ وَغَفَرَ إِنَّ ذَٰلِكَ لَمِنْ عَزْمِ الْأُمُورِ

  44. وَمَنْ يُضْلِلِ اللَّهُ فَمَا لَهُ مِنْ وَلِيٍّ مِنْ بَعْدِهِ ۗ وَتَرَى الظَّالِمِينَ لَمَّا رَأَوُا الْعَذَابَ يَقُولُونَ هَلْ إِلَىٰ مَرَدٍّ مِنْ سَبِيلٍ

  45. وَتَرَاهُمْ يُعْرَضُونَ عَلَيْهَا خَاشِعِينَ مِنَ الذُّلِّ يَنْظُرُونَ مِنْ طَرْفٍ خَفِيٍّ ۗ وَقَالَ الَّذِينَ آمَنُوا إِنَّ الْخَاسِرِينَ الَّذِينَ خَسِرُوا أَنْفُسَهُمْ وَأَهْلِيهِمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ۗ أَلَا إِنَّ الظَّالِمِينَ فِي عَذَابٍ مُقِيمٍ

  46. وَمَا كَانَ لَهُمْ مِنْ أَوْلِيَاءَ يَنْصُرُونَهُمْ مِنْ دُونِ اللَّهِ ۗ وَمَنْ يُضْلِلِ اللَّهُ فَمَا لَهُ مِنْ سَبِيلٍ

  47. اسْتَجِيبُوا لِرَبِّكُمْ مِنْ قَبْلِ أَنْ يَأْتِيَ يَوْمٌ لَا مَرَدَّ لَهُ مِنَ اللَّهِ ۚ مَا لَكُمْ مِنْ مَلْجَإٍ يَوْمَئِذٍ وَمَا لَكُمْ مِنْ نَكِيرٍ

  48. فَإِنْ أَعْرَضُوا فَمَا أَرْسَلْنَاكَ عَلَيْهِمْ حَفِيظًا ۖ إِنْ عَلَيْكَ إِلَّا الْبَلَاغُ ۗ وَإِنَّا إِذَا أَذَقْنَا الْإِنْسَانَ مِنَّا رَحْمَةً فَرِحَ بِهَا ۖ وَإِنْ تُصِبْهُمْ سَيِّئَةٌ بِمَا قَدَّمَتْ أَيْدِيهِمْ فَإِنَّ الْإِنْسَانَ كَفُورٌ

  49. لِلَّهِ مُلْكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ يَخْلُقُ مَا يَشَاءُ ۚ يَهَبُ لِمَنْ يَشَاءُ إِنَاثًا وَيَهَبُ لِمَنْ يَشَاءُ الذُّكُورَ

  50. أَوْ يُزَوِّجُهُمْ ذُكْرَانًا وَإِنَاثًا ۖ وَيَجْعَلُ مَنْ يَشَاءُ عَقِيمًا ۚ إِنَّهُ عَلِيمٌ قَدِيرٌ

  51. وَمَا كَانَ لِبَشَرٍ أَنْ يُكَلِّمَهُ اللَّهُ إِلَّا وَحْيًا أَوْ مِنْ وَرَاءِ حِجَابٍ أَوْ يُرْسِلَ رَسُولًا فَيُوحِيَ بِإِذْنِهِ مَا يَشَاءُ ۚ إِنَّهُ عَلِيٌّ حَكِيمٌ

  52. وَكَذَٰلِكَ أَوْحَيْنَا إِلَيْكَ رُوحًا مِنْ أَمْرِنَا ۚ مَا كُنْتَ تَدْرِي مَا الْكِتَابُ وَلَا الْإِيمَانُ وَلَٰكِنْ جَعَلْنَاهُ نُورًا نَهْدِي بِهِ مَنْ نَشَاءُ مِنْ عِبَادِنَا ۚ وَإِنَّكَ لَتَهْدِي إِلَىٰ صِرَاطٍ مُسْتَقِيمٍ

  53. صِرَاطِ اللَّهِ الَّذِي لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۗ أَلَا إِلَى اللَّهِ تَصِيرُ الْأُمُورُ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Haa Meeem

  2. 'Ayyyn Seeen Qaaaf

  3. Kazaalika yooheee ilaika wa ilal lazeena min qablikal laahul 'Azeezul Hakeem

  4. Lahoo maa fis samaa waati wa maa fil ardi wa Huwal 'Aliyul 'Azeem

  5. Takaadus samaawaatu yatafattarna min fawqihinn; walmalaaa'ikatu yusabbihoona bihamdi Rabbihim wa yastaghfiroona liman fil ard; alaaa innal laaha huwal Ghafoorur Raheem

  6. Wallazeenat takhazoo min dooniheee awliyaaa'al laahu hafeezun 'alaihim wa maaa anta 'alaihim biwakeel

  7. Wa kazaalika awhainaaa llaika Qur-aanan 'Arabiyyal litunzira Ummal Quraa wa man hawlahaa wa tunzira Yawmal Jam'i laa raiba feeh; fareequn fil jannati wa fareequn fissa'eer

  8. Wa law shaaa'al laahu laja'alahum ummatanw waahi datanw walaakiny yudkhilumany yashaaa'u fee rahmatih; waz zaalimoona maa lahum minw waliyyinw wa laa naseer

  9. Amit takhazoo min dooniheee awliyaaa'a fallaahu Huwal Waliyyu wa Huwa yuhyil mawtaa wa Huwa 'alaa kulli shai'in Qadeer (section 1)

  10. Wa makh-talaftum feehi min shai'in fahukmuhooo ilallaah; zaalikumul laahu Rabbee 'alaihi tawakkaltu wa ilaihi uneeb

  11. Faatirus samaawaati wal ard; ja'ala lakum min anfusikum azwaajanw wa minal an'aami azwaajai yazra'ukum feeh; laisa kamislihee shai'unw wa Huwas Samee'ul Baseer

  12. Lahoo maqaaleedus samaawaati wal ardi yabsutur rizqa limai yashaaa'u wa yaqdir; innahoo bikulli shai'in 'Aleem

  13. Shara'a lakum minad deeni maa wassaa bihee Noohanw wallazeee awhainaaa ilaika wa maa wassainaa biheee Ibraaheema wa Moosa wa 'Eesaaa an aqeemud deena wa laa tatafarraqoo feeh; kabura 'alal mushrikeena maa tad'oohum ilaih; Allaahu yajtabee ilaihi mai yashaaa'u wa yahdeee ilaihi mai yuneeb

  14. Wa maa tafarraqooo illaa mim ba'di maa jaaa'ahumul 'ilmu baghyam bainahum; wa law laa Kalimatun sabaqat mir Rabbika ilaaa ajalim musammal laqudiya bainahum; wa innal lazeena oorisul Kitaaba mim ba'dihim lafee shakkim minhu mureeb

  15. Falizaalika fad'u wastaqim kamaaa umirta wa laa tattabi' ahwaaa'ahum wa qul aamantu bimaaa anzalal laahu min Kitaab, wa umirtu li a'dila bainakum Allaahu Rabbunaa wa Rabbukum lanaaa a'maa lunaa wa lakum a'maalukum laa hujjata bainanaa wa baina kumul laahu yajma'u bainanaa wa ilaihil maseer

  16. Wallazeena yuhaaajjoona fil laahi mim ba'di mastujeeba lahoo hujjatuhum daahidatun 'inda Rabbihim wa 'alaihim ghadabunw wa lahum 'azaabun shadeed

  17. Allahul lazeee anzalal Kitaaba bilhaqqi wal Meezaan; wa ma yudreeka la'allas Saa'ata qareeb

  18. Yasta'jilu bihal lazeena laa yu'minoona bihaa wallazeena aamanoo mushfiqoona minhaa wa ya'lamoona annahal haqq; alaaa innal lazeena yumaaroona fis Saa'ati lafee dalaalin ba'eed

  19. Allahu lateefum bi'ibaadihee yarzuqu mai yashaaa'u wa Huwal Qawiyyul 'Azeez (Section 2)

  20. Man kaana yureedu harsal Aakhirati nazid lahoo fee harsihee wa man kaana yureedu harsad dunyaa nu'tihee minhaa wa maa lahoo fil Aakhirati min naseeb

  21. Am lahum shurakaaa'u shara'oo lahum minad deeni maa lam ya'zan bihil laah; wa law laa kalimatul fasli laqudiya bainahum; wa innaz zaalimeena lahum 'azaabun aleem

  22. Taraz zaalimeena mushfiqeena mimmaa kasaboo wa huwa waaqi'um bihim; wallazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati fee rawdaatil jannaati lahum maa yashaaa'oona 'inda Rabbihim; zaalika huwal fadlul kabeer

  23. Zaalikal lazee yubash shirul laahu 'ibaadahul lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaat; qul laaa as'alukum 'alaihi ajran illal mawaddata fil qurbaa; wa mai yaqtarif hasanatan nazid lahoo feehaa husnaa; innal laaha Ghafoorun Shakoor

  24. Am yaqooloonaf tara 'alal laahi kaziban fa-iny yasha' illaahu yakhtim 'alaa qalbik; wa yamhul laahul baatila wa yuhiqqul haqqa bi Kalimaatih; innahoo 'Aleemun bizaatis sudoor

  25. Wa Huwal lazee yaqbalut tawbata 'an 'ibaadihee wa ya'foo 'anis saiyiaati wa ya'lamu maa taf'aloon

  26. Wa yastajeebul lazeena aamanoo wa 'amilu saalihaati wa yazeeduhum min fadlih; wal kaafiroona lahum 'azaabun shadeed

  27. Wa law basatal laahur rizqa li'ibaadihee labaghaw fil ardi wa laakiny yunazzilu biqadarim maa yashaaa'; innahoo bi'ibaadihee Khabeerun Baseer

  28. Wa Huwal lazee yunazzilul ghaisa min ba'di maa qanatoo wa yanshuru rahmatah; wa Huwal Waliyyul Hameed

  29. Wa min Aayaatihee khalqus samaawaati wal ardi wa maa bassa feehimaa min daaabbah; wa Huwa 'alaa jam'ihim izaa yashaaa'u Qadeer (section 3)

  30. Wa maaa asaabakum min museebatin fabimaa kasabat aydeekum wa ya'foo 'an kaseer

  31. Wa maaa antum bimu'jizeena fil ardi wa maa lakum min doonil laahi minw wa liyyinw wa laa naseer

  32. Wa min Aayaatihil ja waarifil bahri kal a'lam

  33. Iny yashaaa yuskinir reeha fa yazlalna rawaakida 'alaa zahrihi; inna fee zaalika la Aayaatil likulli sabbaarin shakoor

  34. Aw yoobiqhunna bimaa kasaboo wa ya'fu 'an kaseer

  35. Wa ya'lamal lazeena yujaadiloona feee Aayaatinaa maa lahum min mahees

  36. Famaa ooteetum min shai'in famataa'ul hayaatid dunyaa wa maa 'indal laahi khairunw wa abqaa lillazeena aamanoo wa 'alaa Rabbihim yatawakkaloon

  37. Wallazeena yajtaniboona kabaaa'iral ismi wal fawaahisha wa izaa maa ghadiboo hum yaghfiroon

  38. Wallazeenas tajaaboo li Rabbihim wa aqaamus Salaata wa amruhum shooraa bainahum wa mimmaa razaqnaahum yunfiqoon

  39. Wallazeena izaa asaabahumul baghyu hum yantasiroon

  40. Wa jazaaa'u saiyi'atin saiyi'atum misluha faman 'afaa wa aslaha fa ajruhoo 'alal laah; innahoo laa yuhibbuz zaalimeen

  41. Wa lamanin tasara ba'da zulmihee fa ulaaa'ika maa 'alaihim min sabeel

  42. Innamas sabeelu 'alal lazeena yazlimoonan naasa wa yabghoona fil ardi bighairil haqq; ulaaa'ika lahum 'azaabun aleem

  43. Wa laman sabara wa ghafara inna zaalika lamin 'azmil umoor (section 4)

  44. Wa mai yudli lillaahu famaa lahoo minw waliyyin min ba'dih; wa taraz zaalimeena lammaa ra awul 'azaaba yaqooloona hal ilaa maraddin min sabeel

  45. Wa taraahum yu'radoona 'alaihaa khaashi'eena minazzulli yanzuroona min tarfin khafiyy; wa qaalal lazeena aamanooo innal khaasireenal lazeena khasirooo anfusahum wa ahleehim Yawmal Qiyaamah; alaaa innaz zaalimeena fee 'azaabin muqeem

  46. Wa maa kaana lahum min awliyaaa'a yansuroonahum min doonil laah; wa mai yudlilil laahu famaa lahoo min sabeel

  47. Istajeeboo li Rabbikum min qabli any yaatiya Yawmul laa maradda lahoo min Allah; maa lakum min malja' iny yawma'izinw wa maa lakum min nakeer

  48. Fa-in a'radoo famaaa arsalnaaka 'alaihim hafeezan in 'alaika illal balaagh; wa innaaa izaaa azaqnal insaana minnaa rahmatan fariha bihaa wa in tusibhum saiyi'atun bimaa qaddamat aydeehim fa innal insaana kafoor

  49. Lillaahi mulkus samaawaati wal ard; yakhluqu maa yashaaa'; yahabu limai yashaaa'u inaasanw wa yahabu limai yashaaa'uz zukoor

  50. Aw yuzawwijuhum zukraananw wa inaasanw wa yaj'alu mai yashaaa'u 'aqeemaa; innahoo 'Aleemun Qadeer

  51. Wa maa kaana libasharin any yukallimahul laahu illaa wahyan aw minw waraaa'i hijaabin aw yursila Rasoolan fa yoohiya bi iznihee maa yashaaa'; innahoo 'Aliyyun Hakeem

  52. Wa kazaalika awhainaaa ilaika roohan min amrinaa; maa kunta tadree mal Kitaabu wa lal eemaanu wa laakin ja'alnaahu nooran nahdee bihee man nashaaa'u min 'ibaadinaa; wa innaka latahdeee ilaaa Siraatin Mustaqeem

  53. Siraatil laahil lazee lahoo maa fis samaawaati wa maa fil ard; alaaa ilal laahi taseerul umoor (section 5)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Haa Meem

2. Ain seen Qaaf

3. Isi tarah Allah gaalib o hakeem (Most Mighty, the Most Wise) tumhari taraf aur tumse pehle guzre huey (Rasoolon) ki taraf wahee karta raha hai.

4. Aasmaano aur zameen mein jo kuch bhi hai usi ka hai, woh bartar aur azeem hai.

5. Qareeb hai ke aasmaan upar se phatt padein Farishte apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh kar rahe hain, aur zameen walon ke haqq mein darguzar ki darkhwastein kiye jaate hain. Aagah raho, haqeeqat mein Allah gafoor o Raheem hi hai.

6. Jin logon ne usko chodh kar apne kuch dusre sarparast bana rakkhe hain, Allah hi unpar nigraan hai, tum unke hawala daar nahin ho.

7. Haan, isi tarah aey Nabi, yeh Quraan e arabi humne tumhari taraf wahee (revelation) kiya hai taa-ke tum bastiyaon ke markaz (shehar e Makkah) aur uske gird o pesh rehne walon ko khabardaar kardo, aur jamaa hone ke din se dara do jiske aane mein koi shakk nahin.Ek girooh ko jannat mein jaana hai aur dusre girooh ko dozakh mein.

8. Agar Allah chahta to in sab ko ek hi ummat bana deta, magar woh jise chahta hai apni rehmat mein daakhil karta hai. Aur zalimon ka na koi wali hai na madadgaar.

9. Kya yeh (aise naadaan hain ke) inhon ne usey chodh kar dusre wali(protectors) bana rakkhe hain? Wali(protector) to Allah hi hai, wahi murdon (dead) ko zinda karta hai, aur woh har cheez par qaadir hai.

10. Tumhare darmiyan jis maamle mein bhi ikhtilaf ho, uska faisla karna Allah ka kaam hai. Wahi Allah mera Rubb hai, usi par maine bharosa kiya, aur usi ki taraf main rujoo karta hoon.

11. Aasmaano aur zameen ka banane wala, jisne tumhari apni jins se tumhare liye jodey (pairs) paida kiye, aur isi tarah jaanwaron mein bhi (unhi ke hum jins) jodey(pairs) banaye, aur is tareeqe se woh tumhari naslein (generations) phaylata hai. Qayanat ki koi cheez uske mushabeh nahin, woh sab kuch sunnay aur dekhne wala hai.

12. Aasmaano aur zameen ke khazano ki kunjiyan (keys) usi ke paas hain. Jise chahta hai khula rizq deta hai aur jise chahta hai napa tula deta hai. Usey har cheez ka ilm hai.

13. Usne tumhare liye deen ka wahi tareeqa muqarrar kiya hai jiska hukm usne Nooh ko diya tha, aur jise (aey Muhammad) ab tumhari taraf humne wahee ke zariye se bheja hai, aur jiski hidayat hum Ibrahim aur Moosa aur Isa ko de chuke hain, is takeed ke saath ke qayam karo is deen ko aur us mein mutafarriq na ho jao. Yahi baat in mushrikeen ko sakht nagawaar hui hai jiski taraf aey Muhammad tum inhein dawat de rahe ho. Allah jise chahta hai apna karleta hai, aur woh apni taraf aane ka raasta usi ko dikhata hai jo uski taraf rujoo kare.

14. Logon mein jo tafraqa (ikhtilaf) runuma hua woh iske baad hua ke unke paas ilm aa chuka tha aur is bina par hua ke woh aapas mein ek dusre par zyadati karna chahte thay. Agar tera Rubb pehle hi yeh na farma chuka hota ke ek waqt e muqarrar tak faisla multawi (postponed) rakkha jayega to inka qaziya chuka diya gaya hota. Aur haqeeqat yeh hai ke aglon ke baad jo log kitaab ke waris banaye gaye woh uski taraf se badey istarab angez shakk mein padey huey hain.

15. chunke yeh haalat paida ho chuki hai is liye aey Muhammad (s.a.s.) ab tum usi deen ki taraf dawat do, aur jis tarah tumhein hukm diya gaya hai uspar mazbooti ke saath qayam ho jao, aur in logon ki khwahishaat ki ittiba na karo. Aur inse kehdo ke: “Allah ne jo kitaab bhi naazil ki hai main uspar iman laya, mujhe hukm diya gaya hai ke main tumahre darmiyan insaaf karoon. Allah hi hamara Rubb bhi hai aur tumhara Rubb bhi. Hamare aamal hamare liye hain aur tumhare aamal tumhare liye. Hamare aur tumhare darmiyan koi jhagda nahin. Allah ek roz hum sab ko jamaa karega aur usi ki taraf sab ko jana hai”

16. Allah ki dawat par labbaik kahey jaane ke baad jo log (labbaik kehne walon se) Allah ke deen ke maamle mein jhagde karte hain, unki hujjat baazi unke Rubb ke nazdeek baatil hai, aur unpar uska gazab hai aur unke liye sakht azaab hai.

17. Woh Allah hi hai jisne haqq ke saath yeh kitaab aur mizaan naazil ki hai aur tumhein kya khabar, shayad ke faisle ki ghadi qareeb hi aa lagi ho.

18. Jo log uske aane par iman nahin rakhte woh to uske liye jaldi machate hain, magar jo uspar iman rakhte hain woh us se darte hain aur jaante hain ke yaqeenan woh aane wali hai.Khoob sunlo, jo log us ghadi ke aane mein shakk daalne wali behsain (arguments) karte hain woh gumraahi mein bahut dur nikal gaye hain.

19. Allah apne bandon par bahut meharban hai jise jo kuch chahta hai deta hai. Woh badi quwwat wala aur zabardast hai.

20. Jo koi aakhirat ki kheti chahta hai uski kheti ko hum badhate hain, aur jo duniya ki kheti chahta hai usey duniya hi mein se dete hain magar aakhirat mein uska koi hissa nahin hai.

21. Kya yeh log kuch aise shareek e khuda rakhte hain jinhon ne inke liye deen ki noiyat rakhne wala ek aisa tareeka muqarrar kardiya hai jiska Allah ne izan nahin diya? Agar faisle ki baat pehle tai na ho gayi hoti to inka qaziya chuka diya gaya hota. Yaqeenan in zalimon ke liye dardnaak azaab hai.

22. Tum dekhoge ke yeh zalim us waqt apne kiye ke anjaam se darr rahe honge aur woh inpar aa kar rahega. Ba-khilaf iske jo log iman le aaye hain aur jinhon ne neik aamal kiye hain woh jannat ke gulistano mein honge, jo kuch bhi woh chahenge apne Rubb ke haan paayenge, yahi bada fazl hai.

23. Yeh hai woh cheez jiski khush-khabri Allah apne un bandon ko deta hai jinhon ne maan liya aur neik amal kiye. Aey Nabi, in logon se kehdo ke main is kaam par tumse kisi ajar ka taalib nahin hoon. Albatta qarabat (kinsfolk) ki muhabbat zaroor chahta hoon. Jo koi bhalayi kamayega hum uske liye us bhalayi mein khoobi ka izafa kar denge. Beshak Allah bada darguzar karne wala aur qadardaan hai.

24. Kya yeh log kehte hain ke is shaks ne Allah par jhoota bohtan ghadh liya hai? Agar Allah chahe to tumhare dil par mohar karde. Woh baatil ko mita deta hai aur haq ko apne farmaano se haqq kar dikhata hai. Woh seeno ke chupey huey raaz jaanta hai.

25. Wahi hai jo apne bandon se tauba qabool karta hai aur buraiyon se darguzar karta hai, halanke tum logon ke sab afaal (jo kuch kar rahe ho) ka usey ilm hai.

26. Woh iman laane walon aur neik amal karne walon ki dua qabool karta hai aur apne fazl se unko aur zyada deta hai. Rahe inkar karne wale, to unke liye dardnaak saza hai.

27. Agar Allah apne sab bandon(servants) ko khula rizq de deta to woh zameen mein sarkashi ka toofaan barpa kardete, Magar woh ek hisaab se jitna chahta hai naazil karta hai, yaqeenan woh apne bandon se ba khabar hai aur un par nigaah rakhta hai.

28. Wahi hai jo logon ke mayous ho jaane ke baad meh (rain) barsata hai aur apni rehmat phayla deta hai, aur wahi qabil-e-tareef wali hai.

29. Uski nishaniyon mein se hai yeh zameen aur aasmaano ki paidaish, aur yeh jaandaar makhlooqat jo usne dono jagah phayla rakkhi hain. Woh jab chahe inhein ikattha kar sakta hai.

30. Tumpar jo museebat bhi aayi hai, tumhare apne haathon ki kamayi se aayi hai, aur bahut se kasooron se woh waise hi darguzar kar jata hai.

31. Tum zameen mein apne khuda ko aajiz (frustrate) kardene wale nahin ho, aur Allah ke muqable mein tum koi haami o naasir (protector or helper) nahin rakhte.

32. Uski nishaniyon mein se hain yeh jahaz (ships) jo samandar mein pahadon ki tarah nazar aate hain.

33. Allah jab chahe hawa ko saakin (motionless) karde aur yeh samandar ki peeth (back) par khade reh jayein. is mein badi nishaniyan hain har us shaks ke liye jo kamal darja sabr o shukar karne wala ho.

34. Ya (unpar sawar hone walon ke) bahut se gunahon se dar guzar karte huey unke chandh hi kartooton ki padash mein unhein dubo (drown) de.

35. Aur us waqt hamari aayaat mein jhagade karne walon ko pata chal jaaye ke unke liye koi jaaye panaah nahin hai.

36. Jo kuch bhi tum logon ko diya gaya hai woh mehaz duniya ki chandh roza zindagi ka sar o saaman hai, aur jo kuch Allah ke haan hai woh behtar bhi hai aur payedar bhi. Woh un logon ke liye hai jo iman laye hain aur apne Rubb par bharosa karte hain.

37. Jo badey badey gunahon aur be hayayi ke kaamon se parheiz karte hain aur agar gussa aa jaaye to darguzar kar jaate hain.

38. Jo apne Rubb ka hukm maante hain, namaz qayam karte hain, apne maamlaat aapas ke mashware se chalate hain, humne jo kuch bhi rizq unhein diya hai us mein se kharch karte hain.

39. Aur jab unpar zyadati ki jaati hai to uska muqaabla karte hain.

40. Burayi ka badla waisi hi burayi hai, phir jo koi maaf karde aur islaah kare uska ajar Allah ke zimme hai. Allah zalimon ko pasand nahin karta.

41. Aur jo log zulm hone ke baad badla lein unko malamat nahin ki jaa sakti.

42. Malamat ke mustahiq to woh hain jo dusron par zulm karte hain aur zameen mein na haqq zyadatiyan karte hain. Aise logon ke liye dardnaak azaab hai.

43. Albatta jo shaks sabr se kaam le aur darguzar kare, to yeh badi ulul azmi (matters [worthy] of great resolve) ke kaamon mein se hai.

44. Jisko Allah hi gumraahi mein phenk de uska koi sambhaalne wala Allah ke baad nahin hai. Tum dekho ge yeh zalim jab azaab dekhenge to kahenge ab palatne ki bhi koi sabeel hai?

45. Aur tum dekhoge ke yeh jahannum ke saamne jab laye jayenge to zillat ke maare jhuke jaa rahe honge aur usko nazar bacha bacha kar kan aankiyon (covert glance) se dekhenge.Us waqt woh log jo iman laye thay kahenge ke waqayi asal ziyan kaar ([true] losers) wahi hain jinhon ne aaj qayamat ke din apne aapko aur apne mutaaliqin ko khasare mein daal diya. Khabardar raho, zalim log mustaqil azaab mein honge.

46. Aur unke koi haami o sarparast na honge jo Allah ke muqaable mein unki madad ko aayein. Jise Allah gumraahi mein phenk de uske liye bachao ki koi sabeel nahin.

47. Maan lo apne Rubb ki baat qabl iske ke woh din aaye jiske talne ki koi surat Allah ki taraf se nahin hai. Us din tumhare liye koi jaaye panaah na hogi aur na koi tumhare haal ko badalne ki koshish karne wala hoga.

48. Ab agar yeh log mooh moadte hain to aey Nabi humne tumko unpar nigehbaan bana kar to nahin bheja hai. Tumpar to sirf baat pahuncha dene ki zimmedari hai.Insaan ka haal yeh hai ke jab hum usey apni rehmat ka maza chakhate hain to uspar phool jata hai. Aur agar uske apne haathon ka kiya dhara kisi museebat ki shakal mein uspar ulat padta hai to sakht na shukra ban jata hai.

49. Allah zameen aur aasmaano ki baadshahi ka maalik hai. Jo kuch chahta hai paida karta hai. Jise chahta hai ladkiyan deta hai, jise chahta hai ladke deta hai.

50. Jise chahta hai ladke aur ladkiyan mila-jula kar deta hai aur jise chahta hai baanjh (barren) kardeta hai. Woh sab kuch jaanta hai aur har cheez par qaadir hai.

51. Kisi bashar (Insaan) ka yeh muqaam nahin hai ke Allah us se ru-baru baat kare, uski baat ya to wahee (ishaare/ revelation) ke taur par hoti hai, ya purday ke pichey se, ya phir woh koi paigaambar (farishta) bhejta hai aur woh uske hukm se jo kuch woh chahta hai, wahee (reveal) karta hai. Woh bartar aur Hakeem(wise) hai.

52. Aur isi tarah (aey Muhammad s.a.s) humne apne hukm se ek rooh tumhari tarf wahee ki hai. Tumhein kuch pata na tha ke kitaab kya hoti hai aur iman kya hota hai, Magar us rooh ko humne ek roshni bana diya jis se hum raah dikhate hain apne bandon mein se jise chahte hain. Yaqeenan tum seedhe raaste ki taraf rehnumayi kar rahe ho.

53. Us khuda ke raaste ki taraf jo zameen aur aasmaano ki har cheez ka maalik hai. khabardaar raho, saare muaamlaat Allah hi ki taraf rujoo karte hain.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments